Download as TXT, PDF, TXT or read online from Scribd
Download as txt, pdf, or txt
You are on page 1of 1
Woh din bhi har din ki tarah hi tha,
lekin dil mein ek khamosh sa gham tha,
Rituja ki aankhon mein chhupi thi udaasi, magar us dard ka koi izhaar na tha. Jab baat hui, toh zubaan chup rahi, dil ne kaha shayad mein hi galat hoon, Phir raat ko teri playlist mein “Yaariyaan” ka sur suna, tab samjha dard jo chupaya tha wo roohon mein tha.
Shaayad dosti ka rishta toot gaya hai,
ek apna jo tha, ab door chala gaya hai, Woh dard jo tujh pe guzar raha hai, teri aankhon ki nami mein chhupa hai.
Teri muskurahat ne har dard ko chhupa liya,
Woh pyari muskaan jo sabko khush kar gayi, lekin tu andar se kitna udaas thi, yeh kisi ne na jaana.
Rituja, zindagi ke safar mein kai log milenge,
kuch apne, kuch begane, Lekin tumhari dosti ka gehra rishta hamesha chalega, tum jaise log kabhi pyaar ko thukraate nahi. Jo tumhein chhod gaya, usne tumhari ahmiyat nahi samjhi, Tumhari qadr na kar ke, usne apne dil ki kami samjhi nahi.
Har raasta soch samajh ke chuno,
kyunki tumhara dil itna narm hai, Aur jo tumhare dard ko samajhne ki koshish nahi karte, unhone tumhari rooh ki gehraayi dekhi nahi.
Aur ye yaad rakho ke,
Dosti ka matlab sirf khushiyan baantna nahi, Kabhi kabhi dukh bhi apno ke saath mil kar jeena hota hai. Tumhari muskurahat sabko jeet leti hai, Par tumhara chupa hua dard, ek sachai ka aaina dikha jaata hai.
Jo rishta ek baar ban jaaye,
usey kabhi raaste mein mat chodna, Aur jo tumhare saath rahe, us dosti ko kabhi udaasi mein na khona. Har dard ko apne andar mat chupa lena, Kabhi apne is dost ke saath woh gham bhi baant lena.
Yeh rishta dosti ka zindagi bhar chalega,
Chahe zindagi ke mod kitne bhi badal jaayein, par yeh dosti kabhi nahi todega. ~aapka pK
Aaj Phir Teri Yaad Aai Barish Ko Dekh Kar, Dil Pe Zor Na Raha Apni Bebasi Ko Dekh Kar, Roye Is Qadar Mai Ae Dost K Barish Bhe Tham Gaye Meri Barish Ko Dekh Kar .. Ê