Amazing Duniya Pilot

Download as doc, pdf, or txt
Download as doc, pdf, or txt
You are on page 1of 4

Amazing Duniya Pilot Page 1 of 4

Amazing Duniya Pilot

host 1: Ye duniya kitni khoobsoorat, hairan kun aor purisrar hai,

host 2: kitnay hi aisay nazaray hien jo dekhnay walay ko kae lamho.n tak apnay hisar mien liye rehtay
hien!

host 1: Kitni hi aisi ma’aloomat hien k jin se ham amooman nawaqif hotay hien ya phir oon k mutaliq
mazeed jan na chahtay hien magar badqismati se Pakistan mien aisay maloomati program zara kam kam
hi dikhai detay hien,

host 2: magar fikar na kijiye ab aap ki ye talash bas khatam hi howa chahti hai kion k ham aap ki
khidmat mien eik aisa show le kar hazir howay hien jis mien aap ki pasand ka khial rakhtay howay ham
aap ko aisay aisay manazir aor maloomat k aisay aisay johar dikhain gai k aap ki aqal dang reh jai gi.

host 1: ji bilkul, Aslam o Alaikum, mien hoon aap ka maizban --------------------

host 2: aor mien hoon ------------- ham aap ki khidmat mien hazir howay hien aik aisa dilchasp show lai
kar jis ka naam hai “Amaizing Duniya”

host 1: is show mien hum aap ko har haftay oon amazing ma’aloomat or nazaron ko dhoond kr paish
kariengay k jin se aap ko meyaari tafreeh k saath saath is hairat angaiz duniya ki hairan kuun khabron se
bhi agaahi hoti rahaigi.

host 2: To chaliye program ka baqaida aghaz kartay hien is dua ka saath k Allah ham sab ko ilm o
tehqeeq ki naymaton se mala maal farmain.

host 1: Aameen, Baat horahi thi hairat angaiz ma’aloomat ki to kia khyal hai kion naa mien tumhain aik
aisay ghaar (cave) k muta’aliq bataoon k jis se gehra ghaar is duniya mien koi or hai hi nahi?

host 2: haan! waqa’ai! chalo batao:

clip: Planet earth, biggest cave.

host 2: kamal hai bhai! ya’ani dekho k poori ki poori Empire State building is k andar sama jai! wah,
waqa’ai ye duniya kitni amazing hai!

host 1: ji janab, abhi dekha hi kia hai? abhi to shuroo’aat hien aagay aagay dekhiye hota hai.

host 2: acha chalo mien tumhay aik baray aadmi k muta’aliq batata hoon.

host 1: Ahaan! kon hien woh? or kitnay baray hien?

host 2: wo itnay baray hien k agar mujhai oon k brabar kharay honay ka moqa milay to mujhay oonhai
dekhnay k liye (gardan oonchi kartay howay) yun karna paray ga,, nahi yaqeen aata khood dekh lo:

clip: Tallest man.

host 1: maan gai bhai, waisay maashal’lah hamara mulk bhi kisi say is ma’amlay mien peechay nahi
hai, ham nay bhi is duniya ko Alam Channa or Naseer Soomro jaisay qad aawar shakhsiya di hien.

host 2: waisay kabhi kabhi zehan mien aata hai k is tarah k logon ko shopping waghaira mien kitni
mushkil paish aati hogi naa! in k kapray, jootay waghaira kitni mushkil se miltay hongay naa?
Amazing Duniya Pilot Page 2 of 4

host 1: chalo tumhari aik paraishani to mien abhi khatam kiye deta hoon.

host 2: konsi?

host 1: jootay wali! tum sirf size batao ham baray se bara joota tumharay liye banwasaktay hien, jaisay
k aisa:

clip: Biggest shoes.

1st break. break slide jis mien break k baad anay walay manazir dikhay jaay gai or koi dilchasp sa sawal
poocha jaiga jiska jawab break k baad bataya jayga takay dekhnay walon ki dilchaspi barqarar rahay.

Sawal: kia aap jantay hien k insaani jism mien haddion ki kul ta’adad kitni hoti hai?

Jawab: 206 bones

After the break:

host 2: asal mien jab insane paida hota hai to oos k jism mien 300 haddian hoti hien laikin baaligh hotay
hotay oon ki ta’adad 206 reh jaati hai.

host 1: wajah is ki ye hoti hai k kuch haddian apas mien mil kar aik bari si haddi ki shakal ikhtiar
karlaiti hien.

host 2: Ahaan! khair tumhai pata hai k zameen pe paya janay wala sab se bara jandar konsa hai?

host 1: Dinosaurs!

host 2: mujhai pata thaa tumhara yehi jawab hoga, dinosaurs nahi hai, dekho:

clip: Biggest animal on earth

host 1: WOW! itni bari machli! Really amazing!

host 2: or dekho itni baray janwer ki marghoob ghiza fakat chand inch chotay krills hien!

host 1: acha batao tum nay ab tak baray se bara darakht kitna ooncha dekha hai?

host 2: yehi koi 4, 5 manzila imarat jitna.

host 1: ahan! chalo mien tumhai aik azeem us shaan darakht dikhaaon:

clip: Tallest tree on earth

host 1: kaisa laga?

host 2: zabarddast, waisay darakht pe yaad aya, tum nay kabhi koi darakht numa insaan dekha ya oos k
muta’aliq kuch suna hai?

host 1: nahi! batao?

clip: Tree man.


Amazing Duniya Pilot Page 3 of 4

2nd break. break slide jis mien break k baad anay walay manazir or aik sawal ko dikhaya jaye ga takay
dekhnay walon ki dilchaspi barqarar rahay.

Sawal: sooraj zameen se kitnay faslay par hai?

Jawab: taqreeban 149 million kilometers

host 1: sooraj hamai zameen se itna door hai k oos ki pehli kiran ko zameen tak pohanchnay mien
taqreeban 8 se 9 minute ka waqt lagta hai.

host 2: or jaisa k tumhari knowledge mien hoga k light 1 second mien taqreeban 185000 km ka fasla tay
karti hai.

host 1: haan, acha batao raigistaan ka suntay hi tumharay zehan mien pehla khyal kia aata hai?

host 2: garmi! sakht tabish!

host 1: chalo mien aik aisa registaan dekho k jahan 24 ghantay sakht sardi rehti hai:

clip: Planet earth, Gopi desert.

host 2: kaisay kaisay amazing maqamat hien hamri zameen par?

host 1: bilkul, waisay kabhi kabhi khyal aata hai k jis zameen pe itni bari bari makhlooqat hien,
samandar, pahar or raigistan hien wo khood kitni bari hogi?

host 2: bari to kafi hai laiking kia tumhay doosray sayyaron k size k muta’aliq kuch maloom hai?

host 1: koi khaas nahi!

host 2: chalo mien batata hoon:

clip: how small is earth.

host 1: oooff kitnay baray sayyaray hien aasman par!

host 2: ji janab aor ye to aasman ka bohat hi mukhtasir sa hissa hai jis ko insaan ne explore kia hai aor
na jaanay kia kia raaz chupay hongay wahan!

host 1: yaqeenan! acha chalo bari bari cheezon k muta’aliq to bohat batien hogain, kion naa mien
tumhain aik choti si dilchasp cheez dikhaaon?

host 2: haan haan dikhao:

clip: Smallest Car.

host 2: itni choti car! waisay mujhai lagta hai k mustaqbil mien traffic jams se bachnay k liye isi tarah ki
hi cars sarkon par nazar aya karaingi.

host 1: bilkul theek kaha, laikin tumhai pata hai waqt kia hogia hai?

host 2: kion?
Amazing Duniya Pilot Page 4 of 4

host 1: bhai ab waqt hogia hai nazereen se ijazat lainay ka.

host 2: ji haan khuwateen o hazrat in dilchasp o amazing nazaron ko dekhtay howay waqt k guzar janay
ka ehsas hi nahi howa.

host 1: ji laikin is mukhtasir se doraniye mien ham nay aap k liye dilchasp ma’aloomat paish karnay ki
koshish ki umeed hai aap ko hamari ye koshish pasand ayi hogi aor aapkay ilm mien bhi izafa howa
hoga

host 2: aor yehi hamara maqsad bhi hai, is maqsad mien ham kitna kamiyab howay hien aor mazeed kis
tarah apnay andar behtari paida karsaktay hien is k liye hamien aap ki aara ki zaroorat rahaigi, aap
hamain apnay comments aor suggestions emails k zariye bhaij saktay hien hamara address hai
ad@avtkhyber.tv. hamien aap ki mails ka intizar rahaiga.

Ab apnay hosts --------------- or -------------------- ko ijazat dijiye Inshallah aglay haftay kuch aor
amazing informations ko talash kar k aap ki khidmat mien hazir hongi oos waqt tak k liye khuda hafiz.

End credits.

You might also like

pFad - Phonifier reborn

Pfad - The Proxy pFad of © 2024 Garber Painting. All rights reserved.

Note: This service is not intended for secure transactions such as banking, social media, email, or purchasing. Use at your own risk. We assume no liability whatsoever for broken pages.


Alternative Proxies:

Alternative Proxy

pFad Proxy

pFad v3 Proxy

pFad v4 Proxy