Kutub-E-Hadees Ke Aqsaam

Download as pdf or txt
Download as pdf or txt
You are on page 1of 26

Istelahaat

-E-
Muhaddiseen
Aur Kutub –E-
Ahadees Ki
Aqsaam
ROMANISED BY:
SYED IBRAHEEM SALAFI
SOURCE: http://www.romanquranohadees.com/index.php?threads/istelahaat-
e-muhaddiseen-aur-kutub-e-ahadees-ki-aqsaam.374/
‫الــرحــيــم‬
ّ ‫الــرحــمــن‬
ّ ‫بــسـم هللا‬

Istelahaat E Muhaddiseen Aur Kutub E


Ahadees Ki Aqsaam

HADEES KI
TAREEF

"Rasoolullah‫ ﷺ‬Ke Mutalliq Rawiyon Ke Zariye Sey Jo Kuch


Hum Tak Pohncha, Wo Hadees Kehlata Hai, Hadees Ko
Baaz Dafa Sunnat, Khabar Aur Aasar Bhi Kaha Jaata Hai."

Buniyaadi Aqsaam:

‫ شمائل نبوی۔‬،‫ تقریری حدیث‬،‫ فعلی حدیث‬،‫قولی حدیث‬


1 THE WAY OF SALAFIYYAH
Qauli Hadees: Wo Hadees Jis Mein Aap (‫ )ﷺ‬Ka Farmaan

Mazkoor Ho.

Fe'li Hadees: Wo Hadees Jis Mein Aap (‫ )ﷺ‬Ka Fe'l


Mazkoor Ho.

Taqreeri Hadees: Wo Hadees Jis Mein Aap (‫ )ﷺ‬Ka Kisi


Baat Par Khamosh Rehna Mazkoor Ho.

Shamail E Nabawi: Wo Ahadees Jin Mein Aap (‫ )ﷺ‬Ke


Aadaat O Akhlaaq Ya Badani Awsaaf Mazkoor Hon.

Wazaahat:

‫ منقطع۔‬،‫ م ّتصل‬،‫ سند‬،‫متن‬

Kisi Hadees Ki Asal Ibaarat "Matn" Kehlati Hai, Matn Sey

2 THE WAY OF SALAFIYYAH


Pehle Rawiyon Ke Silsile Ko "Sanad" Kehtey Hain, Sanad Ka
Koi Rawi Hazaf Na Ho Tou Wo "Muttasil" Hoti Hai Warna

"Munqate".

Nisbat Ke Aitebaar
Sey Hadees Ki
Aqsaam

‫ مقطوع۔‬،‫ موقوف‬،‫ مرفوع‬،‫حديث قدسى‬

Hadees E Qudsi: Allah(‫ )ﷻ‬Ka Wo Farmaan Jise Nabi e


Akram ‫ ﷺ‬Ney Allah ‫ ﷻ‬Sey Riwayat Kiya Ho, Rawiyon Ke
Zariye Sey Hum Tak Pohcha Ho Aur Qur'an E Majeed Mein

Maujood Na Ho...

Marfoo: Wo Hadees Jis Mein Kisi Qaoul, Fe'l Ya Taqreer Ko


Rasoolullah (‫ )ﷺ‬Ki Taraf Mansoob Kiya Gaya Ho...

3 THE WAY OF SALAFIYYAH


Mauqoof: Wo Hadees Jis Mein Kisi Qaul, Fe'l Ya Taqreer

Ko Sahabi Ki Taraf Mansoob Kiya Gaya Ho...

Maqtoo: Wo Hadees Jis Mein Kisi Qaoul, Fail Ya Taqreer


Ko Tabayee Ya Taba' Tabayee Ki Taraf Mansoob Kiya Gaya

Ho...

RAWIYON KI TEDAAD
KE Aitebaar Sey
Hadees Ki Aqsaam

،‫ غریب مطلق‬،‫ غریب‬،‫۔عزیز‬،‫ مستفیض‬،‫ مشہور‬،‫ خبر واحد‬،‫متواتر‬


‫غریب نسبى۔‬

Mutawatir: Wo Hadees Jis Mein Tawatur Ki Chaar Sharte

4 THE WAY OF SALAFIYYAH


Payi Jaye:

(1) Isey Rawiyon Ki Badi Tadaad Riwayat Karey,

(2) Insani Aqal Wa Aadat Inke Jhoota Honay Ko Mahaal


Samjhe,

(3) Yeh Kasrat Ahad E Nabuwat Sey Ley Kar Sahib E Kitaab
Muhaddis Ke Zamane Tak Sanad Ke Har Tabqe Mein Payi
Jaye,

(4) Hadees Ka Taluq Insani Mushahide Ya Sam'aat Sey Ho...

Wazaahat: Rawiyon Ki Jamaat Jisne Ek Ustaad Ya Ziyada

Asaatizah Sey Hadees Ka Samaa Kiya Ho "Tabqa" Kehlata


Hai.

Khabar E Wahid: Wo Hadees Jis Mein Mutawatir Hadees

5 THE WAY OF SALAFIYYAH


Ki Sharte Jama Na Ho, Is Ki Chaar Qisme Hai:

Mashoor: Wo Hadees Jis Ke Rawiyon Ki Tadaad Har Tabqe


Mein Do Sey Ziyada Ho Magar Eksaan Na Ho, Masalan Kisi
Tabqe Mein Teen, Kisi Mein Chaar Aur Kisi Mein Panch
Rawi Isey Bayaan Karte Hon.

Mustafeez: Wo Hadees Jis Ke Rawi Har Tabqe Mein Do


Sey Ziyada Aur Eksaan Tadaad Mein Ho Ya Sanad Ke
Awwal Wa Aakhir Mein In Ki Tadaad Eksaan Ho.

Azeez: Wo Hadees Jis Ke Rawi Kisi Tabqe Mein Sirf Do Ho.

Ghareeb: Wo Hadees Jis Ka Bayaan Karney Waala Kisi

Zamane Mein Sirf Ek Rawi Ho, Agar Wo Sahabi Ya Tabayee


Hai Tou Isey "Ghareeb E Mutlaq" Kahegen Aur Agar Koi
Aur Rawi Hai Tou Isey "Ghareeb E Nisabi" Kahegen.

6 THE WAY OF SALAFIYYAH


Wazaahat: Mazkoorah Bala Aqsaam Mein Sey Mutawatir
Hadees Ilmal Yaqeen Ki Had Tak Sachchi Hoti, Baqi

Aqsaam Maqbool Ya Mardood Ho Sakti Hain...

QUBOOL WA RAD Ke
Aitebaar Sey
Hadees Ki Aqsaam

‫ مردود۔‬،‫مقبول‬

Maqbool: Wo Hadees Jo Wajibul Aamal Ho.

Mardood: Wo Hadees Jo Maqbool Na Ho..

7 THE WAY OF SALAFIYYAH


MAQBOOL Hadees Ki
Aqsaam WA
DARJAAT

Maqbool Hadees Ki Aqsaam Wa Darjaat (Sharayit E


Qubooliyat Ke Aitebaar Sey) :

‫ حسن لغيره۔‬،‫ حسن لذاته‬،‫ صحیح لغیرہ‬،‫صحیح لذاته‬

(1)Saheeh Li'zaatihi (2)Saheeh Li'ghirihi (3)Hasan


Li'zaatihi (4)Hasan Li'ghairihi

Saheeh Li'zaatihi: Wo Hadees Jis Mein Sehat Ki Panch


Sharte Payi Jaye:

‫ معلول۔‬،‫ شاذ‬،‫الضبط‬
ّ ‫ كامل‬،‫متصل‬

8 THE WAY OF SALAFIYYAH


(1) Uski Sanad "Muttasil" Ho, Yane Har Rawi Ney Usey Apne

Ustaad Sey Aakhaz Kiya Ho,

(2) Uska Har Rawi Aadil Ho, Yane Kabeera Gunhaon Sey
Bachta Ho, Sageera Gunhaon Par Israar Na Karta Ho,

Shaista Tabiyat Ka Malik Aur Ba-Akhlaaq Ho,

(3) Wo "Kamiluz'zabt" Ho, Yane Hadees Ko Tehreer Ya


Hafize Ke Zariye Sey Kama'haqqahu Mehfooz Karey Aur

Aagey Pohchaye.

(4) Wo Hadees "Shaaz" Na Ho,

(5) Wo Hadees "Malool" Na Ho.

(Shaaz Wa Maloom Ki Wazahat Aagey Aarahi Hai)

9 THE WAY OF SALAFIYYAH


Hasan Li'zaatihi: Wo Hadees Jis Ke Baaz Rawi Saheeh
Hadees Ke Rawiyon Ki Nisbat

‫الضبط۔‬
ّ ‫خفیف‬

"Khafeefuz'zabt" (halke Zabt Waale) Hon, Baqi Sharten

Wahi Hon.

Wazaahat: Hasan Li'zaatihi Ka Darja Saheeh Li'ghairihi Ke


Baad Hai Magar Tarifaat Ko Aasaan Tar Karne Ke Liye

Tarteeb Badli Gayi Hai.

Saheeh Li'ghairihi: Jab Hasan Hadees Ki Ek Sey Za'yid


Sanaden Hon Tou Wo Hasan Ke Darje Sey Taraqqi Kar Ke

Saheeh Ke Darje Tak Pouhch Jaati Hai, Isey Saheeh


Li'ghairihi Kehtey Hai Kuy Ke Wo Apne Ghair (Doosri
Sanadon) Ki Wajhe Sey Darja E Sehat Ko Pohchi.

10 THE WAY OF SALAFIYYAH


Hasan Li'ghairihi: Wo Hadees Jis Ke Muta'id Sanaden
Hon, Har Sanad Mein Mamoli Zuaaf Ho Magar Muta'id

Sanadon Sey Is Zuaaf Ki Talafi Ho Jaye Tou Hasan


Li'ghairihi Ke Darje Ko Pohch Jaati Hai.

SAHEEH Hadees Ki
Aqsaam WA
DARJAAT

Saheeh Hadees Ki Aqsaam Darjaat (Kutub E Hadees


Mein Paye Jaaney Ke Aitebaar Sey):

‫ صحیح‬،‫ صحیح على شرطهما‬،‫ افراد مسلم‬،‫ افراد بخاری‬،‫م ّتفق عليه‬
‫ صحیح على شرط‬،‫ صحیح على شرط مسلم‬،‫على شرط البخاري‬
‫غيرهما۔‬

11 THE WAY OF SALAFIYYAH


Muttafaqun Aalayh: Wo Hadees Jo Saheeh Bukhari Aur
Saheeh Muslim Dono Mein Payi Jaye Muttafaq Aalayh

Kehlati Hai Aur Sehat Ke Sab Sey Aala Darje Par Hoti Hai.

Afraadi Bukhari: Har Wo Hadees Jo Sahih Bukhari Mein


Payi Jaye Aur Saheeh Muslim Mein Na Payi Jaye.

Afraadi Muslim: Har Wo Hadees Jo Saheeh Muslim Mein


Payi Jaye Aur Saheeh Bukhari Mein Na Payi Jaye.

Saheehun Alaa Shartihimaa: Wo Hadees Jo Saheeh


Bukhari Wa Saheeh Muslim Dono Mein Na Payi Jaye Lekin
Dono Ayimma Ki Sharayit Ke Mutabiq Saheeh Ho.

Saheehun Alaa Shartil Bukhaari: Wo Hadees Jo Imam


Bukhari Ki Sharayit Ke Mutabiq Saheeh Ho Magar Saheeh
Bukhari Mein Maujood Na Ho.

12 THE WAY OF SALAFIYYAH


Saheehun Alaa Sharti Muslim: Wo Hadees Jo Imam
Muslim Ki Sharayit Ke Mutabiq Saheeh Ho Magar Saheeh

Muslim Mein Maujood Na Ho.

Saheehun Alaa Sharti Ghairihimaa: Wo Hadees Jo Imam


Bukhari Wa Imam Muslim Ke ilaawah Digar Muhaddiseen

Ki Sharayit Ke Mutabiq Saheeh Ho..

MARDOOD Hadees Ki
Aqsaam INQATAA
SANAD KI WAJHE SEY

Mardood Hadees Ki Aqsaam Inqataa' Sanad Ki Wajhe


Sey:

13 THE WAY OF SALAFIYYAH


،‫ مرسل خفی‬،‫ مدلس‬،‫ منقطع‬،‫ معضل‬،‫ مرسل‬،‫معلق‬
‫معلل۔‬/‫معلول‬

Muallaq: Wo Hadees Jis Ki Sanad Ka Ibtedayi Hissa Ya


Saari Sanad Hi (Amdan) Hazaf Kardi Gayi Ho.

Mursal: Wo Hadees Jise Tabayee Bilawasta Rasoolullah


(‫ )ﷺ‬Sey Bayaan Karey.

Muzal: Wo Hadees Jis Ki Sanad Ke Darmiyaan Sey Do Ya

Do Sey Ziyada Rawi Ekkhattey Hazaf Hon.

Munkhate': Wo Hadees Jis Ke Sanad Ke Darmiyaan Sey Ek


Ya Ek Sey Zayid Rawi Muqtalif Maqamaat Sey Hazaf Hon.

Mudallas: Wo Hadees Jis Ka Rawi Kisi Wajhe Sey Apne


Ustaad Ya Ustaad Ke Ustaad Ka Naam (Ya Taruf) Chopaye
Lekin Sunney Walon Ko Yeh Tasur Dey Ke Maine Aisa Nahi

14 THE WAY OF SALAFIYYAH


Kiya, Sanad Muttasil Hi Hai, Halanke Is Sanad Mein
Rawiyon Ki Mulaqaat Aur Samaa Tou Sabit Hota Hai Magar

Mutaliqa Riwayat Ka Samaa Nahi Hota.

Mursal E Khafee: Wo Hadees Jis Ka Rawi Apne Aise Hum


Asar Sey Riwayat Karey Jis Sey Us Ki Mulaqaat Sabit Na Ho.

Malool Ya Muallal: Wo Hadees Jo Bazahir Maqbool


Maloom Hoti Ho Lekin Is Mein Aisi Poshida Illat Ya Aib
Payaa Jaye Jo Isey Ghair Maqbool Bana Dey, Is Oyoob Wa

Ilal Ka Pata Chalana Mahireen E Fan Hi Ka Kaam Hai, Har


Shahskh Ke Bas Ki Baat Nahi..

Mardood Hadees Ki Aqsaam Rawi Ke Aadil Na Honay

Ki Wajhe Sey:

‫ موضوع۔‬،‫ متروک‬،‫ روایه الفاسق‬،‫روایه المبتدع‬

15 THE WAY OF SALAFIYYAH


Riwayatul Mubtadi': Wo Hadees Jis Ka Rawi Bidat E

Mukaffara Ka Qail O Fa'il Ho Lekin Agar Rawi Ki Bidat


Mukaffara Na Ho Aur Wo Aadil Wa Zabit Bhi Ho Tou Phir
Us Ki Riwayat Mautabar Hogi Yaad Rahe Bidat E Mukaffara
(Kafir Bananey Waali Bidat) Sey Irtaad Lazim Aata Hai.

Riwayatul Faasiq: Wo Hadees Jis Ka Rawi Kabeera


Gunhaon Ka Murtakib Ho Lekin Had E Kufr Ko Na
Pouhchey.

Matrook: Wo Hadees Jis Ka Rawi Aam Bol Chal Mein


Jhoot Bolta Ho Aur Muhaddiseen Ney Is Ki Riwayat Ko
Qubool Karney Sey Inkaar Kar Diya Ho.

Mauzoo': Wo Hadees Jis Ke Rawi Ney Kisi Mauqe Par


Hadees Ke Mamle Mein Jhoot Bola Ho, Aise Rawi Ki Har
Riwayat Ko Mauzoo (Man Ghadat) Kehtey Hai..

16 THE WAY OF SALAFIYYAH


Mardood Hadees Ki Aqsaam Rawi Ke Zabit Na Honay

Ki Wajhe Sey:

،‫ منکر‬،‫ شاذ‬،‫ المزید فی متصل الاسانید‬،‫ مدرج‬،‫ مقلوب‬،‫مصحف‬


‫ روایه‬،‫ روایه فاحش الغلط‬،‫ روایه کثیر الغفله‬،‫روایه سیئ الحفظ‬

‫ مضطرب۔‬،‫المختلط‬

Mu'sahhaf: Wo Hadees Jis Ke Kisi Lafz Ki Zahiri Shakal


Durust Ho Magar Nuqtaon, Harkaat Ya Sukoon Wagera Ke

Badalne Sey Is Ka Talaffuz Badal Gaya Ho.

Maqloob: Wo Hadees Jis Ke Alfaaz Mein Rawi Ki Bhool


Sey Taqdeem Wa Taqeer Waqai Hogayi Ho Ya Sanad Mein

Ek Rawi Ki Jagha Dusra Rawi Rakaha Gaya Ho.

Mudraj: Wo Hadees Jis Mein Kisi Jagha Rawi Ka Apna


Kalaam Amdan Ya Sahuwan Darj Ho Jaye Aur Is Par Alfaaz

17 THE WAY OF SALAFIYYAH


E Hadees Honay Ka Shuba Hota Ho.

Al Mazeed Fee Muttasil Asaanid: Jab Do Rawi Ek Hi


Sanad Bayaan Karen, Un Mein Ek Siqa Aur Doosra Ziyada
Siqa Ho. Agar Siqa Rawi Is Sanad Mein Ek Rawi Ka Izafa
Bayaan Kare Tou Is Ki Riwayat Ko Mazeed Fee Muttasili

Asaanid Kehtey Hain.

Shaaz: Wo Hadees Jis Ka Rawi Maqbool (Siqa Ya Sudooq)


Ho Aur Aur Bayaan E Hadees Mein Apne Sey Ziyada Siqa

Ya Apne Jaise Bahut Siqa Rawiyon Ki Mukhalifat Karey


(Shaaz Ke Bil-muqabil Hadees Ko Mehfooz Kehtey Hain)

Munkar: Wo Hadees Jis Ka Rawi Zaeef Ho Aur Bayaan E

Hadees Mein Ek Sey Ziyada Siqa Rawiyon Mukhalifat Karey


(Munkar Ke Bil-muqabil Hadees Ko Maroof Kehtey Hain)

Riwayatu Sayyil Hifz: Wo Hadees Jis Ka Rawi "Sayyil Hifz"

18 THE WAY OF SALAFIYYAH


Yane Paidaishi Taur Par Kamzor Hafezey Waala Ho.

Riwayatu Kaseeril Ghaflah: Wo Hadees Jis Ka Rawi


Shadeed Ghaflat Ya Kaseer Ghaltiyon Ka Murtakib Ho.

Riwayatu Faahishil Ghalat: Wo Hadees Jis Ke Rawi Sey

Faash Qisam Ki Ghaltiyan Sarsad Hon.

Riwayatul Mukhtalit: Wo Hadees Jis Ka Rawi Budhape Ya


Kisi Hadse Ki Wajhe Sey Yaddash Kho Baitha Ya Us Ki

Tehreer Karda Ahadees Zaya Ho Jayen.

Muztarib: Wo Hadees Jis Ki Sanad Ya Matn Mein Rawiyon


Ka Aisa Ikhtilaaf Waqai Ho Jo Hal Na Ho Sake..

Mardood Hadees Ki Aqsaam Rawiyon Ke Majhool


Honay Ki Wajhe Sey:

19 THE WAY OF SALAFIYYAH


‫ مبهم۔‬،‫مستور‬/‫ روایه مجهول الحال‬،‫روایه مجهول العین‬

Riwayatu Majhoolil Aeen: Wo Hadees Jis Ka Rawi


Majholil Aeen Ho, Yane Is Ke Mutalliq Ayimma E Fan Ka
Koi Aisa Tabsara Na Milta Ho Jis Sey Ke Is Ke Siqa Ya Zaeef
Honay Ka Pata Chal Sake Aur Is Sey Riwayat Karney Waala

Bhi Sirf Ek Hi Shagird Ho Jis Ke Baais Is Ki Shakshiyat


Majhool Teharti Ho.

Riwayatu Majhoolil Haal: Wo Hadees Jis Ka Rawi Majholil

Haal Ho, Yane Is Ke Mutaliq Ayimma E Fan Ka Koi Tabsara


Na Milta Ho Is Sey Riwayat Karney Waaley Kul Do Aadmi
Ho, Jis Ke Baais Is Ki Shakshiyat Maloom Aur Halat Majhool
Teharti Ho, Aise Rawi Ko "Mastoor" Bhi Kehtey Hain.

Mubham: Wo Hadees Jis Ki Sanad Mein Kisi Rawi Ke


Naam Ki Saraahat Na Ho.

20 THE WAY OF SALAFIYYAH


KUTUB-E- Hadees Ki
Aqsaam

،‫ جامع‬،‫ صحيحين‬،‫كتب س ّته‬/‫اصول س ّته‬/‫ صحاح س ّته‬،‫كتب صحاح‬

‫ جزء۔‬،‫ اربعين‬،‫ معجم‬،‫ مستدرک‬،‫ مستخرج‬،‫ مسند‬،‫سنن‬

Kutub E Sihaah: Har Wo Kitaab Jis Ke Muallif Ney Apni


Kitaab Mein Saheeh Riwayaat Laaney Ka Iltezaam Kiya Ho

Aur "Saheeh" Ke Lafz Ko Kitaab Ke Naam Ka Hissa Banaya


Ho, Aisi Kitaab Ki Riwayaat Kam Az Kam Uske Muallif Ke
Nazdeek Saheeh Hoti Hain, Aur Agar Wo Khudh Hi Kisi
Hadees Ki Illat Bayaan Kardey Tou Is Sey Us Kitaab Ke

Saheeh Honay Par Harf Nahi Aata.

Sihaah Sittah: Hadees Ke Chey Kutub Saheeh Bukhaari,


Saheeh Muslim, Sunan Abu Dawood, Sunan Nasayi Jaame

21 THE WAY OF SALAFIYYAH


Tirmizi Aur Sunan Ibne Majah Sihaah Sitta Keh Laati Hain,
Inhen "Usool E Sittah" Ya "Kutub E Sitah" Bhi Kaha Jaata

Hai, Pehli Do Kitaaben "Saheehain" Keh Laati Hain Aur Yeh


Sirf Apne Muallifeen Ke Nazdeek Hi Saheeh Nahi Hain
Balke Poori Ummat Ke Nazdeek Sehat Ke Aalaa Darjey Par
Faaiz Hain, In Par Aiteraaz Baraye Aiteraaz Karney Waala

Shaksh, Sha Waliullah Muhaddis Dehelvi Rahimahullah Ke


Ba-qaoul Ijmaa' E Ummat Ka Mukhalif Bidati Hai Jab Ke
Aakhri Chaar Kitabon Ko Sunan Arba Kehtey Hain, Goya In
Mein Zaeef Ahadees Maujood Hain, Taham Saheeh

Hadeeson Ki Kasrat Ki Wajhe Sey Aksar Ulama Inhen


"Sihaah Sittah" Mein Shumaar Kartey Hain.

Jaame: Jis Kitaab Mein Islam Sey Mutalliq Tanaam

Mauzoaat, Maslan: Aqaayid, Ahkaam, Tafseer, Jannat,


Dozakh Wagera Sey Taluq Rakhney Waali Ahadees Riwayat
Ki Gayi Hon, Maslan: Saheeh Bukhaari Aur Jaame Tirmizi
Wagera.

22 THE WAY OF SALAFIYYAH


Sunan: Jis Kitaab Mein Sirf Aamali Ahkaam Sey Mutalliq

Ahadees Fiqee Tabweeb Wa Tarteeb Par Jama Ki Gayi Hon,


Maslan: Sunan Abi Dawood.

Musnad: Jis Kitaab Mein Ek Sahabi Ya Mutayid Sahaba Ki

Riwayaat Ko Alag Alag Jama Kiya Gaya Ho, Maslan:


Musnad Ahmed, Musnad Humaidi.

Mustaqraj: Jis Kitaab Mein Musannif Kisi Doosri Kitaab Ki

Hadeeson Ko Apni Sanadon Sey Riwayat Karey, Maslan:


Mustaqraj Ismayeel Alaa Saheehul Bukhaari.

Mustadrak: Jis Kitaab Mein Musannif Aisi Riwayaat Jama

Karey Jo Kisi Doosrey Musannif Ki Sharayit Ke Mutabiq


Hon Lekin Us Ki Kitaab Mein Na Hon, Maslan: Mustadrak
Haakim.

23 THE WAY OF SALAFIYYAH


Mujam: Jis Kitaab Mein Musannif Ek Khaas Tarteeb Ke
Saath Apne Har Ustaad Ki Riwayaat Ko Alag Alag Jama

Karey, Maslan: Mujam Tabrani.

Arba'een: Jis Kitaab Mein Kisi Ek Ya Mukhtalif Mauzoaat


Par Chalees Ahadees Jama Ki Gayi Hon, Maslan: Arba'een

Nawawi, Arba'een Sanayi Wagera.

Juz': Wo Kitaab Jis Mein Sirf Ek Rawi Ya Ek Mauzo Ki


Riwayaat Jama Ki Gayi Ho, Jaise Imaam Bukhaari

Rahimahullah Ki "Juz'ou' Rafyil Yadain" Aur "Juz'ul Qiraa'ati


Khalful Imaam" Ya Imaam Bihaqi Rahimahullah Ki "Kitabul
Qiraa'ati Khalful Imaam" Wagera.

Reference: ||Sunan Ibne Majah (Urdu Tarjuma Ke Saath


Jo Darussalaam Sey Published Huwi Hai) Is Ke Jild 1
Page 50-56 Sey Liya Gaya Aur Romanised Kiya Gaya||

24 THE WAY OF SALAFIYYAH


-Romanised: Syed Ibraheem Salafi

25 THE WAY OF SALAFIYYAH

You might also like

pFad - Phonifier reborn

Pfad - The Proxy pFad of © 2024 Garber Painting. All rights reserved.

Note: This service is not intended for secure transactions such as banking, social media, email, or purchasing. Use at your own risk. We assume no liability whatsoever for broken pages.


Alternative Proxies:

Alternative Proxy

pFad Proxy

pFad v3 Proxy

pFad v4 Proxy