Sehatmand Zindagi Ke Raaz With Jawaano Ki Problems
Sehatmand Zindagi Ke Raaz With Jawaano Ki Problems
Sehatmand Zindagi Ke Raaz With Jawaano Ki Problems
Khana
Khana(Diet) ki ahmiyat 7
Balanced diet ke alag-alag 10
Component
Umar aur Halat ke hisab se 18
healthy diet
Diet se ilaaj 32
Daily life me Khai jaane wali
chijon ki Taaseer, Fayde aur 37
Nuksaan
150+ Healthy Nuskhe 64
Paani Peene aur khana Khane ki
Sunnate 91
sex
Sex Education ki Ahmiyat aur jarurat 96
Mardon ke sexual organs 114
Auraton ke sexual organs 118
Jawaani (Puberty) 124
Periods aur Uske Masail 128
Pregnancy 151
Sexual intercourse ki Detail 157
Sexual problems Shaadi se pahle 209
Sexual problem Shaadi ke baad 242
Auraton ki Problems 260
Psycho Sexual Disorder 265
Sexually transmitted Disease 281
Masturbation or Porn se Chhutkara 288
pane Ka Tarika
Homosexuality & Zabt wiladat 290
(Contraceptions)
Khushhal aur Behtareen Zindagi Jeene 291
Ke Usul
Deen Aur Duniya me kamyabi ke 25 296
formule
Khana (Diet) ki Ahmiyat aur
Jarurat
Nutrition
Diet ke Ahamtareen Hisson me Nutrient sabse upar
Hai. Hamare Jism Ka Jyada Hissa Nutrition per
dependent hota hai. Gosht, Posht, Rage Aur Khoon
Wagaira Yaani ki jism ke Har Hisse me Nutrition
Maujud Hai. Hamare Mulk me Bacchon ko Rojana 20
Gram, Auraton ko 25 Gram Aur mardon Ko 32 Gram
Nutrition Gosht Dudh aur Andon Ki Surat me Milna
Chahie. Nutrition 2 Tarah Ke hote hain Ek wo Jo
animal se Hasil Hone wale diet me Jaise Gosht,
Ande aur Dudh se Hasil Hote Hai Dusre ko jo Anaaj,
sabji aur Daalon Wagaira se Milte Hain.
Starch Waale Khaane
Sugar aur starch Jism ko takat Dene Wale
ingredient Hain. Iske Kuchh Hisse Dimag aur
Nervous System istemal karte hain. Starch aur
Meethi Chij Jism me Charbi Paida Karti Hai.
Diet me chiknai (Fat) aur Starch kam ho, to
Insan Ka Jism Vitamin se Takat Hasil Karne
lagta hai Jisse Vitamin ka Asal Maksad khatm
Ho Jata Hai. lihaja Hamari Diet me Inki ahmiyat
aur Badh Jaati Hai Jism me starch ka Jakhira
Kisi Waqt 360 Gram Se Jyada Nahin Hota.
Khoon me sugar aur Glucose ki Miqdaar Sahi
Rahana Sehat ke liye Jaruri hai. Aamtaur per
Nashta karne se Pahle khoon me sugar ka
Level 80 se 100 milligram hota hai, Khana
Khane ke Baad ye level 150 Milligram aur
Kabhi Kabhar 180 milligram Tak Pahunch Jata
Hai. Chini, Sugar aur Shahad Wagaira me
starch ke Miqdaar Jyada Hoti Hai Anaaj Yaani
Chawal, Gehun, Jau, Bajra aur Dusri sabjiyaan
Jaise Aalu, shakrkandi, Arabi matar, Chane aur
adrak Wagaira me Inki Miqdaar Theek Rahti
hai.
Chiknaai (Fat)
Ghee, Makkhan aur Tel Chiknai Hai. Ye Hamari
Rojana ki Diet ka important Hissa hai. ye Jism
ko Calori aur takat Dete Hain. Ek gram chiknai
se Hamen 9 calori milati hai. Jyada chiknai Jism
me Jama hone ke Baad Ek dher ki Shakal
ikhtiyar kar Leti Hai. Ghee, Tel aur kuchh Dusri
chiknaiyon me Kuchh Vitamin bhi Paye Jaate
Hain, Jo hamari Sehat ke liye jaruri hai. Fat
makkhan, Ghee Dudh, Paneer, Janvaron ki
Charbi ke Alava Jaitun, Aur Tilon Ke Tel se
Hasil hoti hai.
Diet me chiknai Ke Bade Fayde hain Lekin Agar
diet me chiknai ki mikdar jyada ho jaaye to
Aadmi Bimar padh Jata Hai.Calori ki Rojana
Jarurat Ka Paanchva hissa chiknai (fat) se Hasil
Karna Jaruri hai. Ghee aur Tel me 100 Se 91%
Chiknai Hoti Hai Makkhan, Badam aur Akhrot
me 70 se 90% Mungfali, Naariyal, Paneer aur
Ande ki jardi me 30 se 40%, Murgi, Machhali,
kaleji, dudh, Roti aur Phalon me zero se 10%,
Chini aur sugar me Zero percent calori hoti
hai.
Mineral aur Namak (Salt)
Oxygen, Carbon, Hydrogen aur Nitrogen ke
Alava Potasium chloride, Sodium magnesium,
copper aur iodine Hamare Jism ke liye jaruri
hai. Diet me namak aur mineral Ka Hona behad
jaruri hai Agar diet me namak aur mineral km
ho ya Banane Wale component km ho to Health
per Asar padta hai.
Calcium
muscles ko Bachane ke liye Diet me calcium ki
Munasib mikdar jaruri hai. Calcium ki Mikdar
Km Hone se Daant Aur Haddiyon Ka Sahih
Development Nahin Hota. Calcium jyadatar
Dudh, Dudh se bani Hui Chij Khastaur per
Paneer Khoya aur makkhan Wagaira me paya
jata Hai. Iske alava Machhali, Ande ki jardi aur
Hari Sabjiyon me bhi Calcium Paya jata hai.
Phosphorus
Calcium Ki Tarah Hamare Jism aur Diet me
Phosphorus ki maujudgi behad jaruri Hai. Diet
me Jitna Phosphorus Hota Hai, Uska 70% hissa
Aamtaur per Badan ka Hissa banta hai. Jism
me Vitamin-B banane ke Alava Muscles Aur
Daanton Ko takat Deta Hai. Phosphorus ki
Kami se Haddiyan Kamjor Hokar Development
Ke Kabil Nahin Rahti. Jism Me takriban 80%
Phosphorus Haddiyon me aur 20% Dusre
organs me Hota Hai.
Ek Naujawan ke Liye rojana 0.88 Gram
Phosphorus ki Jarurat Hoti Hai. Ye Jyadatar
Gosht, Machhali aur Andon me paya jata hai
aur kam mikdaar me Dudh, Paneer, Dahi, Sukhe
Mewon, Daalon Aur Phalon me maujud Hota
Hai.
iron
Hamare Jism Ka Ek bahut hi Aham hissa Hai ye
Jism me oxygen pahunchane ke alava khoon me
Laal Yani Red Blood Cell bhi banata hai. Iske alava
iron Kuchh important chemical component
Banane me bhi Aham kirdar Ada Karta Hai. Jism
me iron ki Kami se Anemia Ki Bimari Ho Jaati
Hai.Bacchon, Badon aur Pregnant auraton me
Aksar iron ki Kami Ho Jaati Hai.
iodine
Ham Jo khana khate Hain Uske jarie iodine ki jitni
mikdar Hamare Jism me dakhil Hoti Hai Uska sirf
10wan hissa hi Badan me Shamil Ho Sakta Hai. Jism
me iodine ki Kami Se kulhad Ki Bimari Ho Jaati Hai.
iodine Jismani Nijaam ko Sahi Taur per Chalane me
Madad karta hai aur Takat Paida karta hai yah Jism ki
Development per Asar Andaaz hote hain. iodine ki
Kami se jism Sooj Jata hai, Skin Khushk aur Moti Ho
Jaati Hai. iodine sabse Jyada yaa to samudri Machhali
me Hota Hai Ya Un sabjiyon me jinki kheti Un
jameenon per Hoti Hai jinmen iodine jyada ho. iodine
Shaljam, band Gobhi, Aalu, Paalak aur Daalon
(Pulses) me jyada Hota Hai.
Hawa ke Baad Paani Hamari Jindagi ke liye
bahut jaruri hai. Paani Jism ke Andar Hone Wali
Process ke liye Jaruri hota hai, ye khane ko
Digest Krne aur use Jism ke Tamam Hisson Tak
Pahunchane ka jariya hai. Jinda Rahne ke liye
Jism me pani ke Sath-Sath chemical
component ka Balance barkrar Rahana jaruri
hai aur ye balance Pani ke Bagair Mumkin
Nahin. Paani Me Kai kism ke Nutrient hote hain.
Khali Paani Saaf, Berang, Be-boo aur Bemaza
Hota Hai. Hawa Ki nisbat Pani 770 Guna Bhari
hota hai. Bilkul saaf Pani chhankar ya ubaal kar
istemal Hota Hai. Ek Jawan shakhs Ko Rojana
10 Gilas Paani Peena chahie.
Insani Diet me un Jaruri hisson ke Alava use
khane Ke Kaabil banane ke liye Test aur
Khushbu Bahut Jaruri hai. Insan Apne khane me
Jaayka aur Khushbu ke liye Kai Masale milata
Hai. Kuchh Masale chemical compound ki
wajah se nuksan de sakte hain Jabki Kuchh
khane ko Digest krne me madad Dete
Hain.
Vitamin
Vitamin wo organic substance Hai Jo hamari
Alag-Alag Diet me bahut hi kam Miqdaar me
Paye Jaate Hain. Ye Hamari sehat w tandurusti
ke liye behad jaruri hai. Acche sehatvke liye
jaruri hai ki Ham Apni khurak me Vitamin wali
chijen Shamil Karen. alag-Alag vitamin ka Jayja
liya Jaaye to Vitamin A Hamari Sehat aur
Development ke liye Bahut jaruri hai, khastaur
pr bacchon ke liye to ye bahut Aham hai aur
iski Kami Se Chehre Ki skin khurdari Ho Jaati
Hai. ye vitamin Insan me bimariyon se
Mukabala karne ki takat Paida Karta Hai.
vitamin A 19 se 16 sal Tak ke Naujawanon ke
liye 5000 Unit bacchon ke liye 2000 unit
Rojana jaruri hai.
Vitamin B sabse Jyada mashhur vitamin Hai
isme Kai vitamin Shamil hote hain. ise vitamin
B Complex Kahte Hain aur isme 10 vitamin
Shamil Hai. Ye Tamam vitamin Alag-Alag
khane Yaani Gosht Dudh aur Phalon aur
Sabjiyon Wagaira me Paaye Jaate Hain.
Balanced Diet
Diet ke nutritions aur Detail padhne ke Baad
aapane Jaan liya hoga ki Hamari Daily life diet me
Kin Kin nutrient ki kya Ahmiyat hai aur Inka
istemal Kitna aur Kis Qadar jaruri hai, in nutrient
ka munasib aur proper tarike se istemal Balance
Diet Kahlata Hai.
Saunf
Saunf bhi is Kaam me madadgar Hai. Saunf se
Naa sirf Dudh Jyada Banta hai Balki isse
Bacche ka Digestion bhi Theek Rehta hai.
Ek Cup Garm Pani me Saunf Daal De aur Aadhe
Ghante ke Liye Dhankkar Rakh De, is Paani ko
Chhan kar Din me Do se Teen baar istemal
Karen. iske Alava Aap Saunf, Jeera aur Mishri
barabar Miqdaar me Peesh kar Ek Botal me
Rakh Sakti hai. iska Ek Chhota chammach
Rojana teen Baar, Ek Cup dudh ke Sath istemal
Karen. 2 Hafton me iska Asar jahir Hona Shuru
ho Jaega, Saunf ko Khana Pakane me Bhi
istemal Kiya Ja Sakta hai.
Saunf
Saunf Ki Tarah Jeera bhi dudh Pilane wali Maa ke
Liye faydemand Diet Hai. isse Bacche ka pet bhi
Nahin Phoolta aur uska Dudh bhi Aasani se
Hajam ho jata hai. Sath hi Iske istemal se Maa Ko
Bhi Takat milti Hai.
Ek Chhota chammach Jeera, Ek Chhota
Chammach Chini Garm Dudh me milakar Sone se
Pahle Rojana Kuchh Hafton Tak istemal Karen.
Dusra Nuskha ye hai ki Jeere Ko Paani me
Ubaalkar Chhan Le isme Aadha Cup Dudh Ek
Chhota chammach Shahad Milaye, is Paani Ko
Rojana Ek Baar Piye.
Daalchini
is Jadi Buti se Dudh ka Test Achcha hota hai Jisse
Bacche ki diet badhti Hai. Iske istemal se Bacche
Ki paidaish ke Baad Periods der se Aane me
Madad Milti Hai. isse ye fayda Hota Hai Ki Aurat
Bacche Ki paidaish ke Baad jaldi pregnant hone
se Bach Jaati Hai.
Ek Chutki Daalchini Powder ko Aadha chammach
ke sath Mila Le, ise Garm Dudh ke Sath istemal
Karen 2 Mahine Tak is Nuskhe per Amal karne se
Behtarin Result Hasil Honge.
Lahsun
Kaha jata hai ki jo Maa apni khurak me
lahsun ka istemal jyada Rakhti hai, wo Jyada
Waqt Tak Bacchon ko Apna Dudh Pila sakti
hai. Lahsun ke istemal se Bacche ko Dudh
ka Test bhi Pasand Aata hai.
Teen lahsun Ki Kali ko Baarik Pees len, Use
Ek Cup Pani me Ubaalen Jab tak ye Chauthai
(25%) Mikdar Me Naa reh Jaaye, Ab isme Ek
Cup Dudh milaye aur Ek Baar Fir Ubaalen.
Chulhe/Gas Se Utaar Kar Aadha Chammach
Shahad milaye aur Chhan Le. isse Dudh
Pilane ke Arse me Rojana Subah Ek Baar
Jarur Piye.
Periods ke Dinon me Kaisi diet istemal
Karni chahie aur Kin Se Bachna chahie?
Periods ke Dinon me Aurat ke Jism se chunki
Khoon ke Sath-Sath Different Nutrient,
Hormone aur vitamin bhi Nikalte Hain, Lihaja in
Dinon me Balance diet ki Jarurat Dusre Dinon
ke Mukabale me jyada Hoti Hai. Auraton Ko in
Dinon me Kuchh chijon ka Khas istemal karna
chahie aur Kuchh chijon Se Bachana bhi
Chahie.
Adrak Ka istemal
Periods ke Shuruaati Dinon me Adrak ka
istemal Chai me Karne Se Ek Taraf to Andruni
Sujan se bachte hain aur Uske Sath-Sath Blood
Circulation me Behtaree se Period ke Natije me
Hone wale Dard Se Bhi Aaram Milta Hai.
Chukander (Garam)
Anemia, kabj Pathri Aur Bavasir Ke Liye Faydemand.
Tez Nabz Walon ke liye nuksan Deta hai.
Hari Mirch (Teekhi Khushk)
Kam Mikdaar me khane per Aankhon Ke Liye
faydemand Hai, Garam mijaj Walon ke liye nuksan de
Hai, Jyada khana bhi nuksan Deta Hai.
Paalak (Thanda )
Khoon ki kharabi ko Dur Karta Hai, vitamin A aur C
paya jata hai isliye jinhen kam Sunai deta Ho unhen
Palak Ka munasib mikdar me istemal karna chahie,
Jinke pet aur liver me Garmi rahti hai unhen Palak
Nahin khana chahie. Jinhen jaldi gussa Aa Jata Hai
Unhen Palak kam se kam khana chahie, Palak aasani
se Digest Ho jata hai isliye marij bhi ise kha sakte
hain.
Kela (Thanda)
Kele ka Gooda Ek once Namak lagakar khana pechish
Ke Liye faydemand Hai. Kela pet me bharipan Paida
Karta Hai. Kaccha Kela khana theek Nahin Hai. Kele ka
Ras jyada faydemand hai. Kele ko super food bhi Kaha
Jata Hai Kyunki ye bahut jyada energy deta hai.
Phalsa (Thanda tar)
Pyaas aur Garmi ko Dur Karta Hai. Digestion ko
Tej Karta Hai. Cough Ko Bahar Nikalta Hai.
Thande mijaj Walon ke liye Phalsa nuksan deta
hai. Jo log anemia ke marijon hai Unhe phalsa
khana chahie Kyunki phalsa Kaafi Jyada mikdar
me Naya Khoon Paida Karta Hai. Garmiyon me
iska sarbat bahut faydemand hota hai.
Akhrot (Garam)
Akhrot dimagi kamjori ke liye faydemand Hai.
Garam mijaj Walon ke liye nuksan Deta Hai.
Akhrot ka istemal km mikdar me karna chahie
Kyunki Iske Jyada istemal se Munh me chhale ho
sakte hain.
Badam (Garam Tar)
Dimag aur Aankhon Ki Roshani ko majbut karne
ke liye iska istemal bahut faydemand hai. Dil ki
kamjori Ke Liye garmiyon me iska sharbat
Banakar Peena bahut faydemand hota hai. Roj 7
se 11 Badam khana chahie isse Jyada nuksan dete
hai Kyunki iski Taaseer bahut Garm hoti hai aur ye
cholesterol ko bhi Badhati hai. badam dhire-dhire
digest hota hai Isliye Agar Aap iska chhilka utaar
kar aur Namak milakar khaenge to ye jaldi Digest
ho Jaega.
Gaay ka Dudh
Gaay ka Dudh Testi aur Jaldi Hajam hone wala
Hota Hai Dil Dimag aur Pure Jism ko Majbut
Banata hai.
Bhains ka Dudh
Bhains ka Dudh Gaay ke Dudh ke comparison
me jyada Meetha aur takatvar hota hai. Cough
wale log Bhains ka dudh Naa Piye. Bhains ka
dudh dheere-dheer digest hota hai isliye Dudh
Peene wale Chhote Bacchon Gaay ka Dudh
istemaal krne ka Kaha Jata Hai.
Daily Life me Kaam Aane Wale
150+ Nushkhe
Bimariyon pr Kabu pane ke Liye kudarti Tarika e
Ilaaj ki ahmiyat aur Maqbooliyat Din B Din badhati
Jaa Rahi hai. Bimari Ki Surat me acchi sehat Ke Liye
Davaiyon ka Sahi istemal karna aur galat istemal
Se Bachna bahut jaruri hai. Allopathic Davaiyon ke
Galat aur Gair Jaruri istemal Se Dawaiyon ke
negative Asar ki vajah sehat Ko Naa kabile Talaafi
nuksan pahuncha sakti hai. Iske Sath-Sath Hosh
Raha mahangai ke is Daur me Aasman Se Baaten
Karti Un Davaiyon ko kharidna Har Kisi Ke bus Ki
Baat Nahin. Davaiyon ki kimat me Roj Roj ijaafa ho
raha hai is vajah se in gharelu nuskho ki ahmiyat aur
Jyada badh gai hai. Isi vajah se bimariyon pr Kabu
pane ke liye kudarti Tarika e Ilaaj ki ahmiyat aur
maqbuliyat Roj badh Rahi hai. Western Countries
me is per Nai-Nai research Jaari Hai Kyunki kudarti
Tarika e Ilaaj me Kisi kism ke Negative asarat ka koi
Khatra Nahin Hota, isliye isse sehat Ko nuksan
pahunchne Ka Koi Darr Nahin rahata.
Haal hi me agar aap Pichhle Kuchh Saalon Ko Dekhe
to America, Japan, China aur India me Herbal Dawai
Alag-Alag Phalon, aur Jadi butiyon se bani hui
davaiyon ki industry ki company sabse Jyada tarakki
kar rahi hai. Har Saal in davaiyon per karodon Dollar
ka Business ho raha hai. ALLAH Taala Ne Kai Tarah
Ki sabjiyon, Phal Anaaj vagaira me Anmol takat rakhi
hai. Shahad, lahsun, Jaitun ka tel, Methi, Kalaunji, kali
mirch, isabgol ka chhilka, Anjeer, Tarbuj, kharbuja,
Nashpati, Aadu, Taaja Pani, Aalu Bukhara, Namak,
Good, Dahi, Sattu, Jau, Gaajar, Dhaniya, Pudina, Muli
Pyaaj, Aloevera Sab behtarin Dava Hai inke munasib
istemal se Kai bimariyan unke alamat aur
pechidagiyon pr Kabu Paya Ja sakta hai.
Yahan Ham Kai sabjiyon Phalon wagaira ke alag
tarike se istemal per 150+ Aazmaye Gaye nuskhe
Bayan kar rahe hain. is baat ka tajurba aur
mushahida Kiya gaya hai ki Kai baar Jab allopathic
Davaiya Kuchh Naa kar sake to kudarti Tarika e Ilaaj
ne Jaadui Asar Kar dikhaya. Saikdon marijon Ne in
nuskhon per Amal Karke fayda uthaya Hai. ye sab
Aajmaae Gaye nuskhe Hain, inke liye Mustanad
kitabon aur Bujurgon se mashvara liya Gaya Hai. Ye
Nuskhe istemal karne ke sath sath Bimari ki
mukmmal detail aur ilaaj ke liye Apne Doctor se Jarur
mashvara Karen Jabki davaiyon ke Gair Jaruri istemal
se parhez Karen.
Hafte me Ek Bar Subah Ek Khali pet Ek chai ka
chammach ajwain ke Beej Munh me rakhkar Paani ke
sath nigal Len, Chabana Nahin. Ye Aapko Sardi khansi,
najla Jism Dard, Kamar Dard, pet Dard, kamjor ghutnon
Ke Dard Se Dur rakhega. 10 Sal se kam Umra ke
bacchon ko Aadha chai ka chammach yani 2 gram aur 10
Saal Se Jyada Umr Walon Ko Ek chai ka chammach yani
5 gram Lena chahie.
Prostate
Testicles aur Semen ke dusre Chashma ke alava Ek
Aur gland prosted gland peshab ki tube ki Jad ke
aaspaas lipata hota hai. Jisme Paida Hone Wali
ratubat sexual Desire ki shuruaati Daur per thuk Ki
Tarah Puri peshab ki me fail jaati hai aur Bahar bhi
nikal aati Hai.
Aurat ke (Female) Sexual Organs
Bahari Hisse (external genitalia)
Yun To Aurat ke Jism Ka Har Cell mard ke Cell Se
Alag hota hai jo Microscope ke jarie hi Dekha Ja
Sakta Hai Magar Aankh-kaan, Naak, Dimag, Hath-
Per Wagaira me Sirf Nazakat ke aur koi Fark Nahin
Hota.
Fark sirf sexual organs me Hota Hai Aur Unse
Related gland me Paida Hone Wali Ratubato ki vajah
se hota hai. Aurat ke sexual organ bhi Mard Ki Tarah
pet ke nichle Hisse (Pedoon) me hote hain. Bajahir
unke structure mard ke sexual organ Se Alag Hote
Hain Magar ye Ek dusre ke bilkul mutabik banae
Jaate Hain Yaani Ek dusre ke liye banae Jaate Hain.
Aurat ke sexual organ Ka Jyadatar Hissa Pedoo me
Chhupa Hota Hai. Bahari taraf Ek Triangle Guddi Ke
jaisa hissa Andruni sexual organ ki hifajat Karta Hai.
is Guddi Numa organ me ubhaar utna Hi Kam ya
Jyada hota hai Jitna Ki Aurat ke Jism me Charbi Hoti
Hai. is Guddi ke bich me Ek Suraakh hota hai Jisko
Vulva Kaha Jata Hai is Suraakh Ke Upar ke sire pr Ek
Naazuk chamdi ka Ghunghat Numa organ Chhupa
Hua Hota hai Jisko Clitoris Yaa Daana
Kahte Hain.
Aurat ke sexual organ me ye organ sabse Jyada
sensitive hota hai aur Aurat me sexual Desire Paida
Karne ke liye isko Chuna aur Ragadana jaruri hai. is
organ se Kuchh Niche Ek Baarik Suraakh hota hai jo
peshab ki tube Ka Agla Sira Hota Hai, Is Suraakh Se
bladder Tak peshab ke Rasta hota hai, Jo mard ke
peshab ki tube se bahut Chhota hota hai. bladder aur
uske upar ke Hisse me Mard aur Aurat me Koi Fark
Nahin. Peshab ke surakh se Kuchh Niche Ek Naram
aur Naajuk surak hota hai Jo Vagina Ka Agla Sira
hota hai Vagina ka ye Suraakh Kamobesh Ek bahut
hi Najuk Parde se Dhanka Hota Hai, is Parde ko
Parda e Bukarat (Hymen) Kaha Jata Hai. ismein Ek Ya
Ek Se Jyada Chhed hote hain jisme se period ka
Khoon Nikalta Rahta Hai Aamtaur pr ye Parda pahle
Sexual intercourse me Phat jata Hai. Hymen ko Past
me bahut jyada Ahmiyat Di jaati thi aur isko Aurat ke
Kunwari hone ka Saboot Samjha jata tha. Aaj jabki
Aurat bhi Mard Ki Tarah alag-alag khelon aur
bhagdodh me hissa Leti Hai Aur Kai bar
Masterbation bhi karti hai isliye Hymen bahut Si
auraton me Mahfuz Nahin Rahta.
Aurat ke andruni (internal) sexual organ ka
Aurat k andruni organ Ek Aisi tube Ka Agla Sira Hai
Jisko vagina Kaha Jata Hai. vagina Ek lachak Daar
tube Hoti Hai, Jiska Andruni Sira band hota hai. is
band sire me Raham ya Bacchedani Uterus ka nichla
hissa saaf Taur per Dikhai deta hai. Raham Ek
Nashpati ki Shakal ka Hissa muscular organ hota
hai. Jisme aamtaur per Kuchh Katron Se Jyada Koi
chij Sama Nahin sakti. Nashpati Numa Raham ka
Upar Ka hissa Choda Aur Vagina Ke Andar Tak
pahunchne wala nichla hissa Chhota Hota Hai. Iske
donon Taraf takriban 4 inch lambi 2 tube hoti hai
jinko fallopin tube Kahate Hain. In Tube ke siron per
Har Taraf badam ke barabar 1-1 Gland hota hai, in
gland ko ovaries Kahate Hain. Ye gland us Waqt
vajud me Aate Hain Jab ladki Maa ke pet me 3-4
mahine ki Hoti Hai. Unmen Paida hone wale chemical
secretion khoon me Ghul Milkar ladki ki physical
appearance ke jimmedaar Hote Hain yaa Aasan
Alfaaz me kaha Jaaye To Ye Aurat ko Aurat Banate
hain. Ye Gland auraton Me Vahi kaam Karte Hain Jo
mardon me testical Karte Hain. Jis Tarah Baalig hone
ke baad ladkon me testical sperm taiyar karna Shuru
kar dete Hain isi Tarah ovaries Ande taiyar karna
Shuru kar dete Hain.
Magar Dono me Farq is Tarah Hai
Mard ke testicles me karodon ki tadad me sperm produce
hote hain aur ek sehat Mand Mard Ek Bar discharge hone
me Lakhon sperm nikaal deta hai, Dusri Taraf Auraton ki
overy me se 28 Din me Ek Anda taiyar hokar tube ke tang
Raste Se bacchedani Ki Taraf dheere-dheere badhta Hai,
28 Din me Har ovary se ek mature anda Bacchedani ki taraf
Ravana ho jata hai.
Uterus
10 saal ki Umra se isme badhotari Aati Hai. 18 saal ki Umr Tak ye
size me double ho jata hai. us Waqt ye size m aapki band Mutthi
ke barabar hota hai aur Shakal me nashpati Ki Tarah. Pregnancy
ke Aakhiri Dinon Tak ye Ek football Jitna bada ho jata hai aur
Bacche Ki paidaish ke baad Fir se Apne asali size me Aa Jata Hai.
Bacchadani Uterus me sperm aur Anda Milkar baccha banate
hain aur wo 9 mahine isi me Rahta Hai. Ye majbut Muscles se
banaa hota hai aur Jab baccha pura ban jata hai to Jor Lagakar
usko Bahar Nikalti Hai. Iski andruni Satah per Ek jhilli Hoti Hai
jisme Khoon Ki Nasen aur Gland bahut jyada mikdar me hote
hain. Bacchedani ka Munh (Cervix) niche Vagina me khulta Hai.
Aamtaur pr ye band Rahta hai Alava Iske ki Jab period ka Khoon
discharge ho ya baccha Paida Hota Hai.
Vagina
wo Tube hai Jo Peshab Nikalne wali Jagah se bacchedani Tak
Jaati Hai. Iski lambai 3 se 4 inch Hoti Hai, Ye Pipe ki tarah Khuli
Nahin rahti Balki mauze Ki Tarah band rahti hai. isme ek Naram
jhilli Hoti Hai, ye bahut lachakkar hoti hai aur baccha isme se
pura nikal Jata Hai. Period ke ka Khoon bhi isi me se nikalta hai,
sexual intercourse me bhi isime Penis dalkar hota hai.
Jawani (Puberty)
Ek Ladki Ke physical aur mentally action uski javani
ki taraf Ishara karte hain, isliye pahle period ke baad
Se Chehre per Auratpan, DilKashi aur Aankho me
Kashish Paida Ho Jaati Hai Yaani ki specific
attractiveness badh Jaati Hai. Jism Ka sudol Pan Jo
Umr ke 7we Saal se shuru hua tha Khaas jahir ho
jata hai aur Kulhe (Hips) ka failav badh Jata Hai.
Pubic Hair
Javani Ki nishaniyon me Pubic Hair Nikalna bhi Ek
Nishani hai. Shuru Shuru me ye Halke Rang Ke
hote hain Lekin baad me Kaale Ho Jaate Hain aur
mote bhi. Aamtaur per Sar ke baalon ke mukabale
me jyada Kaale hote hain.
Kisi Ladki me Halki hote hain aur kisi me Ghane
Baal. Bagalon me bhi ugate hain, Iske alava
Tangon aur Bajuon per bhi, Kai bar chhatiyon per
Nipple ke aaspaas aur pet per bhi Kuchh Bal nikal
Aate Hain
Islam Ne Hamen ye hukm diya hai ki Pubic hair
aur bagalon ke baal jyada Se Jyada 40 Din me
saaf kar lena chahie warna gandgi Maani jaati
hai aur Gunaah Bhi. Zyadatar auraten Baal Saaf
karne wale powder ya cream istemal Karti Hai.
Pahle zamane me jyadatar auraten Apne Hatho
se Baal nochti Thi, iske liye ungaliyon me
gandhak Lagaya jata tha ki Baal Hath me
majbuti Se Aa Jaaye. Ye Amal javani ke shuru
me hi shuru kar diya jata tha isliye Kuchh Saal
Baad wahan Ekka Dukka Baal hi nikalte the
Kyunki baalon ko jad se hi nikala jata tha aur
Auraton ke baal kam aur naram hote hain.
Baal ukhadne ke dusre tarike bhi hai Jaise Khas
chipakne wala plaster Jise Lagane ke baad
hataya jata hai to Baal bhi Sath nikaal leta hai.
Aajkal aisi bijli ki machine bhi maujud hai Jisko
Baal ukhadne wali Dapy later Kahate Hain. Bijli
ke shavar (lady shaver) aurato ke liye khastaur
per banae Jaate Hain, Jo mardon ke shaver Se
Alag hote hain ye bhi Har Jagah ke baal saaf
karne ke liye behtarin hai.
Periods yaa Menstruation
Pitutory gland ke Ek Hormone ki vajah se Anda
Apne follicle se bahar Aa Jata Hai, is Khol Se Bhi Ek
Hormone Paida Hota Hai Jise projesterone Kahte
Hain. is Hormone ki vajah se bacchadani is Kabil Ban
Jaati Hai Ki Jab baccha Bane to wo usko diet aur
nutrition ka bandobasht karen. Agar Anda aur
Sperm Naa Mile aur baccha Naa Bane to Astrogone
aur Progesteron Donon hormone ki paidavar kam Ho
Jaati Hai Aur bacchedani Ki jhilli ukhad Kar Khoon
ke sath Andaam nihaani (Vulva) se bahar Aa Jaati
Hai, Jisko menstruation Kahate Hain.
exercise
Rojana Kuchh Naa Kuchh Waqt nikaal kar
exercise bhi Karen Yaa Koi Khel Khele isse Behtar
sehat ke sath-sath period ka Dard Bhi kam ho jata
hai. exercise ke liye sidhiyon ke Upar Bhaag kar
Jaaye aur Niche utren, Agar 10 sidhiyon per Din
me 5 baar jaen To Achcha hai.
Heavy Periods
Periods ke discharge me sirf Aadha hissa Khoon
Hota Hai Baki bacchedani ki ukhdi Hui jhilli Aur
bacchedani Ke Munh (cervix) aur vagina ki secretion
Shamil Hoti Hai. Ye Har Bar takriban 4 Se Lekar 8
chammach Khoon hota hai. Halanki lagta isse bahut
jyada hai Magar khoon me Kami V jyadati hoti rahti
hai.
Chhatiyaan (Breasts)
Javani aur uske Fauran baad ladkiyon me physical
change ki vajah se chhatiyon me ubhaar Aana Ek
natural baat hain. Ye kaifiyat ladki ko Aurat
Banane aur Maa banne ke liye taiyar karne ki
shuruaati Manjil Hai, is buniyadi jarurat se ulat
Hajaron Saal se Aurat ke seene ka ubhar Husn Ki
Ek alamat Samjha Gaya Hai. Mard ke liye Aurat ke
sine ka ubhaar Hamesha se Husn Ka Mayaar Aur
Sexual Attraction Ka Ek Bada jariya Raha hai.
Aam Sehat Mandi, Balanced diet, Physiological aur
sexual khushhali Aurat ko Aurat banae rakhne ke
liye buniyadi jarurat hai. Kuchh Aisi condition bhi
hai jinmen Hormonal Balance Bigad Jaane Ki vajah
se ek jawan Aurat me kisi bhi chiz ki kami ke
bawajud ubhari Hui pistane Pichak Jaati Hai. Kai
Log Chhatiyon ke Chhote hone ki wajah se
Pareshan Hote Rahte Hai Albatta Breast Chhoti
bhi ho to shaadi aur khaskar Bacche Ki paidaish ke
Baad wo ubhar Aate Hain.
Sex Ka Dar
Kuchh Ladkiyon ko Darr hota hai ki Sex bahut jyada
dardnak Hoga, Khoon Bah Jaega Halanki ye Sach
Nahin Hai Sex to Ek bahut hi majedar chij hai Jo ki
husband wife donon ke liye. Haan shuruaat me thodi
bahut taklif auraton ko Jarur hoti hai Lekin Agar wo
sex ke dauran Pursukun Rahe To Kam taklif Hogi aur
Maja Zyada Aayega.
Maksad (Aims)
Sex 2 Aham maksad ko pura karne ke liye kiya Jata
Hai.
Reproduction yaani life cycle ko Aage badhane ke
liye, Dil aur dimag ko sukun Dene ke liye Jaisa ki
Quraan Paak me hai
Aur Uski Nishaniyo me se hai ki tumhare liye
tumhare hi jeans se Jode (Couples) Banaye ki Unse
Aaram Paao aur Tumhare Aapas me Muhabbat aur
Rahmat Rakhi (Al Quraan Surah Room)
Sex ke liye Taiyari (Readiness)
Chunki ek Aurat mard ke mukabale me der se sex
ke liye taiyar hoti hai aur Mard se pahal ki ummid
Karti hai isliye Aurat ko Jyada Se Jyada Khubsurat
Andaaz me sex ke liye taiyar karna jaruri hai. Ham
Apne Har kaam me Chahe vah Kisi bhi maksad ka
ho usme Kamyab tabhi Hote Hain Jab Ham usko
Sahih tarike Se Karte Hain. Sex bhi is Baat Se Alag
Nahin Hai Chahe Koi aadami Kitna bewakuf ya
Aqlmand Ho.
Ek behtarin sex life ke liye ine Baton ko follow
karna chahie
Chumma (Kissing)
Jab Bhi husband aur wife sexual intercourse ke
liye taiyar hote hain to sabse pahle Jo chij wo
karte hain wo hoti hai kiss. Couples Chahe kitne
hi Nadan Kyun Naa Ho Honthon Se Hi kiss ki
shuruaat karte hain. Ye unconscious process
Honth se isliye Shuru ki Jaati Hai Kyunki chehre
ke dusre hisson ke mukabale me Honth Jyada
sensitive hote hain. Lips ke andruni Hisse, Jeebh,
aur uske Sathi organs me taste ke alava Ek
behtarin pleasure bhi hota hai isliye wo Ek dusre
ke lips aur jibh ko chumkar ek dusre ki Dzire ko
badhate Hue, Ek dusre ke sexual organ ko
chhune ke baad sex ki taraf badhate Hain
Foreplay
Kaan Ke Piche
Mardon ki organs me kaan Ke Piche ka hissa bhi
aata hai. Jo Kaafi sensitive hota hai isliye Aap
apne partner ke Kaan me sirf phusphusane aur
unko chumne tk hi naa rakhe balki Uske Kaan
Ke Piche ke Hisse ko Sah'layen aur uske sath
Khele, Forplay ke Waqt Aisa karna Aapke
partner ki excitement badhane me bahut
madad Karega.
Per
Apne Male partner ke Pairon per Halka masaaj
Karen Ye Naa sirf use Josh dilaega balki Uski
sex performance ko bhi Kai Guna badhane me
madad Karega. vaise bhi Jab wo Kaam-kaaj se
Thak Har kar Ghar aaenge to Ek Halka Sa foot
masaj unko Badi Rahat Dega.
Jubaan
Sex ke dauran Kiya gaya ek Lamba Passiaonate
kiss Kitna Jaruri hota hai, Ye batane ki jarurat
Nahin Hai. Ye aapke partner ko taiyar karne ka
sabse Aasan Tarika hai. Kiss karte waqt agar
aap apni Jeebh ka istemal Karte Hain To ye
aapke Sathi ko Kuchh nayepan ka Ehsas dilata
Hai.
Honth
Jaisa ki Ham pahle Hi Bata Chuke hain ki kiss
karna Pyar me Tadka Lagane jaisa hai. Aap
apne partner ke Honthon Ko Chum kar unhen
Kafi Jyada excited kar sakte hain.
Kamar
Belly button Se Lekar pet Ke Niche Tak ka hissa
mardon ke sensitive organ Ki pahchan Hai. Iske
alava foreplay ke dauran Mard ki kamar ko Charon
aur Se gher Kar Agar aap sahlati hai to isse bhi
aapka Sathi sexual activity ke liye taiyar ho sakta
hai.
Hath
Aapko lagega bhala hath mardon ko kaise bekabu
kar sakta hai? Auraton ko lagta hai ke ye to sabse
non-sexual body part hai lekin Aisa Nahin Hai.
Foreplay ke dauran apne partner ke hatho ki
hatheli ko yaa fingertips ko chumkar dekhen.
Aapka partner excited hue excited binaa nahi
rahega.isliye mardo ke sensitive organ me Hath bhi
Shamil Hai.
Thandapan (Frigidity)
Auraton me sexually Thandepan ko Frigidity
Kaha jata hai aur is condition ko mardon me
Naamardi Mana Jata Hai.
Jab tak Insan Anpadh tha to aisi pareshaniyan
bahut kam Dekhi jaati thi Ab jabki Insan civilized
balki bahut jyada educated Ho Gaya Hai To Aise
condition Ka Shikar ho gaya hai. Thandapan Aur
Naamardi Aabadi ke Ek Badi taadad ko ghere
Hue Hain, Is binaa per ye kaha ja sakta hai ki
civilisation ki vajah Se Hi ye sab Kuchh Hua Hai.
Kabhi-Kabhi Thanda Pan Physically Problem ki
wajah se bhi hota hai
Jaise ki sex ke dauran taklif, Dhanka Hua clitoris,
vagina me Kisi Naa Kisi vajah Se surkhi ya Sujan
aur aamtaur Se Jyada tight Hymen aur
Psychological reason ye ho sakti hai ki javani me
bachpan ki maujudgi, sex aur pregnancy se
khauf Jaisi condition Hoti Hai.
Sujaak (Gonorrhea)
Gonorrhea sabse Aam aur aasani se failne wali
Bimari Hai. Sexual life aur isse Bahar iski
tabahakariyaan bahut jyada hai. Penicillin Naami
dawai Discover hone se pahle bahut se log is
Bimari se bimar the. gonoriya sexual intercourse
ko affect Karta Hai. Sexual organs ko nuksan
pahunchana banjhpan aur dusri Bimari ke vajah
gonorrhea hi banta hai. Penicillin aur iski
substitute davaiyon Ke Aane Ki vajah se ye
Bimari Kafi hadd Tak Kabu me Aa gai hai
Aatishak (Syphillis)
Syphillis ek Khas bacteria ki vajah se hota hai.
ye Bimari bhi isi Tarah Se Hoti Hai Ki Ek
infected Insaan ke sath sex karne se wo bhi
infected ho jata hai, is Bimari me shuruaat me
koi dard nahin Hota. Kuchh mahinon ke baad ye
Jism ke har Hisse me Sama jaati hai aur Har
Tarah ka Nuksan pahunchati hai. Ye Bimari
hone ke 50 ya 60 Saal baad bhi Iske Bhayanak
Result Samne Aate Hain Magar ab is Khatarnak
Bimari ka bhi Ilaaj Mumkin hai.