Sher o Shayri
Sher o Shayri
Sher o Shayri
Guzarane Paati To Shaadaab Ho Bhi Sakati Thi.. Ye Tirgi Jo Meri Zist Ka Muqaddar Hai.. Teri Nazar Ki Shuaaon Men Kho Bhi Sakati Thi.. Ajab Na Thaa Ke Main Begaanaa-E-Alam Ho Kar.. Tere Jamaal Ki Raanaaiyon Men Kho Rahataa.. Teraa Gudaaz Badan Teri Nim-Baar Aankhen.. Inhin Hasin Fasaanon Men Maaho Rahataa.. Pukaratin Mujhe Jab Talkhiyaan Zamaane Ki.. Tere Labon Se Halaawat Ke Ghoont Pi Letaa.. Hayaat Chikhati Phirati Barahanaa-Sar, Aur Main Ghaneri Zulfon Ke Saaye Men Chhup Ke Ji Letaa.. Magar Ye Ho Na Saka Aur Ab Ye Aalam Hai.. Ke Too Nahin, Teraa Gham, Teri Justajoo Bhi Nahin.. Guzar Rahi Hai Kuchh Is Tarah Zindagi Jaise.. Ise Kisi Ke Sahaare Ki Aarazoo Bhi Nahin .. Zamaane Bhar Ke Dukhon Ko Lagaa Chuka Hoon Gale.. Guzar Rahaa Hoon Kuchh Anjaani Guzar-Gaahon Se.. Muhib Saaye Meri Simt Badate Aate Hain . Hayaat-O-Maut Ke Pur-Haul Khaarazaaron Se.. Na Koi Jaadaa Na Manzil Na Roshani Ka Suraagh.. Bhatak Rahi Hai Khaalaaon Men Zindagi Meri.. Inhin Khalaaon Men Rah Jaaoongaa Kabhi Khokar.. Main Jaanataa Hoon Meri Ham-Nafas Magar Yoon Hi.. Kabhi Kabhi Mere Dil Men Khayaal Aataa Hai..!! [Sahir Ludhianvi]
2. Tere Pyar Mein Do Pal Ki Zindgi Bohut Hai Ek Pal Ki Hansi Aur Ek Pal Ki Khushi Bohut Hai Yeh Duniya Mujhe Jane Ya Na Jane Teri Aankhein Muje Pehchane Yahi Bohut Hai 3. Apni Taqdeer Mein To Kuchh Aise HEE Silsile Likhe Hai.... So JaU To Khawab Us Ke, Jaagu To Khayal Us Ke.......
4. Amal Se Bhi Manga Wafa Se Bhi Manga Tuje Main Ne Teri Raza Se Bhi Manga Jo Kuch Na Ho Saka Toh Dua Se Bhi Manga Khuda Ki Qasam Mai Ne Tuje Khuda Se Bhi Manga 5. Aap Khud Nahi Jante Aap Kitne Pyare Ho Jaan Ho Humari Par Jaan Se bhi Pyare Ho Duriyo Ke Hone Se Koi Fark Nahi Padta Aap Kal Bhi Humare The Aur Aaj Bhi Humare Ho 6. Kareeb Aao Zara Ke Jeena Mushkil Hai Tere Bin Dil Ko Tujhse Hi Nahi Teri Har Ada Se Muhabbat Hai 7. Nazar say Harf-e-Salam Likhna Wo Chand Chehray, Wo Behki Batein Sulagtay Din Thay, Sulgati Ratein Wo chotay Chotay Se Kaghazon Par Muhabbaton Kay Payaam Likhna Gulab Chehron Say Dil Lagana Wo Chupkey Chupkey Nazar Milana Wo Arzu'on Kay Khawab Bun'na Wo Qissa-e-Na Tamaam Likhna Mere Nagar Ki Haseen Fizao Kaheen Jo Un Ka Nishan Pao To Poochna Ke Kahan Basay Wo Kahan Hai Un Ka Qayam Likhna
Gayee Ruton Main Chup Chaap Apna Bas Ek Yeh Hi To Mashghala Tha Kissi Kay Chehray Ko Subah Likhna Kissi Kay Chehray Ko Sham Likhna
1. On child labour
Mere liye kab aazaadi aayegi.. Jo zindagi ki khushiyan saath laayegi Ya phir youn hi beet jaayega bachpan apnaa Kya mere liye kabhi khilono ki baarat aayegi . Har din guzar jaata hai younhi zaddo-jahad mai Subah se shaam ho jaayegi , aur phir wahi kaali raat aayegi. Kab mere muastabil ki buniyaad rakhi jaayegi. Shayad younhi tamaam umar itnezaar mai kat jaayegi.. Mere liye kab aazaadi aayegi "Raaz".:( 2. zinda rahe to yaad tumhe karte rahenge bhul jaon to samjh jana khuda ne yaad kar liya hume 3. Farq Sirf Itna Sa Hai.. Teri Doli Uthegi.. Meri Maiyatt Uthegi.. Phool Tujh Par Bhi Honge.. Phool Mujh Par Bhi Honge.. Tu Saj Ke Gayi.. Main Sajaya Gaya.. Tu Uth Ke Gayi.. Main Uthaya Gaya.. Sakhiyan Teri Bhi Thi.. Dost Mere Bhi The.. Mehfil Waha Bhi Thi.. Log Yaha Bhi The.. Un Ka Hansna Waha.. In Ka Rona Yaha..
Qazi Udhar Bhi Tha.. Maulvi Idhar Bhi Tha.. Do Bol Tere Padhe.. Do Bol Mere Padhe.. "Farq Sirf Itna Sa Tha" Tera Nikah Padhaya Gaya .. Mera Janaaza Uthaya Gaya.. Tujhe Apnaya Gaya.. Mujhe Dafnaya Gaya..!! 4. Zara Si Rat Dhal Jaye Tu Shayad Neend Aa jaye... Zara Sa Dil Behal Jaye Tu Shayad Neend Aa jaye... 5. Ladki K Inkaar Par Ek Ghazal Is Tarha Se Sataane Ki Zarurat Kya Thi Kameeni Dil Ko Jalaane Ki Zarurat Kya Thi Jo Nhi Tha Ishq Toh Keh Diya Hota, Apni Aukaat Dikhane Ki Zarurat Kya Thi Maaloom Tha Agr Ye Khawab Toot Jayein ge, Manhoos Phir Neend Mein Aane Ki Zarurat Kya Thi.. Ishq Pr Lagti Rahegi Hr Daur Me Pabandi Ek Aashiq Ki Watt Lagwane Ki Zarurat Kya Thi.. Maan Lo Agr Ye ek tarfa Mohabbat Thi Tou Phr Bhootni! Mujhe Dekh Kr Muskraane Ki Zarurat Kya Thi! 6. Abhi To Karb Hai,Be-Chaini Hai,Be-Qarari Hai, Tabiyat Kuch Sanbhal Jaye To Shayad Neend Aa jaye... Abhi To Narm Jhonkon Me Chupi Hein Apno Ki Yadein, Hawa Ka Rukh Badal Jaye To Shayad Neend Aa jaye...! 7. Hoon To Khafa Us SE, Par Jaane Phir Bhi Kyun, Na Chaah Kar Bhi Us Ko Chahna Achha Lagta Hai.. Haqeeqat Se Hoon Dhoor, Ye Mujh Ko Hai Pata, Per Jaan Ke Anjaan Rehna Acha Lagta Hai..!! 8. Ae Kaash !!! Kahin Qudrat Ka Ye Nizaam Hua Kare,.. Tujhe Dekhne k Siwa Na Mujhe Koi Kaam Hua Kare,.
14. Kabhi pehli baar school jaane mein darr lagta tha,
Aaj har rasta khud hi chunthe hain.. Kabhi mummy-papa ki har baat sacchi lagti thi, Aaj unhi se jhooth bolte hai..!! Kabhi chhoti si chot kitna rulati thi, Aaj dil toot jata hai phr bi sambhal jaate hai !! Pehle dost bas saath khelne tak yaad rehte the, Aaj kuch dost jaan se zyada pyare lagte hai..!! Ek din tension ka meaning maa se puchna padta tha, aur aaj tension soulmate lagta hai..!! Ek din tha jab pal mein ladna pal mein manana to roz ka kam tha, Aaj ek baar jo juda hue toh rishte tak kho jate hai..!! Sachi, zindagi ne bahut kuch sikha diya..!! Na jaane rabb ne humko itna jaldi bada kyun bana Diya... 15. English and Hindi always Contradict: Eng: The sooner the better. Hin: Jaldi ka kaam shaitaan ka hota hai.. Eng: Think of the devil,and the devil is here. Hin: Badi lambi umar hai tumhari, abhi tumhe hi yaad kar rahe the.. Eng: Dont wait, fight for ur rights. Hin: Sabar ka fal meetha hota hai. ..and, the best one: Eng: As wise as an owl. Hin: Ullu ka pattha!:) 16. Main Gham Ki Dastaan Apni Sunaon Ga Is Mehfil Ko Ab Main Rulaoon Ga Dhai Gai Zulm Jo Mujh Par Ab Tak
Ek Ek Zulm Ka Ehwaal Ab Tumhain Batlaon Ga Shikayat Hai Mujhay Apnon Say Buhat Sara Sab Bayaan Kar, Aankhon Ko Ashk Bar Kar Jaon Ga Mohlat Jo Chand Lamhoon Ki Zindagi Nay Di Haz Dastaan-E-Gham-E-Mohabbat Kia Us Main Bayan Kar Paaon Ga Mohabbat Jo Karta Tha Main Ek Bewafa Say Us Ki Bewafai Ka Aalam Tum Ko Dekhlaon Ga Khiloona Jaan Kar Khelta Raha Woh Merey Dil Say Kia Pata Tha K Ek Din Thokar Laga Diya Jaon Ga Aah..! Kuch Tu Reham Kia Hota Us Nay Mujh Par Ab Tu Zindagi Bhar Main Roota Chala Jaon Ga Haaye..! Mujhay Kia Pata Tha K Ek Din Mohabbat K Haathon Khoob Rund Laya Jaon Ga Kitni Chahat Thi Merey Dil Main Us K Liey Kabhi Socha Na Tha K Main Khilona Ban Jaon Ga Mohabbat Ki Thi Us Say Main Nay Apnay Say Bhi Ziada Kia Pata Tha K Sirf Nafrat K Kabil Reh Jaon Ga ahhh... Na Jaan Paye Hum Teri Is Adda Ko Itna Tu Soocha Hota Us Bin Main Kaisey Reh Paon Ga... 17. KESSAY DOOR-E-JAHALAT MAIN JEE RAHAY HAIN HUM MOMIN.... YAHAN AADAM KA BETA KHUSH HOTA HAI HAWA KI BETI KO BENAQAAB DEKH KAR... 18. Wabasta Hai Uski Yaadon Se Meri Zaat Is Qadar.. Yaad Na Karu To Raat Nahi Dhalti, Yaad Karu To Aankh Nahi Lagti..!! 19. Biknay wale aur bhi hain ja kr khareed lo.... Hm log qeemat se nahi kismat se mila krte hain... 20. Wo mil jaye mujhe to yun samjhungi.... Ke jese Jannat ka elaan ho kisi Gunahgaar ke liye..
22.
Chaand chehrey ko tere dekha to ehsaas hua, Eid to kal hai magar aaj manaa li jaye..
23. jab gham meri dharkan meri baton se ayan tha.....! tu kahan tha...!
jab charon taraf dard k dariya ka samaa tha........! tu kahan tha.......! ab aya hai jab dhal gaye hain sabhi mosam.......! mere hamdam...! jab tere liye mera her ehsas jawan tha.....! tu kahan tha........! tu ab aya hai jab jism thak chuka hai or zuban b kahmosh hai........! jab lab pe faqat tera naam tha .....! tu kahan tha....! jab chaar soo mere liye khushiyoon ka saman tha.......! tu kahan tha.........! tu kahan tha ! tu kahan tha!............ 24. Kitna mushkil hai ye zindagi ka safar... Khuda ne marna haram kiya aur logo ne jina... 25. Jin aAnkho kO saJde me RoNe kI aadat ho! Wo aAnkhen kAbhi aPne moQaddar pe nahi rote!. 26. Aankhon Mein Raha Dil Mein Utar Kar Nahi Dekha Kashti Ke Musafir Ne Samander Nahi Dekha Be Waqt Ager Ghar Jaon Ga Sab Chonk Parein Gey Ik Muddat Hui Din Me Kabhi Ghar Nahi Dekha Jis Din Se Chala Hon Meri Manzil Pe Nazar Hai Aankhon Ne Kabhi Meel Ka Pathar Nahi Dekha Yaaron Ki Mohabbat Ka Kar Liya Yaqeen Mein Ne Phoolon Mein Chupaya Hua Khanjar Nahi Dekha.................... 27. Koi Chehray Ka Deewana Hai Koi Ikhlaq Ka Talib Adaien Picha Karwati Hai Mohabbat Kon Karta Hai... 28. "Tujhe Pane Ki Koshish Maen Kuch Itna Kho Chuka Hun Main Ae_Jaan Ke Tu Agar Mil Bhi Jaay To Milne Ka Gam Hoga..!!!!!"
29. Aye Hawao Mera Ek Chota Sa Kaam Kardo Ye Mera Paigaam Meri Dost Ke Naam Kardo Ki Rehti Hai Wo Mujse Bahut Door Ek Shaher Me Jakar Pehle Usse Mera Ek Pyara Sa Salaam Kardo Kehna Ki Bahut Yaad Karta Hai Usse Uska Deewana Phiir Mere Dil Ki Saari Baato Ko Bayan Kardo Par Khyal Rahe Wo Row Na De Kahi Meri Baato Se
Agar Roye Toh Tum Uske Dil Me Mera Pyaar Bhardo Kehna Usse Ke Ye Zindagi Uske Naam Kar Chuka Mai
Itna Kehkar Us Par Mere Pyaa 1. Dard Jab Teri Ataa Hai To Gilaa Kis Se Karen Hijr Jab Toone Diyaa Hai To Gilaa Kis Se Karen Aks Bikhra Hai Tera Toot Ke Aaine Men Ho Gayi Nam Nazar Aks Liyaa Kis Se Karen Main Safar Men Hoon Mere Saath Judaai Teri Ham-Safar Gham Hai To Phir Tera Pata Kis Se Karen Khil Uthe Gul Yaa Khile Dast-E-Hinaai Tere Har Taraf Too Hai To Phir Tera Pata Kis Se Karen Tere Lab, Teri Nigaahen Tere Aariz Teri Zulf Itne Zindaan Hain To Is Dil Ko Riha Kis Ke Karen.. 2. Funny one.. wo ishq ki raahon me kamaal krte hain.. Likhte hain ''I lv u only'' aur send to All krte hain... Lol 3. Tu bhi auron ki tarha mjh se kinara kar le ae zindagi... jab sab ke liye buri hun to tere kis kaam ki... 4. Raste Kab Khatm Huye Hai Zindagi Ke Safar Mein.. Manzil To Wohi Hai Jahan Khwahishen Tham Jayen..!! 5. Uski Be-Panah Muhabbat Ka Hisaab Kya Bheju'n.. Jo Sawal Karti Hai Uski Jhuki Nazar, Unka Jawab Kya Bheju'n.. Ek Mahakta Sa Gulshan Ho Jiska Badan "Raaz".. Us Mahjabi Ko Adna Sa Gulaab Kya Bheju'n..!! Ye Jo Itne Saleeqe Se Satate Hain Aap.. Qasam Se Ghussa Bhi Ata Hai Aur Pyar Bhi..!! Mai Kyun Use Pukarun Ke Laut Aao Meri Taraf... Uske Siwa Koi Nhi Mera Kya Use Nhi Khabr?? Zindagi ne khwab dekhe... Khwabon ne zindagi cheen li... Himmat Hai To Meri Haalat, Aankh Mila Kar Dekh, Shaam Hai Gehri, Tez Hawaa Hai, Sar Pe Khari Hai Raat, Rasta Gaye Musafir Ka Ab Diya Jalaa Kar Dekh, Darwaze Ka Paas Aa Aa Kar Wapis Murrti Chaap, Kaun Hai Iss Sunsaan Gali Main, Paas Bula Kar Dekh, Shayed Koi Dekhne Wala Ho Jaye Khairaan,
6. 7. 8. 9.
Kamre Ki Deewaron Par Koi Naqsh Bana Kar Dekh, Tu Bhi Munir Ab Bhare Jahaan Main Mil Kar Rehna Seekh, Bahar Se To Dekh Liya, Ab Andar Jaa Kar Dekh..!!\ 10. Aapne Hi Shehar K Log Satane Lage, Yar Apni Mahfil Se Uth K Jane Lage, Jab B izhar E Jazbat Chaha Main Ne, Log Apna Apna Dard Sunane Lage, Hamare Naam Se Chalti Thi Jinki Sansein Kbhi, Aaj Wohi Hum Se Nazren Churane Lage, Kya Khabar Thi K Ik Pal Mein Bichar Jaye Ga Wo, Jise Apna Bnane Mein Zamane Lage, Kya Karon Nazron Se Hatta Hi Nahi Wo Manzar, Jab Haath Chhura Kar Mera Wo Jane Lage 11. Mere marne se shayad kisi ko farq na pade ... mere jeene se kuchh log tadapte hain bahut..
12. Tu Meri Duaon Mai Shamil Hai is Tarha.. Pholon Mai Hoti Hai Khushbu Jis Tarha.. ALLAH Tumhari Zindagi Mai Itni Khushiyan Dy.. Zameen Per Hoti Hai Barish Jis Tarha 13. Ek 8 Saal Ke Bachhe Ki Maa
Mar Jati HaiN. Ek Din Uske Papa Ne Poocha Ki Beta Tujhe Apni Nayi Maa Aur Mari Hui Maa MeiN Kya Fark Laga,,,,,,,,??? ToH WoH Ladka Bola : "Meri Nayi Maa Sachhi HaiN Aur Mari Hui Maa Jhooti Thi,,,,,,,!!!! " YeH Sunke Us Aadmi Ko Jhatka Sa Laga Aur Bola : " KyuN Beta......Aisa KyuN Lagta HaiN,,,,,,,,,???? Jisne Tujhe Janam Diya WoH Jhooti Aur KaL Aayi Hui Maa Sachhi Kyu Lagti HaiN,,,,,???? '' Ladka Bola, : '' Jab MaiN Masti Karta Tha, Tab Maa Kehti Thi : "Agar Tu
Isi Tarah Masti Karega ToH, Tujhe Khana NahiN Doongi " MaiN Fir Bhi Bahut Masti Karta Rehta Aur Mujhe Poore Gaon Se Dhund Kar Laati. Apne Paas Bethakar Apne HaathoN Se, Khana Khilati Thi,,,,,,,,!!! '' Aur Yeh Nayi Maa Kehti Hain Ki : "Agar Tu Isi Tarah Masti Karega Toh, Tujhe Khana Nahin Doongi,,,,,,!!! " AUR SACH Mein Usne Aaj Mujhe Teen Din Se Khana Nahin Diya,,,,,,,!!!! '' Must Share,,,,,,, MAA Tab Bhi Roti Thi, Jab Beta Pet MeiN Laat Maarta Tha,,,,,, . MAA Tab Bhi Roti Thi, Jab Beta Gir Jaata Tha. . MAA Tab Bhi Roti Thi, Jab Beta Bukhaar Ya Sardi MeiN Tadapta Tha. . MAA Tab Bhi Roti Thi, Jab Beta Khaana NahiN Khaata Tha,,,,,, . Aur, . " MAA Aaj Bhi Roti HaiN, Jab Beta KHAANA NahiN Deta,,,,,,,!!! " 14. "MAUT K BARE MEIN" Zindgi mein do minute koi mere paas na baitha, Aaj sab mere paas baithe jaa rahe the, Koi tohfa na mila aaj tak mujhe, Aaj phool hi phool diye ja rahe the, Taras gaye hum kisi k hath se diye ek libas ko,
Aaj naye naye kapde odhaye ja rahe the, Do kadam sath na chalne ko tayar tha koi, Aaj kafila banakar ja rahe the, Aaj pata chala ke 'MAUT' itni hasin hoti hain, Kambhakt hum to yu hi jiyeja rahe the.... Mano billi 15. Samajh Na Sake Unki Bato Ko, Hum Pyaar K Nashe Me Chur The..... Aaj Samajh Me Aaya, Jiske Liye Hum Jaan Chidkte The....... Wo Dil Todne K Liye Mashoor The....!! 16. Teacher: 3 Idiots film dekhne ke baad aap ko kya lesson mila? Pappu: Madam yahi ki Engineering padh kar bhi Medical ki ladki fasaai jaa sakti hai..!! Teacher: Shut up&get out ..! Tinku: Madam main bataau? Teacher: Very good Tinku, Bataao..!! Tinku: Madam college ke 1st day Underwear zaroor pehenna chahiye..!! Teacher: You also get out..!! Chintu: Madam main batau..?? Teacher: Arre Chintu, you are a brilliant student, yeh sahi bataayega..!! Chintu: Madam Doctor ke alaawa Engineer bhi delivery karwa sakta hai!!
17. Ajab Tamasha Hai Mitti Kay Banay Logon Ka..! Bewafaai Karo To Rotay Hain Aur Wafaa Karo To Rulatay Hain...! 18. asalamo alikum maaa maa mein jannat se bol rahi hoon kaysi ho maa , yahan phool khile hain baag mein pariyoon kay sath jhoola jhool rahi
hoon yahan phool khile hain doodh ki nadiyaan beh rahin hain LAYKIN TUM YAAD AATI HO abbu bolo kayse hain ghar per sare kayse hain dharti ambar chand sitare duniya kaysi lagti hai sona jagna yah sab kaysa lagta hai bhaiya kaysa hai ,kiya tum bhai ki ankhoon mein kanta choori chubhoogi kiya tum apne jigar ko khud hi katwaao gi laykin tum nay mayre sath hi aysa kiyon kiya apne naseeb ka khud hi mein khati auroon ka hissa thordi khaati jis maalik nay tum ko diya wo mujh ko bhi day dayta mein duniya mein chand din rehti to kon si aafat aajati maa bolo maa socho maa YAAD TUMHARI AATI AATI HAI maa tum se lori sunti aur tumhari good mein soti maa laykin tum nay mayre jeene ka haq cheen liya paayyt mein apne tum nay kayse mujh ko khatam kardiya maa chaku churri kanta mayre badan mein jhoonk diya maa mujh ko tum nay tukre tukre karwadiya maa khoon mein nihla kar gatar mein dalwadiya maa payyari maa acchi maa yaad tumhari aati hai maa duniya mein kayse kayse insaan baste hain kiya wahan kutta billi kay sath bhi aysa karte hain maa mein jannat mein khush hoon laykin yaad tumhari aati hai kiya tum ko bhi yaad mayri aati hai maa tum nay kab mayra naam rakaha jo tum ko mayri yaad aati maa PHIR BHI EK DIN TUM MUJH SE MILNE AAJANA Laykin maa maalik jab tum se pooche ga tum nay aysa kiyon kiya kiyon bolo gi maa socho maa warna mujh se milne is jannat mein kayse aaogi gi maa 19. Zindagi Mein Jo Bhi Chaho Hasil Kar lo Bus Itna Khayal Rakhna Ki Aapki Manzil Ka Rasta Kabhi Logon Ke Dilon Ko Todhta Hua Na Guzre...! 20. Saza Pe Chhod Diya, Jahaa Pe Chhod Diya.. Har Ek Kam Ko hum Ne Khuda Pe Chhod Diya !! Wo Hum Ko Yaad Rakhe Ya Phir Bhula De..
Usi Ka Kaam Tha, Us Ki Raza Pe Chhod Diya !! Ab Us Ki Marzi Bhujha De, Ya Jala De.. Chirag Hum Ne Jala Ke Hawa Pe Chhod Diya !! Aab Us Se Baat Kiye Bagair Kaise Rehenge Hum.. Ye Masla Dua Ka Tha So Dua Pe Chhod Diya !! Is Liye To Wo Kehte Hain Dewani Hum Ko.. Ki Hum Ne Sara Zamana Wafa Pe Chhod Diya !! 21. Mat raho dur hum se Itna ki.. Apne faisle par afsos ho jaye, . . Kal ko kya pata aise ho mulaqat humari, . . Ki Aap roye lipat kar humse, aur hum khamosh ho jaye ..!! 22. Wafa Ka Naam Na Lo.. Wafa Ab Dil Ko Dukhati hai, !...Sach Toh Yeh Hai...! Wafa Ka Naam Lene Se Phir Ek Bewafa Ki Yaad Aati hai... 23. Kuch Waqt Pehle Mujhe Bhi Zindagi Ne Azmaya Tha, Kisi Ke Sath Mene Bhi Hansta Hua Pal Bitaya Tha, Rota Hua Chor Gaye To Kya Hua, Hasna Bhi To Usi Ne Sikhaya Tha ! 24. Aa Gaya Hai Mujh Main Hosla Tujhe Chor jane Ka Bs Main Aakhri Sans Jab Loon To Phir Tum Aazad Ho Jana. 25. Na Jane Kyun Adhuri Si Reh Gayi Zindagi Meri .... Lagta Hai Jaise Khud Ko Kisi K Paas Bhool Aayi Hun ....!!
26. Aaj Phir Wo Nikla Hai BENAQAB Shehr Mai...!! Aaj Phir Hujoom Hoga KAFAN Ki Dukhan Per.. !!
27. Ager Mein Ek Phool Hota To Tere Gher Ke Pas Zaroor Hota Tu Pani Deti Ya Nahi Main Khushbu Zaroor Deta 28. "Mehnat Itni Khamoshi Se Karo, Ke Kaamyaabi Shor Macha De."