Episode 2 Draft 5 Locked PDF
Episode 2 Draft 5 Locked PDF
Episode 2 Draft 5 Locked PDF
Episode 2
Draft 5.0
Written by
Sagar Haveli
December 2018
2.1 EXT. YAMUNA RIVER BANK - DAY 2.1
Early morning. Foggy. The waters are calm. And so is the air.
He closes his eyes, takes a deep breath and for one last
time, goes for it with all he’s got...
And just then - SPLASH! A SCUBA DIVER pops out of the calm
water, GASPING, shattering the silence and STARTLING the man.
POTTY MAN
O bhenchod!
ANSARI
Us taraf try karo.
FADE IN:
Constable Tokas grabs him by his hair and pulls his head up.
TOKAS
Ab bata. Bolega?
Tyagi looks at him. His eyes - calm and silent. Like a Zen
monk.
TOKAS (CONT’D)
Aankh neeche!
TOKAS (CONT’D)
Neeche kar aankh, maadarchod!
But - Tyagi’s eyes still stay where they are - looking right
back into Tokas’. A gaze cold as death.
Outside which - Hathi Ram and Ansari stand watching the show.
HATHI RAM
Paintaalees murder? Paintaalees???
Ansari nods.
Hathi Ram and Ansari walk into the room where Cheeni and
Kabir had stayed. They look around, searching for nothing in
particular, while the Waiter and Manager tail them nervously.
WAITER
Teen din ruke the. Aane jaane ka
koi time nahin tha. Mujhe toh lag
hee raha thha koi gadbad -
HATHI RAM
Aur kuch?
WAITER
Ek towel bhi churaya.
(glances at the Manager)
Keh rahe hain tankhwah mein se
katega ab...
The Manager gives him a dirty look as Hathi Ram walks out of
the room saying -
HATHI RAM
Aur kuch dekha suna?
Hathi Ram walks towards the adjacent room. The Manager tries
to stop him.
MANAGER
Sir guest hain andar...
But the colour drains from his face when he spots the cops.
HATHI RAM
Room check karna hai.
Hathi Ram pushes his way in. A filmy song plays on the TV.
Hathi Ram goes around looking, the man following him around-
HATHI RAM
Kuch yaad aaya?
WAITER
Haan saab... Nikalne se pehle ek ko
phone pe baat karte hue suna. Bahut
gusse mein lag raha tha.
HATHI RAM
Kya keh raha tha?
WAITER
Kisi se jhagda chal raha tha. Bol
raha tha ‘teen din se yehi sun raha
hoon, tum Masterji se baat karwao’.
HATHI RAM
(expectant)
Aur kuchh suna?
(MORE)
4.
WAITER
Nahin sahab. Bas itna hee.
HATHI RAM
Inke ID lo. Dekhein kaun se cousin
hain...
WAITER
Ek aur baat Sir. Wo jo killer jaisi
shakal waala thha, dabaadab
cigarette phoonkta thha. Din mein
teen packet mangwata thha...
HATHI RAM
Brand kaun sa thha...?
HATHI RAM
Hotel ke waiter ka bayaan aa gaya.
Ki tum log Sanjeev Mehra ko maarne
ka plan kar rahe thhe.
CHAAKU
Kaun Sanjeev Mehra?
HATHI RAM
Tyagi ko kab se jaanta hai?
CHAAKU
Kaun Tyagi, saab?
HATHI RAM
Baaki dono ki lambi history sheet
nikali hai. Tera record clean hai.
That’s it. Chaaku grabs at the packet. Plucks one out. Hathi
Ram leans forward and lights it.
CHAAKU
Sorry... sorry saab... Personal mat
lena... Par aap cigarette chutiyon
ke jaise peete ho!
HATHI RAM
Chal itna toh bata de - C for...?
CHAAKU
C for Chaaku!
HATHI RAM
C for chutiya!
HATHI RAM
Gaandu... tune toh bola thha
cigarette pee hai tune...?
ANSARI
Sorry Sir... kayi saal ho gaye...
HATHI RAM
Pakad liya haraami ne!
ANSARI
Maheenon se bandh pada hai sir.
Makaan ki registry kis naam mein
hai check karwa rahe hain. Kal tak
aa jaayegi detail.
2.7 EXT. JAMUNA PAAR POLICE STATION - TEA SHOP - DAY 2.7
MANJU VERMA
Bol. Kisne bheja tujhe? Hain? Kya
plan tha?
CHEENI
Main... Main kuch nahin jaanti
sahab -
MANJU VERMA
Sahab hoon main? Sahab hoon kya?
Aurat mard ka farak samjhaaon?
CHEENI
Sorry, sorry Madam. Main kuch nahin
jaanti...
MANJU VERMA
Itni subah un teenon ke saath kya
kar rahi thi?
CHEENI
Raat ko dost ke ghar gayi thi.
Subah room pe jaana tha. Auto nahin
mil raha -
ANSARI
Toh subah lift li inse?
8.
CHEENI
Haan saab.
ANSARI
Toh us hotel ka towel kahaan se
aaya teri bag mein?
Cheeni is stumped.
CHEENI
Wo... wo saab... inhone daal diya
hoga saab... main toh dost ke ghar
se aa rahi -
MANJU VARMA
Chal naam bata dost ka...
MANJU VERMA
Dost ya customer? Jhooth bolti hai
saali Nepali randi!
ANSARI
Dollar kahaan se aaye tere paas?
CHEENI
Sir - wo dollar toh... wo hobby hai
meri currency ikattha karne ki...
MANJU VERMA
Chutiya bana rahi hai? Haan? Ye koi
hobby hoti hai?
(slaps again)
Singing... dancing... ye hobby hoti
hai.
Ansari intervenes.
ANSARI
Kaam kahaan karti thhi?
MANAGER
Ho sakta hai saab. Shaayad thhi
yehaan par kuchh din...
ANSARI
Ho sakta hai matlab? Haan ya naa?
MANAGER
Matlab... Sab ek jaisi lagti hai
saab...
MANAGER (CONT’D)
Aur inke naam bhi ekdum Chinese
waale. Yaad hee nahi rehte...
ANSARI
Record toh rakhte hogey? Mary
Lyngdoh ka naam check karo.
MANAGER
(nervous)
Temp staff hai saab... Hafte hafte
mein job badalte hain yeh log. Ab
kahaan record...
HATHI RAM
Chal, school chhod deta hoon tujhe.
But Sid just walks away - out of the door. Banging the door
shut behind him.
Hathi Ram just stares for a few moments. And then - Anger
rises on his face. He storms towards the door, shouting -
And just as he’s about to open the door, Renu stops him.
RENU
Kyun lad rahe ho subah subah?
Blue Rev. (mm/dd/yy) 10.
HATHI RAM
Main lad raha hoon? Seedhe moonh
baat nahin kar sakta? Maine kaha
school chhod deta hoon toh -
RENU
Yehi toh problem hai. Tumne poochha
usse ki kya tum use school chhod
sakte ho? Seedha order diya hoga.
HATHI RAM
Ab main pemission maangoon us se?
Baap main hoon ki wo?
RENU
Ditto Daddyji ki copy ho tum, Hathi *
Ram Chaudhary. Jhaadte raho
thaanedaari bete ke saath...
HATHI RAM
Daddyji ki copy? Wo belt se maarte
thhe mujhe. Aaga peechha na dekha
unhone kabhi kootayi ke pehle.
(beat)
Maine kabhi haath uthaaya tere bete
pe?
Hathi Ram stares at the picture for a long time. Then quietly
grabs his keys and his cap and walks out of the door. *
JITU *
Rakhwa de yaar upar saamaan, aisi *
kya baat ho gayi... *
(notices Hathi Ram) *
Jee-jaa-jiiiiii!!!
Blue Rev. (mm/dd/yy) 11.
He gives Hathi Ram a tight hug, who doesn’t seem that chuffed *
to see him. *
JITU (CONT’D)
Kahaan chal diye subah subah
uniform pehen ke?
HATHI RAM
Picture ki shooting hai. Policewale
ka role kar raha hoon.
RENU
Arey apna tiffin toh le ke - *
(notices Jitu) *
Jitu Bhaiyya! What a surprise *
brother! *
JITU
Arre apna toh kaam hi surprise wala
hai sister!
HATHI RAM
Yaar Jitu. Main thoda jaldi mein
hoon. Sorry -
RENU
Ruk jaao thodi der. Itne din ke
baad aaye hain, breakfast kar lo *
saath...
JITU
Koi nahi! Kal kar lenge breakfast. *
Main hoon ek-do din.
HATHI RAM
Yeh hai... Ek-do din.
JITU
Jaate jaate samaan toh andar rakhwa
do jijaji!
HATHI RAM
Main phodta hoon. Tu dawai de.
Blue Rev. (mm/dd/yy) 12.
KABIR
(pleading)
Saab mujhe kuch nahin pata saab...
HATHI RAM *
Chhupa raha hai tu musalmaan hai? *
Tokas and Bhati pin Kabir to a chair and try to strip him. He
resists.
KABIR
Bas... M hee hai saab! Sach.
HATHI RAM
Aur ye certificate?
KABIR
Saab, wo infection hua thha,
bachpan mein... operation ke baad
papa ne banwa diya tha saab...
HATHI RAM
Operation ke baad ya khatna ke
baad?
Kabir - quiet.
KABIR
Saab... wo... main...
HATHI RAM
Kya plan hai? Kyun naatak kar raha
hai Hindu hone ka?
13.
KABIR
Nahi saab...
HATHI RAM
Tope Singh ne sab bataya hamein.
Sanjeev Mehra ko maarne ki planning
teri aur Tyagi ki thi.
KABIR
Saab nahin saab -
HATHI RAM
History sheet mein tum donon ka hee
naam aaya hai katue...
KABIR
Nahin saab... Saab nahin saab...
Tokas holds back Kabir’s hands. Bhati pulls down his undies.
HATHI RAM
Maa ki chut iski!
The naked Kabir falls off the chair. Crying with shame, in a
pool of his own piss. It’s pathetic.
ANSARI
Sir... Main baat karoon?
Hathi Ram signals to the constables and they all step out.
ANSARI (CONT’D)
Mere abbu ne di thhi. Padho. Kaam
ki cheez hai.
KABIR
Urdu nahin aati saab.
ANSARI
Kyun? Bachpan mein padhwaayi nahi *
Abbu ne? *
ANSARI (CONT’D)
Shuab ul imaan se hai. ‘Wo shaqs
jahannum mein shaamil nahi hoga, jo
Allah ke khauf se roya ho.’
ANSARI (CONT’D)
Dekh. Galti toh ho gayi. Par ab sab
sach sach bataa de. Varna ye
Inspector jahannum dikha dega
tujhe.
KABIR
Wo maar denge saab...
ANSARI
Kuchh nahi hoga. Main hoon na. Sab
bataayega toh tujhe sarkaari gawaah
banaane ke liye baat karoonga upar.
Ansari walks out to see Hathi Ram waiting for him there with
two cups of tea. Hathi Ram hands him a cup.
ANSARI
Set ho gaya Sir.
Blue Rev. (mm/dd/yy) 15.
HATHI RAM
(awkward)
Good. Er, wo... andar thoda zyaada
nikal gaya munh se...
ANSARI
It worked, Sir.
KABIR
Main Tyagi ko nahi jaanta saab. In
teenon ko hee pehle kabhi nahi
mila. Maa kasam.
HATHI RAM
Toh fir kaam kisne diya?
KABIR
Baakiyon ka nahin pata, mujhe kaam
Taariq ne diya tha.
HATHI RAM
Kaun Taariq?
KABIR
Mechanic hai. Pehle bhi gaadiyan
churayi hai maine uske liye.
Hamesha ki tarah advance diya.
Pachaas hazaar. Baaki kaam ke baad.
KABIR (V.O.)
Baahar ki gaadi churakar in ko
Dilli mein milna tha. Munirka ke
hotel mein. Fir inke saath rehna
thha... jahaan ye bolein le ke
jaana tha. Aur kaam khatam hone ke
baad gaadi thikaane lagaani thi...
KABIR (V.O.)
Narela mein garage hai... Motor
market mein.
ANSARI
Taariq kahaan hai?
MECHANIC
Do din se nahin aaya sahab.
ANSARI
Kahaan rehta hai?
Ansari is sort of pissed. The heat. The dust. And a dead end.
KABIR
Chaar din pehle main in teenon se
hotel mein mila.
ANSARI
Teenon se? Matlab wo ladki bhi
thhi?
Blue Rev. (mm/dd/yy) 17.
Kabir nods.
HATHI RAM
Fir kya kiya itne din?
Kabir hesitates.
ANSARI
Dekh... saab ko sab sach sach bata
de. Nahi toh phans jaayega.
KABIR
Saab, mujhe pata nahi thha saab.
Mujhe laga bas gaadi mein teen
chaar din ghoomaana hai inko...
ANSARI
Kahaan?
KABIR
Wo... Sanjeev Mehra ke peechhe.
KABIR (V.O.)
Wo Chaaku - woh photo le raha tha.
Ghar ki... Office ki... fir mujhe
Tyagi ke paas gun dikhi... main dar
gaya saab...
KABIR
Main gaadi churaata hoon saab...
par ye sab nahi karta... maa kasam.
Maine Taariq ko phone lagaaya, bola
mujhe nahi karna. Taariq ne dhamki
di saab, ki wo maar dega mujhe...
HATHI RAM
In ke paas gun thi. Mauka tha. Toh
maara kyun nahin?
KABIR
Pata nahi saab... Par wo Tyagi
phone pe kisi se lad raha tha. Baat
karna chahta tha kisi se...
HATHI RAM
‘Masterji’ se?
KABIR
Haan. Bol raha thha jab tak
Masterji se baat nahi hogi, kaam
nahi karunga. Fir ek din subah
achaanak se bola Dilli se chalo.
HATHI RAM
Arrest hue toh Dilli chhod ke jaa
rahe thhe?
Kabir nods.
ANSARI
Haan, Sir. Aur doosra wo Taariq.
Yehi do leads hain abhi.
HATHI RAM
(nods; thinking)
Chitrakoot jaana padega. Is Tyagi
ki kundali kholne.
DCP BHAGAT *
Yaar, yehaan itna kuchh chal raha
hai... wo sab chhod ke Chitrakoot?
Blue Rev. (mm/dd/yy) 19.
HATHI RAM
Sir urgent nahi hota toh... Dekhiye
Tyagi shooter hai, Chitrakoot se.
Kabir driver, Meerut se. Baaki dono
Dilli se hain. Wo Tope Singh
shaayad back up shooter ya helper
thha, aur wo ladki cover hogi,
taaki in pe shaq na ho. Par sawaal
ye hai ki in sab ko kaam pe kisne
lagaaya? Poora plan kiska thha?
DCP BHAGAT *
Wo Tyagi hee hoga. History sheeter
hai. Darjanon murder kar chuka hai.
HATHI RAM
Sir, agar Tyagi hota toh in chaaron
ka us se koi connection hota. Ye
toh usey jaante tak nahi.
Bhagat and Dahiya hurry down the corridor. Hathi Ram tries to
keep pace.
OFFICER DAHIYA
Ho sakta hai ek doosre ko na jaanne
ka naatak kar rahe hon...
HATHI RAM
Par Sir... wo ‘Masterji’... jisse
baat na ho paane par Tyagi ne plan
tak cancel kar diya... wo toh hotel
ke waiter ne bhi confirm kiya hai.
Ho na ho iss ‘Masterji’ ka koi
connection hai case se. Aur wo
shaayad Chitrakoot mein hee
milega...
DCP BHAGAT *
Par wahaan chale jaaoge toh... Inki
remand khatam hone ke pehle case
banaana hai yehaan...
HATHI RAM
Sir usi ke liye... investigation
aage badhaane ka yehi tareeka hai.
In chaaron ki history jaanni hogi.
Kaun hain, kiske liye kaam karte
hain... In ki kahaani mein peechhe
tak jaayein toh shaayad poora link
samajh aayega.
DCP BHAGAT *
(sighs)
Achcha theek hai. But keep it
short.
A little away - Sanjeev and Jai sit in front of the frail and *
old but still- imposing figure of SINGH SAAB, and his America-
returned son SINGH JUNIOR. *
SINGH SAAB
It must be the bloody Opposition
behind this. Election aane waale
hain. Government ka naam kharaab
hoga ki dekho bhai inke raaj mein
media pe attack ho raha hai.
Finally we have a government and a
PM who is doing something for the
country, but these bhenchods will
not let that happen.
(beat; with over-concern)
Anyways, tell me, how are you
dealing with it beta?
SANJEEV
(mumbles)
I’m all right, sir. Thank you.
Blue Rev. (mm/dd/yy) 21.
SINGH JUNIOR
The lawyers said you used bad words
against Dad.
SINGH SAAB
Who asked you to be here? Go, go
see if the turkey has been served. *
Go!
Singh Junior fumes for a while, then huffs away from there.
SANJEEV
Sir I was only doing my job as a
journalist.
SINGH SAAB
Then go do it somewhere else.
Hamein baksh do yaar. Just announce
that you are going on an indefinite
leave due to all the stress in your
life, and the rest these boys will
manage.
(referring Jai)
SANJEEV
If you fire me at this point, my
career is over.
(MORE)
22.
SANJEEV (CONT'D)
There’s a non-competitive clause
that says I can’t join a rival
channel for one year. I’ll be
forgotten in a year.
SINGH SAAB
Arey toh kuchh aur kar lo. You are
still young. Go write a book on the
state of affairs in this country.
Or try organic farming. It’s very
therapeutic, trust me.
SANJEEV
I’d have loved to sir, but have to
be somewhere...
(looks into Singh’s eyes)
To identify the men who tried to
kill me... but couldn’t.
And then Sanjeev turns around and walks away - Singh’s eyes
following him like a hawk.
Hathi Ram spots him and walks up to him. Shakes his hand.
HATHI RAM
Welcome sir...
(to Manju Verma)
(MORE)
Blue Rev. (mm/dd/yy) 23.
2.23 INT. JAMUNA PAAR POLICE STATION - SHO’S CABIN - DAY 2.23
MANJU VERMA
Sir ek selfie le loon? Family ko *
dikhaane ke liye...
HATHI RAM
In mein se kisi ko aapne pehle
kabhi dekha hai sir?
Hathi Ram touches him gently on the elbow. And Sanjeev comes
to.
SANJEEV
Huh? Nahi. Kabhi nahi.
HATHI RAM
Pakka?
Sanjeev nods.
SANJEEV
In ke naam?
HATHI RAM
Sir is waqt thoda confidential
hai...
(MORE)
Blue Rev. (mm/dd/yy) 24.
SANJEEV
Nahi. Kyun?
HATHI RAM
(vaguely)
Nahi wo ek lead aayi thhi,
investigate kar rahe hain abhi...
SANJEEV
Twitter pe toh log jaan se maarne
ki dhamki dete hee rehte hain...
(beat)
Ya phir Pakistan bhejne ki.
HATHI RAM
Sir aap thoda careful rehna. In
dono PSO ko har waqt saath rakh
rahe hain na...?
Sanjeev’s got too much on his mind. He just nods and gets
into the car.
TEACHER
You want to give it a try, Arjun?
STUDENT
Me nombre es Arjun Puri.
And his eyes are on - a pretty girl SALONI. We can sense Sid
has a thing for her.
TEACHER
Your turn, Siddharth.
TEACHER (CONT’D)
Translate for me: My father’s name
is...
HATHI RAM
Woh paas hee tha toh socha tujhe
ghar chod...
(rephrases; awkward)
Matlab... kya main tujhe ghar chhod
sakta hoon?
THE PARKING:
They walk past the row of fancy cars. Hathi Ram looks at Sid -
who seems glum.
Blue Rev. (mm/dd/yy) 26.
He tries it again. And again. But no, the damn thing just
won’t start.
Sid rolls his eyes as Hathi Ram grunts and jumps out.
Sid watches - as the fancy cars roll out from the parking one
by one.
He spots Saloni. She jumps into one of the cars. It’s that
cocky boy Arjun driving it while his driver sits behind.
It’s Ansari.
ANSARI *
Sir Mary Lyngdoh ka mobile phone
record aa gaya hai. Use ek number
se regular phone aata jaata thha.
Wo number bandh hai par mazey ki
baat yeh hai ki donon SIM ek hee
address pe registered hain.
Nizamuddin Station ki koi redi hai. *
Detail whatsapp ki hai aapko.
HATHI RAM
Achcha...?
ANSARI (O.S.)
Sir aap usi taraf ho toh ek chakkar
lagaa loge? Main Zaakir Nagar jaa
raha hoon. Tariq ke chaacha ka pata
mila hai.
HATHI RAM
Hmmm... haan dekhta hoon...
SANJEEV
Hello?
SANJEEV (CONT’D)
Hello? Kaun?
SHADOW ONE
Kya hua sir?
SANJEEV
(to the driver)
Ashok gaadi rokna zara.
SARA (O.S.)
(off the phone)
Hello?
SANJEEV
Hey! Can you find something out for
me?
SANJEEV
I’ll message you my new number.
He cuts the call. Then takes out a pin and opens the SIM slot *
of the phone with it. *
CLOSE ON the broken SIM as it lies on the road, while the car *
drives away in the bg. *
29.
TOP SHOT of the chaos at Old Delhi Railway Station. Hathi Ram
walks through the crowd.
2.33 EXT. OLD DELHI RAILWAY STATION - PLATFORM - FRUIT STALL -2.33
DAY
FRUITWALA
Aise kaise pata chalega?
HATHI RAM
Address teri redi ka hai...
FRUITWALA
Sir ji wo kya hai na... mera baap
fruit juice ke saath SIM card bhi
bechta thha. Wo... station ke
laundon ko...
HATHI RAM
Dealer thha? Toh dealer ka pata
kyun hai address mein?
FRUITWALA
Arey ye station ke keede saab... in
ke paas kahaan address proof
hoga... toh wo dukaan ka de deta
tha.
HATHI RAM
Kitne SIM baante hain aise?
FRUITWALA
Dus baarah saal mein... laga lo
aap... pata nahin kitne launde aaye
gaye...
HATHI RAM
Chutiye, andar jaana hai tujhe?
FRUITWALA
Ab sab bandh hai Sir ji... maa
kasam. Rule hee itne tight ho
gaye...
HATHI RAM
Baap kahaan hai tera?
Blue Rev. (mm/dd/yy) 30.
FRUITWALA
Woh toh nikal liya. Pichhle saal.
(beat)
Anaar juice banaaun, Sir?
FRUITWALA (CONT’D)
Bhaag bhosadi ke...
BEGGAR KID
Baap bhootni ka, Beta chootni ka. *
Finally, he reaches -
MUSLIM BOY
Chacha, fir ball idhar nahin aayegi
chacha. Please chacha!
ANSARI
Salaam walaikum.
OLD MAN
Walaikum assalam.
Blue Rev. (mm/dd/yy) 31.
ANSARI
Taariq ghar pe hai?
OLD MAN
Jee... Taariq toh nahi hai...
MUSLIM BOY
Jhooth bolta hai buddha. Andar hi
hai.
Ansari sharply looks at the Man. His face betrays his lie.
From below, the Boy throws the ball at the Old Man, but *
misses. The Old Man takes his chappal off and throws it back *
at the boy, shouting - *
OLD MAN *
Bhaag bhosadi ke... *
TOKAS
(shouts)
SAAB!
The cops tumble over each other. Ansari comes running out
from the other room. He goes after Taariq.
Taariq runs for his life, dodging carts and bikes and kids.
Blue Rev. (mm/dd/yy) 32.
He almost pushes the BIKER down from his bike, gestures Bhati
to sit pillion, muttering to the Biker -
ANSARI
Emergency hai.
And even before the Biker can realise, Ansari and Bhati have
zoomed away after Taariq.
BHATI
Thoda dekh ke saab...
HATHI RAM
Jee Sir... Sorry Sir... Sir aage se
poora dhyaan rahega Sir...
(MORE)
33.
The phone call ends. Hathi Ram lets out a frustrated sigh.
ANSARI
(protests)
Galti us ladki ki thhi Sir... aur
utni koi lagi bhi nahi usey...
HATHI RAM
Dekh bhai. Mera koi exam interview
nahi hona... Ye ek mauka mila hai
ek dhang ka case handle karne ka...
Aur ab is gadbad ki wajah se Bhagat
saab keh rahe hain ki Chitrakoot
chhodo yehaan ki investigation toh
theek se kar lo. Toh please aage se
thoda dhyaan se...
Hathi Ram reaches the waiting area. Notices - The Old Man
from Taariq’s house sitting on a bench.
Hathi Ram glares at the Old Man for a bit before finally
storming out. Just as -
Manju Verma relaxes and starts packing up for the day. She
flips out her phone and makes a call.
MANJU VERMA
Suno, nikal rahi hoon. Daal chadha
dena.
(MORE)
Blue Rev. (mm/dd/yy) 34.
SARA
Madam, ye Sanjeev sir ne aap ki *
family ke liye bheji hai. *
Manju Verma looks at the box in front of her. She opens it.
Pastries inside.
‘Nam myoho renge kyo’. ‘Nam myoho renge kyo’. Over and over
again. And one of Dolly’s friends gently hits a gong with a
little stick every now and then.
DOLLY
Sanjeev!
SANJEEV
Sorry Dolly, I got to go.
DOLLY
But... we’re chanting for you,
Sanjeev. You... you need this
positive energy.
SANJEEV
I know. But I really need to.
Dolly watches the car drive away with hurt and disappointment *
on her face.
SARA
How did they look?
SANJEEV
Like the man on the road selling
you pirated paperbacks. Or the one
driving your car... or guarding
your house.
SANJEEV (CONT’D)
You know... you can meet a million
killers as a journalist. But it’s
another thing to come face to face
with your killer. There’s something
raw, something primal about that
experience... it’s almost
spiritual. Those eyes... they’re
haunting me.
SANJEEV (CONT’D)
Does that make me a weak person?
SARA
No. That only makes you real.
Blue Rev. (mm/dd/yy) 36.
SARA (CONT’D)
I won’t judge you, if you don’t
judge me.
Sara takes Sanjeev by hand and pulls him towards the bedroom
door.
SARA (CONT’D)
Out, Toto! Sanjeev doesn’t like
you.
SANJEEV
(while kissing)
It’s not that. I’m just allergic.
SARA
You heard him, Toto! Out!
JITU
Jijaji ki jai ho! Ho gaye na
surprise? Ab poocho yeh kya hai?
HATHI RAM
Kya hai ye?
Hathi Ram shakes his head, starts walking away, but just then
- PHOOOOSSSSHHHHHH! The machine hisses.
And a JINGLE goes off in the machine. The lights blink. And
finally, after another PHOOOOSSSSHHHH and POP, the faucet
spews out a fizzy, transparent drink.
JITU
Aap bhi maar khaa gaye na Jijaji?!
Ye hai sparkling water. Europe side
yehi use hota hai, soda woda koi
nahi peeta...
JITU (CONT’D)
Achcha ab poochho kya business
shuru kiya hai?
HATHI RAM
Sparkling water.
JITU
Cheers.
The bottle reaches Sid - who takes a tentative sip. Hates it.
Blue Rev. (mm/dd/yy) 38.
RAJU BHAIYYA
Chaar thhe bhosadi waale... Ye
doley bhenchod! Aise ghoor rahe
thhe ki beta beer khatam hone tak
bhaag sakta hai toh bhaag le.
And just then, Raju Bhaiyya gets up, grabs him by his throat
from behind, pulls something out of his shirt and presses it
against his temple.
RAJU BHAIYYA
Ab bol bhonsdi ke.
The kid spits out the beer and ends up in a coughing spree. *
Yeah, he’s genuinely stunned!
Raju pushes him away and stands there with his gun, laughing.
SID
Raju Bhaiyya, ek baar pakadne do
yaar... kya yaar please na, papa *
bhi nahi dete... *
RAJU BHAIYYA
Abey ye English Medium waalon ke
liye nahi hai... isko pakadne ke *
liye desi gotey chahiye...
Blue Rev. (mm/dd/yy) 39.
Renu gives Hathi Ram a head massage, while him and Jitu sit
drinking. They’re both a bit tipsy and Jitu’s on a roll -
JITU
Itne saal ho gaye business karte,
par by God aisi company nahi dekhi.
Product bolo, scheme bolo... A-one.
Poori Dilli ko nehla doonga...
HATHI RAM
Teri wo mobile phone waali agency
ka kya hua?
JITU
Arey health bhi koi cheez hoti hai.
Radiation nikalta hai unme se.
Maine kahaa - ‘Naa, karna hee nahi
aisa kaam’! Kyun Sister?
HATHI RAM
Aur usse pehle woh holiday package
wala?
RENU
Chhodo na kahaan puraani baatein le
ke baith gaye...
JITU
Bhaanje! Aa jaa baith. Drink lega?
HATHI RAM
Pagal hai kya? Chhota hai abhi.
(to Sid; authoritative)
Jaa. Tu andar jaa.
With tentative hands - he pulls out the gun. Feels it. The
cold metal. The weight.
ANSARI
Sir wo registration office se
address mil gaya... us Tope Singh
waale ghar ke owner ka. Main dekh
ke aata hoon.
HATHI RAM
Main khud jaaunga. Tum dekho wo
phone mila kya paani mein...?
CONSTABLE BHATI
Ek toh anaari, upar se miyaan. Ab
is ko doosre Miyan bhai ko pakadne
bhejoge toh yahi hoga.
TOKAS
Arey ye Kashmiri musalle toh aur *
bhi kattar hotey hain! *
(MORE)
Blue Rev. (mm/dd/yy) 41.
TOKAS (CONT'D)
Wo Chaudhary saab ne jab
interrogation mein us Kabir ko
katua bola thha toh kaise sulgi thi
iski.
And then they see Hathi Ram. He stares them down. They
disperse awkwardly.
HATHI RAM
ANSARI!
ANSARI
Sir.
HATHI RAM
Chal, late ho raha hai.
SHAUKI MAMA
Flat diya rehne ko... saath kaam pe
lagaaya... Socha set ho jaayega
munda. Mera bhi kal ko kaam
sambhaalne waala koi ho jaayega.
Par uska dimaag toh kahin aur hee
thha. Dhandhe mein bhi ghotala
kiya. Kya karta? Nikaalna pada.
HATHI RAM
Kab ki baat hai?
SHAUKI MAMA
Chaar cheh maheene pehle. Tab se
koi contact nahi hai jee. *
HATHI RAM
Kabhi kisi ‘Masterji’ ka naam suna
uske moonh se? Ya koi Vishal Tyagi?
SHAUKI’S WIFE
Manaa kiya thha inko. Itna bada
kaand kar ke aaya tha gaaon mein
fir bhi inhone rakha.
HATHI RAM
Kaisa kaand?
SHAUKI MAMA
(hastily)
Jee wo sab detail hamein nahi pata.
Museebat mein thha bachcha. Mama
hoon, madad toh karni padti hai...
Shauki’s wife rolls her eyes. And just as she is to turn away-
HATHI RAM
Tope Singh ke baare mein aur kis se
pata chal sakta hai?
SHAUKI’S WIFE
Chacha hai jee uska, gaaon mein.
Badi banti hai dono mein. Chaache
ko sab pata hoga.
HATHI RAM
Naam?
SHAUKI MAMA
(sighs)
Mahipal Singh. Pind Haveliyan.
2.50 INT. JAMUNA PAAR POLICE STATION - SHO’S CABIN - DAY 2.50
SHO VIRK
Punjab? Punjab kyun?
HATHI RAM
Sir investigation ke liye. Zaroori
nahi hota toh aap se nahi kehta...
SHO VIRK
Zaroori hai toh tum jaao na. Ansari
abhi naya hai...
43.
HATHI RAM
(hesitates)
Sir wo kya hai na... main aaj raat
hee Chitrakoot jaa raha hoon.
SHO VIRK
Ye kab bataaya tumne?
HATHI RAM
Wo Sir... Bhagat Sir ka order hai.
SHO VIRK
Arey haan. Hathi Ram Chaudhary ke
order toh wahaan se aate hain na
aaj kal.
Ansari cringes.
RENU
Kal nashte tak toh pooriyan chal
jaayegi. Ulta seedha mat khaana,
fir gas ho gayi toh sar dukhega...
Waise head massager bhi rakh diya
hai.
HATHI RAM
Kuch paise liye kya tumne?
RENU
Nahin toh. Kyun?
HATHI RAM
Ek-do din bola tha. Aaj chautha din
hai.
RENU
Kya problem hai? Jaa rahe ho na
waise bhi tum...
And then she walks to him and gives him a hug. With the door
open, it’s kinda awkward for them.
RENU (CONT’D)
Sambhal ke jaana. Aur peena mat.
ON a ‘quarter’ of rum.
ANSARI
Sir shaayad hamein Bhagat Sir se
hee permission leni chahiye thhi
mere jaane ki...
HATHI RAM
Arey wo Chitrakoot ko le ke hee
manaa kar rahe thhe... aur fir ye
Taariq wala kaam ho gaya...
ANSARI
Ek baat poochhun Sir?
ANSARI (CONT’D)
SHO saab ki aap se koi personal
khunnas hai?
HATHI RAM
Virk se ek aadh saal senior hoon
main. Uski training mere under hui
thhi... Okhla mein. Itna laind thha
ki Fuddu Singh bulaate thhe usey.
(chuckles)
Maine hee rakha tha naam.
Hathi Ram takes another swig and offers to Ansari who refuses-
ANSARI
Sir padhna hai...
HATHI RAM
Par saala gotiyaan fit karne mein
tez thha. Nikal gaya. Hum wahin reh
gaye. Okhla, Okhla se Kadkadduma,
Fir Outer Jamuna Paar... paataal
lok ke permanent niwaasi!
Hathi Ram takes a swig and looks at Ansari - the hurt in his
eyes clearly visible.
Ansari nods and takes the bottle from him. Ansari raises it,
as if to say ‘Cheers’, and takes a sip.
A moment.
Hathi Ram lies wide awake - staring out into the darkness,
sipping from his bottle.
Under the dim light of the overhead LED bulb, Ansari studies.
Despite the uncomfortable seat and the snoring co-passenger.
It’s dawn. The early morning rays shine over the Yamuna
waters, littered with plastic bags. It’s all calm.
FADE OUT.