Tum Pe Ilzaam Bewafai Hai, Itne Din Se Kahan Ho Tum Koi Khabar Nahin Aayi Hai

Download as doc, pdf, or txt
Download as doc, pdf, or txt
You are on page 1of 23

Dil ki pulse zara naram hai, mamla bahut garm hai,

Sanam ne aankh pher lee, mere paas dava hai na marham hai,

Dil rah rah k doobta jata hai,


na kuchh khane ko kahta hai,
na hi usse kuchh bhataa hai,
aasmaan mein Sanam nazar aati hai,
zab saamne dekhta hun, gayab ho jaati hai,
iss ko kaun si dava darkaar hai,
Na koi panda batata hai, aur doctor ka tto bura haal hai,
Sanam ek baar dekh ley agar, tto ye banda khushaal hai,
Usko dekhey ji machlta hai, dard e dil kum hota hai or pulse rate bahaal hai
Mere dil k doctor zara saamne aao, ess bimaar ko fir se apna banao,
Zee lega ye Satyam do chaar din, fir se ek baar jo tum gale lagao

Dil ki nagri hai udaas tere bin, Bujti nahi hai aankho ki ye pyaas tere bin,
Tanhaiyan dasti hein baar baar, Karon mein dil-e-khushion ki talash tere bin!

WOW!! Satya, aap tu bahot ache shayer ban gaye ho. love ur poem dear.
This poem for you:

Waada raha satya


Hongay juda na hum
Chahe na chahe zamana

Humari dosti ka
Mitna sake ga fasana

Inn wadiyoon main yunhi sada milte raheingay hum


Dil mein wafa ke diyay sada jalte raheinagay her janam

Yehi maaga hai main ne duaoon mein


Kami na ho kabhi bhi wafaoon mein

Rahein hum sada teri nigahoon mein


Likho na yeh dost tum fizaoon mein

Humari dosti ka
Mit na sake ga fasaana

Waada raha Satyaaa


Hongay juda na hum
Chahe na chahe zamana

Tum pe ilzaam bewafai hai, itne din se kahan ho tum


koi khabar nahin aayi hai,

dil jalta hai, marhum ka intzaar hai,


kaise kahun k mujhe tum se kitna pyar hai,
jab bhi leta hun angdai, aa jati ho bahon mein meri,
lub jjo khulte hein choom leta hun honthhon ko tere,
aankhen jab khulti hein tto kar jaati hein ye shetaani,
tujhko dekh k eek band ho jaati hai,

Mere dost ko milna ho tto, uski ye pehchaan hai,


Chohdavin ka chhand hai, suraj see usme laali hai,
Naak mein uskay nathini hai, kaan mein sunder baali hai,
khilta hua chehra hai, gulaabon ki khasboo hai,
Jheel see gahri ankhen uski, bijliyan giraati hein,
kaliyon say usske honth, machltay nazar aatey hein,
kaali ghataon see zulfen usski thandak dekar jaati hein,
shohrat se bhara libaas hai, aur dikhne mein vo khaas hai,
yahi mere dost ka andaaz hai,

Naam se insaan ki pehchaan nahi hoti,


Aksar naam mein insaan ki pehchan gum ho jati hai,

Aa dekh dil ki nagri hai udaas tere bin, Bujti nahi hai aankho ki ye pyaas tere bin,
Tanhaiyan dasti hein baar baar, Karon mein dil-e-khushion ki talash tere bin!

Mere bin! ye kaise ho sakta hai, mein rahta hunt tere dil mein sadaa,
nazron ki pyaas bhi bujh jaayegi, jhaank ke dil mein dekho jara,
mukhde pe khushi ka sailaab aayega, ho jayegi khatm teri talash iss tarha,

Itni asani se kaise bhul jata hai koi, Reh-reh kar kyon yaad aata hai koi.
Umar bhar yaad karte rahenge aapko, Dekhte hain kub tak hume bhulata hai koi.

Itni asani se iss liye bhul jata hai koi, Reh-reh kar fir nahin yaad aata hai koi
Umar bhar ghar mein baithe tum rahna, dekhte hein kub tak ghar bulata hai koi

Tumhe sakhiyon se fursat nahin hai, sakhaon se tum baat karte nahin ho,
Mujhe tto ye shak hone laga hai, tum kartey nahin ho ya karti nahin ho,

A Star says:
Itni asani se iss liye bhul jata hai koi,
Reh-reh kar fir nahin yaad aata hai koi
Umar bhar ghar mein baithe tum rahna,
dekhte hein kub tak ghar bulata hai koi

Tumhe sakhiyon se fursat nahin hai,


sakhaon se tum baat karte nahin ho,
Mujhe tto ye shak hone laga hai,
tum kartey nahin ho ya karti nahin ho,
27 Nov 5:34 PM
Delete

says:
Neel
waou what a dashing reply mr star

Sapno se dil lagane ki aadat nahi rahi, Har waqt muskurane ki aadat nahi rahi,
Hame pata hai ke koi hame manane nahi aayega, So aab to rooth jane ki aadat bhi nhi rhi ….

Jab yaar yaari na nibhaye, jab doston k sawaal ka jawaab na de paaye,


kaise wo muskuraega, koun manayega usse, nakhre ki bhi inthaa hoti hai,
kyun uska nakhra jindagi bhar uthhaye,

Tumhari fitrat mere jahen mein mere yaar si hai,


Issiliye tumhe humne dosti ki application di hai,
Achhi lage tto doston mein rakh lena mujhe
Confuse ho tto bhi mana na karna,
Hate lage tabhi denial bhejna mujhe,

Is do pal ki zindagi mein tanhai kyu hai


Logon ko humse ruswai kyu hai?
Is duniya mein insaan kam to nahin
Phir mere saath sirf meri parchai kyu hai?

Tumne iss dil mein mujhe dost ki jagah bithaya hota,


Pyar karke apne ji ko iss janjal mein na fasaya hota,
Magar ye ho jata hai, iss dil pe koi jor nahin chalta,
Dost ki kya khata hai, ye usko tto samjhaya hota,

Wo Ajnabi Hai Jane Kab Chor De,


Hawa Ka Kiya Pata Kab Rukh Mor De,
Hum To Dosre Ka Dil Khush Rkhte Hain,
Magar Dosre Ka Kiya Pata Kab Dil Tor De
dosti do kayason ki bhent chadti hai,
ek comm gap tto dusra bewafai hai

teri shayiri bamushkil hi hum samjhte hein,


bada farq hai dil ke dard or dard e dil mein,
teri adaon ko hum dil ki dava sanjhte hein,

Sachi Dosti bezuban hoti hai,


ye to ankho se bayan hoti hai,
Dosti me Dard mile to kya hua,
Dard me hi to apno or parayon ki phchan hoti hai,

Dost ke dil ka dard meri nus nus mein ubharta hai,


Dosti or pyar mein fark bahut kum hai shayad,
Issliye bewafai ka ilzaam rah rah ke akharta hai,
Duniyawale kuchh kahe ka kya matlab nikalenge,
Issliye dil kuchh kahne se bhi darta hai,

Pyar aise karo dosti ki gunjaish ho,

Dosti aur pyar ki gaadi mein dil ka hi kaam hota hai,


dono hi gaadi pe pyar ka hi rang chadhha hota hai,

dosti or pyar ki gaadi mein fark samajhna seekho dosto,


kyonki gaadi agar derail ho jaaye tto dil ko bada dard hota hai,

Dosti or pyar mein fark bahut kum hai shayad,


Issliye bewafai ka ilzaam rah rah ke darata hai,

Dosti or pyar mein fark bahut kum hai shayad,


Issliye bewafai ka ilzaam rah rah ke darata hai,

Mein nadaan kahne mein chook karta hun,


Log meri har baat ka matlab kuchh aur nikaltey hai,

Teri Bewafaai Ka Mujhe Koi Sikawa Nahi,


Kya Hua Jab Tu Kismat Mein Tha Hi Nahi,
Phir Bhi Hum Duaa Karenge Mere Humnashi,
Tujhko Woh Mile Jo Mujhko Mila Hi Nahi

Tumne ye kya mera band baja rakha hai,


Maine kabhi na chaha thha ess pange mein panda,

Ek baat hum mein bahut khaas hai,


Mein dost dhhondhhta hun,
tumhe yaar ki talash hai,
meri dua ki tujhko mil jaye vo yahin,
jiski tere dil ko barson se talash hai,

Tum humsafar doodhhte ho,

jo tumhare paas hai,


Mein pyar dhhondhhta hun, jo dost ne bharpoor diya hai,

Pyar ki tadap duur rah kar hi badti hai,

Humsafar na sahi dost tu kabool karle,

Dil Ke Zakhmo Ko Dikhaya Nahi Jaata,


Mehfil Me Bhi Humse Muskuraya Nahi Jaata,
Unaki Yaad Kuchh Is Kadar Mujhe Satane Lagi,
Ki Phir Kisise Dil Lagana Chahu To Lagaya Nahi jaata

Tum Itni Door Ho Ki Pass Bula Nahi Sakti


Tumhe Bhulna Chahu To Bhi Bhula Nahi Sakti
Tumhe Is Dil Me Basaya Hain Is Kadar Ki
Dil Se Nikalana Chahu To Bhi Nikal Nahi Sakti

Khuda hamein khushiyan dene ke liye, hamein milaata hai,


jivan prem ki mala hai, dur hone ka dard tto hamne pala hai,
Kabhi Kabhi Uss Dard Ko Hum Zakhm Bana Lete Hein,
Aur Dil Ko khushi Ki Jagah, Gum Ki Dava Dete Hein,

ye allah ki marji hai, ki kisko kaise milata hai,


kabhi wo humsafar banata hai, tto kabhi dost banata hai,

insaan ko afsos ki jagah, khushi ka bahana dhundhhna hai,


dil ke dard ka tto sar moondna hai,

Pass Aakar Sabhi Door Chale Jate Hain, Hum Akele Hain Aur Akele Rah Jate Hain,
Dil Ka Dard Ab Kise Dikhaye Hum, Jab Dava Lagane Wale Hi zakham De Jate Hain,

Door Hain Aapse To Koi Gam Nahi, Door Rahakar Bhi Bhulne Wale Hum Nahi,
Roz Mulakat Na Ho Paye To Kya Hua, Aap Ki Yaad Mithi Mulakat Se Kam To Nahi

Zindhagi Mohataaj Nahi Hai Manziloan Ki, Waqt har Manizil Dikha deta hai,
Marta Nahi hai Koi Kisi se Bichad Kar, Waqt har kisi ko jina sikha deta hai,

ZINDAGI JAB BHI TERI BAJM MEIN LAATI HAI HAMEIN,


YE JAMIN CHAAND SE BADHKAR NAZAR AATI HAI HAMEIN,

SURKH PHOOLON SE MAHAK UTHHATI HAI DIL KI RAHEIN


DIN DHALE YUN TERI AAWAAZ BULATI HAI HAMEIN

YAAD TERIII KABHI DASTAK KABHI SARAGOSHI SE


RAAT KE PICHHALE PRAHAR ROZ JAGAATI HAI HAMEIN

HAR MULAQUAT KA ANJAAM JUDAI KYUN HAI


AB TO HAR VAQT YAHI BAAT SATATI HAI HAMEIN

Meri Har Ek Ada Mai Chhupi Thi Meri Tamanna,


Tum ne Mehsoos Na Ki Yeh or Bat Hai,

Mene Har Dam Tere Hi Khuab Dekhe,


Muje Tabeer Na Mili Yeh or Bat Hai,
Mene Jb B Tujh se Bat Krna Chahi,
Muje Alfaz Na Mile Yeh or Bat Hai,

Mai Meri Tamanna K Samundar Mai Dhur Tk Nikla,


Muje Sahil Na Mila Yeh or Bat Hai,

Qudrat Ne Likha Tha Tujh ko Meri Tamanna Mai,


Meri Qismat Mai Tm Na Thi Yeh or Bat Hai...

Saath rehte rehte yuhin waqt guzar jayega


Door hone ke baad kaun kise yaad aayega
Jee lo ye pal jab humsath hai
kal ka kya pata, waqt kahan le jayega

Saath raho yarron ka gum kuchh kum hone ddo,


door jane ke durr se aankhen num na hone ddo,

Saath raho yaron ka gum kuchh kum karo,


Door jaane ke durr se aanken num na karo,

Iss dil ko bewafai ka ilzaam na ddo,


Meri duaon ko, sajaon ka tum naam na ddo,
Iss dil mein dhadkan ki tarah rahne wale,
Duur jaane ke liye, bewafai ka ilzaam na ddo,

Tere koochey mein tera dewana darr pe pade hein,


Duur mujhse chaley tto gaye, ilzaam e bewafai karke,
Na tto andaj se kahten hai ke jeena hoga,
zahar bhi deten hein aur kahte hein ke peena hoga,
jub mein peeta hunt tto kahte hein marta bhi nahin,
jab mein marta hun kahte hein ke jeena hoga,

khataayen maaf kardo, zanoon-e dosti ki,


ho jati hein jo, vaffaon se badhkar nahin hoti,

Nazar uun pher ke jaogi gar tum,


tto kaise dard se bach payenge hum,

achha kiya jo kah diya, dard kuchh kum hone laga,

mujeh bhi neend ayegi tumeh bhi chain ayega,

Raha jo dil mein dhadkan ban ke


bichda mujhse vo bewafa ban ke
na ummid rahi jeene ki ab
ae dosto
milli hamein dava bhi ek sazaa ban ke

Pyar karna, prem pujariyon ka kaam hai,


Fayada nuksaan vaypariyon ka kaam hai,

Tumhare dil mein kya hai, ye tto mein janata hun,

Duniyadari ki rasmo ko mein kya jaanu,

Dil se eed mubarak tunko,

Eed mubarak kahta hun,


Dil ki baatsun bhi leta hun
Jo dil mein hota hai kahta hun,
Fayada nuksaan mein kya janu,

Mein tto prem pujari hun,


Tere dil mein kya hai jaanu, mera dil ye pahchanta hai,

Duniyadari ki rasmo ka hunr hamne nahin seekha,

Kya Fayada Kisi ko chahane ka ?


Kya Fayada Kisi ki yadon me aansu bhane ka ?
jo samjhe na kisi ke dil mein basa pyaar..
kya fayada uske pyaar meindil ko tadpane ka

pyar ke soude mein tto, dil ka nuksaan hi hota hai,


neend bhi jaati hai, insaan chain bhi khota hai,
Duniyadari ka hunr hamne nahi seekha,
Pyar karne walon ko,
souda karte kabhi hamne nahin dekha,

ye pyar ka khel hai, vaypaar ka nahin,


vayapar karne wala takka nahin ganva sakta,
aur pyar mein sub kuchh lutana padata hai,

Tere dil mein kya hai, ye tto mein janata hun,


aur duniya-dari, ye mein kahan pahchanta hun,

jo tumhare dil mein hai pahchan leta hun,

Ye teri aawaz ka zadu hai, ya enn nigahon ka,


Ye teri wafaon ka asar hai, ya teri duaon ka,

khuda kare meri khushi, uunhi barkrar rahe,


kyonki teri khushi mein hi tto meri khushi rahti hai,

Kyonki mera dil apne aap se bekabu hai,


Teri duaon ke sadke, teri wafaon ke sadke,
khuda kare meri khushi barkrar rahe,
kyonki teri khushi mein hi tto hai meri khushi,

khamoshi me jo sunaoge wo awaz meri hogi


zindagi bhar sath rahe wo wafa meri hogi
duniya ki har khushi ek din tumhari hogi
kyon ke sab ke piche duwa meri ho gi

Dil lagana tere bus mein nahin,


Kyonki, vo jis bus mein hai, tere bus mein nahin,
Khuda khud driver ki seat pe baitha hai,
Uski marji hai jahan, vo le jayega vahin,

Dil Ko Addat Si Ho Gai Hai Choot Kahanay Ki


Bheegi Palkoon K Sang Muskuranay Ki
Kaash Anjaam Hum Pehlay Say Jaan Jaatay
Tu Koshish Bhi Nahin Kartay Dil Laganay Ki

“Janam din bahut bahut mubarak ho,


tum jiyo hazaron saal, saal ke din hon 50000”

Baar baar din ye aaye, baar baar dil ye gaaye


Tu jiye hazaaron saal, ye meri hai aarzoo
Happy Birthday to you, Happy Birthday to you
Happy Birthday dear Sweet, Happy Birthday to you

Agar aap ko bhi wish karna hai,


tto dhhondhhna bahut aasaan hai:

Chohdavin ka chhand hai, suraj see usme laali hai,


Naak mein uskay nathini hai, kaan mein sunder baali hai,
Kamal sa khilta chehra uska, aur chaal matwali hai,
gulaabon ki khasboo hai usme, julfen kaali kaali hein,
bijliyan giraati huie, jheel see gahri ankhen hein,
kaliyon say gulaabi honth uske, machltay maiy ke pyale hein,
kaali ghataon see zulfen usski thandak dekar jaati hein,

shohrat se bhara libaas hai, aur dikhne mein vo khaas hai,


yahi mere dost ka andaaz hai,

pyaar itna karo k usme koi had na ho,


bharosa itna karo k usme koi shaq na ho,
intezaar itna karo k usme koi waqt na ho,
dosti aisi karo k usme koi nafrat na ho,

Khuda hamein khushiyan dene ke liye, hamein milaata hai,


jivan prem ki mala hai, dur hone ka dard tto hamne pala hai,

ye allah ki marji hai, ki kisko kaise milata hai,


kabhi wo humsafar banata hai, tto kabhi dost banata hai,
mein nahin janata, kyon mile hein hum,
magar ye ahsas hota hai, ki hum bichhude hye hein

Tumpe ilzaam bewafai hai,


chaar din kahan thhe tum, koi khabar nahin aaye hai,

Jaate huye tumne high voltage ka jhhatka diya hai,


Aur mujhe beech mein hi latka diya hai,

Ye kaun hai jise I love u kahke mujhko jalaati ho,


Aur mujhe 440 volt ka jhhatka lagaati ho,

Ye kaun hai, jispe dil hi dil mein marti ho,


birth day ke bahane jaan dene ki baat karti ho,

Gum ke andhere,
pyar ke ujalon se door hotey hein,

dil saath nahi deta aur aankhen num ho jaati hein,


Jab chahne wale binakhabar dur ho jatey hein,

Mere khuda agar wo mere itney kareeb hai,


tto uss se dur rahna, kya mera naseeb hai,

Pyar ke ujalo me gum ka andhera kyu aata hai


Jisko hum chahte hai wohi kyu rulata hai
Mere khuda agar wo mera naseeb nahi
To aise logon se kyu milata hai..

Hasino ki nigahon se jara bachkar chalo,


Kahin hum dub ke unme, apni shaan na kho den,

Aaaj mein free hun aur tumeh mein apna ptaa batata hun,
Aur ghar pahunchane ki raah dikhata hun,
Shahar kaa naam Internet hai, aur hi5 society mein rahta hun,
Naam A Star Kama hai, aur flat no. imix39.hi5.com mein rahta hun,
pakka pata imix@in.com hai, beeme ki rakam vahin aani hai,
iss society mein hamare dost bhi rahte hein, jinse mein aksar milta hun,
sweet inme sabsay khaas hai, dil ki vo bahut komal hai, magar rahti udaas hai,
dikhne mein jitni sunder hai, likhne mein uss se bhi laazwab hai,
uss mein jo likhne ki ada hai, vo uska subse khoobsurat andaaz hai,

dost ka janam din aane wala hai,


mein yahaan pe rahta hun, vo saat samader paar hai,
pahle mein dost ke liye, bajaar se kuchh launga,
baaki baten mein baad mein bataunga,
kyonki apne ghar bhi mein, uska janam din manaunga,

Purnima ki raat ko, aasma mein jab chaand niklta hai,


Chandani ki barsaat, aur Taaon ki baraat hoti hai,

Dost ka aaj janm din hai, meri taraf se dost ko

“Janam din bahut bahut mubarak ho,


tum jiyo hazaron saal, saal ke din ho 50000”

Agar aap ko bhi uss se milna hai,


tto dhhondhhna bahut aasaan hai,

Mere dost ko milna ho tto, uski ye pehchaan hai,


Chohdavin ka chhand hai, suraj see usme laali hai,
Naak mein uskay nathini hai, kaan mein sunder baali hai,
khilta hua chehra hai, gulaabon ki khasboo hai,
Jheel see gahri ankhen uski, bijliyan giraati hein,
kaliyon say usske honth, machltay nazar aatey hein,
kaali ghataon see zulfen usski thandak dekar jaati hein,
shohrat se bhara libaas hai, aur dikhne mein vo khaas hai,
yahi mere dost ka andaaz hai,

Naam se insaan ki pehchaan nahi hoti,


Aksar naam mein insaan ki pehchan gum ho jati hai,

Ye ghar basaya nahin ja sakta, chamkaya ja sakta hai,


Dost yahan bulaye ja sakte hein bithaye nahin ja sakte,
Dost yahan par aatey hein, tofe de jaatey hein,
Kuchh dil ko bhate hein, kuchh dil ko lag jaatey hein,

Hum kitne ddoor hein, magar dil ke karib,

Vaisey tto choori ka koi darr nahin hai,


Lekin churane wale kuchh na kuchh tto chura hi lete hein,
Dil ki chori ka sabse bada khtra hai,
Kyonki uske saath neend bhi jaati hai or chain bhi jata hai,
Insaan apne hi ghar mein begaana ho jata hai,
Khayalon mein haseen chor hamesh chhayua rahta hai,
Har waqt dil mein samaya rahta hai,
Mein tumse ddor nahin rahta,
Tumhare dil mein rahta hun,
Jab tumko niharta hunt to mein kuchh nahin kahta,
Pyar se tumhare bolon ko mein sochta rahta hun,
Tumhare makhmali hone ka ahsaas, tumhare bol karate hein,

Aaj bhi keh raha hun, aur fir bhi kahoonga, 3.09.09
nazaron se tumhari duur na rahunga,

Dil mein tumhare ghar banaya hai jis tarah,


En jheel see gahri aankhon mein bas jaunga uss tarah,

nazaron mein tumahri ghar banaunga uss tarah,

mar ke bi dil se yeh pyar na ho kam 3.09.09

pyar kabhi kam na karma sanam,


har kami gavara kar lenge

Ddoor nahin samne vale chobaare mein rahta hun, 2.09.09


nazar utha kabhi dekho tum,
dikhae nahin deta kyonki dil mein tumhare rahta hun,
dil mein utar ke dekho tum,

Ek gujarish ki thi apne yaar say


mein jaata hun jahan say aaya tha,
hasrat rah gayi hai yaar kay dedaar ki,

apni tanhai ki mehfil sazee hai, chaley aana,


vahin pe dhun sunaunga mein apne pyaar ki,

har shab hai tera intzaar, kab aaogi,


zism say jaan juda hogi kya tab aaogi,

Aaj keh diya phir na kehna kabhi,


meri nazro se dur tum na rehna kabhi,
khushi bankar labon pe aaye ho tum,
Ashq bankar aankho se na behna kabhi,

En phoolon ki barsaat ka kya kahna,


Yarron ki sougaat ka kya kahna,
Milan ke saath judai hai,
Yarron ki fariyaad ka kya kahna,

Chun chunk e diye jo phool mali ne mere yaar ko,


Yarron ne uun phoolon ko yaroon pe vaar diya,
Sukr gujar hun uus maali ka
jisne ye phool meri jholi mein daal diya,

Jate jate ye jajbaat ka kya kahna


En foolon ki sougaat ka kya kahna

Karoge Yaad Ek Din Is Pyar Ke Zamane Ko


Chale Jayenge Jab Hum Kabhi Na Vapas Aane Ko
Chalega Mehfil Me Jab Zikr Hamara Koi
To Tum Bhi Tanhayi Dhundoge Aansu Bahane Ko

Tum kis jamane ki baat karti ho,


Tum vahan jane ki baat karti ho,
jis jahan say aaya hun tujhse milne,
Tum bhi vahan jaane ki baat karti ho,

bejaan phool ko khushbo dena koi aapse sikhe rothe hue ko hasana koi
aapse sikhe dost banana toh har koi janta hai dosti nibhana koi aapse sikhe.
26.08.09

vo kis jamane ki baat karti hein,

vo vahan jane ki baat kartey hein,

jis jahan say aaya hun unse milne,

vo fir vahan lay jaane ki baat kartey hein,

A Star says: 25 Aug 3:05 PM


Tere jism se khasboo jo mud ke aati hai,
Kabhi ye chain tto kabhi dard de ke jati hai,
Meri wafaon ka hisaab lene wale,
Tujeh kya ilm hai, ki yaad teri, raat bhar sataati hai,

Apni in tanhayion ka ilaaj kis se le hum,Tere diye dardo ka hisaab kis se le hum,
Humari wafaon ko hamesha prakhne wale,Teri Bewafaion ka jawaab kis se le hum...

Karoge Yaad Ek Din Is Pyar Ke Zamane Ko Chale Jayenge Jab Hum Kabhi Na Vapas
Aane Ko Chalega Mehfil Me Jab Zikr Hamara Koi To Tum Bhi Tanhayi Dhundoge Aansu
Bahane Ko

mein jaata hun jahan say aaya tha,

hasrat rah gayi hai yaar kay dedaar ki,

apni tanhai ki mehfil sazee hai, chaley aana,

vahin pe dhun sunaunga mein apne pyaar ki,

kabhi hum dost kahte hein, kabhi tum pyar kahte ho,
ye duniya khushnaseebon ki, zinhen tum yaar kahte ho,

ye dewaana tumhari har ada ka kayal hai,

lekin tumhari dard ki dewaar se ye ghayal hai,

dil mein ye jo dard ki dewaar saja rakhi hai,

mein kahan jaunga kaise rahunga,


 
tu battta dey, tu meri dushman hai kay sakkhi hai,

A Star says: 24 Aug 5:20 PM


Log kahte hein ki vo ek pari hari, Delete

Mein kya jaanu, vo sapno mere aye nahin hai, 


Log kahte hein vo mishri ki dali hai,
Mein kya jaanu, maine chakhhi nahin hai, 
24 Aug
A Star says:
5:20 PM
ek mera “yaar” hai, jo sab karne ke liye tayyar hai,
visay vo samajhdaar hai, khoya khoya rahta hai,
magar mujhe kahta nahin “yaar” hai,
Yeh duniyawale bhi bade ajeeb hai. Kabhi hamse door to kabhi kareeb hai Dard na
bataye to hame kayar kehte hai Aur dard bata de to hame shayar kehte hai

log bahut kuchh kahte hein, ye tto rivaaz purana hai,   

tum shayar ho ya nahin, magar andaz shayarana hai,

kabhi hum dost kahte hein, kabhi tum pyar kahte ho,

ye duniya khushnaseebon ki, zinhen tum yaar kahte ho,

Waqt Ki Aandhi Main Toofan Badal Jatay Hain


Zindagi Ki Rahoon Main Insaan Badal Jatay Hain
Badaltay Nahin Pyaar Kabhi
Pyaar Karnay Walay Insaan Badal Jatay Hain
A Star says:
20 Aug 12:36 PM
khataayen maaf kardo, zanoon-e-dosti ki, Delete

ho jati hein jo, vaffaon se badhkar nahin hoti,


A Star says: 20 Aug 12:37 PM
Nazar uyn pher ke jaogi gar tum, Delete

tto kaise dard se bach payenge hum,


A Star says: 20 Aug 12:38 PM
kuchh kah do tto dil ka dard kum ho jayega,
mujeh bhi neend ayegi tumeh bhi chain ayega,

Paani se tasvir kahan banti hai, Khwabo se takdir kahan banti hai, Kisi ko chaho to
sacche dil se, Kyon ke yeh zindagi phir kahan milti hai.

mere mahboob saayad aaj kuchh naaraj hein mujhse,

mein kitne paas hun phir bhi vo kitne doo hein mujhse, mere mahboob..............

vo mehfil mein tto aaye hein kalam* ghar bhool aaye in hein,               *pen

likhun  kya gum, likhaye ka, likha jaata nahin mujhse, mere mahboob...............

ye rona hai padhai ka magar, kis se kahon, kaise

ye bbojha ab kitabon kaa saha jaata nahin mujse, mere mahboob shaayad aaj kuchh............ 

A Star says: 18 Aug 4:03 PM


Khudaya khud mukkamil hai jahan mein,
Hum insaan tto mahaz galti ke putley hein,
jo hon hum pyar ke kabil, khata ko bhool jaana,
ye wo shey hai jo rah rah kar, doston ko rulati hai

Dard ki deewar pe fariyad likha karte hain, Har raat tanhai ko aabad kiya karte hain,
Ae Khuda khush rakhna une hamesha, Jine hum har pal yaad kiya karte hain.

mein nahin janata, dil se chahna kya hota hai,

kyonki, chahat ek pyas hai, ek rooh ki,

jjo bichhdi huye rooh se mil ke hi tto mittati hai,

Dil k rishtey bhi kitney ajeeb hotey hain, Door reh ker bhi kitney qareeb hotey hain, jo
log aapko roz dekhtey hain, woh log kitney khush naseeb hotey hain

tujh me jo pyar karne ki ada hai,


vo duniya ke sab logon se juda hai,
tumne ek anjaan ko itni dua di,
dikha diya ki,
faryadi ka dil kitna bada hai,

Mera dil ka dard kisne dekha hai, mujhe bas khuda ne tadpte dekha hai, hum tanhai
main baithe rote hain, logon ne hamain mehfil me hanste dekha hai….

khuda ka shukr hai yaar mehfil mein aaya hai,

andhere chhant gaye, mehfil mein shabab aaya hai, 

khta jo ho gai tto maaf kardo,


pakad ke kaan dund baithak lagaata hun,
salaamat rahe mera dost, hamesha muskurata rahe,
dua bhagwaan se har dum ye karta hun,

Aapki zindagi me kabhi koi gam na ho,


Aapki aakhen kabhi aansu se nam na ho,
Aapko mile zindagi me har khushi,
Bhale hi us khushi me ham ho na hoN

Khuda ne husn ki malika banaya,


Khayaal paak, dil sone sa banaya,
Aankhen jheel se gahri aur Mukhda chaand sa,
Ghataayen sharmati hein julfon se tumhari,
hmein madhoshi chhae, muskurane ki ada se,
Zuda rahna tumahare bin sazaa hai,
Kudaaya maange lun tujheko kudaa se

I MISS U SOOOOOOOOOOOOOOOOOOOOOOOO MUCH

Unke chehre pey kya likha hai, mein kya zaanu

unki aankhon mein kya chhipaa hai, mein kya zaanu,


kabhi rukhsaar ney pardaa uthaaya hi nahin,

dilksh andaaz, kahan.... kaisey... mein kya zaanu 

Mushkil sawaal aur bhi aasaan ho gaya,

sarey shaam kissi dil kaa katl-ey-aam ho gaya,

vo kahte hein mujhse bahut mohabbat hai,

ya rab, ab zeeney kaa raasta aasaan ho gaya 

Aapki zindagi me kabhi koi gam na ho,


Aapki aakhen kabhi aansu se nam na ho,
Aapko mile zindagi me har khushi,
Bhale hi us khushi me ham ho na hoM.
Yeh hamari kismat hai ki aap hame dost kahete hai dur hokar bhi yaad karte hai waqut
aane pur hum bhi dikha denge ke dosti ka hakk kaise ada karte hai

Dillon se khelna, devaano se seekho,

shama mein jal jaana, parvano se seekho,

haar ke bhi usko, jeet ka majah aatta hai,

marte hye bhi jindgi kaa geet gaata hai, 

Dilloan say khelne ka hunar hame nahi aata;


Isiliye ishq ki baazi hamm haar gaye ;
Meri zindagi se shayad unhe bahut pyar tha ;
Isiliye mujhe zinda hi maar gaye

I LOVE U SOOOOOOOOO MUCH

Kyun Kiye Sab Waade Jab Chhod Ke Jaana Hi Tha


Kyun Dikhaye Sapne Jab Tod Ke Jaana Hi Tha
Kyun Jagaayi Mere Dil Me Itani Mohbbat
Jab Iss Dil Ko Tod Ke Jaana Hi Tha

Ishq ki raah aasaan nahi hai,


ye manoranjan ka saamaan nahin hai,
khushiyon se jyaada gum milte hein,
Roomaal enke aksar num milte hein,
soney se jayaada rona padta hai,
paane se jayaada, khonaa padta hai,
dheeraj nahin hai todanaa,
meri jaan ye pyar ki raah hai,
ddoor tak padega ddodna 

pyar ek tarang hai, kabhi bhi rang laayegi,


tum laakh sambhalo, wo sab kuchh loot le jayegi,
poochhenge sabhi sweet kya haal bana rakha hai,
dar-e-dil tum fir bhi na kah paogi

Chaah kar bhi, mein ess lafde mein na padoonga,


lunch kaa samay hai, mein tto lunch karoonga 

Koi na mila aisa Jispe Duniya Lutta Dete


Sabne Dhoka diya Kis Kisko Bhula Dete
Dil ka Dard Dil Mein Dabaye Rakha hai
Bayan Karte toh Mehfil ko Rula Dete

Jiski koi manjil nahin, 4.08.09


koi kinaara nahin,
Usko tto meri zaan,
Khudaa ka bhi sahara nahin,
tanhai mein mehfil sajaaye baithe ho,
or yaar ka bhi intzaar nahin,
kaise ho tum aashiq,
yaron ka bhi aetbaar nahin,

Mein tto chalta hun lunch taiyyar hai,


Khaana hai aashiqi ke leye, verna lunch bekaar hai

na meri koi manzil hai na kinara,


Tanhai meri mehfil or yaadien mera sahara
Usse bichar ker kuch yun waqt guzra,
Kabhi zindagi ko tarsay kabhi maut ko pukara.

Wada Na Karo Agar Tum Nibha Na Sako,


Chaho Na Usko Jise Tum Pa Na Sako,
Dost To Duniya Me Bahot Hote Hai,
Par Ek Khas Rakho Jiske Bina Tum Muskura Na Sako..

Aye Khuda Dua Meri Yeh Khali Na Jaye


Ke Mere Dostki Palkon Pe Aansu Na Aaye,
Aansu Nikle To Khushike Nikle,
GaMke Aansu Mujhe Aa Jaye…

Dil to bana hai jaise tootne ke liye


Ek saathi to mila tha jaise roothne ke liye
Pyar ki kashti bhi chali thi jaise doobne ke liye
Aur rab ne khushiyaan di thi jaise lootne ke liye

Kal Ka Intezaar Hume Nahi Hain,


Dil Mein Pyaar Ke Liye Jagah Nahi Hain,
Pyaar Mein Hum Aise Chot Khaye,
Ab Rone Ke Liye Ankhon Mein Ansu Bhi Nahi Hain.................

Naa woh aa sake naa hum kabhi jaa sake


Naa dard dil ka kisi ko suna sake
bus baithe hai yaadon mein unki
naa unhone yaad kiya aur naa hum unko bhula sake

Apni in tanhaiyon ka ilaaj kis se ley hum,


Tere diye dardon ka hisaab kis se ley hum,
Hamaari wafaon ko parkhane wale,
Teri bewafaon ka jawaab kis se le hum,

Tere jism se khasboo jo mud ke aati hai,


Kabhi ye chain tto kabhi dard de ke jati hai,

Meri wafaon ka hisaab lene wale


Tujeh kya ilm hai, ki yaad teri, raat bhar tadpaati hai,

Gulam shaeb

Khuda ne husn ki malika banaya,


Khayaal paak, dil sone sa banaya,
Aankhen jheel se gahri aur Mukhda chaand sa,
Ghataayen sharmati hein julfon se tumhari,
hmein madhoshi chhae, muskurane ki ada se,

khataayen maaf kardo, zanoon-e dosti ki,


ho jati hein jo, vaffaon se badhkar nahin hoti,

Nazar uun pher ke jaogi gar tum,


tto kaise dard se bach payenge hum,

kuchh kah do tto dil ka dard kum ho jayega,


mujeh bhi neend ayegi tumeh bhi chain ayega,

Zuda rahna tumahare bin sazaa hai,


Kudaaya maange lun tujheko kudaa se

Mein apne aap se ghabra gaya hun,


Kahin ye zindagi na dewana kar de,
Tumhare pyar mein, jakdaa sa gaya hun,
tumhari tadap dekh ke, ghabra saa gaya hun,

sar per kafan bandhe, khudaa ko milne gaya tha ,


poochha ke tu sweet ko tadpataa kyun hai,

kahane lagaa ye sweet,


aur tujhe kis baat ki preshanee hai,
pyar ki tadap esne abhi dekhi nahin hai,

tere tto husn ke chrche yahan hein,


vah vahi hi bikhri hai, jaon jahan mein,

agar tu pyar se ek baar kah de,


meri jaan pyar se tu yaar kah de!

thnx for adding me in u r frnds list,

Log kahte hein tu mishri ki dali hai,


Mein kya jaanu, maine chakkhi nahin hai,

Log kahte hein ki tu ek pari hari,


Mein kya jaanu, tu sapno mere aye nahin hai,

agar tu pyar se ek baar kah de,


meri jaan pyar se tu yaar kah de!

thnx for adding me in u r frnds list,

Zaneman tum tto khayalon ki malika ho,


Ek nashe ki tarah chhayee rahti ho,
Kabhi sweet, kabhi rani, tto kabhi tulika ho,

zaneman sweet tto ek ayesa saroor hai,


jo har waqt ashiq pe chhaya rahta hai,

ek mera pyar hai, jo mujhe kahta nahin yaar hai,

Ek nashe ki tarah chhayee rahti ho,

Kabhi sweet, kabhi rani, tto kabhi tulika ho,

Tera ashiq tere khayalon mein khoya rahata hai,


Tujhse yaar kahalwane ko bekrar rehta hai,
Tum khayalon ki malika ho, hosh mein ye kehta hai,
tera ashiq madhoshi kay alam mein rahta hai,
tujhse yaar kahalwane ko bekrar rehta hai,

tere tto husn ke chrche yahan hein,


vah vahi hi bikhri hue hai, jaon jahan mein,

Dosti

aysa kabhi hum tto hone na denge


roothe huon ko manaa ke rahenge,

barson baad miley hein aysey dost,


kaise sochoge ke jaane hum denge

pichley zanam ke hum saathi hein koi,


desh, majhub, ya jaati ho koi,
rishte mein beti ya bhabhi rahi ho,
ya meri bahana ya zaya rahi ho,
kuchh tto hai bandhan jo ab tum miley ho,
kaise roothogi, mujeh ye tto batta do,

tumhare liye hein tumhare rahenge


roothe huon ko manaa ke rahenge,

zane anjane mein kah bhi diya ho,


kah bhi diya ho tto kah bhi diya ho,
tum kaisey uun ankhen churane lagi ho,
hoti hein doston mein, kabhi baaten bhi aisy,
rootho manao ye chalta rahega,
zamaana ye tumse kabhi na kahega,
kyon roothi ho, koun dard tumhara sahega,

tum ho lakon mein, ye tumko hai karna,


zindagi hai tumhari, tum parvah na karna,

tumhare liye hein tumhare rahenge


roothe huon ko manaa ke rahenge,

jaley koi bhi, tumhe kaise dua de,


milte rahenge doston ki dua sey

khuda ke raham se,


tumhi ko hai marna,

22.08.09

Ye duniya wale bhi bade ajeeb hein,


Kabhi hamse ddoor kabhi kareeb hein,
Dard na batao tto hamen kayar kahte hein,
Dard batao ddo tto hamen shayar kahte hein,

log bahut kuchh kahte hein, ye tto rivaaz purana hai,


tum shayar ho ya nahin, magar andaz shayarana hai,

kabhi hum dost kahte, hein kabhi tum pyar kahte ho,
ye duniya khushnaseebon ki, zinhen tum yaar kahte ho,

jawaani ke hasin jalwe, ye dilkush nazare,


ye tto bahta dariya hai, hein ess kay ddo kinare,
ek pe dard rahta hai, ruswai duje kinare,

Socha nahi acha Bura, Dekha Suna kuch b nahi


Manga Khuda se raat-din, Tere siwa Kuch bhi nahi

Dekha Tujhe Chaha tujhe, Socha Tujhe Pooja Tujhe


Meri Wafa Meri Khata, Teri Khata kuch bhi nahi

Jis per Hamari Aankh ne, Moti bichaye Raat bhar


Bheja wohi Kagaz usey, Hum ne likha Kuch bhi nahi

Aur Ek Shaam ki Dehleez per, Bethey rahe wo Dair tak


Aankhon se ki Batain boht, Munh se kaha kuch bhi nahi
Do-Chaar din ki Baat hai, Dil Khaak mai mil jaye ga

zaneman sweet tto ek ayesa nasha hai,


jo har waqt AStar pe chhaya rahta hai,

Zaneman tum tto khayalon ki malika ho,


Ek nashe ki tarah chhayee rahti ho,
Kabhi sweet, kabhi rani, tto kabhi tulika ho,

Log kahte hein vo mishri ki dali hai,


Mein kya jaanu, maine chakhhi nahin hai,

Log kahte hein ki vo ek pari hari,


Mein kya jaanu, vo sapno mere aye nahin hai,

ek mera “yaar” hai, jo sab karne ke liye tayyar hai,


visay vo samajhdaar hai, khoya khoya rahta hai,
magar mujhe kahta nahin “yaar” hai,

You might also like

pFad - Phonifier reborn

Pfad - The Proxy pFad of © 2024 Garber Painting. All rights reserved.

Note: This service is not intended for secure transactions such as banking, social media, email, or purchasing. Use at your own risk. We assume no liability whatsoever for broken pages.


Alternative Proxies:

Alternative Proxy

pFad Proxy

pFad v3 Proxy

pFad v4 Proxy