Mudar on Shailendra’s birth centenary Aabad nahi barbaad sahi Gaata hoon khushi ke geet magar Zakhmon se bharaa seena hai mera Hansti hai magar yeh mast nazar!
Song Awara hoon
Bheekh mein jo moti mile tou bhi hum na lenge Zindagi ke aansuon ki mala pehnenge Mushkilon se ladte-bhidte jeene mein mazaa hai Nanhe-munne bachche teri mutthi mein kya hai…
Song Nanhe-munne bachche teri
mutthi mein kya hai Kaanton mein khile hain phuul hamare Rang bhare armaanon ke Naadan hai jo in kaanton se Daaman ko bachaaye jaate hain
Song Hain sabse madhur woh geet
Ye achchha tha na hum kehte kisi se dastaan apni Samajh paaye na jab apne, paraaye tou paraaye the
Song Rulaa kar chal diye ik din
Ghaayal mann ka paagal panchhi udne ko hai beqaraar Pankh hai komal aankh hai dhundhli jaana hai saagar paar Ab tu hi ise samjhaa Raah bhuule the kahaan se hum
Song Tu pyar ka saagar hai
Jo thokar na khaaye nahi jeet uski Jo gir ke sambhal jaaye hai jeet uski Nishaan manzilon ke yeh pairon ke chhaale Kahaan jaa rahaa hai tu ai jaane waale
Song Kahaan jaa rahaa hai
tu ai jaane waale Raaton daso-dishaaon se kahegi apni kahaniyan Preet hamaare pyaar ki dohraaegi jawaaniyan Main na rahungi tum na rahoge Phir bhi rahengi nishaniyan
Song Pyaar hua iqraar hua hai
Sajanvaa bairi ho gaye hamaar Chithiya ho tou har koi baanche Bhaag naa baanche koi Karamwa bairi ho gaye hamaar.
Song Sajanvaa bairi ho gaye hamaar
Kisi ki muskurahaton pe ho nisaar Kisi ka dard mil sake tou le udhaar Kisi ke vaaste ho tere dil mein pyaar Jeena isi ka naam hai
Song Kisi ki muskurahaton
pe ho nisaar Mehmaan jo hamaara hota hai, woh jaan se pyara hota hai Zyada ki nahi laalach humko, thode mein guzaara hota hai.
Song Hotho pe sachchai rahti hai
Din jo pakheru hote Pinjare mein mai rakh leta Paalta unko jatan se moti ke daane deta Seene se rehta lagaaye.
Song Yaad na jaye beete dinon ki
Do nadiyon ka mel agar itna paavan kahlaata hai Kyun na jahaan do dil milte hain, swarg vahaan bas jaata hai...
Song Mere mann ki Ganga
Bhalaa keeje bhala hoga Bura keeje bura hoga Bahi likh-likh ke kya hoga Yahin sab kuchh chukana hai
Song Sajanavaa bairi ho gaye hamaar
Apni kahaani chhod jaa Kuchh tou nishaani chhod jaa Kaun kahe is oar tu phir aaye na aaye Mausam beeta jaaye…
Song Dharti kahe pukar ke
Jisne mann ka deep jalaya Duniya ko usne hi ujalaa paaya Mat rehna ankhiyon ke sahaare Jaago mohan pyare…
Song Jaago mohan pyaare
Main nadiya phir bhi main pyaasi Bhed yeh gehra, baat zaraa si
Song Aaja re pardesi
Ab ke baras bhej bhaiyya ko baabul Saawan mein leejo bulaay re Lautengi jab mere bachpan ki sakhiyaan Deejo sandesaa bhijaaye re
Song Ab ke baras bhej bhaiyaa ko
baabul De-de ke ye aawaz koi har ghadi bulaaye Phir jaaye jo us paar kabhi laut ke na aaye Hai bhed ye kaisa koi kuchh tou bataana O jaane waale ho sake tou laut ke aana!
Song O jaanewaale ho sake tou
laut ke aanaa Mann ki kitaab se tum, mera naam hi mitaa dena Gunn tou na tha koi bhi, avgun mere bhula dena
Song O re maajhi Kal ke andheron se nikal ke Dekha hai aankhein malte-malte Phool hi phool zindagi bahaar hai Tayy kar liya!
Song Aaj phir jeene ki tamanna hai
Raat ko jab chand chamke jal uthe tann mera Main kahun mat kar o chanda is gali kaa phera Aana mora sainyaa jab aaye Chamakna us raat ko jab milenge tann-mann...
Song Piya tose naina laage re
Dil ke mere paas ho itni phir bhi ho kitni duur Tum mujhse, main dil se pareshaan Dono hain majboor Aise mein kis ko kaun manaaye?
Song Din dhal jaaye
Jis raah se tum aane ko the Uske nishaan bhi mitne lage Aaye na tum sau-sau dafa, aaye gaye mausam Yeh shaam ki tanhaiyan, aise me tera gham
Song Ye shaam ki tanhaiyan
aise me tera ye gham Seene se laga teri yaad ko Roti rahi main raat ko Haalat pe meri chaand taare ro gaye shabnam
Song Ye shaam ki tanhaiyan
aise me tera ye gham Kaath kaa tukda bah jata hain Loha duub ke rah jaata hai Gyani soch vichar, hoshiyar hoshiyar!
Song Naiyya teri majhdhaar
Hain sabse madhur woh geet jinhe Ham dard ke sur me gaate hain Jab hadd se guzar jaati hai khushi Aansoo bhi chhalakte aate hain.
Song Hain sabse madhur woh geet
Koi mastaana kahe, koi deevana kahe Koi parvaana kahe, jalne ko beqaraar Chaahat ka mujhpe asar, mai duniya se bekhabar Chalta hoon apni dagar, manzil hai meri pyar. Ayyayya suku suku!
Song Ayyayya suku suku
Kaam naye nit geet banana Geet bana ke jahaan ko sunana Koi na mile to akele me gaana. Kaviraj kahe, na yeh taj rahe Na yeh raj rahe, na yeh raj gharaana Preet aur preet ka geet rahe Kabhi luut saka na koi yeh khazaana!
Song Mera naam raju
Titli udi, udd jo chali Phool ne kahaa aaja mere paas Titli kahe main chali aakash!
Song Titli udi, udd jo chali
Saaqi, mujhe batlaa to de Munh pher ke mat hans Ki maine agar pii ke To kis baat ki taubaa?
Song Yaad aai aadhi raat ko
Kehte hain gyani duniya hai faani Paani pe likhi-likhayi. Hai sabki dekhi, hai sabki jaani Haath kisi ke na aayi.