Kya Ahle Hadees Koi Naya Firqa Hai 0

Download as pdf or txt
Download as pdf or txt
You are on page 1of 12

Mukhtasar Tareekh E Ahle Hadees (Kya Ahle Hadees Koi Naya Firqa Hai?

1
Mukhtasar Tareekh E Ahle Hadees (Kya Ahle Hadees Koi Naya Firqa Hai?)

INDEX

1. KYA AHLE HADEES KOI NAYA FIRQA HAI?

2. AHLE HADEES KA MANA (MEANING)

3. AHLE SUNNAT NAAM KI ZARURAT

4. IMAM ABU HANIFA RAHIMAHULLAH KA MAZHAB

5. IMAM SHAFA'I RAHIMAHULLAH KA MAZHAB

6. IMAM AHMAD BIN HAMBAL RAHIMAHULLAH KA MAZHAB

7. IMAM MAALIK RAHIMAHULLAH KA MAZHAB

8. IMAM ABU BAKR BIN AYAASH RAHIMAHULLAH KA FARMAAN

9. BADE PEER SAHAB (ABDUL QADIR JEELANI RAHIMAHULLAH) KA

FARMAAN

10. EK AETRAAZ AUR USKA JAWAAB

2
Mukhtasar Tareekh E Ahle Hadees (Kya Ahle Hadees Koi Naya Firqa Hai?)

Bismillahirrahmanirraheem

Shuru Allah ka Naam le kar jo bada Meharbaan Aur Nihayat Raham Wala Hai.

KYA AHLE HADEES KOI NAYA FIRQA HAI?

Ahle Hadees murawwajah mazhabo ki tarha koi mazhab nahi, na mukhtalif firqo ki
tarha koi firqa hai balke Ahle Hadees ek jamaat aur tehreer ka naam hai aur wo
tehreer hai zindagi k har shobey mein Quran wa Hadees k mutabik amal karna aur
dusro ko un dono par amal karne ki targeeb dilana ya yuh keh dijiye k Ahle Hadees
ka nisb wa ayen Kitab o Sunnat ki dawat aur Ahle Hadees ka manshoor Quran o
Hadees hai.

DASTOOR E AHLE HADEES K 2 USOOL

ATI ULLAHA WA ATIUR RASOOL

Kyunki Allah ne apne Nabi ko huqm diya: IT'TABI O MA OUHIYA ILAIKA MIR
RABBIKA - yani ae Nabi tumhare paas jo wahi ki gayi hai uski itteba karo aur Nabi
k sath sath Allah ne Nabi k pairokaro ko bhi huqm farmaya: IT'TABI O MA
UNZILA ILAIKUM MIR RABBIKUM WALA TAT'TABI O MIN DOONIHI AULIYA -
yani ae ummat e Muhammadiya tum sirf us ki itteba karo jo tumhare paas
tumhare perokaro ki taraf se nazil kiya gaya hai aur uske alawa degar waliyo ki
pervi mat karo.

Mazkura bala dono ayato se wazey hota hai k har musalman ko Allah ki taraf se
nazil shuda ahkaam ki pervi karna chahiye aur gair Allah ki baato par dhayan na
dena chahiye.

yaha ek sawal paida ho sakta hai k Allah ki taraf se nazil shuda cheez kya hai?
3
Mukhtasar Tareekh E Ahle Hadees (Kya Ahle Hadees Koi Naya Firqa Hai?)

iske jawab mein khud Allah ta'ala ne farmaya: WA ANZALALLAHU ALAIKAL


KITAABA WAL HIKMAH - yaani Allah ne tum par kitab aur hikmat utari hai.

yaha ye bhi sawal paida ho sakta hai k kitab se muraad kya hai?, iski tafseer tabayi
k sardaar Hasan Basri Rahimahullah aur Katadah Rahimahullah ne farmaya k kitab
se muraad Quran aur hikmat se muraad Sunnat hai. (Tafseer ibne kaseer jild 1
safa no. 185)

Is k alawa ek mash'hoor tabayi Hazrat Hassan bin Ateeya Rahimahullah se marvi


hai k Jibraeel Alahis Salaam jis tarah Quran le kar naazil hue they isi tarah Sunnat
le kar bhi utrey they aur Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko hadees ki taleem is
tarah dete they jis tarah Quran ki taleem dete they. (Al Kifayah fi ilmur riwayah
safa no. 14)

Khud Aan Hazrat Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: ALA INNI OOTEETUL
QUR'AANA WA MISLAHU MA'A'HU, yaani tum loog jaan lo k mujhe Quran aur isi
k saath isi k manind ek cheez di gayi hai. (Abu Dawood wa Ibne Maja)

Mazkoora baala Hadees e paak aur Tabaeen E Azaam ki tasrihaat se ye baat wazey
ho gayi k Quran wa hadees dono nazil shuda hai

AHLE HADEES KA MANA (MEANING)

Ahle Hadees do lafzo se mil kar bana hai ek hai Ahle dosra hai Hadees, Ahle ka
maana hai "wala" aur Hadees a mana "Quran o Hadees" isliye Ahle Hadees ka
mana hua "Quran o Hadees wala"

4
Mukhtasar Tareekh E Ahle Hadees (Kya Ahle Hadees Koi Naya Firqa Hai?)

Lafz Hadees ka mana Quran bhi hai aur Hadees bhi, Hadees ka lafz dono ko shamil
hai, Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne Quran ko Hadees kaha hai jese har
khutbe mein Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam farmaate they: FA INNA KHAIRAL
HADEESI KITABULLAH, k sab se behtar Hadees Allah ki kitaab hai

Allah k kalaam k alawa Nabi k qaul wa kalaam ko bhi Hadees kaha gaya hai, jese
Quran mein hai: WA IZ ASARRAN NABIYU ILA BAAZI AZWAJIHI HADEESA, k jab
Nabi Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne apni baaz beewiyo se ek baat poshidah rakkhi
yaha is ayat mein Hadees se muraad Rasool ki baat hai.

AHLE SUNNAT NAAM KI ZARURAT

Nabi paak ki rahmat k chabbees (26) saal k baad 37 hijri mein Ameer E Muaviya
Razi Allahu Anhu aur Hazrat E Ali Razi Allahu Anhu mein bamuqaam Siffeen badi
zabardast jang hui is jang mein jab Ameer E Muaviya Razi Allahu Anhu ki fouj
haarne lagi to unhone Quran ko neezo par utha liya, aur Qur'aani faislo k mutabiq
jang bandi ki tajweez paish ki is tajweez ko Hazrat Ali Razi Allahu Anhu ne qubool
farma liya aur sulah k zariye ladayi khatam ho gayi, is jang se bezaar ho kar
hamiyaan e Ali Razi Allahu Anhu k 1200 ifraad Hazrat Ali Razi Allahu Anhu ki
jamaat tark karke jamaat se nikal gaye ye loog khaarji kehlaye, in loogo ne Quran
ko maan'ne k saath saath Hadeese ghadna shuru kar diya is liye in loogo ko
musalmaan naam k saath saath Ahle Bida'at ka laqab de diya gaya, aur jo loog
Quran maan'ne k saath saath Sunnat ko maante rahe unka laqab Ahle Sunnat pad
gaya jesa k mash'hoor tabayi Muhammad bin Seereen Rahimahullah farmaate
hai: FA YUNZARU ILA AHLIS SUNNATI FAYU KHAZU HADEESUHUM WA
YUNZARU ILA AHLIL BID'ATI FALA YOKHAZU HADEESUHUM, yaani Ahle Sunnat
ko dekh kar unki Hadeese qubool ki jaati thi aur Ahle Bida'at ko dekh kar unki
Hadeese qubool nhi ki jaati thi. (Muqadma Muslim)

5
Mukhtasar Tareekh E Ahle Hadees (Kya Ahle Hadees Koi Naya Firqa Hai?)

Hazrat Peerane Peer Abdul Qadir Jeelaani Rahimahullah farmaate hai: AHLUS
SUNNATI LA ISLA LAHUM ILLA ISMUN WAAHIDUN WA HUA ASHAABUL
HADEES, yaani Ahle Sunnat ka ek hi naam hai aur wo hai Ahle Hadees. (Gunyatut
Talibeen Matbua E Karachi Safa no. 710)

Bade peer sahab ki is tashreeh se pata chala k Ahle Sunnat ka doosra naam sirf
aur sirf Ahle Hadees hai aur doosra koi naam nahi

Hazrat Umar Razi Allahu Anhu farmaate hai k tumhare paas shareer qaum ayegi,
shubhaat e Quraan ko paish kar k jhagdegi tum unse Sunnat E Nabi Sallallahu
Alaihi Wa Sallam k saath mubahasa karo, kyunki Ahle Hadees kitab Allah aur
Sunnat E Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wa Sallam se zayada aagah hai.

Imam Khataabi Rahimahullah farmaate hai k Ashaab E Sunan Ahle Hadees hai.
(Sheraani Meezan ul Kubra jild 1 safa no. 46)

Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam farmaate hai jab shaami loog fasaad
karenge us waqt tum mein kuch bhi bhalayi nahi rahegi, meri ummat se ek jamaat
hamesha haq par rahegi kisi ki mukhalifat usko nuksaan nahi pahuncha sakegi.

imam Ali bin Madeeni Rahimahullah (Imam Bukhari Rahimahullah K ustaad)


farmaate hai k wo jamaat Ahle Hadees hai. (Tirmizi Baabul Fitan)

6
Mukhtasar Tareekh E Ahle Hadees (Kya Ahle Hadees Koi Naya Firqa Hai?)

IMAM ABU HANIFA RAHIMAHULLAH KA MAZHAB

Kisi ne Sufyaan bin Uyeyna Rahimahullah se pucha k tum Ahle Hadees kese hue to
unhone jawab diya k mujhe Imam Abu Hanifa Rahimahullah ne Ahle Hadees
banaya. (Hada'iqul hanafiah)

mazkoora bala waqiya se ye maloom hua k jis raah par Hazoor Sallallahu Alaihi Wa
Sallam aur Sahaba Razi Allahu Anhum chalte they Imam Sahab bhi usi raaste par
gaamzan they aur doosro ko bhi usi raaste par chalne ki talqeen karte they.

IMAM SHAFA'I RAHIMAHULLAH KA MAZHAB

Imam Shafa'i Rahimahullah farmaate hai k Ahle Hadees har zamaney mein
mojood rahenge maanind sahaba Razi Allahu Anhum k, aur farmaate they k jab
mein Ahle Hadees ko dekhta hu to gooya Sahabi E Rasool Sallallahu Alaihi Wa
Sallam ko dekhta hu. (Meezaanul Kubra Sheraani)

IMAM AHMAD BIN HAMBAL RAHIMAHULLAH KA MAZHAB

Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "LA TAZAALU TAA IFATUM
MIN UMMATI MANSOOREENA LA YAZURRUHUM MANA KHAZA LAHUM HATTA
TAQOOMAS SAA'AH" yani meri ummat mein se ek garoh hamesha gaalib rahega
jo loog unko ruswa karna chahenge unko nuksaan nahi pahuncha sakenge.
(Tirmizi Jild 2 Safa no. 42)
7
Mukhtasar Tareekh E Ahle Hadees (Kya Ahle Hadees Koi Naya Firqa Hai?)

Is Hadees se maloom hua k Nabi Paak Sallallahu Alaihi Wa Sallam k daur e


mubarak se qayamat tak ek jama'at haqq par qayam rahegi.

Ab sawaal paida hota hai k wo konsi jama'at hai?, Imam Hakim Rahimahullah ne
Uloom E Hadees mein Sahih Sanad se Imam Ahamad bin Hambal Rahimahullah se
naqal kiya hai k Imam mosoof Rahimahullah farmaate hai k agar us Hadees (FALA
YAZAALU TAA IFATUN) se muraad Ahle Hadees nahi hai to mein nahi jaanta k wo
kaun hai?

IMAM MAALIK RAHIMAHULLAH KA MAZHAB

Imam Ku-bani Rahimahullah kehte hai k Imam Malik Rahimahullah maut k waqt
roone lage mene pucha k aap kyu roote hai kaha kyu na roouo mene bahut se
fatwe apni raaye se de diye kaash mein aesa na karta aaj mujhe uska ranj hai mein
pasand karta hu k har fatwe k badle jo mene apni raaye se diye ek ek maar kha
kar choot jao. (Ibne Khalkaan jild 2 safa no. 11)

Hazrat Imam Malik Rahimahullah ye batana chahte they k raaye wa qayaas koi
achhi cheez nahi, asal cheez Quran o Hadees hai isi par loogo ka amal hona
chahiye aur un dono par amal karne wale Ahle Hadees na kahe jaye to aur kya
kahe jaye?

8
Mukhtasar Tareekh E Ahle Hadees (Kya Ahle Hadees Koi Naya Firqa Hai?)

IMAM ABU BAKR BIN AYAASH RAHIMAHULLAH KA FARMAAN

"WA KANA ABU BAKRIBNI AYAASHIN YAQOOLU AHLUL HADEESI FI KULLI


ZAMAAB" k Abu Bakr bin Ayaash kehte hai k Ahle Hadees har zamaane mein
mojood rahenge. (Meezaan Sheranai jild 1 safa no. 48)

BADE PEER SAHAB (ABDUL QADIR JEELANI RAHIMAHULLAH) KA


FARMAAN

Hazrat Sheikh Abdul Qadir Jeelani Rahimahullah farmate hai k bida'atiyo ki


nishaani ye hai k wo Ahle Hadees ki bad gumaani karte hai. (Gunyatut Talibeen)

Sun liya aapne shah jeelani Rahimahullah ki zubaani se k bida'ati loog Ahle Hadees
k liye burey burey alqaab ghadhte hai, azrah bugz wa hasad kabhi unko wahabi,
Najdi kaha jata hai kabhi la-mazhab aur Gair Muqallid kaha jata hai kabhi 24
number k laqab se pukara jata hai.

"TABSIRA JAB KISI PAR KIYA KIJIYE

AYEENA SAAMNE RAKH LIYA KIJIYE"

9
Mukhtasar Tareekh E Ahle Hadees (Kya Ahle Hadees Koi Naya Firqa Hai?)

EK AETRAAZ AUR USKA JAWAAB

Bida'ati hazraat kehte hai k Ahle Hadees to kal paida hue hai, uske jawab mein
kaha ja sakta hai k Aalam e islaam ka ek mash'hoor mu'arrikh Allama Ahmad bin
Bashaar Maqdasi ne 1375 hijri mein Hindustaan k Sindh ka safar kiya tha, Sindh k
mashoor muqaam mansoora k mutalliq wo kehta hai, "KANA AKSARUHUM
AHLUL HADEES" yaani mansoora sindh k aksar musalman baashindey Ahle
Hadees they. (Tareekh E Sindh Safa no. 375)

Allama Maqdasi k mazkoora bayan se saaf zaahir hota hai k chooti (4th) sadi hijri
mein mansoora k aksar musalman Tahreek Ahle Hadees k alambardaar they aur
Quran o Hadees par barahe raast amal karne waale Ahle Hadees they.

Mash'hoor Mua'rrikh Allama Abu Mansoor Abdul Qaadir Bagdaadi kehta hai:
Rome, Aljeria, aazerbaijan baabul abwaab wagairah k tamaam musalman Ahle
Hadees maslak par they aesa hi Africa, Spain aur bahar magrib k sarhadi
musalman baashindey sab k sab Ahle Hadees they aur aesa hi habsha k sarhadi
ilaaqey yaman k tamaam musalmaan Ahle Hadees they.

Allama Bagdaadi ka ye wazey aur waashgaaf bayan babanag dehal kehlaata hai k
Ahle Hadees jis tarah muhadiseen k khaas garooh ko kehte hai isi tarah Ahle
Hadees se muraad wo aam loog bhi hai jo barahe raast Quran o Hadees ko
maante hai aur tahreek E Ahle Hadees ka jhanda lehraate hai

jis Mua'rrikh ka ye bayan hai uski wafaat 460 hijri mein hui ab khuda ka khauf kar
k aur tassub chood kar ye bataye k wo tamaam Sahaba E Kiraam Razi Allahu
10
Mukhtasar Tareekh E Ahle Hadees (Kya Ahle Hadees Koi Naya Firqa Hai?)

Anhum wa A'imma E Kiraam wa Tabaeen E Azaam wa Mua'rrakheen jinke


bayanaat is kitab mein abhi guzarey kya wo kal k hai?

Muqadma bin Khaaldoon FAZLUN FI ILMIL FIQHA mein Allama Ibne Khaaldoon
Rahimahullah Sahaba E Kiraam Razi Allahu Anhum k baad k zamaane k baare mein
likhte hai k unme fiqah 2 tareeqo mein taqseem ho gayi

Ahle Raaye wa Qayaas ka tareeq aur wo Ahle Iraaq hai

Aur Ahle Hadees ka tareeq aur wo Ahle Hijaaz hai

Insaaf se bataiye k Allama Ibne Khaldoon Rahimahullah jo Ahle Hijaaz ko Ahle


Hadees keh rahe hai kya ye bhi kal ki baat hai?

Shaami Sharah Durre Mukhtaar mein hai k Qaazi Abu Bakr jo zajaani k ahad mein
ek hanfi ne ek Ahle Hadees se uski ladki ka rishta maanga alfaaz ye hai: "INNA
RAJULAN MIN ASHAABI ABI HANEEFATA KHATABA ILA RAJULIN MIN ASHAABIL
HADEES" tu us Ahle Hadees ne inkaar kar diya magar is soorat mein k hanfi apna
mazhab taqleed chood de, is hanfi ne wo baat manzoor karli to Ahle Hadees ne
apni ladki us se biyah di.

Gaur fameinye yaha to teesri (3rd) sadi mein Ahle Hadees ka zikr mojood hai phir
wo loog kitne mutassub aur kis qadar galti par hai jo kehte hai k Ahle Hadees to
Naya Firqa hai abhi kal paida hua hai.

11
Mukhtasar Tareekh E Ahle Hadees (Kya Ahle Hadees Koi Naya Firqa Hai?)

Sach farmaya imam Tahavi Hanfi Rahimahullah ne k "LA YUQALLIDU ILLA


ASBIYUN AAU GABIYUN" k taqleed wahi karega jo tassub parast aur ahmaq ho.
(Rasmul Mufti li ibne Aabideen Safa no. 32)

Hazrat Imam Tahavi Rahimahullah ne saaf faramaya k muqallid bada tassub parast
aur bewakoof hota hai, ab aesa aadmi jitna awwal fa'al bakey kam hai.

Allah taala musalmaano ko fiqr e mustaqeem ata farmaaye.

Allah taala Sheikh ki hifazat farmaye aur unke ilm mein izafa ata farmaye, aur
Allah taala mere ilm mai bhi izafa ata farmaye aur hamari har tarah se hifazat
farmaye aur hamare jin bhaiyo ne is kitab ko likhne mein hamari madad ki hai
Allah unki jayez haajato ko qubool farmaye aur unki tamaam pareshaniyo ko door
farmaye, aur Allah taala is kitab ko hamare liye sadqa e jaariya banaye. (Aameen
Ya Rabbal Aalameen)

Aapka Deeni Bhai

Muhammad Faisal Khan

faisalkhan9780@gmail.com

Plz Visit Our Sites:

www.Islamiclectures.wapka.me
www.Muhammadiblog.blogspot.in
Specially Visit for Sheikh Site:
www.Jalaluddinqasmi.com

12

You might also like

pFad - Phonifier reborn

Pfad - The Proxy pFad of © 2024 Garber Painting. All rights reserved.

Note: This service is not intended for secure transactions such as banking, social media, email, or purchasing. Use at your own risk. We assume no liability whatsoever for broken pages.


Alternative Proxies:

Alternative Proxy

pFad Proxy

pFad v3 Proxy

pFad v4 Proxy