Surah Al Baqarah

Download as pdf or txt
Download as pdf or txt
You are on page 1of 90

Surat-ul- (Is mayn 1 Rukoo’ aur

Faatihah 7 Aayatain hayn)


Madaniyyah 5

Allah kay naam say shuru’ jo nihaayat mehr-


baan, rehmat waalaa hay.

1:1 Sab ta’reefayn Allah kay liye hayn jo


tamaam jahaan waalon kaa paalnay waalaa hay.

1:2 bohut mehrbaan rehmat waalaa

1:3 Jazaa’ kay din kaa maalik.

1:4 Ham teri ‘ibaadat kartay hayn aur tujh hi


say madad chaahtay hayn.a

1:5 Hamayn seedhay raastay par chalaa.b

1:6-7 Un logon kaa raastah jin par tu nay


ehsaan kiyaa. Na keh un kaa raastah jin par
ghazab huaa aur nah behkay hu’on kaa.c

‘Unwaan
Allah ‫ َع ﱠز َو َج ﱠل‬ki hamd aur us ki Sifaat.
Sirf Allah ‫ َع ﱠز َو َج ﱠل‬ki ‘ibaadat aur usi say haqeeqi isti’aanat.
Sirat-e-Mutaqeem par chalnay ki du’aa.
Seedhaa raastah wohi hay jo nayk logon kaa ho.

Haashiyah
a
Haqeeqi madadgaar Allah ‫ــل‬ ‫ َع ﱠز َو َج ﱠ‬hi hay kiyonkeh woh zaati tor par qaadir, mustaqil maalik aur ghani
be-niyaaz hay jabkeh Allah ‫ــل‬ ‫ َع ﱠز َو َج ﱠ‬kay maqbool banday us ki ‘ataa say madadgaar hayn. Mazeed tafseel
Tafseer Siraat-ul-Jinaan, Jild 1, Saah 49 par mulaahazah farmaa’ayn.

b
Siraat-e-Mustaqeem say muraad “’Aqa’id kaa seedhaa raastah” hay, jis par tamaam Ambiyaa’-e-Kiraam
‫السـ َـﻼم‬ ‫ َعـلَــيْ ِه ُم ﱠ‬chalay yaa is say muraad “Islaam kaa seedhaa raastah” hay jis par Sahaabah-e-Kiraam ‫ـی الـلﱣــ ُه‬
َ ‫َر ِضـ‬
‫ َعنْ ُه ْم‬, Buzurgan-e-Deen aur Awliyaa’-e-‘Uzzaam ‫ َرح َم ُه ُم الـلﱣـه‬chalay.
ِ

c
Jin par Allah ‫ َع ﱠز َو َج ﱠل‬kaa ghazab huaa un say muraad Yahudi ya bad ‘amal aur behkay hu’won say muraad
‘Isaa’i ya bad ‘aqeedah log hayn.

www.dawateislami.net
Surat-ul-
(Is mayn 40 Rukoo’ aur
Baqarah
Madaniyyah 87 286 Aayatain hayn)

Allah kay naam say shuru’ jo nihaayat mehr-


baan, rehmat waalaa hay.

2:1 Alif. Laam. Meem.a

2:2 Woh buland rutbah Kitaab jis mayn kisi


shak ki gunjaa’ish nahin. Us mayn darnay
waalon kay liye Hidaayat hay

2:3 Woh log jo baghair dekhay Imaan laatay


hayn aur Namaaz qaa’im kartay hayn aur
hamaaray diye ho’ay rizq mayn say kuch
(hamaari raah mayn) kharch kartay hayn.b

2:4 Aur woh Imaan laatay hayn us par jo


tumhaari taraf say naazil kiyaa aur jo tum say
pehlay naazil kiyaa gayaa,c aur woh Aakhirat
par yaqeen rakhtay hayn.

2:5 Yehi log apnay Rab ki taraf say Hidaayat


par hayn aur yehi log kaamyaabi haasil karnay
waalay hayn.

‘Unwaan
Qur’aan shak-o-shubah say paak Hidaayat ki Kitaab hay.
Muttaqeen kay awsaaf.
Muttaqi logon kaa silah, Dunyaa mayn Hidaayat aur Aakhirat mayn kaamyaabi.

Haashiyah
a
Yeh huroof Allah ‫ َع ﱠز َو َج ﱠل‬kay raaz hayn aur Mutashaabihaat mayn say hayn, in ki muraad Allah ‫ َع ﱠز َو َج ﱠل‬aur us
kaa Rasool ‫ َص ﱠﲆ الـلﱣـ ُه َعلَ ْي ِه َواٰلِ ٖه َو َسلﱠم‬jaantay hayn aur hum un kay haq honay par Imaan laatay hayn.
b
Is say ma’loom huaa keh Raah-e-Khudaa mayn maal kharch karnay mayn aysa nahin honaa chaahiye keh
itnaa ziyaadah maal kharch kar diyaa jaa’ay keh kharch karnay kay ba’d aadmi pachtaa’ay aur naa hi kharch
karnay mayn kanjoosi say kaam liyaa jaa’ay balkeh us mayn ay’tidaal honaa chaahiye.
c
Allah ‫ــل‬
‫ َع ﱠز َو َج ﱠ‬ki naazil kardah kitaabon par Imaan laanay aur Qur’aan Majeed say pehli kitaabon kay
ayhkaam par ‘amal karnay ki tafseel Tafseer Siraat-ul-Jinaan, Jild 1, Saah 68 par mulaahazah farmaa’ayn.

www.dawateislami.net
Surat-ul-Baqarah Juzz :1

2:6 Beshak woh log jin ki qismat mayn Kufr


hay un kay liye baraabar hay keh Aap unhayn
daraa’ayn yaa nah daraa’ayn, yeh Imaan nahin
laa’ayn gay.

2:7 Allah nay un kay dilon par aur un kay


kaanon par mohr lagaa di hay aur un ki
aankhon par pardah para huaa hay,a aur un
kay liye bohut bara ‘azaab hay.
2:8 Aur kuch log kehtay hayn keh hum Allah par
aur Aakhirat kay din par Imaan lay aa’ay hayn
haalaankeh woh Imaan waalay nahin hayn.

2:9 Yeh log Allah ko aur Imaan waalon ko


farayb daynaa chaahtay hayn,b haalaankeh yeh
sirf apnay aap ko farayb day rahay hayn aur
unhayn sha’oor nahin.
2:10 Un kay dilon mayn bimaari hay, c to Allah
nay unki bimaari mayn aur izaafah kar diyaa
aur un kay liye un kay jhoot bolnay ki wajah say
dardnaak ‘azaab hay.

2:11 Aur jab unsay kahaa jaa’ay keh zameen


mayn fasaad nah karo to kehtay hayn hum to
sirf islaah karnay waalay hayn.

‘Unwaan
Kuch khaas kaa ron kaa haal aur un kaa anjaam.
Imaan laanay mayn Munaa qon kaa haal aur un kaa anjaam.
Munaa qon kaa islaah kay naam par fasaad.

Haashiyah
a
Kaa ron kay dilon aur kaanon par mohr lagna aur Aankhon par pardah par jaanaa un kay
Kufr-o-‘anaad, sarkashi, aur Ambiyaa’-e-Kiraam ‫ــﻼم‬ ‫ َعـلَـــيْ ِه ُم ﱠ‬ki ‘adaawat kay anjaam kay tor par thaa
َ ‫الس‬
warnah un par Hidaayat ki raahayn shuru’ say band nah theen.

b
Allah ‫ــل‬
‫ َع ﱠز َو َج ﱠ‬is say paak hay keh ko’i usay dhokah day sakay, yahaan Allah ‫ــل‬ ‫ َع ﱠز َو َج ﱠ‬ko farayb daynay say
muraad us kay Habeeb ‫ َص ﱠﲆ الل ُه َعلَ ْي ِه َواٰلِ ٖه َو َسلﱠم‬ko dhokah daynay ki koshish karnaa hay.
c
Yahaan qalbi marz say muraad Munaa qon ki munaafaqat aur Huzoor Pur Noor ‫َصـ ﱠـﲆ الـلﱣــ ُه َعلَيْـ ِه َواٰلِـ ٖه َو َسـلﱠم‬
say bughz ki bimaari hay. Ma’loom huaa keh bad ‘aqeedgi rohaani zindagi kay liye tabaah kun hay neez
Huzoor-e-Aqdas ‫ َص ﱠﲆ الـلﱣـ ُه َعلَيْ ِه َواٰلِ ٖه َو َسلﱠم‬ki ‘Azamat-o-Shan say jalnay waalaa dil bimaar hay.

www.dawateislami.net
Surat-ul-Baqarah Juzz :1

2:12 Sun lo: Beshak yehi log fasaad phaylaanay


waalay hayn, a magar unhayn (us kaa) sha’oor
nahin.

2:13 Aur jab un say kahaa jaa’ay keh tum isi


tarah Imaan laa’o jaisay aur log Imaan laa’ay,b
to kehtay hayn: Kiyaaa hum bewaqoofon ki
tarah Imaan laa’ayn? Sun lo: Yehi log bewaqoof
hayn,c magar yeh nahin jaantay.

2:14 Aur jab yeh Imaan waalon say miltay


hayn to kehtay hayn: Hum Imaan laa chukay
hayn aur jab apnay Shaitaanon kay pas tanhaa’i
mayn jaatay hayn to kehtay hayn keh hum
tumhaaray saath hayn, hum sirf hansi mazaaq
kartay hayn.
2:15 Allah un ki hansi mazaaq kaa unhayn
badlah day gaa,d aur (Abhi) woh unhayn
mohlat day rahaa hay keh yeh apni sarkashi
mayn bhataktay rahayn.

‘Unwaan
Sahabah par aytiraaz aur us kaa jawaab.
Munaa qon kaa doghlaa pan aur Musalmaanon kaa mazaaq uraanaa.
Munaa qon ki sazaa.

Haashiyah
a
Munaa qon kay tarz-e-‘amal say waazeh huaa keh ‘aam fasaadiyon say baray fasaadi woh hayn jo fasaad
phaylaa’ayn aur usay islaah kaa naam dayn. Hamaaray mu’aasharay mayn aisay logon ki kami nahin jo
islaah kay naam par fasaad phaylaatay aur badtareen kaamon ko achay naamon say ta’beer kartay hayn.
b
Is Aayat mayn Buzurgaan-e-deen ki tarah Imaan laanay kay hukm say ma’loom huaa keh un ki payrawi
karnay waalay najaat waalay jabkeh un kay raastay say hatnay waalay Munaa qeen kay raastay par hayn aur
yeh bhi ma’loom huaa keh in Buzurgon par ta’n-o-tashnee’ karnay waalay bohut pehlay say chaltay aarahay
hayn.
c
Ma’loom huaa keh Taajdaar-e-Risaalat ‫ َصـ ﱠـﲆ الـلﱣـ ـ ُه َعلَيْ ـ ِه َواٰلِ ـ ٖه َو َس ـلﱠم‬kay Sahabah-e-Kiraam ‫ــی الـلﱣـ ـ ُه َعنْ ُه ـ ْم‬
َ ‫ َر ِض‬Allah ‫َع ﱠز َو َجـ ﱠـل‬
ki Baargaah kay aisay maqbool banday hayn keh un ki gustaakhi karnay waalon ko Allah ‫ــل‬ ‫ َع ﱠز َو َج ﱠ‬nay khud
jawaab diyaa hay.
d
Allah ‫ــل‬
‫ َع ﱠز َو َج ﱠ‬istihzaa’ ya’ni hansi mazaaq say paak hay, ‘Arbi zabaan mayn ba’z auqaat kisi ‘amal kaa
badlah daynay ko isi lafz say ta’beer kar diyaa jaataa hay aur yahaan yehi muraad hay keh Allah ‫ــل‬ ‫َع ﱠز َو َج ﱠ‬
Munaa qon ko un kay istihzaa’ kaa badlah day gaa.

www.dawateislami.net
Surat-ul-Baqarah Juzz :1

2:16 Yehi log hayn jinhon nay Hidaayat kay


badlay ghumraahi khareed li to unki tijaarat
nay ko’i nafa’ nah diyaa aur yeh log jaantay hi
nahin thay.

2:17 Un ki misaal us shakhs ki tarah hay jis nay


aag roshan ki phir jab us aag nay us kay aas
paas ko roshan kar diyaa to Allah un kaa noor
lay gayaa aur unhayn taareekiyon mayn chor
diyaa, unhayn kuch dikhaa’i nahin day rahaa.

2:18 Behray, goongay, andhay hayna pas yeh


lot kar nahin aa’ayn gay.

2:19 Yaa (unki misaal) aasmaan say utarnay


waali baarish ki tarah hay jis mayn
taareekiyaan aur garj aur chamak hay. Yeh
zordaar karak ki wajah say mout kay dar say
apnay kaanon mayn ungliyaan thoons rahay
hayn haalaankeh Allah kaa ron ko ghayray
ho’ay hay.
2:20 Bijli yun ma’loom hoti hay keh un ki
nigaahayn uchak kar lay jaa’ay gi. (Haalat yeh
keh) jab kuch roshni ho’i to us mayn chalnay
lagay aur jab un par andheraa chaa gayaa to
kharay reh ga’ay aur agar Allah chahtaa to un
kay kaan aur aankhen salb kar laytaa. Beshak
Allah har shay par qaadir hay.b

‘Unwaan
Munaa qon ki haalat kaa do misaalon kay zari’ay bayaan, pehli misaal.
Munaa qon ki haalat ki dusri misaal.

Haashiyah
a
Munaa qon ko Allah ‫ــل‬ ‫ َع ﱠز َو َج ﱠ‬nay Hidaayat par qudrat bakhshi laykin unhon nay us say faa’idah nah
uthayaa aur jab woh haq ko sunnay, maannay, kehnay aur dekhnay say mehroom ho ga’ay to kaan,
zabaan, aankh sab bekaar hayn.
b
Har mumkin cheez shay mayn daakhil hay aur har shay Allah ‫ َع ﱠز َو َج ﱠل‬ki qudrat mayn hay aur jo cheez
muhaal hay us mayn yeh salaahiyat nahin Allah ‫ َع ﱠز َو َج ﱠل‬ki qudrat kay tehet aasakay.

www.dawateislami.net
Surat-ul-Baqarah Juzz :1

2:21 Ay logo! Apnay Rab ki ‘ibaadat karo,a jis


nay tumhayn aur tum say pehlay logon ko
paydaa kiyaa. Yeh umeed kartay ho’ay (‘ibaadat
karo) keh tumhayn parhayzgaari mil jaa’ay.

2:22 Jis nay tumhaaray liye zameen ko bicho-


naa aur aasman ko chat banaayaa aur us nay
aasman say paani utaaraa phir us paani kay
zari’ay tumhaaray khaanay kay liye ka’i phal
paydaa kiye to tum jaan boojh kar kay shareek
nah banaa’o.

2:23 Aur agar tumhayn is Kitaab kay baaray


mayn ko’i shak ho jo hum nay apnay khaas
banday par naazil ki hay to tum is jaysi ayk
Soorat banaa laa’o aur Allah kay ‘ilaawah
apnay sab madadgaaron ko bulaa lo agar tum
sachay ho.b

2:24 Phir agar tum yeh nah kar sako aur tum
hargiz nah kar sako gay to us aag say daro jis
kaa eendhan aadmi aur patthar hayn. Woh
kaa ron kay liyec taiyyaar ki ga’i hay.d

‘Unwaan
‘Ibaadat-e-Ilaahi kaa hukm aur us kay mustahiqq-e-‘ibaadat honay kay asbaab.

Haqqaaniyat-e-Qur’aan par munkiron ko challenge aur Ghayb ki khabr keh kuffaar us challenge ko
pooraa nahin kar paa’ayn gay.

Haashiyah
a
Ibaadat us intihaa’i ta’zeem kaa naam hay jo bandah apni ‘abdiyyat ya’ni bandah honay aur Ma’bood ki
Uloohiyat ya’ni Ma’bood honay kay ay’tiqaad aur ay’tiraaf kay saath bajaa laa’ay. Yahaan ‘ibaadat touheed
aur us kay ‘ilaawah apni tamaam qismon ko shaamil hay.
b
Yeh challenge Qiyaamat tak tamaam insaanon kay liye hay, aaj bhi Qur’aan ko Muhammad Mustafaa ‫َص ﱠﲆ‬
‫ الـلﱣــ ُه َعلَ ْي ِه َواٰلِ ٖه َو َسلﱠم‬ki tasneef kehnay waalay kuffaar to bohut hayn magar Qur’aan ki misl ayk Aayat banaanay
waalaa aaj tak ko’i saamnay nahin aaya aur jis nay is kaa da’waa kiyaa us kaa poul khud hi chand dinon
mayn khul gayaa.
c
“Kaa ron kay liye” farmaanay mayn yeh bhi ishaarah hay keh Momineen Allah ‫ َع ﱠز َو َج ﱠل‬kay Fazl-o-Karam
say Jahannam mayn hamayshah daakhilay say mehfooz rahayn gay kiyunkeh Jahannam bator-e-khaas
kaa ron kay liye paidaa ki ga’i hay.
d
Is say ma’loom huaa keh dozakh paidaa ho chuki hay kiyunkeh yahaan maazi kay alfaaz hayn.

www.dawateislami.net
Surat-ul-Baqarah Juzz :1

2:25 Aur un logon ko khushkhabri do jo Imaan


laa’ay aur unhon nay achay ‘amal kiye keh un
kay liye aisay baaghaat hayn jin kay neechay
nehrayn beh rahi hayn. Jab unhayn un baaghon
say ko’i phal khaanay ko diyaa jaa’ay gaa to
kahayn gay, yeh to wohi rizq hay jo hamayn
pehlay diyaa gayaa thaa haalaankeh unhayn
miltaa jultaa phal (pehlay) diyaa gayaa thaa aur
un (Jannatiyon) kay liye in baaghon mayn
paakeezah beewiyaan hongi aur woh in
baaghon mayn hamayshah rahayn gay.
2:26 Beshak Allah is say hayaa nahin farmaataaa
keh misaal samjhaanay kay liye kaysi hi cheez
kaa zikar farmaa’ay machar ho ya us say barh
kar. Beherhaal Imaan waalay to jaantay hayn keh
yeh un kay Rab ki taraf say haq hay aur rahay
kaa r to woh kehtay hayn, is misaal say Allah
ki muraad kiyaa hay? Allah bohut say logon ko
is kay zari’ay gumraah kartaa hay b aur bohut
say logon ko Hidaayat ‘ataaa farmaataa hay aur
is kay zari’ay sirf naafarmaanon hi ko gumraah
kartaa hay.
2:27 Woh log jo Allah kay wa’day ko pukhtah
honay kay ba’d tor daaltay hayn aur us cheez
ko kaattay hayn jis cheez ko journay kaa Allah
nay hukm diyaa hay aur zameen mayn fasaad
phaylaatay hayn to yehi log nuqsaan uthaanay
waalay hayn.
‘Unwaan
Baa ’amal Musalmaanon ko Jannat ki bashaarat aur Jannati ne’maton kaa bayaan.
Qur’aan Majeed mayn bayaan ki ga’i misaalon kaa maqsad aur unhay sun kar Musalmaanon aur kaa ron
kay tarz-e-‘amal mayn farq.
Faasiqon ki teen ‘alaamaat, ‘ehd shiqni, qata’ ta’alluqi aur fasaad phaylaanaa.

Haashiyah
a
Hayaa’ kaa ma’naa hay “badnaami aur buraa’i kay khouf say dil mayn kisi kaam say rukaawat paidaa honaa”
Allah ‫ َع ﱠز َو َج ﱠل‬us say paak hay aur yahaan is say muraad “misaalayn bayaan karnay ko nah chornaa” hay.
b
Nuzool-e-Qur’aan kaa asal maqsad Hidaayat daynaa hay laykin bohut say log us kaa inkaar karkay, ya
mazaaq uraa kar, ya ghalat ma’naa muraad lay kar gumraah ho jaatay hayn, is ay’tibaar say yahaan
Qur’aan kay zari’ay gumraah karnay kaa farmaayaa gayaa hay.

www.dawateislami.net
Surat-ul-Baqarah Juzz :1

2:28 Tum kaysay Allah kay munkir ho saktay ho


haalaankeh tum murdah thay to us nay tumhay
paidaa kiyaaa phir woh tumhay mout dayga
phir tumhay zindaah karay gaa phir usi ki taraf
tumhayn lotaayaa jaa’ay gaa.
2:29 Wohi hay jisnay jo kuch zameen mayn hay
sab tumhaaray liye banaayaa,b phir us nay
aasmaan kay banaanay kaa qasd farmaayaa to
theek saat aasmaan banaa’ay aur woh har shay
kaa khoob ‘ilm rakhtaa hay.
2:30 Aur yaad karo jab tumhaaray Rab nay
Farishton say farmaayaa,c “mayn zameen mayn
apnaa naa’ib banaanay waalaa hoon to unhon
nay ‘arz kiyaa: Kiyaaa tu zameen mayn usay
naa’ib banaa’ay gaa jo us mayn fasaad
phaylaa’ay gaa aur khoon bahaa’ay gaa
haalankay hum teri hamd kartay ho’ay teri
tasbeeh kartay hayn aur teri paaki bayaan
kartay hayn. Farmaayaa: Beshak mayn woh
jaantaa hoon jo tum nahin jaantay.
2:31 Aur Allah Ta’aalaa nay Aadam ko tamaam
ashyaa’ kay naam sikhaa diye phir un sab
ashyaa’ ko Farishton kay saamnay paysh kar
kay farmaayaa: Agar tum sachchay ho to un
kay naam bataa’o.d
‘Unwaan
Qudrat-e-Ilaahi ki nishaaniyaan: Insaan ki takhleeq, usay mout daynaa aur zameen-o-aasmaan ki
paydaaish.
Hazrat Aadam‫الـسـﻼَم‬
‫ َعـلَيْـ ِه ﱠ‬ki takhleeq kaa waaqi’ah, unhayn Khalifah banaanaa aur ‘ilm ‘ataa farmaanaa.

Hazrat Aadam ‫الـسـﻼَم‬


‫ َعـلَيْـ ِه ﱠ‬ko ‘Ilm-ul-Asmaa’ sikhaayaa jaanaa aur Farishton par fazeelat.

Haashiyah
a
Is Aayat mayn ghour karayn to hum Musalmaanon kay liye bhi naseehat hay keh hum bhi kuch nah thay
laykin Allah ‫ــل‬ ‫ َع ﱠز َو َج ﱠ‬nay hamayn zindagi ‘ataa ki aur zindagi guzaarnay kay lawaazimaat aur ne’maton say
nawaazaa to us ki ‘ataa’on say faa’idah uthaa kar us ki yaad say ghaa l honaa aur naa shukri aur gha at ki
zindagi guzaarnaa kisi tarah hamaaray shaayaan-e-shaan nahin hay.
b
Is say ma’loom huaa keh jis cheeez say Allah ‫ــل‬ ‫ َع ﱠز َو َج ﱠ‬nay mana’ nahin farmaayaa hamaaray liye
mubaah-o-halaal hay.
c
Farishton ko Khalifah banaanay ki khabar zaahiri tor par mashwaray kay andaaz mayn di ga’i warnah
Allah ‫ َع ﱠز َو َج ﱠل‬is say paak hay keh usay kisi mashwaray ki haajat ho.
d
Is Aayat mayn Allah ‫ َع ﱠز َو َج ﱠل‬nay Hazrat Aadam ‫الـسـﻼَم‬
‫ َعـلَيْـ ِه ﱠ‬kay Farishton par afzal honay kaa sabab ‘ilm zaahir
farmaayaa, is say ma’loom huaa keh ‘ilm khuluwwaton aur tanhaa’iyon ki ‘ibaadat say afzal hay.

www.dawateislami.net
Surat-ul-Baqarah Juzz :1

2:32 (Farishton nay) ‘arz ki: (Ay Allah!) Tu


paak hay hamayn to sirf itnaa ‘ilm hay jitnaa tu
nay hamayn sikhaa diyaa.a Beshak, tu hi ‘ilm
waalaa, hikmat waalaa hay.
2:33 (Phir Allah nay) farmaayaa: Ay Aadam!
Tum unhayn in ashyaa’ kay naam bataa do. To
jab Aadam nay unhayn in ashyaa kay naam
bataa diye to (Allah nay) farmaayaa: (Ay
Farishto!) kiyaa mayn nay tumhayn nah kahaa
thaa keh mayn aasmaanon aur zameen ki
tamaam chupi cheezayn jaantaa hoon aur
mayn jaantaa hoon jo kuch tum zaahir kartay
aur jo kuch tum chupaatay ho.

2:34 Aur yaad karo jab hum nay Farishton ko


hukm diyaa keh Aadam ko sajdah karo to
Iblees kay ‘ilaawah sab nay sajdah kiyaa.b Us
nay inkaar kiyaa aur takabbur kiyaac aur kaa r
ho gayaa.
2:35 Aur hum nay farmaayaa: Ay Aadam! Tum
aur tumhaari biwi Jannat mayn raho aur
baghair rok tok kay jahaan tumhaaraa jee chaa-
hay khaa’o albattah us darakht kay qareeb nah
jaanaa warnah had say barhnay waalon mayn
shaamil ho jaa’o gay.d
‘Unwaan
Hukm-e-Ilaahi par Farishton kaa Aadam ‫الـسـﻼَم‬
‫ َعـلَ ْيـ ِه ﱠ‬ko sajdah karnaa jabkeh Iblees kaa inkaar-o-takabbur.

Hazrat Aadam ‫الـسـﻼَم‬


‫عَـلَيْـ ِه ﱠ‬ki Jannat mayn tashreef aawari aur Shaitaan kaa waaqi’ah.

Haashiyah
a
Is Aayat say insaan ki sharaafat aur ‘ilm ki fazeelat saabit hoti hay aur yeh bhi keh Allah ‫ــل‬
‫ َع ﱠز َو َج ﱠ‬ki taraf
ta’leem ki nisbat karnaa saheeh hay agarcheh us ko mu’allim nah kahaa jaa’ay gaa kiyunkeh mu’allim
payshah war ta’leem daynay waalay ko kehtay hayn.
b
Farishton nay Hazrat Aadam ‫الـســﻼَم‬
‫ َعـلَيْــ ِه ﱠ‬ko ta’zeemi sajdah kiyaa thaa aur woh baa qaa’idah payshaani
zameen par rakhnay ki soorat mayn thaa, sirf sar jhukaanaa nah thaa.
b
Is waaqi’ah say ma’loom huaa keh takabbur aysaa khatarnaak ‘amal hay keh yeh ba’z auqaat banday ko
Kufr tak pohnchaa daytaa hay, is liye har Musalmaan ko chaahiye keh woh takabbur karnay say bachay.
d
Allah ‫ــل‬
‫ َع ﱠز َو َج ﱠ‬maalik hay, woh apnay maqbool bandon ko jo chaahay farmaa’ay, kisi doosray ko yeh
haq haasil nahin keh usay bunyaad banaa kar Ambiyaa’-e-Kiraam ‫ــﻼم‬ ‫ َعـلَـــيْ ِه ُم ﱠ‬kay baaray
َ ‫الس‬
khilaaf-e-adab kalimaat kahay.

www.dawateislami.net
Surat-ul-Baqarah Juzz :1

2:36 To Shaitaan nay un donon ko Jannat say


laghzish di,a pas unhayn wahaan say nikalwaa
diyaa jahaan woh rehtay thay aur hum nay
farmaayaa: Tum neechay utar jaa’o. Tum ayk
doosray kay dushman banogay aur tumhaaray
liye ayk khaas waqt tak zameen mayn thikaan-
ah aur (zindagi guzaarnay kaa) saamaan hay.
2:37 Phir Aadam nay apnay Rab say kuch
kalimaat seekh liye to Allah nay is ki toubah
qubool ki.b Beshak, wohi bohut toubah
qubool karnay waalaa baraa mehrbaan hay.

2:38 Ham nay farmaayaa: Tum sab Jannat say


utar jaa’o,c phir agar tumhaaray paas meri
taraf say ko’i Hidaayat aa’ay to jo meri
Hidaayat ki payrawi karayn gay unhayn nah
ko’i khouf hogaa nah woh ghamgeen hongay.
2:39 Aur woh jo Kufr karyn gay aur meri
Aayaton ko jhutlaa’ayn gay woh dozakh
waalay hongay, woh hamayshah us mayn
rahayn gay.
2:40 Ay Ya’qoob ki aulaad! d Yaad karo e
meraa woh ayhsaan jo mayn nay tum par kiyaa

‘Unwaan
Hazrat Aadam ‫الـسـﻼَم‬
‫ َعـلَيْـ ِه ﱠ‬kaa zameen par utarnaa aur Ayhkaam-e-Ilaahiyah.
Bani-Israa’eel ko ne’maton ki yaad dihaani aur chand ayhkaam: ‘ehd poora karnaa, haq-o-baatil ko
nah milana, Namaaz-o-Zakaat ki paabandi wagherah.
Haashiyah
a
Tilaawat-e-Qur’aan kay ‘ilaawah apni taraf say Hazrat Aadam ‫الـســـﻼَم‬
‫ﱠ‬ ‫ َعـلَ ْيـــ ِه‬ki taraf naa
farmaani-o-gunaah ki nisbat karnaa Haram balkeh ‘Ulamaa’-e-Kiraam ki ayk jamaa’at nay isay Kufr
bataayaa hay.
b
Jab toubah ki nisbat Allah ‫ َع ﱠز َو َج ﱠل‬ki taraf ho to us say muraad “toubah qubool karnaa” ya “Allah ‫َع ﱠز َو َج ﱠل‬
ki apni rehmat kay saath bandy par rujooo’ farmaanaa” hotaa hay.
c
Yahaan jama’ kay seeghay kay saath sab ko utarnay kaa farmaayaa, is mayn Hazrat Aadam ‫الـســﻼَم‬ ‫ َعـلَ ْيــ ِه ﱠ‬aur
Hazrat Hawwaa’ ‫ َرض َی الـلﱣـ ُه َع ْن َها‬kay saath un ki aulaad bhi muraad hay jo abhi Hazrat Aadam ‫الـسـﻼَم‬
ِ ‫ َعـلَيْـه ﱠ‬ki pusht
ِ
mayn thi.
d
Is Aayat mayn Nabi Kareem ‫ــﲆ الـلﱣـــ ُه َعلَ ْيــ ِه َواٰلِــ ٖه َو َســلﱠم‬
‫ َص ﱠ‬kay zamaanay kay Yahoodiyon ko mukhaatab kar kay
kalaam farmaayaa gayaa hay.
e
Yahaan yaad karnay say muraad sirf zabaan say tazkirah karnaa nahin hay balkeh is say muraad yeh
hay keh woh Allah ‫ َّلَجَوَّزَع‬ki ‘itaa’at-o-bandagi kar kay in ne’maton kaa shukr bajaa lay aa’ayn kiyunkeh
kisi ne’mat kaa shukr nah karnaa us ko bhulaa daynay kay mutaraadif hay.

www.dawateislami.net
Surat-ul-Baqarah Juzz :1

aur meraa ‘ehd poora karo mayn tumhaaraa


‘ehd pooraa karoonga aur sirf mujh say daro.

2:41 Aur Imaan laa’o us (Kitaab) par jo mayn


nay utaari hay woh tumhaaray paas moujood
Kitaab ki tasdeeq karnay waali hay aur sab say
pehlay is kaa inkaar karnay waalay nah bano
aur meri Aayaton kay badlay thori qeemat nah
wusool karo aur mujh hi say daro.

2:42 Aur haq ko baatil kay saath nah milaa’o


aur jaan boojh kar haq nah chupaa’o.a

2:43 Aur Namaaz qaa’im rakho, aur Zakaat


adaa karo aur rukoo’ karnay waalon kay saath
rukoo’ karo.
2:44 Kiyaa tum logon ko bhalaa’i kaa hukm
daytay ho aur apnay aap ko bhooltay ho
haalaankeh tum Kitaab parhtay ho to kiyaa
tumhayn ‘aqal nahin?b

2:45 Aur sabr aur Namaaz say madad haasil


karo,c aur beshak Namaaz zaroor bhaari hay
magar un par jo dil say meri taraf jhuktay hayn.

2:46 Jinhayn yaqeen hay keh unhayn apnay


Rab say milnaa hay aur unhayn usi ki taraf lout
kar jaanaa hay.
‘Unwaan
Bani-Israa’eel kaa doosron ko nayki kaa hukm daynaa aur apnay aap ko bhulaa daynaa.
Sabr aur Namaaz say madad haasil karnay kaa hukm.

Haashiyah
a
Is Aayat say ma’loom huaa keh har ayk ko chaahiye keh woh haq ko baatil say nah milaa’ay aur nah hi
haq ko chupaa’ay kiyunkeh is mayn fasaad aur nuqsaan hay aur yeh bhi ma’loom huaa keh haq baat jaannay
waalay par usay zaahir karnaa Waajib hay aur haq baat ko chupaanaa us par Haraam hay.
b
Is Aayat kaa Shaan-e-Nuzool khaas honay kay baawujood hukm ‘aam hay aur har nayki kaa hukm
daynay waalay kay liye is mayn taaziyaanah ‘ibrat hay.
c
Sabr ki wajah say qalbi quwwat mayn izaafah aur Namaaz ki barkat say Allah ‫ َع ﱠز َو َج ﱠل‬say ta’alluq mazboot
hotaa hay aur yeh donon cheezayn parayshaaniyon ko bardaasht karnay aur unhayn door karnay mayn sab
say bari mu’aawin hayn.

www.dawateislami.net
Surat-ul-Baqarah Juzz :1

2:47 Ay Ya’qoob ki aulaad! Yaad karo meraa


woh ayhsaan jo mayn nay tum par kiyaa aur
yeh keh mayn nay tumhayn is saaray
zamaanay par fazeelat ‘ataa farmaa’i.a

2:48 Aur us din say daro jis din ko’i jaan kisi
doosray ki taraf say badlah nah daygi aur nah
ko’i sifaarish maani jaa’ay gi aur nah us say
ko’i mu’aawazah liyaa jaa’ay gaa.b
2:49 Aur (yaad karo) jab hum nay tumhay
Fir’auniyon say najaat di jo tumhayn bohut
buraa ‘azaab daytay thay, tumhaaray bayton ko
zibah kartay thay aur tumhaari baytiyon ko
zindah chor daytay thay aur us mayn
tumhaaray Rab ki taraf say bari aazmaaish thi.
2:50 Aur (yaad karo) jab hum nay tumhaaray
liye daryaa ko phaar diyaa to hum nay tumhayn
bachaa liyaa aur r’auniyon ko tumhaari
aankhon kay saamnay gharq kar diyaa.

2:51 Aur yaad karo jab hum nay Musaa say


chalees raaton kaa wa’dah farmaayaa,c phir
is kay peechay tum nay bachray ki Poojaa
shuru’ kar di aur tum waaqa’i zaalim thay.
‘Unwaan
Yahoodi ko ne’maton ki tafseeli yaad dihaani.
Yahoodiyon ko Fikr-e-Aakhirat kaa hukm.
Fir’aun kay Bani-Israa’eel par mazaalim aur Allah ‫ َع ﱠز َو َج ﱠل‬kaa Musaa ‫الـسـﻼَم‬
‫ َعـلَيْـ ِه ﱠ‬kay waseelay say unhayn
najaat daynaa.
Bani-Israa’eel kay liye daryaa mayn raastah ban’na aur Fir’auniyon kaa gharq honaa.
Touraat ‘ataa kiye Jaanay kaa wa’dah, Bani-Israa’eel ki bachraa parasti aur us say toubah-o-mu’aa .

Haashiyah
a
Is say muraad yeh hay keh Bani-Israa’eel ko un kay zamaanay mayn tamaam logon par fazeelat ‘ataa ki
ga’i, aur jab Huzoor Pur Noor ‫ َص ﱠﲆ الـلﱣـ ُه َعلَيْ ِه َواٰلِ ٖه َو َسلﱠم‬ki aamad ho’i to yeh fazeelat aap ‫ َص ﱠﲆ الـلﱣـ ُه َعلَيْ ِه َواٰلِ ٖه َو َسلﱠم‬ki Ummat
ki taraf muntaqil ho ga’i.
b
Is say ma’loom huaa kay Qiyaamat kay din kaa r ko nah ko’i kaa r nafa’ pohnchaa sakay gaa aur nah ko’i
Musalmaan, us din Shafaa’at sirf Musalmaan kay liye hogi.
c
Fir’aun aur Fir’auniyon ki halaakat kay ba’d jab Hazrat Musaa ‫الـسـﻼَم‬ ‫ َعـلَ ْيـ ِه ﱠ‬Bani-Israa’eel ko lay kar Misr ki
taraf loutay to un ki darkhwaast par Allah ‫ َع ﱠز َو َج ﱠل‬nay nay Touraat ‘ataa farmaanay kaa wa’dah farmaayaa aur
is kay liye tees (30) din aur phir das din kaa izaafah kar kay chaalees din ki muddat muqarrar ho’i.

www.dawateislami.net
Surat-ul-Baqarah Juzz :1

2:52 Phir us kay ba’d hum nay tumhayn


mu’aa ‘ataa farmaa’i taakeh tum shukar adaa
karo.
2:53 Aur yaad karo jab hum nay Musaa ko
Kitaab ‘ataa ki aur haq-o-baatil mayn farq
karnaa taakeh tum Hidaayat paa jaa’o.

2:54 Aur yaad karo jab Musaa nay apni qoum


say kahaa: Ay meri qoum tum nay bachray (ko
Ma’bood) banaa kar apni jaanon par zulm
kiyaa lihaazaa (ab) apnay paidaa karnay
waalay ki Bargaah mayn toubah karo (yoon)
keh tum apnay logon ko qatl karo.a Yeh
tumhaaraa paidaa karnay waalay kay nazdeek
tumhaaray liye behtar hay to us nay tumhaari
toubah qubool ki beshak wohi bohut toubah
qubool karnay waalaa mehrbaan hay.
2:55 Aur yaad karo jab tum nay kahaa: Ay
Musaa! Ham hargiz tumhaaraa yaqeen nah
karayn gay jab tak ay’laaniyah Khudaa ko nah
daykh layn to tumhaaray daykhtay hi daykhtay
tumhayn karak nay pakar liyaa.b
2:56 Phir tumhaari mout kay ba’d hum nay
tumhay zindah kiyaa taakeh tum shukr adaa
karo.
2:57 Aur hum nay tumhaaray opar baadal ko
saayah banaa diyaa aur tumhaaray opar Mann
aur Salwaa utaaraac

‘Unwaan
Bani-Israa’eel ki Hidaayat kay liye Touraat ‘ataa kiyaa jaanaa.
Bani-Israa’eel ki bachraa parasti say toubah
Bani-Israa’eel kaa ay’laaniyah Deedaar-e-Ilaahi kaa mutaaliba karnaa aur us kaa nateejah.
Bani-Israa’eel par baadal kaa saayah aur Mann-o-Salwaa kaa nuzool.
Haashiyah
a
Is Aayat say ma’loom huaa keh Shirk karnay say Musalmaan Murtad ho jaataa hay aur Murtad ki sazaa
qatl hay kiyunkeh yeh Allah ‫ َع ﱠز َو َج ﱠل‬say baghaawat kar rahaa hay aur jo Allah ‫ َع ﱠز َو َج ﱠل‬kaa baaghi ho usay qatl kar
daynaa hi hikmat aur maslehat kay ‘ayn mutaabiq hay.
b
Is waaqi’ah say Shaan-e-Ambiyaa’ ‫الـسـﻼَم‬
‫ َعـلَيْـ ِه ُم ﱠ‬bhi zaahir ho’i keh Hazrat Musaa ‫الـسـﻼَم‬
‫ َعـلَيْـ ِه ﱠ‬say “hum aap kaa
yaqeen nahin karayn gay” kehnay ki shaamat mayn Bani-Israa’eel halaak kiye ga’ay.
c
“Mann” kay baaray mayn saheeh qoul yeh hay keh yeh Turnajibeen ki tarah ayk meethi cheez thi aur
“Salwaa” kay baaray mayn saheeh qoul yeh hay keh yeh ayk chotaa parindah thaa.

www.dawateislami.net
Surat-ul-Baqarah Juzz :1

(keh) hamaari di ho’i paakeezah cheezayn khaa’o


aur unhon nay hamaaraa kuch nah bigaaraa
balkeh apni jaanon par hi zulm kartay rahay.

2:58 Aur jab hum nay unhayn kahaa keh is


shehr mayn daakhil ho jaa’o phir is mayn
jahaan chaaho bay rok tok khaa’o aur
darwaazay mayn sajdah kartay daakhil honaa
aur kehtay rehnaa, hamaaray gunaah mu’aaf
hon, hum tumhaari khataa’ayn bakhsh dayn
gay aur ‘anqareeb hum nayki karnay waalon ko
aur ziyaadah ‘ataa farmaa’ayn gay.
2:59 Phir un zaalimon nay jo un say kahaa
gayaa thaa usay ayk doosri baat mayn baadal
diyaa,a to hum nay aasmaan say un zaalimon
par ‘azaab naazil kar diyaa kiyunkeh yeh
naafarmaani kartay rahay thay.
2:60 Aur yaad karo jab Musaa nay apni qoum
kay liye paani talab kiyaa,b to hum nay
farmaayaa keh patthar par apnaa ‘asaa maaro, to
foran us mayn say baarah chashmay beh
niklay;c (aur) har giroh nay apnay paani peenay
ki jagah ko pehchaan liyaa (aur hum nay
farmaayaa keh) Allah kaa rizq khaa’o aur piyo
aur zameen mayn fasaad nah phaylaatay phiro.

‘Unwaan
Bani-Israa’eel ko Misr ya kisi khaas shehr mayn daakhil honay kaa hukm laykin un kaa khilaaf warzi
karnaa aur sazaa paanaa.
Maydaan-e-Teeh mayn Bani-Israa’eel kaa paani talab karnaa aur Musaa ‫الـســـﻼَم‬
‫ َعـلَيْـــ ِه ﱠ‬kay waseelah aur
mo’jizah say unhayn paani ‘ataa kiyaa jaanaa.

Haashiyah
a
Bani-Israa’eel ko hukm yeh thaa keh darwaazay mayn sajdah kartay aur zabaan say “ ٌ ‫”حطﱠــ‬ ِ kehtay ho’ay
daakhil hon, unhon nay donon hukmon ki mukhaalafat ki aur sajdah kartay ho’ay daakhil honay kay
bajaa’ay sureenon kay bal ghisattay ho’ay daakhil ho’ay aur Toubah-o-Istighfaar kaa kalmah parhnay kay
bajaa’ay mazaaq kay tor par “‫ ” َح ﱠب ٌ ِفی شَ ْع َر ٍۃ‬kehnay lagay jis kaa ma’naa thaa: Baal mayn daanah.
b
Is Aayat mayn logon kaa Ambiyaa’-e-Kiraam ‫الـســـﻼَم‬ ‫ َعـلَيْـــ ِه ُم ﱠ‬ki baargaah mayn isti’aanat karnay aur
Ambiyaa’-e-Kiraam ‫الـسـﻼَم‬
‫ َعـلَيْـ ِه ُم ﱠ‬kay un ki mushkil kushaa’i farmaanay kaa suboot bhi hay.
c
Patthar say chashmah jaari karnaa Hazrat Musaa ‫الـســـﻼَم‬ ‫ َعـلَ ْيـــ ِه ﱠ‬kaa ‘azeem mo’jizah thaa jabkeh hamaaray
Aaqaa, Huzoor Sayyid-ul-Mursaleen ‫ َصـ ﱠـﲆ الـلﱣــ ُه َعلَ ْيـ ِه َواٰلِـ ٖه َو َسـلﱠم‬nay apni mubaarak ungliyon say paani kay chashmay
jaari farmaa’ay aur yeh us say bhi barh kar mo’jizah thaa.

www.dawateislami.net
Surat-ul-Baqarah Juzz :1

2:61 Aur jab tumnay kahaa “Ay Musaa! Ham


ayk khaanay par hargiz sabr nahin kar
saktay”,a lihaazaa aap apnay Rab say du’aa
kijiye keh hamaaray liye woh cheezayn nikaa-
lay jo zameen ugaati hay jaysay saag aur kakri
aur gandum aur masoor ki daal aur piyaaz.
Farmaayaa: Kiyaa tum behtar cheez kay
badlay mayn ghatyaa cheezayn maangtay ho.
(Achaa phir) Mulk-e-Misr ya kisi shehr mayn
qiyaam karo, wahaan tumhayn woh sab kuch
milay gaa jo tum nay maangaa hay aur un par
zillat aur ghurbat musallat kar di ga’i, b aur
woh Khudaa kay ghazab kay mustahiq ho
ga’ay. Yeh zillat-o-ghurbat is wajah say thi keh
woh Allah ki Aayaton kaa inkaar kartay thay
aur Ambiyaa’ ko naa haq shaheed kartay thay.
(Aur) yeh is wajah say thi keh unhon nay naa
farmaani ki aur woh musalsal sarkashi kar
rahay thay.

2:62 Beshak Imaan waalon neez Yahoodiyon


aur ‘Isaa’iyon aur sitaaron ki Poojaa karnay
waalon mayn say jo bhi sachay dil say Allah par
aur Aakhirat kay din par Imaan lay aa’ayn aur
nayk kaam karayn to un kaa sawaab un kay Rab
kay paas hay aur un par nah ko’i khouf hogaa
aur nah woh ghamgeen hongay.

‘Unwaan
Bani-Israa’eel kaa Mann-o-Salwaa ki bajaa’ay zameeni ajnaas kaa mutaalibah.
Bani-Israa’eel par zillat kaa musallat kiyaa jaanaa aur us kay asbaab.
Bargah-e-Ilaahi mayn ajar-o-sawaab kaa asli haqdaar kon hay?

Haashiyah
a
Bani-Israa’eel nay saag kakri wagherah cheezayn maangeen, unkaa mutaalibah gunaah nah thaa laykin
“Mann-o-Salwaa” jaysi ne’mat bay mehnat chor kar in ki taraf maa’il honaa past khayaali hay. Jab baron say
nisbat ho to dil-o-dimaagh aur soch bhi bari banaani chaahiye.
b
Bani-Israa’eel buland maraatib par faa’iz honay kay ba’d jin wujoohaat ki binaa’ par zillat-o-ghurbat
ki gehri khaa’i mayn giray kaash un wujoohaat ko saamnay rakhtay ho’ay ‘ibrat aur naseehat kay liye
ayk martabah Musalmaan bhi apnay a’maal-o-af’aal kaa jaa’izah lay layn aur apnay maazi-o-haal kaa
mushaahadah karayn.

www.dawateislami.net
Surat-ul-Baqarah Juzz :1

2:63 Aur yaad karo jab hum nay tumsay ‘ehd


liyaa aur tumhaaray saron par Toor pahaar ko
mu’allaq kar diyaa (aur kahaa keh) mazbooti
say thaamo is (Kitaab) ko jo hum nay tumhayn
‘ataa ki hay,a aur jo kuch is mayn bayaan kiyaa
gayaa hay usay yaad karo is umeed par keh tum
parhayzgaar ban jaa’o.
2:64 Is kay ba’d phir tum nay roogirdaani
ikhtiyaar ki to agar tum par Allah kaa fazl aur
us ki rehmat nah hoti to tum nuqsaan
uthaanay waalon mayn say ho jaatay.

2:65 Aur yaqeenan tumhayn ma’loom hayn


woh log jinhon nay tum mayn say haay kay
din mayn sarkashi ki. To hum nay un say
kahaa keh dhutkaaray ho’ay bandar ban jaa’o.

2:66 To hum nay yeh waaqi’ah us waqt kay


logon aur un kay ba’d waalon kay liye ‘ibrat aur
parhayzgaaron kay liye naseehat banaa diyaa.b

2:67 Aur yaad karo jab Musaa nay apni qoum


say farmaayaa: Beshak Allah tumhay hukm
dayta hay keh ayk gaa’ay zabah karo to unhon
nay kahaa keh kiyaa aap hamaaray saath

‘Unwaan
Touraat kay ayhkaam qubool nah karnay ki wajah say Bani-Israa’eel par sakhti aur un kaa tarz-e-‘amal.
Bani-Israa’eel kaa mumaani’at kay baawujood heelay say haay kay din machliyaan pakarnaa aur us
par unhayn nishaan-e-‘ibrat banaa diyaa jaanaa.
Ayk maqtool kay mu’aamalay mayn Bani-Israa’eel ko gaa’ay zabah karnay kaa hukm aur un ki
bayjaa behes.
Haashiyah
a
Is mayn sooratan ‘ehd pooraa karnay par majboor karnaa paayaa jaa rahaa hay, is hawaalay say yaad
rahay keh Deen qubool karnay par jabr nahin kiyaa jaa saktaa albattah deen qubool karnay kay ba’d us kay
ayhkaam par ‘amal karnay par majboor kiyaa jaa’ay gaa. Is ki misaal yoon samjhayn keh kisi ko apnay mulk
mayn aanay par hukoomat majboor nahin karti laykin jab ko’i mulk mayn aajaa’ay to hukoomat usay
qaanoon par ‘amal karnay par zaroor majboor karay gi.
b
Is say ma’loom huaa keh Qur’aan Paak mayn ‘azaab kay waaqi’aat hamaari ‘ibrat-o-naseehat kay liye
bayaan kiye ga’ay hayn lihaazaa Qur’aan Paak kay huqooq mayn say hay keh is tarah kay
waaqi’aat-o-Aayaat parh kar apni islaah ki taraf bhi tawajjoh ki jaa’ay.

www.dawateislami.net
Surat-ul-Baqarah Juzz :1

mazaaq kartay hayn? Musaa nay farmaayaa,


“mayn Allah ki panaah mangtaa hoon keh
mayn jaahilon mayn say ho jaa’on.a
2:68 Unhon nay kahaa keh aap apnay Rab say
du’aa kijiye keh woh hamayn bataa day keh woh
gaa’ay kesi hay? Farmaayaa: Allah farmaataa hay
keh woh ayk aysi gaa’ay hay jo nah to boorhi hay
aur nah bilkul kam ‘umar balkeh in donon kay
darmiyaan darmiyaan ho. To woh karo jis kaa
tumhayn hukm diyaa jaa rahaa hay.b
2:69 Unhohn nay kahaa: Aap apnay Rab say
du’aa kijiye keh woh hamayn bataa day, us
gaa’ay kaa rang kiyaa hay? Farmaayaa keh Allah
farmaataa hay keh woh peelay rang ki gaa’ay
hay jis kaa rang bohut gehraa hay. Woh gaa’ay
dekhnay waalon ko khushi dayti hay.
2:70 Unhohn nay kahaa: Aap apnay Rab say
du’aa kijiye keh hamaaray liye waazeh tor par
bayaan kar day keh woh gaa’ay kesi hay?
Kiyunkeh beshak gaa’ay hum par mushtabeh ho
ga’i hay aur agar Allah chaahay gaa to yaqeenan
hum raah paa lengay.
2:71 (Musaa nay) farmaayaa: Allah farmaataa
hay keh woh ayk aysi gaa’ay hay jis say yeh
khidmat nahin li jaati keh woh zameen mayn
hal chalaa’ay aur nah woh khayti ko paani dayti
hay. Bilkul bay ‘ayb hay, us mayn ko’i daagh
nahin.c (yeh sun kar) unhon nay kahaa: ab aap
bilkuk sahi baat laa’ay hayn. Phir unhon nay is
gaa’ay ko zabah kiyaa haalaankeh woh zabah
kartay ma’loom nah hotay thay.
2:72 Aur yaad karo jab tum nay ayk shakhs ko
qatl kar diyaa phir is kaa ilzaam kisi doosray par
daalnay lagay haalaankeh Allah zaahir karnay
waalaa thaa us ko jisay tum chupaa rahay thay.

Haashiyah
a
Payghambar jhoot, dil lagi aur kisi kaa mazaaq uranaa wagherah ‘aybon say paak hayn albattah khush
tab’ee ayk mehmood sifat hay yeh un mayn paa’i jaa sakti hay.
b
Nabi kay farmaan par baghair hichkichaahat ‘amal karnaa chaahiye aur ‘amal karnay ki bajaa’ay ‘aqli
dhakooslay banaanaa bay adabon kaa kaam hay.
c
Is say ma’loom huaa keh Shar’ee ayhkaamaat say muta’alliq bayjaa behes mushaqqat kaa sabab hay.

www.dawateislami.net
Surat-ul-Baqarah Juzz :1

2:73 To hum nay farmaayaa (keh) is maqtool


ko is gaa’ay kaa tukra maaro. Is tarah Allah
murdon ko zindah karay gaa. Aur woh tumhayn
apni nishaaniyaan dikhataa hay taakeh tum
samajh jaa’o.
2:74 Phir is kay ba’d tumhaaray dil sakht
hoga’ay,a to woh pattharon ki tarah hayn
balkeh un say bhi ziyaadah sakht hayn aur
pattharon mayn to kuch woh hayn jin say
naddiyan beh nikalti hayn aur kuch woh
hayn keh jab phat jaatay hayn to un say paani
nikaltaa hay aur kuch woh hayn jo Allah kay
dar say gir partay hayn aur Allah tumhaaray
a’maal say hargiz bay khabar nahin.
2:75 To ay Musalmaano! Kiyaa tum yeh umeed
rakhtay ho keh yeh tumhaari wajah say Imaan
lay aa’ayn gay haalaankeh in mayn say ayk
giroh woh thaa keh woh Allah kaa kalaam
suntay thay aur phir usay samajh laynay kay
ba’d jaan boojh kar baadal daytay thay.b
2:76 Aur jab yeh Musalmaanon say miltay hayn
to kehtay hayn keh hum Imaan laa chukay hayn
aur jab aapas mayn akelay hotay hayn to kehtay
hayn: Kiyaa in kay saamnay woh ‘ilm bayaan
kartay ho jo Allah nay
‘Unwaan
Murdon ko zindah karnay par Qudrat-e-Ilaahi ki ayk daleel.
Yahoodiyon ki sakht dili kaa haal.
Yahoodiyon kaa haq chupaanay kaa andaaz.
Yahoodiyon ki munaafaqat.

Haashiyah
a
Is say ma’loom huaa keh dil ki sakhti bohut khatarnaak hay.
b
Is say ma’loom huaa keh ‘Aalim kaa bigarnaa ‘awaam kay bigarnay say ziyaadah tabaah kun hay
kiyunkeh ‘awaan ‘Ulamaa’ ko apnaa haadi aur rehnumaa’ samajhtay hayn, woh ‘Ulamaa’ kay aqwaal par
‘amal kartay aur un kay af’aal ko daleel banaatay hayn aur jab ‘Ulamaa’ hi kay ‘Aqaa’id-o-a’maal mayn
bigaar ho jaa’ay to ‘awaam Raah-e-Hidaayat par kis tarah chal sakti hay.

www.dawateislami.net
Surat-ul-Baqarah Juzz :1

tumhaaray opar kholaa hay? Takeh is kay


zari’ay yeh tumhaaray Rab ki Baargaah mayn
tumhaaray opar hujjat qaa’im karayn. Kiyaa
tumhayn ‘aqal nahin?a
2:77 Kiyaa yeh itni baat nahin jaantay keh
Allah jaantaa hay jo kuch woh chupaatay hayn
aur jo kuch zaahir kartay hayn.
2:78 Aur un mayn kuch anparh hayn jo Kitaab
ko nahin jaantay magar zabaani parh layna ya
kuch apni man gharat aur yeh sirf
khayaal-o-gumaan mayn paray ho’ay hayn.

2:79 To barbaadi hay un logon kay liye jo apnay


haathon say Kitaab likhtay hayn phir kehtay
hayn: Yeh Khudaa ki taraf say hay keh is kay
badlay mayn thori si qeemat haasil kar layn to
un logon kay liye un kay haathon kay likhay
ho’ay ki wajah say halaakat hay aur un kay liye
un ki kamaa’i ki wajah say tabaahi-o-barbaadi
hay.
2:80 Aur bolay: hamayn to aag hargiz nah
choo’ay gi magar ginti kay chand din. Ay
Habeeb! Tum farmaado: Kiyaa tum nay
Khudaa say ko’i wa’dah liyaa huaa hay? (agar
aysa hay, phir) to Allah hargiz wa’dah khilaa
nahin karay gaa balkeh tum Allah par woh baat
keh rahay ho jis kaa tumhayn ‘ilm nahin.

2:81 Kiyon nahin, jisnay gunaah kamaaya,b

‘Unwaan
Yahoodiyon ko tambeeh keh Allah ‫ َع ﱠز َو َج ﱠل‬zaahir-o-baatin sab jaantaa hay.
Yahoodiyon kay ayk anparh giroh kaa haal.
Yahoodi ‘Ulamaa’ ki tehreefaat aur un par wa’eed.
Azaab-e-Jahannam say muta’alliq Yahoodiyon kaa man gharat nazriyya.
Jazaa-o-sazaa kaa Khudaa’i qaanoon.

Haashiyah
a
Is say ma’loom huaa keh haq poshi aur Sarkaar-e-Do ‘Aalam ‫ َصـ ﱠـﲆ الـلﱣــ ُه َعلَيْـ ِه َواٰلِـ ٖه َو َسـلﱠم‬kay Ausaaf ko chupaanaa
aur un kay kamaalaat kaa inkaar karnaa Yahoodiyon kaa tareeqah hay.
b
Is Aayat mayn gunaah say Kufr-o-Shirk muraad hay.

www.dawateislami.net
Surat-ul-Baqarah Juzz :1

aur us ki khataa nay us kaa ghayraa’o kar


liyaa,a to wohi log Jahannami hayn, woh
hamayshah us mayn rahayn gay.

2:82 Aur jo Imaan laa’ay aur achay kaam kiye:


woh Jannat waalay hayn unhayn hamayshah
us mayn rehnaa.

2:83 Aur yaad karo jab hum nay Bani-Israa’eel


say ‘ehd liyaa keh Allah kay siwaa kisi ki ‘ibaadat
nah karo aur maan baap kay saath bhalaa’i
karo aur rishtah daaron aur yateemon aur
miskeenon kay saath (achaa sulook karo) aur
logon say achi baat karo,b aur Namaaz qaa’im
rakho aur Zakaat do (laykin) phir tum mayn say
chand aadmiyon kay ‘ilaawah sab phir gaa’y aur
tum (wesay hi Allah kay ayhkaam say) munh
mornay waalay ho.c
2:84 Aur yaad karo jab hum nay tum say
‘ehd liyaa keh aapas mayn kisi kaa khoon nah
bahaanaa aur apnay logon ko apni bastiyon
say nah nikaalnaa phir tum nay iqraar bhi kar
liyaa aur tum (khud is kay) gawaah ho.
2:85 Phir yeh tum hi ho jo apnay logon ko qatl
(bhi) karnay lagay aur apnay mayn say ayk
giroh ko un kay watan say (bhi) nikaalnay
lagay, tum un kay khilaaf gunaah aur ziyaadti

‘Unwaan
Bani-Israa’eel ko ‘ehd-o-meesaaq mayn diye ga’ay ayhkaam.
Bani-Israa’eel ki un ayhkaam ki khilaaf warzi ki tafseel.

Haashiyah
a
Ihaatah karnay say yeh muraad hay keh najaat ki tamaam raahayn band ho jaa’ayn aur Kufr-o-Shirk hi
par us ko mout aa’ay.
b
Achi baat say muraad nayki ki da’wat daynaa aur buraa’iyon say roknaa hay. Nayki ki da’wat mayn us kay
tamaam tareeqay daakhil hayn, jaysay bayaan karnaa, dars daynaa, wa’z-o-naseehat karnaa wagherah.
c
Is say ma’loom huaa keh Bani-Israa’eel ki ‘aadat hi Allah ‫ َع ﱠز َو َج ﱠل‬kay ayhkaam say ay’raaz karnaa aur us kay
‘ehd say phir jaanaa hay.

www.dawateislami.net
Surat-ul-Baqarah Juzz :1

kay kaamon mayn madad (bhi) kartay ho aur


agar wohi qaydi ho kar tumhaaray paas
aa’ayn to tum mu’aawazah day kar unhayn
churaa laytay ho haalaankeh tumhaaray opar
to un kaa nikaalnaa hi haraam hay. To kiyaa
tum Allah kay ba’z ayhkaamaat ko maantay
ho aur ba’z say inkaar kartay ho?a to jo tum
mayn aysaa karay us kaa badlah dunyaawi
zindagi mayn zillat-o-ruswaa’i kay siwaa aur
kiyaa hayb aur Qiyaamat kay din unhayn
shadeed tareen ‘azaab ki taraf lotaayaa jaa’ay
gaa aur Allah tumhaaray a’maal say bay
khabar nahin.

2:86 Yehi woh log hayn jinhon nay Aakhirat


kay badlay Dunyaa ki zindagi khareed li to un
say nah to ‘azaab halkaa kiyaa jaa’ay gaa aur
nah hi un ki madad ki jaa’ay gi.

2:87 Aur beshak hum nay Musaa ko Kitaab


‘ataa ki aur us kay ba’d pay dar pay Rasool
bhayjay aur hum nay ‘Isaa bin Maryam ko
khuli nishaaniyaan ‘ataa farmaa’in aur paak
rooh kay zari’ay un ki madad ki,c to (Ay Bani
Israa’eel!) kiyaa (tumhaaraa yeh ma’mool
nahin hay? Keh) jab kabhi tumhaaray paas
ko’i Rasool aisay ayhkaam lay kar tashreef
laayaa jinhayn tumhaaray dil pasand nahin
kartay thay to tum takabbur kartay thay phir
un (Ambiyaa’ mayn say) ayk giroh ko tum
jhutlaatay thay aur ayk giroh ko Shaheed
kardaytay thay.
‘Unwaan
Bani-Israa’eel mayn Ambiyaa’ kaa musalsal tashreef laanaa aur Yahoodiyon kaa unhayn Shaheed
karnaa.
Haashiyah
a
Is Aayat say ma’loom huaa keh Sharee’at kay tamaam ayhkaam par Imaan rakhnaa zaroori hay aur
tamaam zaroori ayhkaam par ‘amal karnaa bhi zaroori hay, ko’i shakhs kisi waqt bhi Sharee’at ki paabadni
say aazaad nahin ho saktaa aur khud ko tareeqat kaa naam lay kar ya kisi bhi tareeqay say Sharee’at say
aazaad kehnay waalay kaa r hayn.
b
Is say ma’loom huaa keh kisi ki tarafdaari mayn Deen ki mukhaalafat karnaa ukhrawi ‘azaab kay ‘ilaawah
Dunyaa mayn bhi zillat-o-ruswaa’i kaa baa’is hotaa hay.
c
Allah ‫ َع ﱠز َو َج ﱠل‬nay Hazrat ‘Isaa ‫الـســﻼَم‬
‫ َعـلَ ْيــ ِه ﱠ‬ki madad Hazrat Jibreel ‫الـســﻼَم‬
‫ َعـلَ ْيــ ِه ﱠ‬kay zari’ay farmaa’i. Ma’loom
huaa keh Allah kay piyaaray madad kar saktay hayn.

www.dawateislami.net
Surat-ul-Baqarah Juzz :1

2:88 Aur Yahoodiyon nay kahaa: Hamaaray


dilon par parday paray ho’ay hayn balkeh
Allah nay un kay Kufr ki wajah say un par
la’nat kardi hay to un mayn say thoray log hi
Imaan laatay hayn.
2:89 Aur jab un kay paas Allah ki woh Kitaab
aa’i jo un kay paas (moujood) Kitaab ki tasdeeq
karnay waali hay aur is say pehlay yeh isi Nabi
kay waseelay say kaa ron kay khilaaf fatah
maangtay thay to jab un kay paas woh jaanaa
pehchaanaa Nabi tashreef lay aayaa to us kay
munkir ho ga’ay to Allah ki la’nat ho inkaar
karnay waalon par.
2:90 Unhon nay apni jaanon kaa kitnaa buraa
sodaa kiyaa keh Allah nay jo naazil farmaayaa
hay us kaa inkaar kar rahay hayn,a is hasad ki
wajah say b keh Allah apnay fazl say apnay jis
banday par chaahtaa hay wahi naazil farmaataa
hay to yeh log ghazab par ghazab kay mustahiq
ho ga’ay aur kaa ron kay liye zillat kaa ‘azaab
hay.
2:91 Aur jab un say kahaa jaa’ay keh us par
Imaan laa’o jo Allah nay naazil farmaayaa hay to
kehtay hayn: Hum isi par Imaan laatay hayn jo
hamaaray opar naazil kiyaa gayaa hay aur woh
Touraat kay ‘ilaawah deegar kaa inkaar kartay
hayn haalaankeh (woh Qur’aan) bhi haq hay un
kay paas moujood (Kitaab) ki tasdeeq karnay

‘Unwaan
Nabi Kareem ‫ َص ﱠﲆ الـلﱣـ ُه َعلَيْ ِه َواٰلِ ٖه َو َسلﱠم‬ki tashreef aawari say pehlay aur ba’d mayn Yahoodiyon kaa haal.
Yahoodiyon kaa hasad ki wajah say Islaam qubool nah karnaa.
Yahoodiyon kaa Touraat par Imaan kaa da’waa bhi jhootaa hay.

Haashiyah
a
Is say har aadmi naseehat haasil karay keh Imaan ki jagah Kufr, naykiyon ki jagah gunaah, ‘itaa’at ki jagah
naa farmaani, Rizaa’-e-Ilaahi ki jagah Allah ‫ َع ﱠز َو َج ﱠل‬kay ghazab kaa sodaa bohut khasaaray kaa sodaa hay.
b
Is say ma’loom huaa keh mansab-o-martabay ki talab insaan kay dil mayn hasad paidaa honay kaa ayk sabab
hay aur yeh bhi ma’loom huaa keh hasad aysaa khabees marz hay jo insaan ko Kufr tak bhi lay jaa saktaa hay.

www.dawateislami.net
Surat-ul-Baqarah Juzz :1

waalaa hay. Ay Mehboob! Tum farmaado keh


(Ay Yahoodiyo!) agar tum Imaan waalay thay
to phir pehlay tum Allah kay Nabiyon ko kiyon
Shaheed kartay thay?a
2:92 Aur beshak tumhaaray paas Musaa
roshan nishaaniyaan lay kar tashreef laa’ay
phir tum nay is kay ba’d bachray ko Ma’bood
banaa liyaa aur tum zaalim thay.
2:93 Aur (yaad karo) jab hum nay tum say ‘ehd
liyaa aur Koh-e-Toor ko tumhaaray saron par
buland kar diyaa (aur farmaayaa) mazbooti say
thaam lo us ko jo hum nay tumhayn ‘ataa ki
hay aur suno.b Unhon nay kahaa: Hum nay
sunaa aur nah maanaa aur un kay Kufr ki
wajah say un kay dilon mayn bachraa rachaa
huaa thaa. Ay Mehboob! Tum farmaado: Agar
tum Imaan waalay ho to tumhaaraa Imaan
tumhayn kitnaa buraa hukm dayta hay.
2:94 Ay Mehboob! Tum farmaado: Agar
doosray logon ko chor kar Aakhirat kaa ghar
Allah kay nazdeek khalis tumhaaray hi liye hay
to agar tum sachay ho to mout ki tamannaa to
karo.c
2:95 Aur apni bad a’maaliyon ki wajah say yeh
hargiz kabhi mout ki tamannaa nah karayn gay
aur Allah zaalimon ko khoob jaantaa hay.

‘Unwaan
Bani-Israa’eel ki bachraa parasti kaa zikr kar kay Yahoodiyon kay khilaaf hujjat qaa’im karnaa.
Yahoodiyon kay is da’way kaa rad keh Jannat sirf un kay liye hay.

Haashiyah
a
Huzoor Pur Noor ‫ َص ﱠﲆ الـلﱣــ ُه َعلَيْ ِه َواٰلِ ٖه َو َسلﱠم‬kay zamaanay kay Bani-Israa’eel nay Ambiyaa’-e-Kiraam ‫الـســﻼَم‬
‫َعـلَيْــ ِه ُم ﱠ‬
ko shaheed nah kiyaa thaa magar choonkeh woh qaatilon ki is harkat say raazi thay aur un ko apnaa baraa
maantay thay aur unhayn ‘azamat say yaad kartay thay is liye unhayn bhi qaatilon mayn shaamil kiyaa gayaa.
b
Is Aayat say ma’loom huaa keh Allah ‫ــل‬
‫ َع ﱠز َو َج ﱠ‬ki Kitaab par Imaan lanay kaa matlab yeh hay keh is kay
tamaam ayhkaam aur sab taqaazon par ‘amal kiyaa jaa’ay aur un ki khilaaf warzi nah ki jaa’ay.
c
Mout ki mohabbat aur Allah ‫ َع ﱠز َو َج ﱠل‬ki mulaaqaat kaa shouq maqbool bandon kaa tareeqah hay albattah
dunyawi parayshaaniyon say tang aakar mout ki du’aa karnaa sabr-o-rizaa-o-tasleem-o-tawakkul kay
khilaaf hay aur naa jaa’iz hay.

www.dawateislami.net
Surat-ul-Baqarah Juzz :1

2:96 Aur beshak tum zaroor unhayn paa’o gay


keh sab logon say ziyaadah jeenay ki hawas
rakhtay hayn aur mushrikon mayn say ayk
(giroh) tamannaa kartaa hay keh kaash usay
hazaar saal ki zindagi day di jaa’ay.a Haalaankeh,
itni ‘umar kaa diyaa jaanaa bhi usay ‘azaab say
door nah kar sakay gaa aur Allah un kay tamaam
a’maal ko khoob daykh rahaa hay.
2:97 Ay Mehboob! Tum farmaado: Jo ko’i
Jibreel kaa dushman ho (to ho) pas beshak us
nay to tumhaaray dil par Allah kay hukm say
yeh utaaraa hay, jo apnay say pehlay moujood
Kitaabon ki tasdeeq farmaanay waalaa hay aur
Imaan waalon kay liye Hidaayat aur bashaarat
hay.
2:98 Jo ko’i Allah aur us kay Farishton aur us
kay Rasoolon aur Jibreel aur Meekaa’eel kaa
dushman ho to Allah kaa ron kaa dushman
hay.b
2:99 Aur beshak hum nay tumhaari taraf
roshan Aayatayn naazil keen aur in kaa inkaar
sirf naa farmaan hi kartay hayn.

2:100 Aur jab kabhi unhon nay ko’i ‘ehd kiyaa


to un mayn say ayk giroh nay is ‘ehd ko phaynk
diyaa balkeh un mayn say aksar maantay hi
nahin.
‘Unwaan
Yahoodiyon aur Mushrikon ki zindah rehnay ki hirs-o-hawas.
Yahoodiyon ki Hazrat Jibreel ‫الـسـﻼَم‬
‫ َعـلَيْـ ِه ﱠ‬say dushmani.
Allah kay muqarrab bandon say dushmani Allah‫ َع ﱠز َو َج ﱠل‬say dushmani hay.
Yahoodiyon kaa Huzoor-e-Aqdas ‫ َص ﱠﲆ الـلﱣـ ُه َعلَ ْي ِه َواٰلِ ٖه َو َسلﱠم‬par Imaan laanay kaa ‘ehd tor daynaa.

Haashiyah
a
Kuffar dunyawi zindagi par harees hotay hayn aur mout say bohut bhaagtay hayn jabkeh momin ki shaan
yeh hay keh woh agar zindagi chaahtaa hay to sirf is liye keh ziyaadah naykiyaan karay, Aakhirat kaa toshah
jama’ karay.
b
Is say ma’loom huaa keh Ambiyaa’-e-Kiraam ‫الـسـﻼَم‬
‫ َعـلَ ْيـ ِه ُم ﱠ‬aur Farishton say dushmani Kufr aur ghazab-e-Ilaahi
kaa sabab hay aur Mehboobaan-e-Haq say dushmani Khudaa ‫ َع ﱠز َو َج ﱠل‬say dushmani karnaa hay.

www.dawateislami.net
Surat-ul-Baqarah Juzz :1

2:101 Aur jab unkay paas Allah ki taraf say ayk


Rasool tashreef laayaa jo un ki Kitaabon ki
tasdeeq farmaanay waalaa hay to Ahl-e-Kitaab
mayn say ayk giroh nay Allah ki Kitaab ko
peeth peechay yoon phaynk diyaa goyaa woh
kuch jaantay hi nahin hayn.a

2:102 Aur yeh Sulaymaan kay ‘ehd-e-


hukoomat mayn us jaadu kay peechay par
ga’ay jo Shayaateen parhaa kartay thay aur
Sulaymaan nay Kufr nah kiyaab balkeh
Shaytaan kaa r ho’ay jo logon ko jaadu
sikhaatay thay aur (yeh to us jaadu kay peechay
bhi par ga’ay thay) jo Baabil shehr mayn do
Farishton Haaroot-o-Maarootc par utaaraa
gayaa thaa aur woh donon kisi ko kuch nah
sikhaatay jab tak yeh nah keh laytay keh hum
to sirf (logon kaa) imtehaan hayn to (ay logo!)
tum apnaa Imaan zaaya nah karo. Woh log un
Farishton say aysaa jaadu seekhtay jis kay
zari’ay mard aur uski biwi mayn judaa’i daal
dayn haalaankeh woh is kay zari’ay kisi ko
Allah kay hukm kay baghair ko’i nuqsaan
nahin pohnchaa saktay thay,d aur yeh aysi
cheez seekhtay thay jo unhayn nuqsaan daye
‘Unwaan
Hazrat Sulaymaan ‫الـســـﻼَم‬
‫ عَـلَيْـــ ِه ﱠ‬par jaadu ki tohmat ki tardeed, Yahoodiyon kaa jaadu seekhnaa aur
Haaroot-o-Maaroot ‫الـسـﻼَم‬
‫ َعـلَيْـ ِه ﱠ‬kaa waaqi’ah.

Haashiyah
a
Yahoodi Touraat ki bohut ta’zeem kartay thay magar Huzoor Pur Noor ‫ َصـ ﱠـﲆ الـلﱣــ ُه َعلَ ْيـ ِه َواٰلِـ ٖه َو َسـلﱠم‬par Imaan nah
laa’ay to is par ‘amal nah kiyaa gayaa yoon goyaa usay pas-e-pusht daal diyaa.
b
Logon nay Hazrat Sulaymaan ‫الـسـﻼَم‬
‫ عَـلَ ْيـ ِه ﱠ‬par jaadu ki tohmat lagaa’i thi yahaan us kaa rad kiyaa gayaa hay.
c
Haaroot aur Maaroot do Farishtay hayn aur Farishtay gunaahon say ma’soom hotay hayn, is kay baaray
mayn mashoor qissay Yahoodiyon kay gharay ho’ay hayn jo keh ghalat aur baatil hayn.
d
Mo’assir-e-Haqeeqi Allah ‫ َع ﱠز َو َج ﱠل‬hay aur asbaab ki taaseer Allah ‫ َع ﱠز َو َج ﱠل‬ki mashiyyat ya’ni chaahnay kay tehet
hay. Ya’ni Allah ‫ َع ﱠز َو َج ﱠل‬chaahay to hi ko’i shay asar kar sakti hay, agar Allah ‫ َع ﱠز َو َج ﱠل‬nah chaahay to aag jalaa nah
sakay, paani piyaas nah bujhaa sakay aur dawaa shifaa nah day sakay.
e
Jab jaadu mayn nuqsaan ki taaseer hay to Qur’aani Aayaat mayn zaroor shifaa ki taaseer hay. Yoonhi
jab kuffaar jaadu say nuqsaan pohnchaa saktay hayn to Khudaa kay banday bhi karaamat kay zari’ay
nafa’ pohnchaa saktay hayn.

www.dawateislami.net
Surat-ul-Baqarah Juzz :1

aur unhayn nafa’ nah day aur yaqeenan unhayn


ma’loom hay keh jis nay yeh sodaa liyaa hay
Aakhirat mayn us kaa kuch hissah nahin aur
unhon nay apni jaanon kaa kitnaa buraa sodaa
kiyaa hay, kiyaa hi acha hotaa agar yeh jaantay.
2:103 Aur agar woh Imaan laatay aur
parhayzgaari ikhtiyaar kartay to Allah kay
yahaan kaa sawaab bohut acha hay, agar yeh
jaantay.
2:104 Ay Imaan waalo! “Raa’inaa” nah kaho
aur yoon ‘arz karo keh huzoor hum par nazar
rakhayn”a aur pehlay hi say baghour suno aur
kaa ron kay liye dardnaak ‘azaab hay.

2:105 (Ay Musalmaano!) nah to Ahl-e-Kitaab


kay kaa r chaahtay hayn aur nah hi mushrik keh
tumhaaray opar tumhaaray Rab ki taraf say ko’i
bhalaa’i utaari jaa’ay haalaankeh Allah jisay
chaahta hay apni rehmat kay saath khaas farmaa
laytaa hay aur Allah baray fazl waalaa hay.

2:106 Jab hum ko’i Aayat Mansookh kartay


hayn yaa logon ko bhulaa daytay haynbto us
say behtar yaa us jaysi aur Aayat lay aatay hayn.
(Ay Mukhaatab!) Kiyaa tujhay ma’loom nahin
keh Allah har shay par qaadir hay.

‘Unwaan
Imaan-o-Taqwaa ki fazeelat.
Nabi Kareem ‫ َص ﱠﲆ الـلﱣـ ُه َعلَيْ ِه َواٰلِ ٖه َو َسلﱠم‬ki Baargaah mayn ‘arz karnay kaa baa adab tareeqah.
Yahoodiyon ki Musalmaanon say dosti aur khayr khwaahi jhooti hay.
Shar’ee ayhkaam Mansookh honay kaa suboot.

Haashiyah
a
Is Aayat say ma’loom huaa keh Ambiyaa’-e-Kiraam ‫الـسـﻼَم‬ ‫ َعـلَ ْيـ ِه ُم ﱠ‬ki ta’zeem-o-touqeer aur un ki janaab
mayn adab kaa lihaaz karnaa Farz hay aur jis kalmah mayn tark-e-adab kaa ma’mooli sa bhi andayshah
ho woh zabaan par laanaa mamnoo’ hay. Neez yeh bhi ma’loom huaa keh Huzoor Pur Noor ‫َص ﱠﲆ الـلﱣـ ُه َعلَ ْي ِه‬
‫ َواٰلِ ٖه َو َسلﱠم‬ki Baargaah kaa adab Rabb-ul-‘Aalameen khud sikhaataa hay aur ta’zeem kay muta’alliq ayhkaam
ko khud jaari farmaataa hay.
b
Naskh kaa ma’na hay: Saabiqah hukm ko kisi ba’d waali Daleel-e-Shar’ee say uthaa daynaa aur yeh
haqeeqat mayn saabiqah hukm ki muddat ki intihaa’ kaa bayaan hotaa hay.

www.dawateislami.net
Surat-ul-Baqarah Juzz :1

2:107 Kiyaa tujhay ma’loom nahin keh


aasmaanon aur zameen ki baadshaahi Allah
kay liye hay aur Allah kay muqaablay mayn
tumhaaraa nah ko’i himaayati hay aur nah hi
madadgaar.a
2:108 Kiyaa tum yeh chaahtay ho keh tum
apnay Rasool say wesay hi sawaal karo jesay us
say pehlay Musaa say kiye ga’ay aur jo Imaan
kay badlay Kufr ikhtiyaar karay to woh seedhay
raastay say bhatak gayaa.

2:109 Ahl-e-Kitaab mayn say bohut say logon


nay is kay ba’d keh un par haq khoob zaahir ho
chukaa hay apnay dili hasad ki wajah say,b yeh
chaahaa keh kaash woh tumhayn Imaan kay
ba’d Kufr ki taraf phayr dayn. To tum (unhayn)
chor do aur (un say) darguzar kartay raho
yahaan tak keh Allah apnaa hukm laa’ay beshak
Allah har cheez par qaadir hay.

2:110 Aur Namaaz qaa’im rakho aur Zakaat do


aur apni jaanon kay liye jo bhalaa’i tum aagay
bhayjo gay usay Allah kay yahaan paa’o gay
beshak Allah tumhaaray sab kaam daykh rahaa
hay.
2:111 Aur Ahl-e-Kitaab nay kahaa: Hargiz
Jannat mayn dakhil nah hogaa magar wohi jo

‘Unwaan
Nabiyye-e-Akram ‫ َص ﱠﲆ الـلﱣـ ُه َعلَيْ ِه َواٰلِ ٖه َو َسلﱠم‬say laa yaa’ni sawaalaat karnay par Yahudiyon ko tambeeh.
Islaam ki haqqaniyat jaannay kay ba’d yahoodiyon kaa Musalmaanon kay Kaa r-o-Murtad honay
ki tamanna karnaa.
Namaz-o-Zakaat aur muhasibah-e-a’maal kaa hukm.
Yahood-o-Nasaaraa ki Jannat kay muta’alliq khush fehmiyaan aur Jannati honay kay baaray mayn
Qaanoon-e-Ilaahi.

Haashiyah
a
Allah ‫ــل‬
‫ َع ﱠز َو َج ﱠ‬kay muqablay mayn ko’i kisi ki madad nahin kar saktaa, han Allah ‫ــل‬
‫ َع ﱠز َو َج ﱠ‬ki ijaazat aur
ikhtiyaar denay say madad ho sakti hay, Qur’aan-o-Hadees mayn is ki ka’i misaalayn moujood hayn aur
Buzurgaan-e-Deen kaa madad karnaa laakhon logon kay tajribaat aur tawaatur say saabit hay.
b
Is say ma’loom huaa keh hasad bohut bura ‘ayb hay aur is ki wajah say insaan nah sirf khud bhalaa’i say
ruk jaataa hay balkeh doosron ko bhi bhalaa’i say roknay ki koshish mayn masroof ho jaataa hay.

www.dawateislami.net
Surat-ul-Baqarah Juzz :1

Yahudi ho yaa ‘Isaa’i. Yeh in ki man gharat


tamannaa’ayn hayn. Tum farmaa do: Agar tum
sachchay ho to apni daleel laa’o.
2:112 Han kiyun nahin? Jis nay apnaa chehraa
Allah kay liye jhukaa diyaa aur woh nayki
karnay waalaa bhi ho to is kaa ajar us kay Rab
kay paas hay; a aur un par nah ko’i khouf ho gaa
aur nah woh ghamgeen hongay.
2:113 Aur Yahoodiyon nay kahaa: ‘Isaa’i kisi
shay par nahin aur ‘Isaa’iyon nay kahaa: Yahoo-
di kisi shay par nahin haalaankeh yeh Kitaab
parhtay hayn isi tarah jaahilon nay in (pehlon)
jaysi baat kahi to Allah Qiyaamat kay din un
mayn is baat kaa fayslah kar day gaa jis mayn
yeh jhagar rahay hayn.

2:114 Aur is say barh kar zaalim kon hogaa jo


Allah ki Masjidon ko is baat say rokay keh in
mayn Allah kaa naam liyaa jaa’ay baur un ko
weeraan karnay ki koshish karay;c unhayn
Masjidon mayn dakhil honaa munaasib nah
tha magar dartay ho’ay.Un kay liye Dunyaa

‘Unwaan
Yahood-o-Nasaaraa ki ayk doosray kay baaray mayn raa’ay.
Masjidon mayn Namaaz say roknaa aur un ki weeraani ki koshish karnaa baraa zulm hay.

Haashiyah
a
Jannat mayn dakhilay kaa haqeeqi me’yaar Imaan-e-saheeh aur ‘amal-e-saaleh hay aur kisi bhi
zamaanay aur kisi bhi nasl-o-qoum kaa aadami agar saheeh Imaan-o-‘amal rakhtaa hay to woh Jannat
mayn jaa’ay gaa. Albattah yeh yaad rahay keh Nabi Kareem ‫ َصـ ﱠـﲆ الـلﱣــ ُه َعلَ ْيـ ِه َواٰلِـ ٖه َو َسـلﱠم‬kay ay’laan-e-Nubuwwat kay
ba’d aap ki Nubuwwat nah mannay waalay kaa Imaan qat’an saheeh nahin ho saktaa aur ko’i bhi ‘amal
Imaan kay baghair saaleh nahin ho saktaa.
b
Zikrullah ko mana’ karnaa har jagah hi buraa hay laykin Masjidon mayn khusoosan ziyaadah buraa hay
keh woh to isi kaam kay liye banaa’i jaati hayn.

c
Masjid ko kisi bhi tarah weeran karnay waalaa zaalim hay. Is say muta’alliq mazeed tafseel jaannay kay
liye Tafseer Siraat-ul-Jinaan, Jild 1, Saah 194 par mazkoor kalaam mulahazah farmaa’ayn.

www.dawateislami.net
Surat-ul-Baqarah Juzz :1

mayn ruswaa’i hay aur un kay liye Aakhirat


mayn bara ‘azaab hay.

2:115 Aur mashriq-o-maghrib sab Allah hi kaa


hay to tum jidhar munh karo udhar hi Allah ki
rehmata tumhaari taraf mutawajjah hay.
Beshak Allah wus’at waalaa ‘ilm waalaa hay.

2:116 Aur Mushrikon nay kahaa: Allah nay


apnay liye aulaad banaa rakhi hay, woh paak
zaat hay balkeh jo kuch aasmaanon aur zameen
mayn hay sab usi ki milkiyyat mayn hay. Sab us
kay huzoor gardan jhukaa’ay ho’ay hayn.
2:117 (Woh) Baghair kisi saabiqah misaal kay
aasmaanon aur zameen ko nayaa paidaa karnay
waalaa hay,b aur jab woh kisi kaam (ko wujood
mayn laanay) kaa fayslah farmaataa hay to us
say sirf yeh farmaataa hay keh “ho jaa” to woh
foran ho jaataa hay.c
2:118 Aur jaahilon nay kahaa: Allah hum say
kiyun nahin kalaam kartaa yaa hamaaray paas
ko’i nishaani kiyun nahin aajaati. Un say
pehlay logon nay bhi aysi hi baat kahi thi to un

‘Unwaan
Qibla kisi bhi taraf ho, ‘ibaadat sirf Allah ‫ َع ﱠز َو َج ﱠل‬hi ki hay.
Allah ‫ َع ﱠز َو َج ﱠل‬ki taraf aulaad ki nisbat kaa rad.
Allah ‫ َع ﱠز َو َج ﱠل‬kaa iraadah qat’ee tor par naa z hay.
Yahoodiyon kay Allah ‫ َع ﱠز َو َج ﱠل‬say hum kalaami kay mutalbay kaa rad.

Haashiyah
a
“‫ ” َو ْج ُہ اللﱣہ‬kaa lughwi tarjamah “Allah kaa chehrah” hay Allah ‫ َع ﱠز َو َج ﱠل‬makhlooq jaysay chehray say paak hay
lihaazaa yeh Mutashaabihaat mayn say hay, is ki muraad Allah ‫ َع ﱠز َو َج ﱠل‬hi behtar jaantaa hay.

b
“‫ ”بدیــع‬kaa ma’naa hay kisi cheez ko baghair kisi saabiqah misaal kay na’ay tor par banaanay waalaa.
Allah ‫ َع ﱠز َو َج ﱠل‬kay aasmaanon aur zameen ko paidaa karnay say pehlay nah ko’i aasmaan tha aur nah zameen
to Allah ‫ َع ﱠز َو َج ﱠل‬na’ay tor par isay ‘adam say wujood mayn laayaa.

c
Yaad rahay keh Allah ‫ــل‬
‫ َع ﱠز َو َج ﱠ‬kisi bhi kaam mayn kisi kaa mohtaaj nahin aur Allah ‫ــل‬
‫ َع ﱠز َو َج ﱠ‬kaa mukhtalif
kaamon kay liye farishton ko muqarrar karnaa hikmat hay haajat nahin.

www.dawateislami.net
Surat-ul-Baqarah Juzz :1

kay dil aapas mayn ayk jaysay ho ga’ay.a Beshak


hum nay yaqeen karnay waalon kay liye
nishaaniyaan khol kar bayaan kar Deen.
2:119 Ay Habeeb! Beshak hum nay tumhayn
haq kay saath khushkhabri denay waalaa aur
dar ki khabrayn denay waalaa banaa kar bhayjaa
aur aap say Jahannamiyon kay baaray mayn
sawaal nahin kiyaa jaa’ay gaa.
2:120 Aur Yahoodi aur ‘Isaa’i hargiz aap say
raazi nah hongay jab tak aap un kay Deen ki
payrawi nah kar layn. b Tum farmaa do: Allah
ki Hidaayat hi haqeeqi Hidaayat hay aur (Ay
Mukhaatab!) agar teray paas ‘ilm aajaanay kay
ba’d bhi tu un ki khwaahishaat ki payrawi karay
gaa, c to tujhay Allah say ko’i bachaanay waalaa
nah ho gaa aur nah ko’i madadgaar ho gaa.

2:121 Woh log jinhayn hum nay Kitaab di hay


to woh uski tilaawat kartay hayn jaysaa tilaawat

‘Unwaan
Tableegh kay baawujood log kay Imaan nah laanay par Huzoor-e-Aqdas ‫ َص ﱠﲆ الـلﱣـ ُه َعلَ ْي ِه َواٰلِ ٖه َو َسلﱠم‬ko tassali.
Yahoodiyon aur ‘Isaa’iyon ki payrawi ki soorat mayn ‘Azaab-e-Ilaahi ki wa’eed.
Kitaabullah ki tilaawat kamaa-haqquhu karnay waalay.

Haashiyah
a
Kuffaar say mu’aasharat, libaas aur waza’ qata’ mayn bhi mushaabihat karnaa mana’ hay keh zaahir
baatin ki ‘alaamat hotaa hay aur zaahir kaa baatin par asar hotaa hay. Lihaazaa Kuffaar kay tor tareeqay
say bilkul doori ikhtiyaar ki jaa’ay taakeh in kaa zaahir Musalmaan kay baatin ko mutaasir nah karay.
b
Is Aayat say yeh bhi samajh aata hay keh Kuffaar bahaysiyat-e-majmoo’ee Musalmaanon say kabhi raazi
nahin ho saktay agarcheh zaahiri tor par kabhi haalaat mukhtalif ho jaa’ayn. Afsos keh hazaron tajribaat
kay ba’d bhi Musalmaan sabaq nahin seekhtay.
c
Yahaan khitaab Nabi Kareem ‫ َص ﱠﲆ الـلﱣـ ُه َعلَ ْي ِه َواٰلِ ٖه َو َسلﱠم‬say nahin balkeh is Aayat ko sunnay waalay har mukhatab
say hay yaa phir bazaahir khitab Nabi Kareem ‫ َصـ ﱠـﲆ الـلﱣـ ـ ُه َعلَ ْي ـ ِه َواٰلِـ ٖه َو َس ـلﱠم‬say hay aur muraad Aap ki Ummat hay
kiyunkeh aap Ahl-e-Kitaab ki khwaahishaat ki payrawi nahin kar saktay.

www.dawateislami.net
Surat-ul-Baqarah Juzz :1

karnay kaa haq hay.a Yehi log is par Imaan


rakhtay hayn aur jo is kaa inkaar karayn to
wohi nuqsaan uthaanay waalay hayn.
2:122 Ay Ya’qoob ki aulaad! Mera ayhsaan
yaad karob jo mayn nay tum par kiyaa aur
woh jo mayn nay is zamaanay kay sab logon
par tumhayn fazeelat ‘ataa farmaa’i.

2:123 Aur us din say daro jab ko’i jaan kisi


doosry jaan ki taraf say ko’i badlah nah daygi
aur nah us say ko’i mu’aawazah liyaa jaa’ay gaa
aur nah kaa r ko sifaarish nafa’ daygi aur nah
hi un ki madad ki jaa’ay gi.

2:124 Aur yaad karo jab Ibrahim ko us kay Rab


nay chand baaton kay zari’ay aazmaayaa to
us nay unhayn pooraa kar diyaa (Allah nay) far-
maayaa: “mayn tumhayn logon kaa payshwaa
banaanay waalaa hoon.”c (Ibrahim nay) ‘arz
ki aur meri aulaad mayn say bhi. Farmaayaa:
“mera ehd zaalimon ko nahin pohunchtaa.
2:125 Aur (yaad karo) jab hum nay is ghar ko
logon kay liye marja’ aur amaan banaayaa aur
(Ay Musalmaano!) tum Ibrahim kay kharay

‘Unwaan
Yahoodiyon ko nay’maton ki yaad dihaani aur unhayn Fikr-e-Aakhirat kaa hukm.
Hazrat Ibrahim ‫الـسـﻼَم‬
‫ َعـلَيْـ ِه ﱠ‬kaa imtehaan, kaamyaabi aur silah.

Masjid-e-Haraam ki khusoosiyaat aur usay paak saaf rakhnay kaa hukm.

Haashiyah
a
Is say yeh bhi ma’loom huaa keh Kitaabullah kay bohut say huqooq bhi hayn. Qur’aan kaa haq yeh hay
keh us ki ta’zeem ki jaa’ay, us say mohabbat ki jaa’ay, us ki tilaawat ki jaa’ay, usay samjhaa jaa’ay, us par
Imaan rakhaa jaa’ay, us par ‘amal kiyaa jaa’ay aur usay doosron tak pohnchaayaa jaa’ay.
b
Allah ‫ َع ﱠز َو َج ﱠل‬ki nay’maton kaa charchaa karnaa, zikar karnaa shukr ki ayk qism hay. Lihaazaa Huzoor Pur
Noor ‫ َصـ ﱠـﲆ الـلﱣــ ُه َعلَيْـ ِه َواٰلِـ ٖه َو َسـلﱠم‬ki wilaadat-e-mubaarkah kaa tazkirah karnaa yaa us ki meh l karnaa isi qism mayn
dakhil hay.
c
Is say ma’loom huaa keh Shar’ee ayhkaam aur takaaleef Allah ‫ َع ﱠز َو َج ﱠل‬ki taraf say aazmaish hoti hayn aur jo
in aazmaishon mayn poora utartaa hay woh Dunyaa-o-Aakhirat kay in’aamaat kaa mustahiq qaraar paataa
hay.

www.dawateislami.net
Surat-ul-Baqarah Juzz :1

honay ki jagah ko Namaaz kaa maqaam


banaa’oa aur hum nay Ibrahim-o-Isma’il ko
taakeed farmaa’i keh mera ghar Tawaaf karnay
waalon aur Aytikaaf karnay waalon aur
Rukoo’-o-Sujood karnay waalon kay liye
khoob paak saaf rakho.b

2:126 Aur yaad karo jab Ibrahim nay ‘arz ki:


Ay meray Rab is shehr ko aman waalaa banaa
day aur is mayn rehnay waalay jo Allah aur
Aakhirat kay din par Imaan rakhtay hon
unhayn mukhtalif phalon kaa rizq ‘ataac
farmaa’ayn. (Allah nay) farmaayaa: aur jo
kaa r ho to mayn usay bhi thori si muddat kay
liye nafa’ uthaanay doonga phir usay dozakh
kay ‘azaab ki taraf majboor kar doongaa aur
woh palatnay ki bohut buri jagah hay.
2:127 Aur jab Ibrahim aur Isma’il us ghar ki
bunyaadayn buland kar rahay thayd (yeh du’aa
kartay ho’ay) Ay hamaaray Rab! Ham say
qubool farmaa, beshak tu hi sunnay waalaa
jannay waalaa hay.
‘Unwaan
Makkah Mukarramah kay liye Du’aa-e-Ibrahimi.
Ta’meer-e-Ka’bah aur Hazrat Ibrahim-o-Isma’il ‫الـسـﻼَم‬
‫ َعـلَيْـ ِه َ ﱠ‬ki du’aayn.

Haashiyah
a
Is say ma’loom huaa keh jis patthar ko Nabi ki qadam bosi haasil ho jaa’ay woh ‘azamat waalaa ho jaataa
hay. Yeh bhi ma’loom huaa keh Nabi ‫الـســـﻼَم‬
‫ َعـلَيْـــ ِه ﱠ‬ki ta’zeem touheed kay munaa nahin kiyunkeh
Maqaam-e-Ibrahim ka ayhtiraam to ‘ayn-e-Namaaz mayn hotaa hay.
b
Is say ma’loom huaa keh Khanah Ka’bah aur Masjid-e-Haraam Sharif ko Haajiyon, ‘Umrah karnay
waalon, Tawaaf karnay waalon, Aytikaaf karnay waalon aur Namaaziyon kay liye paak-o-saaf rakhaa
jaa’ay, yehi hukm Masjidon ko paak-o-saaf rakhnay kaa hay.
c
Hazrat Ibrahim ‫الـســـﻼَم‬
‫ عَـلَ ْيـــ ِه ﱠ‬nay Khanah Ka’bah kay liye rizq ki faraawaani ki du’aa mangi thi, us du’aa ki
qubooliyat har shakhs apni aankhon say daykh saktaa hay keh dunyaa bhar kay phal aur khaanay yahaan
bakasrat miltay hayn.
d
Is Aayat say ma’loom huaa keh Masjid ki ta’meer nihaayat Aa’la ‘ibaadat aur Ambiyaa’-e-Kiraam ‫َعـلَـــيْ ِه ُم‬
‫ ﱠ‬ki sunnat hay.
‫الس َﻼم‬

www.dawateislami.net
Surat-ul-Baqarah Juzz :1

2:128 Ay hamaaray Rab! Aur hum donon ko


apnaa farmaanbardaar rakh aur hamaari aulaad
mayn say aysi Ummat banaa jo teri farmaanbar-
dar ho aur hamayn ‘ibaadat kay tareeqay dikhaa
day,a aur hum par apni rehmat kay saath rujoo’
farmaa beshak tu hi bohut toubah qubool
karnay waalaa mehrbaan hay.
2:129 Ay hamaaray Rab, aur un kay darmiyaan
unheen mayn say ayk Rasool bhayj jo un par
teri Aayaton ki tilaawat farmaa’ay aur unhayn
teri kitaab aur pukhtah ‘ilm sikhaa’ay,b aur
unhayn khoob paakeezah farmaa day. Beshak
tu hi ghalib hikmat waalaa hay.
2:130 Aur Ibrahim kay Deen say wohi munh
pheray gaa jis nay khud ko ayhmaq banaa
rakhaa ho aur beshak hum nay usay Dunyaa
mayn chun liyaa aur beshak woh Aakhirat
mayn hamaaraa khaas qurb paanay waalon
mayn say hay.

2:131 Yaad karo jab us kay Rab nay usay


farmaayaa: Farmaanbardaari kar, to us nay ‘arz
ki: Mayn nay farmaanbardari ki us ki jo tamaam
jahaanon kaa paalnay waalaa hay.c

‘Unwaan
Huzoor Pur Noor ‫ َص ﱠﲆ الـلﱣـ ُه َعلَ ْي ِه َواٰلِ ٖه َو َسلﱠم‬ki tashreef aawari kay muta’alliq du’aa’ay Ibrahimi.
Millat-e-Ibrahimi aur Hazrat Ibrahim ‫الـسـﻼَم‬
‫ َعـلَيْـ ِه ﱠ‬ki ‘azmat.

Haashiyah
a
Maloom huaa keh ‘ibaadat kay tareeqay seekhnaa Hazrat Ibrahim ‫الـســـﻼَم‬
‫ َعـلَ ْيـــ ِه ﱠ‬ki sunnat hay. Is kay liye
du’aa bhi karni chaahiye aur koshish bhi.
b
Is Aayat say Sahabah-e-Kiraam ‫ َر ِضـ َـی الـلﱣــ ُه َعنْ ُهـ ْم‬ki bhi shaan ma’loom ho’i keh Huzoor-e-Akram ‫َصـ ﱠـﲆ الـلﱣــ ُه َعلَ ْيـ ِه َواٰلِـ ٖه‬
‫ َو َسـلﱠم‬nay jin ko Kitaab-o-hikmat sikhaa’i aur jinhayn paak-o-saaf kiyaa un kay awwaleen misdaaq Sahabah
hi to thay. Nez yeh ma’loom huaa keh poora Qur’aan aasaan nahin warnah is ki ta’leem kay liye Huzoor
Pur Noor ‫ َصـ ﱠـﲆ الـلﱣــ ُه َعلَ ْيـ ِه َواٰلِـ ٖه َو َسـلﱠم‬nah bhejay jaatay. Jo kahay keh Qur’aan samajhnaa bohut aasaan hay usay kisi
baaray ‘aalim kay paas lay jaa’ayn, pandrah minute mayn haal zaahir ho jaa’ay gaa. Yeh bhi ma’loom huaa
keh Qur’aan kay saath Hadees ki bhi zaroorat hay.
c
Maloom huaa keh sachchay Deen ki pehchaan hay keh woh salf-o-saaliheen kaa Deen ho, yeh Hazraat
Hidaayat ki daleel hayn, Allah ‫ــل‬
‫ َع ﱠز َو َج ﱠ‬nay haqqaniyat-e-Islaam ki daleel yahaan di keh woh Millat-e-Ibrahimi
hay.

www.dawateislami.net
Surat-ul-Baqarah Juzz :1

2:132 Aur Ibrahim aur Ya’qoob nay apnay


bayton ko isi Deen ki wasiyyat ki keh ay meray
bayto! Beshak Allah nay yeh Deen tumhaaray
liye chun liyaa hay to tum hargiz nah marnaa
magar is haal mayn keh tum Musalmaan ho.”a
2:133 (Ay Yahoodiyo!) kiyaa tum us waqt
moujood thay jab Ya’qoob kay wisaal kaa
waqt aayaa, jab unhon nay apnay bayton say
farmaayaa: (Ay bayto!) meray ba’d tum kis ki
‘ibaadat karogay? To unhon nay kahaa: Hum
aap kay Ma’bood aur aap kay aabaa-o-ajdaad
Ibrahim aur Isma’il aur Ishaaq kay Ma’bood
ki ‘ibaadat karayn gay jo ayk Ma’bood hay aur
hum us kay farmaanbardaar hayn.
2:134 Woh ayk Ummat hay jo guzar chuki hay.
Un kay a’maal un kay liye hayn aur tumhaaray
a’maal tumhaaray liye hayn,b aur tum say us
kay kaamon kay baaray mayn nahin poocha
jaa’ay gaa.
2:135 Aur Ahl-e-Kitaab nay kahaa: Yahoodi
yaa Nasraani ho jaa’o Hidaayat paa jaa’o gay!
Tum farmaa’o: (Hargiz nahin) balkeh hum to
Ibrahim kaa Deen ikhtiyaar kartay hayn jo
har baatil say judaa tha aur woh Mushrikon
mayn say nah thay.c

‘Unwaan
Hazrat Ibrahim aur Ya’qoob ‫الـسـﻼَم‬ ‫ َعـلَيْـ ِه َ ﱠ‬ki apnay bayton ko Deen-e-Haqq par saabit qadmi ki wasiyyat.
Hazrat Ya’qoob ‫الـسـﻼَم‬
‫ َعـلَيْـ ِه ﱠ‬ki wasiyyat ki tafseel.
Qanoon-e-‘Adl kay mutaabiq har ayk apnay a’maal ki jazaa-o-sazaa paa’ay gaa.
Millat-e-Ibrahimi ki payrawi karnay ki taakeed.
Haashiyah
a
Is say ma’loom huaa keh waalidayn ko sirf maal kay muta’alliq wasiyyat nahin karni chaahiyay balkeh
aulaad ko ‘Aqa’id-e-Saheehah, A’maal-e-Saaleh, Deen ki ‘azamat, Deen par istiqaamat, naykiyon par
mudawamat aur gunaahon say door rehnay ki wasiyyat bhi karni chaahiyay.
b
Is say ma’loom huaa keh Aakhirat mayn apnay a’maal kaam aa’ayn gay aur agar ‘Aqeedah kharaab ho
to kisi ko doosray kay ‘amal say faa’idah nah hogaa.
c
Is say ma’loom huaa keh Hazrat Ibrahim ‫الـســـﻼَم‬
‫ َعـلَ ْيـــ ِه ﱠ‬ko Rab ‫ــل‬
‫ َع ﱠز َو َج ﱠ‬nay woh maqbooliyat-e-‘aammah
bakhshi hay keh har Deen waalaa un ki nisbat par fakhr kartaa hay. Aur yeh bhi ma’loom huaa keh sirf
baron ki aulaad honaa kaa nahin jab tak baron kay say kaam nah karay.

www.dawateislami.net
Surat-ul-Baqarah Juzz :1

2:136 (Ay Musalmaano!) tum kaho: Hum Allah


par aur jo hamaari taraf naazil kiyaa gayaa hay
us par Imaan laa’ay aur us par jo Ibrahim aur
Isma’il aur Ishaaq aur Ya’qoob aur un ki aulaad
ki taraf naazil kiyaa gayaa aur Musaa aur ‘Isaa
ko diyaa gayaa aur jo baaqi Ambiyaa’ ko us kay
Rab ki taraf say ‘ataa kiyaa gayaa. Ham Imaan
laanay mayn un mayn say kisi kay darmiyaan
farq nahin kartay,a aur hum Allah kay huzoor
gardan rakhay ho’ay hayn.

2:137 Phir agar woh bhi yoonhi Imaan lay


aa’ayn jaysa tum Imaan laa’ay ho jab to woh
Hidaayat pa ga’ay aur agar munh phayrayn to
woh sirf mukhalafat mayn paray ho’ay hayn.
To Ay Habeeb! ‘Anqareeb Allah un ki taraf
kaa hogaa aur wohi sunnay waalaa jannay
waalaa hay.

2:138 Ham nay Allah kaa rangb apnay opar


charhaa liyaa aur Allah kay rang say behtar kis
kaa rang hay? Aur hum usi ki ‘ibaadat karnay
waalay hayn.

2:139 Tum farmaa’o: Kiyaa tum Allah kay


baaray mayn hum say jhagartay ho haalaankeh
woh hamaaraa bhi Rab hay aur tumhaaraa bhi
aur hamaaray a’maal hamaaray liye hayn aur
tumhaaray a’maal tumhaaray liye hayn aur hum
khalis usi kay hayn.

‘Unwaan
Nabiyon kaa Deen hi sacha Deen hay.
Sahabah-e-Kiraam ‫ َر ِض َی الـلﱣـ ُه َع ْن ُه ْم‬kaa Imaan mo’tabar aur misaali hay.
Allah ‫ َع ﱠز َو َج ﱠل‬kaa Deen hi sab say behtar hay.
Nubuwwat-e-Mustafaa ‫ َص ﱠﲆ الـلﱣـ ُه َعلَيْ ِه َواٰلِ ٖه َو َسلﱠم‬kay baaray mayn jhagarnay waalay Yahoodiyon ko jawaab.

Haashiyah
a
Ambiyaa’-e-Kiraam ‫السـ َـﻼم‬
‫ َعـلَــيْ ِه ُم ﱠ‬kay darjon mayn farq hay jaysaa keh teesray paaray kay shuru’ mayn hay
magar un ki Nubuwwat mayn farq nahin.
b
Allah ‫ َع ﱠز َو َج ﱠل‬kay rang say muraad us kay Deen kay sachchay ‘Aqaa’id hayn.

www.dawateislami.net
Surat-ul-Baqarah Juzz :1

2:140 (Ay Ahl-e-Kitaab!) kiyaa tum yeh kehtay


ho keh Ibrahim aur Isma’il aur Ishaaq aur
Ya’qoob aur un ki aulaad Yahoodi yaa nasraani
thay. Tum farmaa’o: Kiyaa tum ziyaadah jaantay
ho ya Allah? Aur us say barh kar zaalim kon jis
kay paas Allah ki taraf say ko’i gawaahi ho aur
woh usay chupaa’ay aur Allah tumhaaray a’maal
say bay khabar nahin.

2:141 Woh ayk Ummat hay jo guzar chuki hay.


Un kay a’maal un kay liye hayn aur tumhaaray
a’maal tumhaaray liye hayn aur tum say un kay
kaamon kay baaray mayn nahin poocha jaa’ay
gaa.a

‘Unwaan
Hazrat Ibrahim ‫الـسـﻼَم‬
‫ َعـلَيْـ ِه ﱠ‬ki taraf Yahoodiyyat aur ‘Isaa’iyat ki nisbat kaa radd.

Qaanoon-e-‘Adl kay mutaabiq har ayk apnay a’maal ki jaza-o-sazaa paa’ay gaa.

Haashiyah
a
Is mayn un Musalmaanon kay liye bhi naseehat hay jo apnay maan baap yaa peer-o-murshid kay nayk
a’maal par bharosah kar kay khud naykiyon say door aur gunaahon mayn masroof hayn.

www.dawateislami.net
Surat-ul-Baqarah Juzz :2

2:142 Ab bewaqoof log kahayn gay,a in Musal-


maanon ko in kay us Qiblay say kis nay phayr
diyaa jis par yeh pehlay thay? Tum farmaado:
Mashriq-o-Maghrib sab Allah hi kaa hay, woh
jisay chaahtaa hay seedhay raastay ki taraf
Hidaayat daytaa hay.

2:143 Aur isi tarah hum nay tumhayn


behtareen Ummat banaayaa taakeh tum logon
par gawaah bano aur yeh Rasool tumhaaray
nigehbaan-o-gawaah hon aur Ay Habeeb!
Tum pehlay jis Qiblah par thay hum nay woh
isi liye muqarrar kiyaa thaa keh daykhaynb
kon Rasool ki payrawi kartaa hay aur kon ultay
paa’on phir jataa hay aur beshak woh log
jinhayn Allah nay Hidaayat di thi in kay
‘ilaawah (logon) par yeh bohut bhaari thi.c
Aur Allah ki yeh Shaan nahin keh tumhaaraa
Imaan zaaya kar day beshak Allah logon par
bohut mehrbaan, rehem waalaa hay.

‘Unwaan
Tabdeeliy-e-Qiblah par Yahoodiyon kay ay’tiraaz ki Ghaybi khabar aur ay’tiraaz kaa jawaab.
Ummat-e-Mustafaa kaa behtareen Ummat honaa aur Qiyaamat mayn logon par gawaah honaa.
Tabdeeliy-e-Qiblah ki ayk hikmat keh Momin-o-kaa r mayn farq zaahir karnaa.

Haashiyah
a
Is Aayat mayn Bayt-ul-Muqaddas kay ba’d Khaanah-e-Ka’bah ko Qiblah banaa’ay jaanay par ay’tiraaz
karnay waalon ko baywaqoof kahaa gayaa, is say ma’loom huaa kay jo shakhs deeni masaa’il ki hikmatayn
nah samjhay balkeh un par bayjaa ay’tiraaz karay woh ayhmaq aur baywaqoof hay agarcheh Dunyaa kay
kaamon mayn woh kitnaa hi chaalaak ho.

b
Ilm kay ma’naa “Jaannaa” hay, laykin jahaan Aayat mayn mustaqbil kay hawaalay say Allah ‫ــل‬
‫ َع ﱠز َو َج ﱠ‬kay
liye yeh alfaaz hon wahaan is kaa ma’naa “Allah َ َ ‫ ﱠ‬kaa logon kay saamnay us ki jaanch parakh
‫ــل‬
‫ﱠ‬ ‫ج‬ ‫و‬ ‫ز‬‫ع‬َ
farmaanaa” yaa “un kay saamnay mumtaaz-o-numaayaan aur farq zaahir kar daynaa” hotaa hay.

c
Is say ma’loom huaa kay Allah ‫ــل‬
‫ َع ﱠز َو َج ﱠ‬kaa hukm ma’loom honay kay ba’d qubool karnay say dil mayn
tangi mehsoos karnaa munaafaqat ki ‘alaamat hay.

www.dawateislami.net
Surat-ul-Baqarah Juzz :2

2:144 Hum tumhaaray chehray kaa aasmaan


ki taraf baar baar uthnaa daykh rahay hayn to
zaroor hum tumhayn us Qiblah ki taraf phayr
dayn gay jis mayn tumhaari khushi haya to
abhi apnaa chehrah Masjid-e-Haraam ki taraf
phayr do aur ay Musalmaano! Tum jahaan
kaheen ho apnaa munh isi ki taraf kar lo aur
beshak woh log jinhayn Kitaab ‘ataa ki gaa’i
hay woh zaroor jaantay hayn keh yeh tabdeeli
us kay Rab ki taraf say haq hayb aur Allah un
kay a’maal say bay khabar nahin.
2:145 Aur agar tum Kitaabiyon kay paas har
nishaani lay aa’o to bhi woh tumhaaray Qiblah
ki payrawi nah karayn gayc aur nah tum un kay
Qiblah ki payrawi karo aur woh aapas mayn
bhi ayk doosray kay Qiblah kay taabay’ nahin
hayn aur (ay sunnay waalay!) d agar teray paas
‘ilm aajaanay kay ba’d tu in ki khwaahishon
par chalaa to us waqt tu zaroor ziyaadti karnay
waalaa hogaa.
2:146 Woh log jinhayn hum nay Kitaab ‘ataa
farmaa’i hay woh is Nabi ko aysaa pehchaantay
hayn jesay woh apnay bayton ko pehchaantay
hayn aur beshak un mayn ayk giroh jaan boojh
kar haq chupaatay hayn.
‘Unwaan
Rasoolullah ‫ َص ﱠﲆ الـلﱣـ ُه َعلَيْ ِه َواٰلِ ٖه َو َسلﱠم‬ki rizaa-o-khushi kay liye Ka’bah ko Qiblah banaanay kaa hukm.
Qiblah ki tabdeeli maannay say muta’alliq Ahl-e-Kitaab kay ayk khaas giroh kaa haal aur
Ahl-e-Kitaab kaa apnay Qiblah mayn baahami ikhtilaaf.
Nabi Kareem ‫ َصـ ﱠـﲆ الـلﱣــ ُه َعلَيْـ ِه َواٰلِـ ٖه َو َسـلﱠم‬ko pehchaannay mayn Ahl-e-Kitaab kaa haal aur un kay ayk giroh kaa
jaan boojh kar haq chupaanaa.
Haashiyah
a
Is Aayat say ma’loom huaa kay Allah ‫ َع ﱠز َو َجـ ﱠـل‬ko apnay Habeeb ‫ َصـ ﱠـﲆ الـلﱣــ ُه َعلَ ْيـ ِه َواٰلِـ ٖه َو َسـلﱠم‬ki razaa bohut pasand hay
aur Allah ‫ َع ﱠز َو َج ﱠل‬un ki razaa ko pooraa farmaataa hay.
b
Ahl-e-Kitaab jaantay thay keh Qiblah ki yeh tabdeeli Allah ‫ــل‬ ‫ َع ﱠز َو َج ﱠ‬ki taraf say haq hay kiyunkeh un ki
Kitaabon mayn Huzoor-e-Aqdas ‫ َص ﱠﲆ الـلﱣـ ُه َعلَيْ ِه َواٰلِ ٖه َو َسلﱠم‬kaa yeh wasf bhi mazkoor thaa aur un kay Ambiyaa’ ‫َعـلَـيْ ِه ُم‬
‫ ﱠ‬nay aap ki yeh nishaani bhi bataa’i thi kay Aap Bayt-ul-Muqaddas say Ka’bah ki taraf phirayn gay.
‫الس َﻼم‬
c
Dalaa’il kay baawujood Ahl-e-Kitaab kaa Musalmaanon kay Qiblah ki payrawi nah karnay ki wajah un
kaa hasad thaa kay Bani-Israa’eel say Nubuwwat muntaqil ho ga’i, ma’loom huaa kay hasad bohut buri si
hay kay aadmi ko haq qubool karnay say rok dayti hay.
d
Yahaan khitaab Nabi Kareeem ‫ َص ﱠﲆ الـلﱣـ ُه َعلَيْ ِه َواٰلِ ٖه َو َسلﱠم‬say nahin balkeh is Aayat ko sunnay waalay har mukhaatab
say hay yaa phir bazaahir khitaab Nabi Kareem ‫ َص ﱠــﲆ الـلﱣـــ ُه َعلَ ْيــ ِه َواٰلِــ ٖه َو َســلﱠم‬say hay aur muraad aap ki Ummat hay
kiyunkeh aap Ahl-e-Kitaab ki khwaahishaat ki payrawi nahin kar saktay.

www.dawateislami.net
Surat-ul-Baqarah Juzz :2

2:147 (Ay sunnay waalay!)a haq wohi hay jo


teray Rab ki taraf say ho. Pas tu hargiz shak
karnay waalon mayn say nah honaa.

2:148 Aur har ayk kay liye tawajjoh ki ayk


samt hay jis ki taraf woh munh kartaa hay to
tum naykiyon mayn aagay nikal jaa’o.b Tum
jahaan kaheen bhi hogay Allah tum sab ko
ikhattaa kar laa’ay gaa. Beshak Allah har shay
par qudrat rakhnay waalaa hay.

2:149 Aur (Ay Habeeb!) tum jahaan say aa’o


apnaa munh Masjid-e-Haraam ki taraf karo
aur beshak yeh yaqeenan tumhaaray Rab ki
taraf say haq hay aur Allah tumhaaray kaamon
say ghaa l nahin.

2:150 Aur ay Habeeb! Tum jahaan say aa’o


apnaa munh Masjid-e-Haraam ki taraf karo
aur aur Ay Musalmaano! Tum jahaan kaheen
ho apnaa munh isi ki taraf karo taakeh logon
ko tum par ko’i hujjat nah rahay magar jo un
mayn say naa insaa karayn to un say nah daro

‘Unwaan
Qiblah ki tabdeeli aur Ayhkaam-e-Ilaahi mayn shak karnay ki mumaani’at.
Tabdeeliy-e-Qiblah ki doosri hikmat keh har Ummat kay liye Qiblah kaa taqarrur rahay neez
bhalaa’i kay kaamon mayn muqaabalah karnay kaa hukm.
Safar-o-hazar har jagah Namaaz mayn Khaanah-e-Ka’bah ki taraf munh karnay kaa hukm.

Haashiyah
a
Yahaan khitaab Nabi Kareem ‫ َص ﱠﲆ الـلﱣـ ُه َعلَيْ ِه َواٰلِ ٖه َو َسلﱠم‬say nahin balkeh is Aayat ko sunnay waalay har mukhaatab
say hay yaa yahaan bhi bazaahir khitaab Nabiyy-e-Akram ‫ َص ﱠــﲆ الـلﱣـــ ُه َعلَ ْيــ ِه َواٰلِــ ٖه َو َس ـلﱠم‬say hay laykin muraad aap ki
Ummat hay kiyunkeh aap Hukm-e-Ilaahi mayn shak nahin kar saktay.
b
Yahaan Aayat mayn yeh baat samjhaa’i ga’i hay keh maal-o-doulat, ‘ohdah-o-mansab,
shohrat-o-maqbooliyat aur dunyaa daari aysi cheez nahin kay is mayn ayk doosray say muqaabalah kiyaa
jaa’ay kiyunkeh yeh sab faani hayn, jabkeh baaqi rehnay waali aur muqaabalay kay qaabil cheezayn to
nayki, ‘ibaadat aur bhalaa’i kay kaam hayn.

www.dawateislami.net
Surat-ul-Baqarah Juzz :2

aur mujh say daro,a aur taakeh mayn apni


ne’mat tum par mukammal kar doon aur
taakeh tum Hidaayat paa’o.
2:151 Jaysaa kay hum nay tumhaaray darmi-
yaan tum mayn say ayk Rasool bhayjaa jo tum
par hamaari Aayatayn tilaawat farmaataa hay
aur tumhayn paak kartaa aur tumhayn Kitaab
aur pukhtah ‘ilm sikhaataa hay aur tumhayn
woh ta’leem farmaataa hay jo tumhayn
ma’loom nahin thaa.b
2:152 To tum mujhay yaad karo, mayn
tumhayn yaad karoon gaa aur meraa shukr
adaa karo aur meri naa shukri nah karo.c
2:153 Ay Imaan waalon! Sabr aur Namaaz say
madad maango.d Beshak Allah saabiron kay
saath hay.

2:154 Aur jo Allah ki raah mayn maaray jaa’ayn


unhayn murdah nah kaho balkeh woh zindah

‘Unwaan
Nabi Kareem ‫ َص ﱠﲆ الـلﱣـ ُه َعلَ ْي ِه َواٰلِ ٖه َو َسلﱠم‬ki aamad kaa maqsad.
Allah ‫ َع ﱠز َو َج ﱠل‬kaa zikr aur us ki ne’maton par shukr karnay aur naa shukri say bachnay kaa hukm.
Sabr aur Namaaz say madad chaahnay kaa hukm aur sabr waalon ki fazeelat.
Shaheed ki ‘azamat keh usay murdah kehnaa mana’ hay aur woh zindah hotaa hay.

Haashiyah
a
Allah ‫ َع ﱠز َو َجـ ﱠـل‬kaa khouf har doosray khouf par ghaalib honaa chaahiye aur us ki rizaa talbi makhlooq ki
khushnoodi par ghaalib honi chaahiye.
b
Haqeeqat yeh hay keh Huzoor Pur Noor ‫ َصـ ﱠـﲆ الـلﱣــ ُه َعلَيْـ ِه َواٰلِـ ٖه َو َسـلﱠم‬sirf zaahiri Mazaameen-e-Qur’aan aur Allah
‫ َع ﱠز َو َج ﱠ‬kay ayhkaam hi nahin balkeh Rushd-o-Hidaayat, Salaah-o-Falaah aur ‘Ilm-o-Hikmat ki bay
‫ــل‬
shumaar baatayn sikhaatay hayn kiyunkeh aap Awwaleen-o-Aakhireen kay ‘uloom kay jami’ hayn.
c
Jab Kufr kaa lafz shukr kay muqaabalay mayn aa’ay to us kaa ma’naa naashukri aur jab Islaam yaa Imaan
kay muqaabil ho to us kaa ma’naa bay Imaani hotaa hay. Yahaan Aayat mayn Kufr say muraad naashukri hay.
d
Ghayr-e-Khudaa say madad talab karnaa Shirk nahin hay. Is mouzoo’ ki mazeed tafseel Tafseer
Siraat-ul-Jinaan, Jild 1, Saah 247 par mulaahazah farmaa’ayn.

www.dawateislami.net
Surat-ul-Baqarah Juzz :2

haynlaykin
hayn laykintumhayn
tumhaynisiskaa
kaashu’oor
sha’oor nahin.
nahin.a

2:155 Aur hum zaroor tumhayn kuch dar aur


bhook say aur kuch maalon aur jaanon aur
phalon ki kami say aazmaa’ayn gay aur sabr
karnay waalon ko khushkhabri sunaa do.

2:156 Woh log kay jab un par ko’i museebat


aati hay to kehtay hayn: Hum Allah hi kay
hayn aur hum usi ki taraf loutnay waalay hayn.

2:157 Yeh woh log hayn jin par un kay Rab ki


taraf say durood hayn aur rehmat aur yehi log
Hidaayat yaaah hayn.

2:158 Beshak Safaa aur Marwah Allah ki


nishaaniyon mayn say haynb to jo is ghar kaa
Hajj yaa ‘Umrah karay us par kuch gunaah
nahin kay in donon kay chakkar lagaa’ay aur
jo ko’i apni taraf say bhalaa’i karay to beshak
Allah nayki kaa badlah denay waalaa,
khabardaar hay.
2:159 Beshak woh log jo hamaari utaari hu’i
roshan baaton aur Hidaayat ko chupaatay
‘Unwaan
Museebaton kay zaree’ay aazmaa’ish ki jaati hay aur sabr karnay waalon kay liye bashaarat.
Safaa aur Marwah pahaaron ki ‘azamat aur un say muta’alliq Musalmaanon kay ayk shubah kaa
itmeenaan bakhsh jawaab.
Haq chupaanay waalon kay liye la’nat ki wa’eed aur sachchi toubah karnay waalon kay liye mu’aa
kaa wa’dah.

Haashiyah
a
Shaheed Qat’ee tor par zindah hayn laykin un ki hayaat kaysi hay is kaa hamayn sha’oor nahin, is liye
dunyaawi mu’aamalaat kay aytibaar say un par ‘aam maiyyat ki tarah Shar’ee ayhkaam jaari hotay hayn.
b
Safaa aur Marwah pahaar ko yeh ‘azamat Hazrat Haajarah ‫ َر ِض َی الـلﱣـ ُه َعنْ َها‬say nisbat ki barakat say haasil hu’i,
is say ma’loom huaa kay Saaliheen say nisbat rakhnay waali cheez ‘azamat waali ho jaati hay

www.dawateislami.net
Surat-ul-Baqarah Juzz :2

hayn a haalaankeh hum nay isay logon kay


liye Kitaab mayn waazih farmaa diyaa hay to
un par Allah la’nat farmaataa hay aur la’nat
karnay waalay un par la’nat kartay hayn.

2:160 Magar woh log jo toubah karayn aur


islaah kar layn aur (chupi hu’i baaton ko)
zaahir kar dayn to mayn un ki toubah qubool
farmaa’un gaa aur mayn hi baraa toubah
qubool farmaanay waalaa mehrbaan hoon.

2:161 Beshak woh log jinhon nay Kufr kiyaa


aur kaa rb hi maray un par Allah aur Farisht-
on aur insaanon ki, sab ki la’nat hay.c

2:162 Woh hamayshah us mayn rahayn gay,


un par say ‘azaab halkaa nah kiyaa jaa’ay gaa
aur nah unhayn mohlat di jaa’ay gi.

2:163 Aur tumhaaraa Ma’bood ayk Ma’bood


hay aur us kay siwaa ko’i Ma’bood nahin, bari
rehmat waalaa, mehrbaan hay.

‘Unwaan
Haalat-e-Kufr mayn marnay waalon kay liye wa’eedayn.
Allah ‫ َع ﱠز َو َج ﱠل‬hi akaylaa Ma’bood hay.

Haashiyah
a
Deeni masaa’il ko chupaanaa gunaah hay is tarah keh zaroorat kay waqt bataa’ay nah jaa’ayn yaa is tarah
keh ghalat bataa’ay jaa’ayn balkeh ghalat bataanay par to bohut sakht wa’eedayn hayn. Fee zamaanah ghalat
masaa’il bayaan karnay waalon aur Qur’aan-o-Hadees ki ghalat Tashreehat-o-Touzeehat karnay waalon ki
kami nahin aur yeh sab mazkoorah Aayat ki wa’eed mayn daakhil hayn.
b
‘Arbi lafz “ ” kaa r ki jama’ hay.
c
Martay waqt Imaan ki doulat say mehroom reh jaanaa sab say bari badbakhti hay aur us waqt Imaan kaa
salaamat reh jaanaa bohut bari sa’aadat hay, lihaazaa har Musalmaan ko chaahiye kay woh agarcheh kitnaa
nayk-o-paarsaa, ‘ibaadat guzaar aur parhayzgaar kiyun nah ho apnay buray khaatimay say dartaa rahay.

www.dawateislami.net
Surat-ul-Baqarah Juzz :2

2:164 Beshak aasmaanon aur zameen ki


paydaa’ish aur raat aur din ki tabdeeli mayn
aur kashti mayn jo daryaa mayn logon kay
faa’iday lay kar chalti hay aur us paani mayn jo
Allah nay aasmaan say utaaraa phir us kay
saath murdah zameen ko zindagi bakhshi aur
zameen mayn har qism kay jaanwar
phaylaa’ay aur hawaa’on ki gardish aur woh
baadal jo aasmaan aur zameen kay darmiyaan
hukm kay paaband hayna un sab mayn
yaqeenan ‘aqalmandon kay liye nishaaniyaan
hayn.b
2:165 Aur kuch log Allah kay siwaa aur
Ma’bood banaa laytay hayn unhayn Allah ki
tarah mehboob rakhtay hayn aur Imaan
waalay sab say ziyaadah Allah say mohabbat
kartay hayn aur agar zaalim daykhtay jab woh
‘azaab ko aankhon say daykhayn gay kiyunkeh
tamaam quwwat Allah hi ki hay aur Allah
sakht ‘azaab denay waalaa hay.

2:166 Jab Payshwaa apnay payrawi karnay


waalon say bayzaar hon gay aur ‘azaab
daykhayn gay aur un kay sab rishtay naatay
kat jaa’ayn gay.c
‘Unwaan
Allah ‫ َع ﱠز َو َج ﱠل‬ki qudrat aur rehmat ki nishaaniyaan neez in nishaaniyon mayn tafakkur kaa hukm.
Mushrikeen ki baatil Ma’boodon say muhabbat kaa haal.
Mominon ki Allah ‫ َع ﱠز َو َج ﱠل‬say muhabbat.
Mushrikon kay liye wa’eed.
Qiyaamat mayn Mushrikon kaa apnay Payshwaa’on say bayzaar honaa.

Haashiyah
a
Is Aayat mayn bayaan ki ga’i cheezon mayn har ayk par judaagaanah ghour-o- kr karayn to Allah ‫َع ﱠز َو َجـ ﱠـل‬
ki qudrat kay aysay hayrat angayz karishmay nazar ‘aatay hayn kay ‘aql dang reh jaati hay.
b
Sciencee ‘uloom bhi Ma’rifat-e-Ilaahi kaa zaree’ah bantay hayn. Jitnaa sciencee ‘ilm ziyaadah hogaa utni hi
Allah ‫ــل‬ ‫ َع ﱠز َو َج ﱠ‬ki ‘azamat-o-qudrat ki pehchaan ziyaadah hogi, lihaazaa agar ko’i Deen-e-Islaam ki khidmat aur
Allah ‫ َع ﱠز َو َج ﱠ‬ki Ma’rifat ki niyyat say sciencee ‘uloom seekhtaa hay to yeh bhi ‘azeem ‘ibaadat hogi neez Allah
‫ــل‬
‫ َع ﱠز َو َج ﱠل‬nay jo Kaainaat mayn ghour-o- kr kaa hukm diyaa hay yeh is hukm ki ta’meel bhi qaraar paa’ay gi.

c
Yaad rahay kay Qiyaamat kay din kuffaar kay rishtay to toot jaa’ayn gay laykin Awliyaa-o-Muttaqeen
aur Saaliheen kay saath Musalmaanon kaa dosti kaa rishtah baaqi rahay gaa.

www.dawateislami.net
Surat-ul-Baqarah Juzz :2

Aur payrokaar kahayn gay agar hamayn ayk


martabah lout kar jaanaa mil jaa’ay to hum in
payshwaa’on say aysay hi bayzaar ho jaatay
jesay yeh hum say bayzaar ho’ay hayn. a Allah
is tarah unhayn un kay a’maal un par hasrat
banaa kar dikhaa’ay gaa aur woh dozakh say
nikalnay waalay nahin.
2:168 Ay logo! Jo kuch zameen mayn Halaalb
paakeezah hayc us mayn say khaa’o aur
Shaytaan kay raaston par nah chalo, beshak
woh tumhaaraa khulaa dushman hay.

2:169 Woh tumhayn sirf buraa’i aur


bayhayaa’i kaa hukm day gaa aur yeh (hukm
day gaa) kay tum Allah kay baaray mayn woh
kuch kaho jo khud tumhayn ma’loom nahin.
2:170 Aur jab unsay kahaa jaa’ay keh us ki
payrawi karo jo Allah nay naazil kiyaa hay to
kehtay hayn: Balkeh hum to us ki payrawi
karen gay jis par hum nay apnay baap daadaa
ko paayaa hay. Kiyaa agarcheh un kay baap

‘Unwaan
Halaal aur paakeezah cheezayn khaanay kaa hukm aur Shaytaan kay tareeqon par chalnay say
mumaani’at.
Shaytaan kaa kaam buraa’i, bayhayaa’i aur Allah‫ َع ﱠز َو َج ﱠل‬par jhoot baandhnay kaa hukm daynaa.
Mushrikon kaa apnay aabaa’-o-ajdaad ki andhi payrawi karnaa aur iski muzammat.

Haashiyah
a
Yaad rahay kay Imaan aur a’maal-e-saaleh ki asal hasrat to kaa r hi ko hogi laykin Musalmaanon ko
bhi naykiyon ki kami aur gunaahon mayn mulawwas honay par hasrat hogi.
b
Deen-e-Islaam mayn Halaal khaanay aur Haraam say bachnay ki bohut ziyaadah takeed hay, Haraam
rozi kamaa kar aur khaa kar ko’i shakhs hargiz muttaqi nahin ho saktaa. Rishwat, sood, chori, dakayti,
maal dabaa laynaa sab isi zumray mayn daakhil hayn.
c
Halaal-o-Taiyyab say muraad woh cheez hay jo bazaat-e-khud bhi Halaal hay jesay Bakray kaa gosht,
sabzi, daal wagherah aur hamayn haasil bhi Jaa’iz zaree’ay say ho ya’ni chori, rishwat, dakayti wagherah
kay zaree’ay nah ho.

www.dawateislami.net
Surat-ul-Baqarah Juzz :2

daadaa nah kuch ‘aql rakhtay hon nah woh


Hidaayat yaaah hon?a

2:171 Aur kaa ron ki misaal us shakhs ki


tarah hay jo kisi aysay ko pukaaray jo khaali
cheenkh-o-pukaar kay siwaa kuch nahin
suntaa. (Yeh kuffaar) behray, andhay hayn to
yeh samajhtay nahin.b

2:172 Ay Imaan waalo! Hamaari di hu’i suthri


cheezayn khaa’o aur Allah kaa shukr adaa karo
agar tum usi ki ‘ibaadat kartay ho.

2:173 Us nay tum par sirf murdaar aur khoon


aur suwar kaa gosht aur woh jaanwar Haraam
kiye hayn jis kay zabah kay waqt ghayrullah kaa
naam buland kiyaac gayaa to jo majboor ho
jaa’ay haalaankeh woh nah khwaahish rakhnay
waalaa ho aur nah zaroorat say aagay barhnay
waalaa ho to us par ko’i gunaah nahin, beshak
Allah bakhshnay waalaa mehrbaan hay.

‘Unwaan
Haq qubool nah karnay mayn kaa ron ki haalat ki ayk misaal.
Halaal rizq khaanay aur Allah ‫ َع ﱠز َو َج ﱠل‬kaa shukr adaa karnay kaa hukm.
Khanay ki Haraam cheezon kaa bayaan aur Shar’ee majboori kay waqt unhayn khaanay ki rukhsat
kaa bayaan.

Haashiyah
a
Sharee’at kay muqaabalay mayn baap daadaa ki payrawi karnaa Haraam hay. Yoonhi gunaah kay
kaamon mayn baap daadaa ki payrawi karnaa Naajaa’iz hay keh Bahukm-e-Hadees Allah ‫ــل‬ ‫ َع ﱠز َو َج ﱠ‬ki
naafarmaani kay kaam mayn kisi ki itaa‘at nahin ki jaa sakti. Hamaray haan shaadi marg aur deegar ka’i
mawaaqi’ par Sharee’at par chalnay kaa kahaa jaa’ay to log aagay say yehi baap daadaa, khaandaan aur
baraadari kay rasm-o-riwaaj kaa ‘uzr paysh kartay hayn, yeh ‘uzr nihaayat ghalat hay.
b
Kaan, zabaan aur aankh kaa pooraa faa’idah yeh hay keh un say haq sunaa, bolaa aur daykhaa jaa’ay aur
kuffaar choonkeh apnay in a’zaa’ say yeh faa’idah nahin uthaatay is ay’tibaar say yeh behray goongay aur
andhay hayn.
c
Ghayrullah kay naam par zabah karnay say muraad yeh hay kay zabah kay waqt churi phayrtay ho’ay
Allah ‫ــل‬
‫ َع ﱠز َو َج ﱠ‬kay ‘ilaawah kisi aur kay naam par zabah kiyaa jaa’ay, aysaa jaanwar Haraam-o-Murdaar hay.
Zindagi mayn kisi ki taraf mansoob kar daynay say is Aayat kaa ta’alluq nahin. Mazeed tafseel Tafseer
Siraat-ul-Jinaan, Jild 1, Saah 274 par mulaahazah farmaa’ayn.

www.dawateislami.net
Surat-ul-Baqarah Juzz :2

2:174 Beshak woh log jo Allah ki naazil ki hu’i


Kitaab ko chupaatay hayna aur us kay badlay
zaleel qeemat laytay hayn woh apnay payt
mayn aag hi bhartay hayn aur Allah Qiyaamat
kay din un say nah kalaam farmaa’ay gaabaur
nah unhayn paak karay gaa aur un kay liye
dardnaak ‘azaab hay.

2:175 Yehi woh log hayn jinhon nay Hidaayat


kay badlay gumraahi aur bakhshish kay badlay
‘azaab khareed liyaa to yeh kitnaa aag ko
bardaasht karnay waalay hayn?c

2:176 Yeh (sazaa) is liye hay kay Allah nay


haqkay saath Kitaab naazil farmaa’i aur beshak
Kitaab mayn ikhtilaaf karnay waalayd door ki
mukhaalafat-o-zid mayn hayn.

2:177 Asal nayki yeh nahin kay tum apnay


munh mashriq yaa maghrib ki taraf kar lo
balkeh asli nayk woh hay jo Allah aur Qiyaa-
mat aur Farishton aur Kitaab aur Payghambar-
on par Imaan laa’ay aur Allah ki mohabbat
mayn ‘azeez maal rishtah daaron ur yatee-
‘Unwaan
Deen faroushi ki ‘ibratnaak sazaa’ayn aur in ki wajah.
Haqeeqi naykiyon ki tafseel jesay Imaan lanaa, rishtah daaron aur yateemon ki madad
karnaa, Namaaz qaa’im karnaa aur Zakaat daynaa wagherah.

Haashiyah
a
Yaad rahay kay chupaanaa yeh bhi hay kay Kitaab kay mazmoon par kisi ko muttala’ nah honay diyaa
jaa’ay, nah woh kisi ko parh kar sunaayaa jaa’ay aur nah dikhaayaa jaa’ay aur yeh bhi chupaanaa hay kay
ghalat taaweelayn karkay ma’naa badalnay ki koshish ki jaa’ay aur Kitaab kay asal ma’naa par pardah
daalaa jaa’ay. Yahoodi yeh sab kaam kartay thay aur aaj bhi bohut say log yehi kartay hayn.
b
Yahaan kalaam nah farmaanay say muraad yeh hay keh rehmat kay saath kalaam nahin farmaa’ay gaa.
c
Aayat mayn lafz “ ” logon kay muhaawaray kay aytibaar say ta’ajjub kay ma’naa mayn hay aur yeh
istiaamiyah bhi ho saktaa hay.
d
Kitaab say muraad Qur’aan Sharif hay yaa Touraat Sharif, pehli soorat mayn ikhtilaaf say muraad hogaa
“nah maannah” aur dooari soorat mayn is say muraad hogaa “saheeh tor par nah maannah” kiyunkeh
Yahoodi Qur’aan ko to bilkul nah maantay thay aur Touraat ko maannay kay da’waydaar thay, magar
saheeh tor par nah maantay thay.

www.dawateislami.net
Surat-ul-Baqarah Juzz :2

mon aur miskeenon aur musaa ron,a aur


saa’ilon ko aur (ghulaam loundiyon ki)
gardanayn aazaad karaanay mayn kharch
karay aur Namaaz qaa’im rakhay aur Zakaat
day aur woh log jo ‘ehd kar kay apnaa ‘ehd
pooraa karnay waalay hayn aur museebat aur
sakhti mayn aur Jihaad kay waqt sabr karnay
waalay hayn yehi log sachchay haynb aur yehi
parhayzgaar hayn.
2:178 Ay Imaan waalo! Tum par maqtoolon c
kay khoon kaa badlah laynaa Farz kar diyaa
gayaa, aazaad kay badlay aazaad aur ghulaam
kay badlay ghulaam aur ‘aurat kay badlay
‘aurat, to jis kay liye us kay bhaa’i ki taraf say
kuch mu’aa day di jaa’ay to achay tareeqay
say mutaalabah ho aur waaris ko achay
tareeqay say adaa’igi ho.d Yeh tumhaaray Rab
ki taraf say aasaani aur rehmat hay. To is kay
ba’d jo ziyaad’ti karay us kay liye dardnaak
‘azaab hay.

2:179 Aur ay ‘aqlmando! Khoon kaa badlah


laynay mayn tumhaari

‘Unwaan
Qisaas ki Farziyat aur diyat kay chand ayhkaam.
Qisaas kaa hukm denay kaa ayk ‘azeem faa’idah.

Haashiyah
a
Aayat mayn mazkoor “‫الســ ِبیْ ِل‬
‫ ”اِبْــ َن ﱠ‬lafz kaa lafzi tarjamah hay raastay kaa baytaa aur is say muraad
musaa r hotaa hay.
b
Ya’ni saheeh ‘Aqaa’id rakhnay waalay aur Namaazi, Zakaat-o-Sadqaat denay waalay, sabr kay ‘aadee,
wa’day kay paaband aur nayk a’maal karnay waalay hi apnay Da’wa’-e-Imaan mayn kaamil tor par
sachchay hayn. Allah ‫ َع ﱠز َو َج ﱠل‬hamayn aysaa banaa’ay.
c
Arbi lafz “‫ ”قتلٰی‬qateel ki jama’ hay.
d
Maqtool kay waaris maal kay badlay mu’aaf karnay par raazi hon to unhayn mutaalabah karnay mayn
aur doosri taraf qaatil ko khoon bahaa adaa karnay mayn acha tareeqah ikhtiyaar karnay kaa hukm diyaa
gayaa hay.

www.dawateislami.net
Surat-ul-Baqarah Juzz :2

zindagi hay taakeh tum bacho.a

2:180 Tum par Farz kiyaa gayaa hayb kay jab


tum mayn say kisi ko mout aa’ay (to) agar woh
kuch maal choray to apnay maan baap aur
qareeb kay rishtah daaron kay liye achay
tareeqay say wasiyyat kar jaa’ay. Yeh
parhayzgaaron par Waajib hay.

2:181 Phir jo wasiyyat ko sunnay kay ba’d usay


tabdeel kar day to us kaa gunaah un badalnay
waalon par hi hay.c Beshak, Allah sunnay
waalaa jaannay waalaa hay.

2:182 Phir jis ko wasiyyat karnay waalay ki taraf


say jaanibdaari yaa gunaah kaa andayshah ho to
woh un kay darmiyaan sulah karaa day to us par
kuch gunaah nahin.d Beshak, Allah bakhshnay
waalaa mehrbaan hay.

2:183 Ay Imaan waalo! Tum par rozay Farz

‘Unwaan
Wasiyyat karnay kaa hukm aur us kay muta’alliq chand ayhkaam.
Rozon ki Farziyat aur mareez-o-musaa r kay liye rukhsat kaa bayaan.

Haashiyah
a
Qisaas mayn zindagi yun hay keh Qisaas mayn qatl honay kay dar say aadmi doosray ko qatl karnay say
rukay gaa neez agar qaatil ko yeh sazaa di jaa’ay to doosray logon ko bhi bharpoor ‘ibrat milay gi aur yeh
cheez logon ki zindagiyon kay tahaffuz kaa zaree’ah banay gi.
b
Ayhkaam-e-Meeraas kay nuzool say pehlay marnay waalay par apnay maal kay baaray mayn wasiyyat
karnaa Waajib thaa kiyunkeh us waqt sirf wasiyyat kay mutaabiq maal taqseem hotaa thaa aur jab Meeraas kay
ayhkaam aaga’ay to wasiyyat kaa Hukm-e-Wujoob Mansookh ho gayaa, albattah Jawaaz ab bhi baaqi hay.
c
Wasiyyat karnay kay ba’d zindagi mayn wasiyyat karnay waalay ko wasiyyat tabdeel karnay kaa ikhtiyaar
hotaa hay laykin fout honay kay ba’d kisi doosray shakhs ko wasiyyat mayn tabdeeli ki Shar’an ijaazat
nahin.
d
Agar kisi ‘Aalim, Haakim, Wasi yaa Rishtah daar wagherah ko ma’loom ho kay marnay waalaa wasiyyat
mayn kisi par ziyaadti kar rahaa hay, yaa Shar’ee ayhkaam ki paabandi nahin kar rahaa aur yeh marnay
waalay ko samjhaa kar wasiyyat durust karaday to yeh shakhs gunaahgaar nahin balkeh apnay nayk ‘amal
ki wajah say sawaab kaa mustahiq ho gaa.

www.dawateislami.net
Surat-ul-Baqarah Juzz :2

kiye ga’ay hayn,a jesay tum say pehlay logon


par Farz kiye ga’ay thay taakeh tum
parhayzgaar ban jaa’o.

2:184 Ginti kay chand din hayn to tum mayn jo


ko’i beemaar ho yaa safar mayn ho to itnay
rozay aur dinon mayn rakhay.b Aur jinhayn
iski taaqat nah ho un par ayk miskeen kaa
khaanaa Fidyah hay phir jo apni taraf say nayki
ziyaadah karay to woh us kay liye behtar hay
aur agar tum jaano to rozah rakhnaa
tumhaaray liye ziyaadah behtar hay.

2:185 Ramzaan kaa maheenah hayc jis mayn


Qur’aan naazil kiyaa gayaa jo logon kay liye
Hidaayat aur rehnumaa’i hay aur fayslay ki
roshan baaton (par mushtamil hay.) to tum
mayn jo ko’i yeh maheenah paa’ay to zaroor is
kay rozay rakhay aur jo beemaar ho yaa safar
mayn ho to itnay rozay aur dinon mayn rakhay.
Allah tum par aasaani chaahtaa hay aur tum
par dushwaari nahin chaahtaa aur (yeh aasaani-
yaan is liye hayn) taakeh tum (rozon ki) ta’daad
poori kar lo aur taakeh tum is baat par Allah ki

‘Unwaan
Maah-e-Ramzaan ki fazeelat, rozon ki Farziyat aur mareez-o-musaa r say muta’alliq
ayhkaam.

Haashiyah
a
Is Aayat mayn rozon ki Farziyat kaa bayaan hay. Sharee’at mayn rozah yeh hay kay subh-e-saadiq say
lay kar ghuroob-e-aaaab tak rozay ki niyyat say khaanay peenay aur hambistari say bachaa jaa’ay.
b
Mareez ko lhaal rozah nah rakhnay ki rukhsat us soorat mayn hay keh jab usay rozah rakhnay say marz
ki ziyaadti, yaa halaak honay kaa andayshah ho aur musaa r ko rukhsat us soorat mayn hay jab woh 92 kilo
meter yaa us say zaa’id musaafat kay safar par ho.
c
Ramzaan woh waahid maheenah hay kay jis kaa naam Qur’aan pak mayn aayaa aur Qur’aan Majeed say
nisbat ki wajah say Maah-e-Ramzaan ko ‘azmat o sharafaat mili. Is say ma’loom huaa kay jis waqt ko kisi
sharaf-o-‘azmat waali cheez say nisbat ho jaa’ay woh waqt Qiyaamat tak sharaf waalaa hay. Isi liye jis din
aur ghari ko Huzoor Pur Noor ‫ َص ﱠﲆ الـلﱣـ ُه َعلَ ْي ِه َواٰلِ ٖه َو َسلﱠم‬ki wilaadat aur Me’raaj say nisbat hay woh ‘'azmat o sharafaat
waalay ho ga’ay.

www.dawateislami.net
Surat-ul-Baqarah Juzz :2

baraa’i bayaan karo kay us nay tumhayn


Hidaayat di aur taakeh tum shukr guzaar ban
jaa’o.a

2:186 Aur Ay Habeeb! Jab tum say meray


banday meray baaray mayn sawaal karayn to
beshak mayn nazdeek hoon, mayn du’aa
karnay waalay ki du’aa qubool kartaa hoon jab
woh mujh say du’aa karay,b to unhayn
chaahiye kay meraa hukm maanayn aur mujh
par Imaan laa’ayn taakeh Hidaayat paa’ayn.
2:187 Tumhaaray liye rozon ki raaton mayn apni
‘auraton kay paas jaanaa Halaal kar diyaa gayaa.c
Woh tumhaaray liye libaas hayn aur tum unkay
liye libaas ho, Allah ko ma’loom hay kay tum
apni jaanon ko khayaanat mayn daaltay thay to
us nay tumhaari toubah qubool ki aur tumhayn
muaaf farmaa diyaa to ab un say hambistari kar
lo aur jo Allah nay tumhaaray naseeb mayn
likhaa huaa hay usay talab karo d aur khaa’o aur
peeyo yahaan tak keh tumhaaray liye Fajr say
safaydi (subh) kaa doraa siyaahi (raat)

‘Unwaan
Qubooliyat-e-du’aa kaa bayaan aur itaa’at-e-ayhkaam ki targheeb.
Ramzaan aur haalat-e-aytikaaf mayn izdiwaajee ta’alluqaat aur sahari say muta’alliq Shar’ee
ayhkaam.

Haashiyah
a
Ginti poori karnay say muraad Ramzaan kay untees yaa tees din pooray karnaa hay aur takbeer kehnay
say muraad yeh hay kay Allah ‫ َع ﱠز َو َجـ ﱠـل‬nay tumhayn apnay Deen kay tareeqay sikhaa’ay to tum us par Allah
‫ َع ﱠز َو َج ﱠل‬ki baraa’i bayaan karo aur un cheezon par Allah ‫ َع ﱠز َو َج ﱠل‬kaa shukr adaa karo.
b
Du’aa kaa ma’naa hay apni haajat paysh karnaa aur Ijaabat ya’ni qubooliyat kaa ma’naa yeh hay kay
Parwardigaar ‫ َع ﱠز َو َجـ ﱠـل‬apnay banday ki du’aa par “‫ ”لَبﱠیْــکَ َعبْـ ِـد ْی‬farmaataa hay albattah jo maangaa jaa’ay usi kaa
haasil ho jaanaa doosri cheez hay.
c
‘Arbi lafz “ ْ‫ ”ال ﱠرفَــث‬kaa lughwi ma’naa hay, mard-o-‘aurat ki baahami parday waali aysi baatayn karnaa jo
sab kay saamnay nah ki jaa sakayn aur yahaan is say muraad jimaa’ karnaa hay.

d
Allah ‫ــل‬
‫ َع ﱠز َو َج ﱠ‬kay likhay ho’ay ko talab karnay say ayk muraad yeh bhi hay kay ‘auraton say hambistari
aulaad haasil karnay ki niyyat say honi chaahiye jis say Musalmaanon ki ifraadi quwwat mayn izaafah aur
Deen qawi ho.

www.dawateislami.net
Surat-ul-Baqarah Juzz :2

kay doray say mumtaaz ho jaa’ay phir raat


aanay tak rozon ko pooraa karo aur ‘auraton say
hambistari nah karo jabkeh tum Masjidon
mayn aytikaaf say ho.a Yeh Allah ki hadayn
hayn to un kay paas nah jaa’o. Allah yoonhi
logon kay liye apni Aayaat khol kar bayaan
farmaataa hay taakeh woh parhayzgaar ho
jaa’ayn.

2:188 Aur aapas mayn ayk doosray kaa maal


naahaq nah khaa’o aur nah haakimon kay
paas un kaa muqaddamah is liye pohnchaa’o
kay logon kaa kuch maal naajaa’iz tor par jaan
boojh kar khaa lo.b

2:189 Tum say na’ay chaand kay baaray mayn


sawaal kartay hayn.c Tum farmaado, yeh
logon aur Hajj kay liye waqt ki ‘alaamatayn
hayn aur yeh ko’i nayki nahin kay tum gharon
mayn pichli deewaar tor kar aa’o, haan asal
nayk to parhayzgaar hotaa hayd aur gharon
mayn in kay darwaazon say aa’o aur Allah say
‘Unwaan
Logon kaa maal naahaq khaanaa aur is maqsad kay liye court kachehri mayn ghaseetnaa Haraam hay.
Chaand kay chotaa baraa honay ki hikmat.
Asal nayki parhayzgaari hay.

Haashiyah
a
Is mayn bayaan hay kay Ramzaan ki raaton mayn rozay daar kay liye biwi say hambistari Halaal hay
jabkeh woh mu’takif nah ho laykin ay’tikaaf mayn ‘auraton say miyaan biwi waalay ta’alluqaat Haraam hayn.
b
Naajaa’iz faa’iday kay liye kisi par muqaddamah banaanaa aur us ko hukkaam tak lay jaanaa
Naajaa’iz-o-Haraam hay. Isi tarah apnay faa’idah ki khaatir doosray ko zarar pohnchaanay kay liye
hukkaam par asar daalnaa, rishwatayn daynaa Haraam hay. Hukkaam tak rasaa’i rakhnay waalay log is
Aayat kay hukm ko paysh-e-nazar rakhayn.
c
‘Arbi lafz “ ِ ‫ ”ا َ ِھلﱠ‬hilaal ki jama’ hay aur na’ay maah ki pehli doosri raat kay chaand ko hilaal kehtay hayn.

d
Yeh Aayat zamaanah-e-jaahiliyyat ki ayk rasam say muta’alliq naazil hu’i, is say ma’loom huaa kay kisi
cheez ko mumaani’at kay beghayr Naajaa’iz samajhnaa juhalaa kaa kaam hay. Apni taraf say ghalat qism
ki rasmayn banaa laynaa aur paabandiyaan lagaa laynaa Jaa’iz nahin, bohut say kaam wesay Jaa’iz hotaay
hayn laykin apni taraf say shar’ann zaroori samajh lenay say khilaaf-e-Sharee’at ho jaatay hayn.

www.dawateislami.net
Surat-ul-Baqarah Juzz :2

dartay raho is umeed par keh tum falah paa’o.

2:190 Aur Allah ki raah mayn un say laro jo tum


say lartay hayn aur had say nah barho, beshak
Allah had say barhnay waalon ko pasand nahin
kartaa.
2:191 Aur (doran-e-Jihaad) kaa ron ko jahaan
paa’o qatl karoa aur unhayn wahaan say nikaal
do jahaan say unhon nay tumhayn nikaalaa
thaa aur tnahh qatl say ziyaadah shadeed
hotaa hay aur Masjid-e-Haraam kay paas un
say nah laro jab tak woh tum say wahaan nah
larayn aur agar woh tum say larayn to unhayn
qatl karo. Kaa ron ki yehi sazaa hay.b

2:192 Phir agar woh baaz aajaa’ayn to beshak


Allah bakhshnay waalaa, mehrbaan hay.
2:193 Aur un say lartay raho yahaan tak keh ko’i
tnah nah rahay,c aur ‘ibaadat Allah kay liye ho
jaa’ay phir agar woh baaz aajaa’ayn to sirf
zaalimon par sakhti ki sazaa baaqi reh jaati hay.

2:194 Adab waalay maheenay kay badlay adab


waalaa maheenah hay aur tamaam adab waali

‘Unwaan
Jihaad kaa hukm aur ziyaadti say mumaani’at.
Doraan-e-Jihaad kaa ron ko qatl karnay kaa hukm aur hudood-e-haram mayn laraa’i ki
ibtidaa karnay say mumaani’at.
Shirk kaa tnah khatm honay tak ‘arab kay kaa ron say Jihaad kaa hukm.
Hurmat waalay maheenay mayn jang karnay say muta’alliq Musalmaanon ko tasalli.

Haashiyah
a
Yahaan doraan-e-Jihaad kaa ron ko qatl karnay ki baat ho rahi hay, yeh hukm nahin kay amn ho yaa
jang, sulah ho yaa laraa’i har haal mayn unhayn qatl karo.
b
Haram ki hudood mayn Musalmaanon ko larnay say mana’ kar diyaa gayaa kiyunkeh yeh Haram ki
hurmat kay khilaaf hay laykin agar kuffaar hi wahaan Musalmaanon say jang ki ibtidaa karayn to unhayn
jawaab denay kay liye wahaan par bhi un say larnay aur unahyn qatl karnay ki ijaazat hay.
c
Yahaan tnah say “Shirk” muraad hay

www.dawateislami.net
Surat-ul-Baqarah Juzz :2

cheezon kaa badlah hay. To jo tum par ziyaadti


karay us par utni hi ziyaadti karo jitni us nay
tum par ziyaadti ki ho aur Allah say dartay
raho aur jaan rakho kay Allah darnay waalon
kay saath hay.a
2:195 Aur Allah ki raah mayn kharch karo aur
apnay haathon khud ko halaakat mayn nah
daalo aur nayki karo beshak Allah nayki
karnay waalon say muhabbat farmaataa hay.
2:196 Aur Hajj aur ‘Umrah Allah kay liye
pooraa karo phir agar tumhayn (Makkah say)
rok diyaa jaa’ayb to (Haram mayn) Qurbaani
kaa jaanwar bhayjo jo muyassar aa’ay aur apnay
sar nah mundaa’o jab tak Qurbaani apnay
thikaanay par nah pohonch jaa’ay phir jo tum
mayn beemaar ho yaa us kay sar mayn kuch
takleef hay to rozay yaa khayraat yaa Qurbaani
kaa Fidyah dayc phir jab tum itminaan say ho
to jo Hajj say ‘Umrah milaanay kaa faa’idah

‘Unwaan
Raah-e-Khudaa mayn kharch karnay kaa hukm aur khud ko halaakat mayn daalnay ki
mumaani’at.
Hajj aur ‘Umrah kay muta’alliq chand ayhkaam aur aadaab.
Ihsaar ya’ni Hajj say rokay jaanay kay ayhkaam.
Hajj-e-Tamattu’-o-Qiraan ya’ni ayk hi safar mayn ‘Umrah aur Hajj ikhattay karnay kaa bayaan.

Haashiyah
a
Deen-e-Islaam kay a’laa akhlaaq, paakeezah kirdaar aur zulm say baaz rehnay kaa dars denay ki
bulandi daykhiye kay machaltay jazbaat, jazbah-e-intiqaam aur dushman par qabzah haasil hotaay waqt
badlah laynay mayn Musalmaanon ko taqwaa aur ‘adl-o-insaaf kaa dars diyaa jaa rahaa aur ziyaadti
karnay say mana’ kiyaa jaa rahaa hay.

b
Hajj yaa ‘Umrah kaa ayhraam baandhnay kay ba’d kisi wajah say, jesay dushman yaa darinday kay
khouf, yaa safar say marz ziyaadah honay kay ghaalib gumaan ki binaa par Hajj-o-‘Umrah pooraa nah kar
saknay ko Ihsaar kehtay hayn.
c
Ayhraam ki haalat mayn jis paabandi ki khilaaf warzi karnay par Dam ya’ni Qurbaani karnaa laazim
hotaa hay, woh khilaaf warzi agar beemaari, yaa sar mayn zakhm, phunsi phoray yaa ju’on wagherah ki
sakht eezaa kay baa’is hogi to us mayn Qurbaani kay badlay mayn 6 miskeenon ko ayk ayk sadqah denay
yaa donon waqt payt bhar khilaanay yaa teen rozay rakh laynay yaa Qurbaani hi kar laynay kaa ikhtiyaar
hogaa.

www.dawateislami.net
Surat-ul-Baqarah Juzz :2

uthaa’ay us par Qurbaani laazim hay jaysi


muyassar ho phir jo (Qurbaani ki qudrat) nah
paa’ay to teen rozay Hajj kay dinon mayn
rakhay aur saat rozay (us waqt rakho) jab tum
apnay ghar lout kar jaa’o, yeh mukammal das
hayn.a Yeh hukm us kay liye hay jo Makkah
kaa rehnay waalaa nah ho.b Aur Allah say
dartay raho aur jaan rakho kay Allah shadeed
‘azaab daynay waalaa hay.

2:197 Hajj chand ma’loom mahinay hayn to jo


in mayn Hajj ki niyyat karay to Hajj mayn nah
‘auraton kay saamnay sohbat kaa tazkirah ho
aur nah ko’i gunaah ho aur nah kisi say jhagraa
ho aur tum jo bhalaa’i karo Allah usay jaantaa
hay aur zaad-e-raah saath lay lo pas sab say
behtar zaad-e-raah yaqeenan parhayzgaari hay
aur ay ‘aql waalo! Mujh say dartay raho.c

2:198 Tum par ko’i gunaah nahin kay tum


apnay Rab kaa fazl talaash karo, to jab tum
‘Arafaat say waapis louto to Mash’ar-e-Haraam
‘Unwaan
Hajj-e-Tamattu’-o-Qiraan ki ijaazat kisay hay?
Hajj mayn kuch mamnoo’ah cheezayn.
Taqwaa behtareen toshah-e-safar.
Doraan-e-Hajj kaarobaar ki ijaazat aur Zikr-e-Ilaahi ki kasrat kaa hukm.

Haashiyah
a
Jo shakhs ayk hi safar mayn Hajj-o-‘Umrah ki sa’aadat haasil karay to us par bator-e-shukraanah Qurbaani laazim hay,
agar Qurbaani ki qudrat nah ho to woh das rozay rakhay, teen rozay ayhraam baandhnay kay ba’d 1 Shawwaal say 9 Zil
Hijjah tak rakhay aur 7 rozay 13 Zil Hijjah kay ba’d rakhay.
b
Hajj-e-Tammattu’ yaa Hajj-e-Qiraan kaa Jaa’iz honaa sirf aafaaqi ya’ni Meeqaat say baahir waalon kay
liye hay. Hudood-e-Meeqaat mayn aur is say andar rehnay waalon kay liye nah Tamattu’ ki ijaazat hay aur
nah Qiraan ki, woh sirf Hajj-e-Ifraad kar saktay hayn.

c
‘Aql waalay keh kar is liye mukhaatab kiyaa taakeh logon ko samajh aajaa’ay kay ‘aql kaa taqaazah Khouf-e-Ilaahi hay.
Jo Allah ‫ َع ﱠز َو َجلﱠ‬say nah daray woh bay ‘aqlon ki tarah hay. ‘Aql wohi hay jo Allah ‫ َع ﱠز َو َجلﱠ‬say khouf paydaa karay aur jis ‘aql say
aadmi bay Deen ho woh ‘aql nahin balkeh bay ‘aqli hay.

www.dawateislami.net
Surat-ul-Baqarah Juzz :2

kay pas Allah ko yaad karo aur us kaa zikr karo


kiyunkeh us nay tumhayn Hidaayat di hay
agarcheh is say pehlay tum yaqeenan bhatkay
ho’ay thay.

2:199 Phir (Ay Qurayshiyo!) tum bhi waheen


say palto jahaan say doosray log palattay
hayn,a aur Allah say magh rat talab karo,
beshak Allah bakhshnay waalaa mehrbaan hay.

2:200 Phir jab apnay Hajj kay kaam pooray kar


lo to Allah kaa zikr karo jesay apnay baap
daadaa kaa zikr kartay thay balkeh is say
ziyaadah (zikr karo).b Aur ko’i aadmi yun
kehtaa hay kay Ay hamaaray Rab! Hamayn
Dunyaa mayn dedayc aur Aakhirat mayn us
kaa kuch hissah nahin.

2:201 Aur ko’i yun kehtaa hay kay Ay hamaaray


Rab! Hamayn Dunyaa mayn bhalaa’i ‘ataa
farmaa aur hamayn Aakhirat mayn (bhi)
bhalaa’i ‘ataa farmaa aur hamayn dozakh kay
‘azaab say bachaa.

‘Unwaan
Taalib-e-Dunyaa aur Taalib-e-Aakhirat ki du’aa mayn farq.

Haashiyah
a
Qabeelah-e-Quraysh waalay deegar logon kay saath ‘Arafaat mayn wuqoof karnay kay bajaa’ay
Muzdalifah mayn thehray rehtay aur jab log ‘Arafaat say palattay to yeh Muzdalifah say palattay aur is mayn
apni baraa’i samajhtay thay. Is Aayat mayn unhayn hukm diyaa gayaa kay woh bhi sab kay saath ‘Arafaat
mayn wuqoof karayn aur ayk saath waapis loutayn. Is say ma’loom huaa kay Islaami ayhkaam baraadariyon
kay ay’tibaar say nahin badaltay aur nah hi kisi kay rutbay aur maqaam ki wajah say un mayn tabdeeli hoti
hay balkeh ameer-o-ghareeb, goray kaalay, ‘arabi ‘ajami sab kay liye Islaam kay ayhkaam baraabar hayn.
b
Zamaanah-e-Jahiliyyat mayn Ahl-e-‘Arab Hajj kay ba’d Ka’bah kay qareeb apnay baap daadaa kay
fazaa’il bayaan kiyaa kartay thay. Islaam mayn bataayaa gayaa keh yeh shohrat-o-khudnumaa’i ki baykaar
baatayn hayn, is ki bajaa’ay zouq-o-shouq kay saath Zikr-e-Ilaahi karo.
c
Yaad rahay keh Momin agar Dunyaa ki behtari talab kartaa hay to woh bhi Jaa’iz hay aur yeh
talab-e-Dunyaa agar Deen ki taa’eed-o-taqwiyat kay liye ho to yeh du’aa bhi Umoor-e-Deen say shumaar
hogi. Laykin yeh yaad rahay kay Aakhirat ko aslan faraamosh kar kay sirf Dunyaa maangnaa beherhaal
Musalmaan kay shaayaan-e-shaan nahin.

www.dawateislami.net
Surat-ul-Baqarah Juzz :2

2:202 Un logon kay liye unkay kamaa’ay ho’ay


a’maal say hissah hay aur Allah jald hisaab
karnay waalaa hay.

2:203 Aur ginti kay dinon mayn Allah kaa zikr


karo.a To jo jaldi kar kay do din mayn (Minaa
say) chalaa jaa’ay us par kuch gunaah nahinb
aur jo peechay reh jaa’ay to us par (bhi) ko’i
gunaah nahin. (Yeh bashaarat) parhayzgaar
kay liye hay aur Allah say dartay raho aur jaan
rakho kay tum usi ki taraf uthaa’ay jaa’o gay.

2:204 Aur logon mayn say ko’i woh hay kay


Dunyaa ki zindagi mayn us ki baat tumhayn
bohut achi lagti hay aur apnay dil ki baat par
Allah ko gawaah banaataa hay haalaankeh woh
sab say ziyaadah jhagraa karnay waalaa hay.

2:205 Aur jab peeth phayr kar jaataa hay to


koshish kartaa hay kay zameen mayn fasaad
phaylaa’ay aur khet aur mawayshi halaak karay
aur Allah fasaad ko pasand nahin kartaa.c
‘Unwaan
Minaa mayn qiyaam kay ayhkaam.
Ayk khaas Munaa q ki 6 kharaabiyaan.

Haashiyah
a
Ginti kay dinon say muraad Ayyaam-e-tashreeq hayn aur Zikrullah say Namaazon kay ba’d aur Jamaraat
ki rami kay waqt takbeer kehnaa muraad hay aur Aayat say muraad yeh hay keh Minaa mayn qiyaam kay
doraan Allah ‫ َع ﱠز َو َج ﱠل‬kay zikr mayn mashghool raho.
b
Yahaan do dinon mayn rami kar kay chalaay jaanay say muraad das Zul Hijjah kay ba’d do din hayn,
lihaazaa agar ko’i shakhs baarah taareekh ki rami kar kay Minaa say waapis aajaa’ay to us par ko’i gunaah
nahin agarcheh tayrah ko rami kar kay waapis aanaa Afzal hay.
c
Yahaan Aayat mayn agarcheh ayk khaas Munaa q kaa tazkirah hay laykin yeh Aayat bohut say logon ko
samjhaanay kay liye kaa hay. Hamaaray mu’aasharay mayn bhi bohut say log aysay hayn jin ki zabaan bari
meethi hoti, guugu bari narmi say kartay aur bari ‘aajizi kaa izhaar kartay hayn laykin dar pardah Deen
kay masaa’il mayn, logon mayn yaa khaandaanon mayn fasaad barpaa kartay aur halaakat-o-barbaadi kaa
zaree’ah bantay hayn.

www.dawateislami.net
Surat-ul-Baqarah Juzz :2

2:206 Aur jab us say kahaa jaa’ay keh Allah say


daro to usay zid mazeed gunaah par ubhaarti
hay to aysay jo Jahannam kaa hay aur woh
zaroor bohut bura thikaanaa hay.a

2:207 Aur logon mayn say ko’i woh hay jo


Allah ki rizaa talaash karnay kay liye apni jaan
baych daytaa hay aur Allah bandon par baraa
mehrbaan hay.
2:208 Ay Imaan waalo! Islaam mayn pooray
pooray daakhil ho jaa’o aur Shaytaan kay
qadmon par nah chalo beshak woh tumhaaraa
khulaa dushman hay.
2:209 Aur agar tum apnay paas roshan dalaa’il
aajaanay kay ba’d bhi laghzish khaa’o to jaan lo
kay Allah zabardast hikmat waalaa hay. b

2:210 Log to isi cheez kaa intizaar kar rahay


hayn kay baadalon kay saayon mayn un kay
paas Allah kaa ‘azaab aur Farishtay aajaa’ayn
aur fayslah kar diyaa jaa’ay aur Allah hi ki taraf
sab kaam lotaa’ay jaatay hayn.

‘Unwaan
Rizaa-e-ilaahi kay liye jaan faroshi nafa’ bakhsh tijaarat hay.
Islaami ayhkaam ki mukammal payrawi karnay kaa hukm.
Waazih daleelon kay baawujood Raah-e-Islaam kay khilaaf rawish ikhtiyaar karnaa sakht
jurm hay.
Deen-e-Islaam chornay waalay ‘Azaab-e-Ilaahi kay muntazir hayn.

Haashiyah
a
Munaa q aadmi ki ayk ‘alaamat yeh hoti hay keh agar usay samjhaayaa jaa’ay to apni baat par ar jaataa
hay, doosray ki baat maannaa apnay liye touheen samajhtaa aur naseehat kiye jaanay ko apni ‘izzat kaa
mas’alah banaa laytaa hay. Afsos kay hamaaray mu’aasharay mayn bhi aysay logon ki bharmaar hay.
b
Is say muraad yeh hay keh agar tum log waazih daleelon kay baawujood Islaam mayn mukammal daakhil
honay say door rahay aur Islaam ki raah kay khilaaf rawish ikhtiyaar karo to yeh tumhaaraa sakht jurm hogaa.

www.dawateislami.net
Surat-ul-Baqarah Juzz :2

2:211 Bani-Israa’eel say poocho keh hum nay


unhayn kitni roshan nishaaniyaan Deen.a Aur
jo Allah ki ne’mat ko apnay paas aanay kay ba’d
badal day to beshak Allah kaa ‘azaab sakht hay.b

2:212 Kaa ron ki nigaah maync Dunyaa ki zinda-


gi ko khushnumaa banaa diyaa gayaa aur woh
Musalmaanon par hanstay hayn aur (Allah say)
darnay waalay Qiyaamat kay din un kaa ron say
opar hon gay.d Aur Allah jisay chaahtaa hay bay
hisaab rizq ‘ataa farmaataa hay.

2:213 Tamaam log ayk Deen par thay to Allah


nay Ambiyaa’ bhayjay jo khushkhabri daytay
ho’ay aur dar sunaatay ho’ay aur un kay saath
sachchi Kitaab utaari
‘Unwaan
Bani-Israa’eel say roshan nishaaniyon kay baaray mayn sawaal.
Ne’mat-e-Ilaahi tabdeel karnay waalon ko tambeeh.
kaa ron kay liye dunyawi zindagi ko khushnuma banaayaa jaanaa aur baroz-e-qayamat
Musalmaanon kaa kaa ron say muland-o-bala honaa.
Ambiyaa’ ‫الـســـﻼَم‬
‫ َعـلَ ْيـــ ِه ُم ﱠ‬ki Hidaayat aajaanay kay ba’d logon kaa ikhtilaaf, us ki wajah aur
Musalmaanon ko haq baat ki Hidaayat.

Haashiyah
a
Yaad rahay keh Bani-Israa’eel say roshan nishaaniyon kay baaray mayn poochnaa haqeeqat mayn
unhayn samjhaanay kay liye aur un ki apni naafarmaaniyon kay baawujood Allah ‫ َع ﱠز َو َجـ ﱠـل‬ki mehrbaaniyon
kaa un say iqraar karaanay kay liye hay.
b
Allah ‫ َع ﱠز َو َجـ ﱠـل‬ki ne’mat say Aayaat-e-Ilaahiyah muraad hayn jo Hidaayat kaa sabab hayn aur un ki badolat
gumraahi say najaat haasil hoti hay, unheen mayn say woh Aayaat hayn jin mayn Nabi Kareem ‫َصـ ﱠـﲆ الـلﱣــ ُه َعلَ ْيـ ِه‬
‫ َواٰلِــ ٖه َو َســلﱠم‬ki Na’t-o-Si aur Aap ki Nubuwwat-o-Risaalat kaa bayaan hay aur Yahood-o-Nasaaraa kaa apni
Kitaabon mayn tehreef karnaa is ne’mat ko tabdeel karnaa hay.
c
Kaa ron kay liye dunya ki zindagi aaraastah kar diye jaanay say muraad yeh hay keh unhayn yehi
zindagi pasand hay, woh isi ki qadar kartay hayn aur isi par martay hayn. Yaad rahay Dunyaa ki zindagi
woh hay jo nafs ki khwaahishaat mayn sarf ho aur jo Toushah-e-Aakhirat jama’ karnay mayn kharch ho
woh Bi-fazli-hee Ta’aalaa deeni zindagi hay.
d
Is say yeh bhi ma’loom huaa kay ghareeb Musalmaanon kaa mazaaq uraanaa yaa kisi Momin ko zaleel
yaa kameenah jaannaa kaa ron kaa tareeqah hay. Lihaazaa faasiq-o-kaa r agarcheh maaldaar ho ‘izzat
waalaa nahin hay jabkeh Momin agarcheh ghareeb ho aur kisi bhi qoum say ho ‘izzat waalaa hay
bashartaye keh muttaqi ho.

www.dawateislami.net
Surat-ul-Baqarah Juzz :2

taakeh woh logon kay darmiyaan un kay


ikhtilaafaat mayn fayslah kar day aur jin
logon ko Kitaab di ga’i unhon nay hi apnay
baahami bughz-o-hasad ki wajah say Kitaab
mayn ikhtilaaf kiyaa (yeh ikhtilaaf) us kay
ba’d (kiyaa) keh un kay paas roshan ayhkaam
aachukay thay to Allah nay Imaan waalon ko
apnay hukm say us haq baat ki Hidaayat di jis
mayn log jhagar rahay thay a aur Allah jisay
chaahtaa hay seedhi raah dikhaataa hay.

2:214 Kiyaa tumhaaraa yeh gumaan hayb kay


Jannat mayn daakhil ho jaa’o gay haalaankeh
abhi tum par pehlay logon jaysi haalat nah
aa’i. Unhayn sakhti aur sh’iddat pohnchi aur
unhayn zor say hilaa daalaa gayaa yahaan tak
keh Rasool aur us kay saath Imaan waalay keh
uthay: Allah ki madad kab aa’ay gi? Sun lo!
Beshak Allah ki madad qareeb hay.

2:215 Aap say sawaal kartay hayn kiyaa


kharch karayn? Tum farmaa’o: Jo kuch maal
nayki mayn kharch karo to woh maan baap
aur lartay rahen gay yahaan tak keh agar un say
qareeb kay rishtah daaron aur yateemon aur
mohtaajon aur musaa r kay liyec hay aur
tum jo bhalaa’i karo beshak Allah usay
jaantaa hay.

‘Unwaan
Musalmaanon kaa imtehaan aur saabiqah Ummaton ki takleef-o-sh’Eddat kaa bayaan.
Raah-e-Khudaa mayn na i sadqah karnay ki ayk a’laa miqdaar aur us kaa masraf.
Haashiyah
a
Nafs-e-ikhtilaaf mazmoom nahin laykin Allah ‫ــل‬ ‫ َع ﱠز َو َج ﱠ‬aur us kay Rasool ‫الـســـﻼَم‬
‫ َعـلَيْـــ ِه ﱠ‬kay ayhkaam say
ikhtilaaf karnaa neez haq waazih ho jaanay kay baawujood ikhtilaaf karnaa ghalat hay.
b
Yeh Aayat Ghazwah-e-Ayhzaab kay muta’alliq naazil hu’i jahaan Musalmaanon ko sardi aur bhook
wagherah ki sakht takleef pohnchi thi. Us mayn unhayn sabr ki talqeen farmaa’i ga’i aur bataayaa gayaa kay
Raah-e-Khudaa mayn takleef bardaasht karnaa hamayshah say Khaasaan-e-Khudaa kaa ma’mool rahaa
hay.
c
Is Aayat mayn Sadqah-e-Naa la kaa bayaan hay. Maan baap ko Zakaat aur Sadqaat-e-Waajibah daynaa
Jaa’iz nahin.

www.dawateislami.net
Surat-ul-Baqarah Juzz :2

2:216 Tum par Jihaad Farz kiyaa gayaa hay


haalaankeh woh tumhay naagawaar hay aur
qareeb hay kay ko’i baat tumhayn naapasand ho
haalaankeh woh tumhaaray haq mayn behtar
ho aur qareeb hay kay ko’i baat tumhayn
pasand aa’ay haalaankeh woh tumhaaray haq
mayn buri ho aur Allah jaantaa hay aur tum
nahin jaantay.a
2:217 Aap say Maah-e-Haraam mayn Jihaad
karnay kay baaray mayn sawaal kartay hayn,
tum farmaa’o: Is maheenay mayn larnaa baraa
gunaah hayb aur Allah ki raah say roknaa aur
us par Imaan nah lanaa aur Masjid-e-Haraam
say roknaa aur us kay rehnay waalon ko
wahaan say nikaal daynaa Allah kay nazdeek is
say bhi ziyaadah baraa gunaah hay aur tnah
qatl say baraa jurm hay aur woh hamayshah
tum say ho sakay to tumhayn tumhaaray Deen
say phayr dayn.c Aur tum mayn jo ko’i apnay
Deen say Murtad ho jaa’ay phir kaa r hi mar
jaa’ay to un logon kay tamaam a’maal
Dunyaa-o-Aakhirat mayn barbaad ho gaa’ay

‘Unwaan
Jihaad ki Farziyat aur Musalmaanon ko naseehat.
Maah-e-Haraam mayn Jihaad ki ijaazat ki soorat.
Murtad honay ki haalat mayn marnay waalay ki sazaa kaa bayaan.

Haashiyah
a
Kisi cheez kay achaa yaa buraa honay kaa madaar har jagah apni soch par nahin balkeh Allah ‫ــل‬ ‫ َع ﱠز َو َج ﱠ‬kay
hukm par rakhnaa chaahiye. Allah ‫ َع ﱠز َو َج ﱠل‬nay jis cheez kaa hukm diyaa woh beherhaal hamaaray liye behtar
hay aur jis say mana’ farmaayaa woh beherhaal hamaaray liye behtar nahin hay.
b
Is say ma’loom huaa kay khud baray baray ‘aybon mayn mubtalaa honay kay baawujood khud ko
dekhnay kay bajaa’ay doosron par ta’an karnaa kaa ron kaa tareeqah hay. Yeh beemaari hamaaray haan
bhi ‘aam hay kay log saari Dunyaa ki buraaiyaan aur gheebatayn bayaan kartay hayn aur khud us say barh
kar ‘aybon ki gandagi say aaloodah hotaay hayn.
c
Is Aayat mayn khabar di ga’i keh kuffaar Musalmaanon say hamayshah ‘adaawat rakhayn gay aur jahaan
tak mumkin hogaa woh Musalmaanon ko Deen say munharif karnay ki koshish kartay rahayn gay,
chunaancheh aaj bhi kuffaar ki hazaaron tanzeemayn nit na’ay tareeqon say Musalmaanon ko Islaam say
phayrnay aur un ki akhlaaqiyaat tabah kar kay un kaa Imaan kamzor karnay mayn lagi hu’i hayn.

www.dawateislami.net
Surat-ul-Baqarah Juzz :2

aur woh dozakh waalay hayn woh us mayn


hamayshah rahen gay.a

2:218 Beshak woh log jo Imaan laa’ay aur woh


jinhon nay Allah kay liye apnay ghar baar chor
diye aur Allah ki raah mayn Jihaad kiyaa woh
Rehmat-e-Ilaahi kay umeedwaar hayn.b Aur
Allah bakhshnay waalaa, mehrbaan hay.
2:219 Aap say sharaab aur joo’ay kay
muta’alliq sawaal kartay hayn. Tum farmaa’o:
In donon mayn kabeerah gunaah hay aur
logon kay liye kuch dunyaawi munaafa’ bhi
hay aur in kaa gunaah in kay nafa’ say ziyaadah
baraa hay. Aap say sawaal kartay hayn keh
(Allah ki raah mayn) kiyaa kharch karayn?
Tum farmaa’o: Jo zaa’id bachay. Isi tarah Allah
tum say Aayatayn bayaan farmaataa hay
taakeh tum ghour-o- kr karo.
2:220 Dunyaa aur Aakhirat kay kaamon mayn
(ghour-o- kr kar liyaa karo) aur tum say
yateemon kaa mas’alah poochtay hayn. Tum
farmaa’o: Un kaa bhalaa karnaa behtar hay.c
Aur agar unkay saath apnaa kharchah milaa lo to
‘Unwaan
Imaan laanay, Hijrat aur Jihaad karnay jesay a’maal karnay waalay Rehmat-e-Ilaahi kay
umeedwaar hayn.
Sharaab aur Joo’ay ki hurmat.
Sadqah ki miqdaar kaa bayaan.
Yateemon kaa maal apnay maal say milaanay kaa Shar’ee hukm.

Haashiyah
a
Yaad rakhayn keh Murtad honaa bohut sakht jurm hay, afsos keh aaj kal Musalmaanon ki aksariyat Deen
kay bunyaadi ‘Aqaa’id say laa ‘ilm hay, ghami-o-khushi kay mukhtalif mawaaqi’ par un mayn Kufriyah
jumlon ki bharmaar hay.
b
Is say ma’loom huaa keh ‘amal karnay say Allah ‫ــل‬ ‫ َع ﱠز َو َج ﱠ‬par ajar daynaa Waajib nahin ho jaataa balkeh
sawaab daynaa mehez Allah ‫ َع ﱠز َو َج ﱠل‬kaa fazl hay.
c
Agarcheh is Aayat kaa nuzool yateemon ki maali islaah kay baaray mayn huaa magar islaah kay lafz mayn
saari maslihatayn hayn. Yateemon kay akhlaaq, a’maal, tarbiyat, ta’leem sab ki islaah karni chaahiye. Yun
samjhayn keh yateem saari Muslim qoum kay liye aulaad ki tarah hayn.

www.dawateislami.net
Surat-ul-Baqarah Juzz :2

to woh tumhaaray bhaa’i hayn aur Allah bigaar-


nay waalay ko sawaarnay waalay say judaa
khoob jaantaa haya aur agar Allah chaahtaa to
tumhayn mushaqqat mayn daal daytaa. Beshak
Allah zabardast hikmat waalaa hay.
2:221 Aur Mushrikah ‘auraton say Nikaah
nah karo jab tak Musalmaan nah ho jaa’ayn
aur beshak Musalmaan londi Mushrikah
‘aurat say achi hay agarcheh woh tumhayn
pasand ho aur (Musalmaan ‘auraton ko)
Mushrikon kay Nikaah mayn nah dob jab tak
woh Imaan nah lay aa’ayn aur beshak
Musalmaan ghulaam Mushrik say achaa hay
agarcheh woh Mushrik tumhayn pasand ho,
woh dozakh ki taraf bulaatay hayn aur Allah
apnay hukm say Jannat aur bakhshish ki taraf
bulaataa hay aur apni Aayatayn logon kay liye
bayaan kartaa hay taakeh woh naseehat haasil
karayn.
2:222 Aur tum say hayz kay baaray mayn
poochtay hayn tum farmaa’o: Woh naapaaki
hay to hayz kay dinon mayn ‘auraton say alag
raho aur unkay qareeb nah jaa’o jab tak woh
paak nah ho jaa’ayn.c Phir jab khoob paak ho
‘Unwaan
Mushrikah ‘aurat aur Mushrik mard say Nikaah Haraam-e-Qat’ee hay.
Hayz (‘auraton ki maahwaari) kay chand ayhkaam.

Haashiyah
a
Yeh farmaan nihaayat jaami’ hay aur zindagi kay hazaaron sho’bon kay laakhon mu’aamalaat mayn
rehnumaa’i kay liye kaa hay, keh jahaan ayk hi cheez mayn achi aur buri donon niyyatayn mumkin hayn
wahaan doosray log agarcheh buri niyyat ko nah jaantay hon laykin Allah ‫ َع ﱠز َو َج ﱠل‬to jaantaa hay.
b
Intihaa’i afsos hay keh Qur’aan mayn itni saraahat-o-wazaahat say hukm aanay kay baawujood
Musalmaan larkon mayn Mushrikah larkiyon kay saath aur yunhi kaa r larkon aur Musalmaan larkiyon
mayn baaham shaadiyon kaa rujhaan barhtaa jaa rahaa hay. Is tamaam soorat-e-haal kaa wabaal is mayn
mulawwis larkay aur larkiyon par bhi hay aur un kay waalidayn par bhi jo raazi khushi aulaad ko is Jahannam
mayn jhonktay hayn, yunhi is kaa wabaal un kay naam nihaad jaahil daanishwaron, liberalism kay mareezon
aur Deen dushman qalamkaaron par bhi hay jo is ki taa’eed-o-himaayat mayn warq siyaah kartay hayn.
c
Hayz ki haalat mayn ‘auraton say hambistari karnaa Haraam hay, baqiyah un say guugu karnaa, un kay
saath khaanaa peenaa hattaa keh un kaa joothaa khaanaa bhi Jaa’iz hay, gunaah nahin.

www.dawateislami.net
Surat-ul-Baqarah Juzz :2

jaa’ayn to un kay pas wahaan say jaa’o jahaan say


tumhayn Allah nay hukm diyaa, beshak Allah
bohut toubah karnay waalon say muhabbat
farmaataa hay aur khoob saaf suthray rehnay
waalon ko pasand farmaataa hay.

2:223 Tumhaari ‘auratayn tumhaaray liye


khetiyaan hayn to apni khetiyon mayn jis tarah
chaaho aa’o,a aur apnay faa’iday kaa kaam
pehlay karo aur Allah say dartay raho aur jaan
rakho keh tum us say milnay waalay ho aur ay
Habeeb! Imaan waalon ko bashaarat do.

2:224 Aur apni qasmon ki wajah say Allah kay


naam ko aysaan karnay aur parhayzgaari
ikhtiyaar karnay aur logon mayn sulah
karaanay mayn aar nah banaa lo.b Aur Allah
sunnay waalaa jaannay waalaa hay.
2:225 Aur Allah in qasmon mayn tumhaari
giri nahin farmaa’ay gaa jo bay iraadah
zabaan say nikal jaa’ayc haan us par giri
farmaataa hay jin kaa tumhaaray dilon nay
qasd kiyaa ho aur Allah bakhshnay waalaa,
baraa hilm waalaa hay.
2:226 Aur woh jo apni biwiyon kay paas nah
jaanay ki qasam khaa baythayn un kay liye

‘Unwaan
Izdiwaaji ta’alluqaat kay baaray mayn rehnumaa’i aur a’maal-e-saalihah karnay kaa hukm.
Nayk kaam nah karnay ki qasam khaanay say mumaani’at.
Jhooti qasam khaanaa qaabil-e-giri ‘amal hay.
Eelaa’ ya’ni biwiyon say sohbat nah karnay ki qasam khaanay waalon kay liye
Shar’ee hukm.
Haashiyah
a
‘Aurat say har tarah hambistari Jaa’iz hay, bashart yeh keh sohbat aglay maqaam mayn ho.
b
Yahaan ayk ehm mas’alah yaad rakhayn keh agar ko’i shakhs nayki say baaz rehnay ki qasam khaalay to
us ko chaahiye keh qasam ko pooraa nah karay balkeh woh nayk kaam karay aur qasam kaa Kaffaarah day.
c
Baat baat par qasam nah khaani chaahiye, baaz log qasam ko takiyah kalaam banaa laytay hayn kay
iraadah-o-bilaa iraadah zabaan par jaari hoti hay aur is kaa bhi khayaal nahin rakhtay keh baat sachchi
hay yaa jhooti, yeh sakht ma’yoob ‘amal hay.

www.dawateislami.net
Surat-ul-Baqarah Juzz :2

chaar maheenay ki mohlat hay, pas agar is


muddat mayn woh rujoo’ kar layn to Allah
bakhshnay waalaa mehrbaan hay.a
2:227 Aur agar woh Talaaq kaa pukhtah
iraadah kar layn to Allah sunnay waalaa,
jaannay waalaa hay.
2:228 Aur Talaaq waali ‘auratayn apni jaanon
ko teen hayz tak rokay rakhayn aur unhayn
Halaal nahin kay us ko chupaa’ayn jo Allah nay
un kay payt mayn paydaa kiyaa hay agar Allah
aur Qiyaamat par Imaan rakhti hayn aur un kay
shohar us muddat kay andar unhayn phayr
laynay kaa haq rakhtay hayn agar woh islaah
kaa iraadah rakhtay hon.b Aur ‘auraton kay liye
bhi mardon par Sharee’at kay mutaabiq aysay
hi haq hay jaysaa (un kaa) ‘auraton par hay aur
mardon ko un par fazeelat haasil hay aur Allah
ghaalib, hikmat waalaa hay.
2:229 Talaaq do baar tak hay phir bhalaa’i kay
saath rok laynaa hay yaa achay tareeqay say
chor daynaa hay.c Aur tumhaaray liye Jaa’iz

‘Unwaan
Talaaq kay ba’d ‘Eddat-o-Rujoo’ kay chand ayhkaam.
Raj’ee Talaaq ki ta’daad.

Haashiyah
a
Yeh qasam khaanaa kay mayn apni biwi say chaar mahinay tak yaa kabhi sohbat nahin karoon gaa isay
Eelaa’ kehtay hayn. Is kaa hukm yeh hay keh agar qasam tor day aur chaar mah kay andar sohbat kar lay
tab to us par qasam kaa Kaffaarah Waajib hay warnah chaar mah kay ba’d ‘aurat ko Talaaq-e-Baa’inah par
jaa’ay gi.
b
Aayat mayn “‫ ”ا َ َرا ُد ْوا‬kay lafz say yeh bhi ma’loom huaa kay Talaaq-e-Raj’ee mayn rujoo’ kay liye ‘aurat ki marzi
zaroori nahin sirf mard kaa rujoo’ kaa hay, haan zulm karnay aur ‘aurat say apnay intiqaam ki aag bujhaanay
kay liye rujoo’ karnaa sakht buraa hay. Afsos kay hamaaray haan is jahaalat ki bhi kami nahin, biwiyon ko
zulm-o-sitam aur susraal say intiqaam laynay kaa zaree’ah banaayaa jaataa hay hattaa keh ba’z auqaat to shaadi
hi is niyyat say ki jaati hay aur ba’z auqaat Talaaq kay ba’d rujoo’ is buri niyyat say kiyaa jataa hay.
c
Achay tareeqay say roknay say muraad rujoo’ kar kay rok lenaa aur achay tareeqay say chor denay say
muraad hay keh Talaaq day kar ‘Eddat khatm honay day keh is tarah ayk Talaaq hi baa’inah ho jaati hay.
Sharee’at nay Talaaq denay aur nah denay ki donon sooraton mayn bhalaa’i aur khayr khwaahi kaa
farmaayaa hay, hamaari zindagi mayn logon ki ayk bari ta’adaad donon sooraton mayn ultaa chalti hay,
Talaaq denay mayn bhi ghalat tareeqah aur biwi ko rakhnay mayn bhi ghalat tareeqah. Allah ‫ َع ﱠز َو َج ﱠل‬Hidaayat
‘ataa farmaa’ay.

www.dawateislami.net
Surat-ul-Baqarah Juzz :2

nahin kay tum nay jo kuch ‘auraton ko diyaa ho


us mayn say kuch waapis lo magar is soorat
mayn kay donon ko andayshah ho kay woh
Allah ki hadayn qaa’im nah rakh sakayn gay to
agar tumhayn khouf ho keh miyaan biwi Allah
ki hadon ko qaa’im nah rakh sakayn gay to un
par us (maali mu’aawzay) mayn kuch gunaah
nahin jo ‘aurat badlay mayn day kar chutkaaraa
haasil kar lay, yeh Allah ki hadayn hayn, un say
aagay nah barho aur jo Allah ki hadon say aagay
barhay to wohi log zaalim hayn.
2:230 Phir agar shohar biwi ko (teesri) Talaaq
deday to ab woh ‘aurat us kay liye Halaal nah
hogi jab tak doosray khaawind say Nikaah nah
karay.a Phir woh doosra shohar agar usay
Talaaq deday to un donon par ayk doosray ki
taraf lout aanay mayn kuch gunaah nahin agar
woh yeh samjhayn kay (ab) Allah ki hadon ko
qaa’im rakh layn gay aur yeh Allah ki hadayn
hayn jinhayn woh daanishmandon kay liye
bayaan kartaa hay.
2:231 Aur jab tum ‘auraton ko Talaaq do
aurwoh apni (‘Eddat ki ikhtitaami) muddat
(kay qareeb) tak pohonch jaa’ayn to us waqt
unhayn achay tareeqay say rok lo yaa achay
tareeqay say chor do aur unhayn nuqsaan
pohnchaanay kay liye nah rok rakho taakeh
‘Unwaan
Khula’ kaa bayaan.
Teen Talaaqon kay ba’d ‘aurat Shar’ee Halaalah kay beghayr pehlay shohar kay liye Halaal
nahin.
‘Aurat ko rakhnay yaa Talaaq denay donon sooraton mayn achay sulook kaa hukm aur
‘auraton par zulm Haraam honay kaa bayaan.

Haashiyah
a
Teen Talaaqayn teen maheenon mayn di jaa’ayn yaa ayk maheenay mayn yaa ayk din mayn yaa ayk
nishast mayn yaa ayk jumlay mayn beher soorat teenon waaqi’ ho jaati hayn aur ‘aurat mard par Haraam
ho jaati hay. Teen Talaaqon kay ba’d baghayr Shar’ee tareeqay kay mard-o-‘aurat kaa hambistari
wagherah karnaa sareeh Haraam-o-Naajaa’iz hay aur aysi sulah ki koshish karwaanay waalay bhi gunaah
mayn baraabar kay shareek hayn.

www.dawateislami.net
Surat-ul-Baqarah Juzz :2

tum (un par) ziyaadti karoa aur jo aysaa karay


to us nay apni jaan par zulm kiyaa aur Allah ki
Aayaton ko thatthaa mazaaq nah banaa lo aur
apnay opar Allah kaa ayhsaan yaad karo aur un
nay tum par jo Kitaab aur hikmat utaari (usay
yaad karo) us kay zaree’ay woh tumhayn
naseehat farmaataa hay aur Allah say dartay
raho aur jaan rakho kay Allah sab kuch jaannay
waalaa hay.

2:232 Aur jab tum ‘auraton ko Talaaq do aur


un ki (‘Eddat ki) muddat poori ho jaa’ay to ay
‘auraton kay waaliyo! unhayn apnay shoharon
say nikaah karnay say nah roko jab kay aapas
mayn Sharee’at kay muwaa q rizaamand ho
jaa’ayn. Yeh naseehat usay di jaati hay jo tum
mayn say Allah aur Qiyaamat par Imaan rakhtaa
ho. Yeh tumhaarayb liye ziyaadah suthraa aur
paakeezah kaam hay aur Allah jaantaa hay aur tum
nahin jaantay.c

2:233 Aur maa’ayn apnay bachchon ko pooray

‘Unwaan
Talaaq kay ba’d mard-o-‘aurat dobaarah Nikaah kay liye rizaamand hon to ka’i sooraton mayn
sarparaston ko bilaawajah mana’ karnay kaa haq nahin.
Bachchay ko doodh pilaanay say muta’alliq chand Shar’ee ayhkaam.

Haashiyah
a
Talaaq waali ‘aurat ki ‘Eddat khatm honay say pehlay rujoo’ karnay yaa nah karnay kaa ikhtiyaar hay
laykin is ikhtiyaar ko zulm-o-ziyaadti kaa heelah banaanaa Mamnoo’-o-Najaa’iz hay. Jo is tarah kartaa hay
woh apni jaan par hi zulm kartaa hay aur yeh fay’l saraasar Allah ‫ َع ﱠز َو َج ﱠل‬ki Aayaton ko mazaaq banaanay kay
mutaaraadif hay. Aysay logon ko yaad rakhnaa chaahiye keh kaa’inaat mayn biwiyon par zulm-o-sitam aur
Ayhkaam-e-Shar’iyyah ki mukhaalafat ko aur ko’i nah bhi jaantaa ho laykin Allah ‫ َع ﱠز َو َج ﱠل‬to yaqeenan jaantaa
hay aur us ki Baargaah mayn to jawaab daynaa hi paray gaa.
b
Jab kisi ‘aurat ki ‘Eddat guzar jaa’ay aur ‘Eddat kay ba’d woh ‘aurat kisi say Nikaah kaa iraadah karay
khwaah woh ko’i nayaa aadmi ho yaa wohi ho jis nay (Raj’ee yaa teen say kam Baa’inah) Talaaq di thi to
agar woh mard-o-‘aurat baaham rizaamand hayn to ‘aurat kay sarparaston ko bilaa wajah mana’ karnay
kaa haq nahin.
c
Ya’ni is hukm par ‘amal karnaa tumhaaray liye ziyaadah paakeezgi-o-tahaarat kaa baa’is hay kiyunkeh ba’z
auqaat saabiqah ta’alluqaat ki wajah say ‘auratayn ghalat qadam bhi uthaalayti hayn jo ba’d mayn sab kay liye
parayshaani kaa baa’is bantaa hay, is liye ‘auraton ko mazeed Nikaah say bilaa wajah mana’ nah karo.

www.dawateislami.net
Surat-ul-Baqarah Juzz :2

do saal doodh pilaa’ayna (yeh hukm) us kay liye


(hay) jo doodh pilaanay ki muddat poori karnaa
chaahay aur bachay kay baap par riwaaj kay
mutaabiq ‘auraton kay khaanay aur pehennay ki
zimmah daari hay. Kisi jaan par utnaa hi bojh
rakhaa jaa’ay gaa jitni us ki taaqat ho. Maan ko uski
aulaad ki wajah say takleef nah di jaa’ay aur nah
baap ko uski aulaad ki wajah say takleef di jaa’ay b
aur jo baap kaa qaa’im maqaam hay us par bhi
aysaa hi (hukm) hay.c Phir agar maan baap donon
aapas ki rizaamandi aur mashwaray say doodh
churaanaa chaahayn to un par gunaah nahin
aur agar tum chaaho kay(doosri ‘auraton say)
apnay bachchon ko doodh pilwaa’o to bhi tum
par ko’i muzaa’iqah nahin jab kay jo
muaa’wizah daynaa tum nay muqarrar kiyaa
ho woh bhalaa’i kay saath adaa kar do aur
Allah say dartay raho aur jaan rakho keh Allah
tumhaaray kaam daykh rahaa hay.

2:234 Aur tum mayn say jo mar jaa’ayn aur


biwiyaan chorayn to woh biwiyaan chaar
maheenay aur das din apnay aap ko rokay
rahayn d to jab woh apni (ikhtitaami) muddat ko
pohonch jaa’ayn aur to ay waaliyo! Tum par is
kaam mayn ko’i harj nahin jo ‘auratayn apnay

‘Unwaan
Fout shudah aadmi ki biwi ki ‘Eddat kaa bayaan.
Haashiyah
a
Bachchay ko doodh pilaanay say muta’alliq ayhkaam ki tafseeli ma’loomat haasil karnay kay liye
Tafseer Siraat-ul-Jinaan, Jild 1, Saah 357 kaa mutaala’ah farmaa’ayn.
b
Maan ko zarar daynaa yeh hay keh jis soorat mayn us par doodh pilaanaa zaroori nahin us mayn usay
doodh pilaanay par majboor kiyaa jaa’ay aur baap ko zarar daynaa yeh hay keh us ki taaqat say ziyaadah
us par zimmah daari daali jaa’ay. Yaa Aayat kay yeh ma’naa hay keh nah maan bachchay ko takleef day
aur nah baap. Maan kaa bachchay ko zarar daynaa yeh hay keh us ko waqt par doodh nah day aur us ki
nigraani nah rakhay yaa apnay saath maanoos kar lenay kay ba’d chor day aur baap kaa bachchay ko zarar
daynaa yeh hay keh maanoos bachchay ko maan say cheen lay yaa maan kay haq mayn kotaahi karay jis
say bachchay ko nuqsaan pohnchay.
c
Agar baap fout ho gayaa ho to jo zimmah daariyaan baap par hoti hayn woh ab us kay qaa’im maqaam
par hon gi.
d
Is Aayat mayn fout shudah aadmi ki biwi ki ‘Eddat kaa bayaan hay keh biwi ki ‘Eddat 4 maah 10 din hay.
Yeh is soorat mayn hay jab shohar kaa inteqaal chaand ki pehli tareekh ko huaa ho warnah ‘aurat 130 din
pooray karay gi. Mazeed tafseel Tafseer Siraat-ul-Jinaan, Jild 1, Saah 359 par mulaahazah farmaa’ayn.

www.dawateislami.net
Surat-ul-Baqarah Juzz :2

mu’aamalah mayn Sharee’at kay mutaabiq kar


layn. Aur Allah tumhaaray kaamon say
khabardaar hay.a

2:235 Aur tum par is baat mayn ko’i gunaah nahin


jo ishaaray kinaa’ay say tum ‘auraton ko Nikaah
kaa payghaam do yaa apnay dil mayn chupaa
rakho. Allah ko ma’loom hay kay ab tum un kaa
tazkirah karo gay laykin un say khu yah wa’dah
nah kar rakho magar yeh kay Sharee’at kay
mutaabiq ko’i baat keh lo aur ‘Aqd-e-Nikaah ko
pukhtah nah karnaa jab tak (‘Eddat kaa) likhaa
huaa (hukm) apni (ikhtitaami) muddat ko nah
pohonch jaa’ay aur jaan lo kay Allah tumhaaray dil
ki jaantaa hay to us say daro aur jaan lo kay Allah
bohut bakhshnay waalaa, hilm waalaa hay.b

2:236 Agar tum ‘auraton ko Talaaq day do to jab


tak tum nay un ko chuwaa nah ho yaa ko’i mahr
nah muqarrar kar liyaa ho tab tak tum par kuch
mutaalabah nahinc aur un ko (ayk joraa)
baratnay ko do. Maaldaar par uski taaqat kay
mutaabiq aur tangdast par uski taaqat kay
mutaabiq daynaa laazim hay. Shar’ee dastoor
‘Unwaan
‘Eddat-e-wafaat guzaarnay waali ‘aurat kay saath Nikaah say muta’alliq Shar’ee ayhkaam.
‘Aurat kay haq mahr say muta’alliq chand Shar’ee ayhkaam.

Haashiyah
a
Is say ma’loom huaa keh ‘auraton ko Sharee’at kay daa’iray mayn rehtay ho’ay apnay mu’aamalaat
kaa fayslah karnay kaa ikhtiyaar hay aur woh khud bhi apnaa Nikaah kar sakti hayn albattah
mashwaray say chalnaa beherhaal behtar hay.
b
Wafaat ki ‘Eddat guzaarnay waali ‘aurat say Nikaah karnaa yaa Nikaah kaa khulaa payghaam daynaa
yaa Nikaah kaa wa’dah kar laynaa to Haraam hay laykin parday kay saath khwaahish-e-Nikaah kaa
izhaar karnaa gunaah nahin maslan yeh kahay kay tum bohut nayk ‘aurat ho, yaa apnaa iraadah dil hi
mayn rakhay aur zabaan say kisi tarah nah kahay, yeh bhi gunaah nahin.
c
Is Aayat say mahr kay chand masaa’il bayaan kiye jaa rahay hayn, un ki tafseel jaannay kay liye Tafseer
Siraat-ul-Jinaan, Jild 1, Saah 361-363 kaa mutaala’ah farmaa’ayn.

www.dawateislami.net
Surat-ul-Baqarah Juzz :2

kay mutaabiq unhayn faa’idah pohnchaa’oa


yeh bhalaa’i karnay waalon par Waajib hay.

2:237 Aur agar tum ‘auraton ko choonay say


pehlay Talaaq day do aur tum unkay liye kuch
mahr bhi muqarrar kar chukay ho to jitnaa tum
nay muqarrar kiyaa thaa us kaa aadhaa Waajib
hay magar yeh keh ‘auratayn kuch mahr mu’aaf
kar dayn yaa woh (shohar) ziyaadah deday jis kay
haath mayn Nikaah ki girah hay aur ay mardo!
tumhaaraa ziyaadah daynaa parhayzgaari kay
ziyaadah nazdeek hay.b Aur aapas mayn ayk
doosray kay saath ayhsaan karnaa nah bhoolo
beshak Allah tumhaaray kaam daykh rahaa hay.c

2:238 Tamaam Namaazon ki paabandi karo


aur khusoosan darmiyaani Namaaz ki aur
Allah kay Huzoor adab say kharay huaa karo.

2:239 Phir agar tum khouf ki haalat mayn ho to


paydal yaa sawaar (jesay mumkin ho Namaaz
‘Unwaan
Talaaq kay ba’d bhi aapas mayn dushmaniyaan paalnay ki mumaani’at.

‘Umoomi tor par tamaam Namaazon aur bator-e-khaas Namaaz-e-‘Asr ki paabandi karnay
ki takeed.
Khouf ki haalat mayn Namaaz kaa Shar’ee hukm aur us kaa tareeqah.

Haashiyah
a
In Aayaat say ma’loom huaa kay ‘Ilm-e-Fiqh bohut fazeelat aur ayhmiyat kaa haamil hay kiyunkeh is
mayn ‘ibaadaat kay saath saath mu’aamalaat jesay Nikaah, Haq mahr aur Talaaq wagherah say muta’alliq
bhi Shar’ee ayhkaam bayaan kiye jaatay hayn.
b
Aurat ki taraf say mu’aa yeh hay keh woh aadhay mahr say kuch yaa pooraa hi chor day. Shohar ki taraf
say mu’aa yeh hay keh woh pooraa mahr adaa kar chukaa ho to baqiyah aadhaa waapis nah lay aur
ziyaadah denay ki soorat yeh hay keh aadhaa denay kay bajaa’ay pooraa mahr deday.
c
Talaaq kaa mu’aamalah itnaa shadeed hotaa hay keh ‘umooman donon fareeq jazbah-e-intiqaam mayn
andhay hotay hayn aur ayk doosray ko jaan say maar denay kay khwaahishmand hotay hayn laykin Allah
‫ َع ﱠز َو َج ﱠل‬yahaan par bhi aapas mayn husn-e-sulook kaa hukm farmaa rahaa hay aur us mayn bhi khusoosan mard
ko ziyaadah takeed hay kiyunkeh ziyaadah eezaa’ ‘aam tor par mard aur us kay khaandaan ki taraf say hoti
hay.

www.dawateislami.net
Surat-ul-Baqarah Juzz :2

parh lo)a phir jab haalat-e-itminaan mayn ho


jaa’o to Allah ko yaad karo jaysaa us nay
tumhayn sikhaayaa hay jo tum nah jaantay thay.

2:240 Aur jo tum mayn say mar jaa’ayn aur


biwiyaan chor jaa’ayn woh apni ‘auraton kay
liye (unhayn gharon say) nikaalay baghayr saal
bhar tak kharchah denay ki wasiyyat kar
jaa’aynb phir agar woh khud nikal jaa’ayn to
tum par is mu’aamalay mayn ko’i giri nahin
jo woh apnay baaray mayn Sharee’at kay
mutaabiq karayn aur Allah zabardast,c hikmat
waalaa hay.
2:241 Aur Talaaq waali ‘auraton kay liye bhi
Shar’ee dastoor kay mutaabiq kharchah hay.d
Yeh parhayzgaaron par Waajib hay.
2:242 Allah isi tarah tumhaaray liye apni
Aayatayn khol kar bayaan kartaa hay taakeh
tum samjho.
2:243 Ay Habeeb! Kiyaa tum nay un logon ko
nah daykhaa thaa jo mout kay dar say hazaaron
‘Unwaan
Ayk Mansookh hukm keh marnay waalay kay liye biwi ko saal bhar nafqah denay ki
wasiyyat zaroori hay.
Talaaq ki ‘Eddat mayn ‘aurat ko naan nafqah daynaa shohar par laazim hai.
Talaaq aur ‘Eddat kay ayhkaam bayaan karnay kaa maqsad.
Mout say dar kar bhaagnay waali Bani-Israa’eel ki ayk jamaa’at kaa waaqi’ah.
Haashiyah
a
Yahaan dushman yaa darinday wagherah kay khouf ki haalat mayn Namaaz kaa hukm aur tareeqah
bayaan kiyaa gayaa hay, agar khouf ki aysi soorat ho keh ayk jagah thehernaa naamumkin ho jaa’ay to
paydal chaltay ho’ay yaa sawaari par jesay mumkin ho Namaaz parh lo.
b
Ibtidaa’ay Islaam mayn baywah ki ‘Eddat ayk saal thi aur us ayk saal mayn woh shohar kay ghar reh kar
naan-o-nafqah paanay ki mustahiq hoti thi, phir ayk saal ki ‘Eddat to Surah-e-Baqarah ki Aayat 234 say
Mansookh hu’i aur saal bhar kaa nafqah Surah-e-Nisaa’ ki Aayat number 12 ya’ni Aayat-e-Meeras say
Mansookh huaa.
c
‘Arbi lafz “ ” izzat say banaa hay, yeh mukhtalif ma’naa mayn iste’maal hotaa hay, jesay ‘izzat waalaa,
ghalbay waalaa aur zabardast wagherah.
d
Yahaan Aayat mayn yeh bayaan kiyaa gayaa hay keh Talaaq ki ‘Eddat mayn shohar par ‘aurat ko naan
nafqah daynaa laazim hay. Tafseel kay liye Bahaar-e-Sharee’at, Jild 2, Hissah 8, say “nafqah kaa bayaan”
mutaala’ah farmaa’ayn.

www.dawateislami.net
Surat-ul-Baqarah Juzz :2

ki ta’daad mayn apnay gharon say niklay to


Allah nay un say farmaayaa: Mar jaa’oa phir
unhayn zindah farmaa diyaa, beshak Allah
logon par fazl karnay waalaa hay magar aksar
log shukr adaa nahin kartay.

2:244 Aur Allah ki raah mayn laro aur jaan lo


kay Allah sunnay waalaa, jaannay waalaa hay.
2:245 Hay ko’i jo Allah ko achaa qarz day,b to
Allah us kay liye us qarz ko bohut gunaa barhaa
day aur Allah tangi daytaa hay aur wus’at daytaa
hay aur tum usi ki taraf lotaa’ay jaa’o gay.

2:246 Ay Habeeb! Kiyaa tum nay Bani-Israa’eel


kay ayk giroh ko nah daykha jo Musaa kay ba’d
huaa,c jab unhon nay apnay ayk Nabi say kahaa
keh hamaaray liye ayk baadshah muqarrar kar
dayn taakeh hum Allah ki raah mayn larayn, us
Nabi nay farmaya: Kiyaa aysaa to nahin hogaa
kay agar tum par Jihaad Farz kiyaa jaa’ay to phir
tum Jihaad nah karo? Unhohn nay kahaa:
Hamayn kiyaa huaa kay hum Allah ki raah
mayn larayn, us Nabi nay farmaya: Kiyaa aysaa

‘Unwaan
Raah-e-Khudaa mayn Jihaad karnay kaa hukm.
Rah-e-Khudaa mayn ikhlaas kay saath kharch karnay ki targheeb aur kharch karnay kaa
samrah.
Hazrat Musaa ‫الـسـﻼَم‬
‫ َعـلَ ْيـ ِه ﱠ‬kay ba’d Bani-Israa’eel par Jihaad ki Farziyat aur qoum kaa tarz-e-‘amal.

Haashiyah
a
Is waaqi’ah say ma’loom huaa kay aadmi mout kay dar say bhaag kar jaan nahin bachaa saktaa to
bhaagnaa baykaar hay, jo mout muqaddar hay woh zaroor pohnchay gi. Aadmi ko chaahiye kay
Rizaa-e-Ilaahi par raazi rahay.
b
Raah-e-Khudaa mayn ikhlaas kay saath kharch karnay ko qarz say ta’beer farmaayaa, Allah ‫ــل‬‫ َع ﱠز َو َج ﱠ‬kaa
kamaal darjay kaa lutf-o-karam hay kiyunkeh bandah us kaa banaayaa huaa aur banday kaa maal us kaa
‘ataa farmaayaa huaa, haqeeqi maalik wohi jabkeh bandah us ki ‘ataa say majaazi milk rakhtaa hay laykin
phir bhi majaazi milk waalay kay denay ko qarz say ta’beer farmaayaa hay.

c
Jihaad kaa hukm denay kay ba’d ab Jihaad ki himmat-o-housalah paydaa karnay waalaa ayk waaqi’ah
bohut si dilchasp tafseelaat kay saath bayaan kiyaa jaa rahaa hay.

www.dawateislami.net
Surat-ul-Baqarah Juzz :2

Farz kiyaa jaa’ay to phir tum Jihaad nah karo?


Unhohn nay kahaa: Hamayn kiyaa huaa kay
hum Allah ki raah mayn nah larayn
haalaankeh hamayn hamaaray watan aur
hamaari aulaad say nikaal diyaa gayaa haya to
phir jab un par Jihaad Farz kiyaa gayaa to un
mayn say thoray say logon kay ‘ilaawah
(baqiyah) nay munh phayr liyaa aur Allah
zaalimon ko khoob jaantaa hay.
2:247 Aur un say un kay Nabi nay farmaayaa:
beshak Allah nay Taaloot ko tumhaaraa
baadshah muqarrar kiyaa hay.b Woh kehnay
lagay: Usay hamaaray opar kahaan say baadsha-
hi haasil ho ga’i haalaankeh hum us say
ziyaadah saltanat kay mustahiq hayn aur usay
maal mayn bhi wus’at nahin di ga’i. Us Nabi
nay farmaayaa: Usay Allah nay tum par chun
liyaa hay aur usay ‘ilm aur jism mayn kushaad-
gi ziyaadah di hay aur Allah jis ko chaahay
apnaa mulk day aur Allah wus’at waalaa, ‘ilm
waalaa hay.

2:248 Aur un say un kay Nabi nay farmaayaa:


Us ki baadshahi ki nishaani yeh hay kay
tumhaaray pas woh Taaboot ajaa’ay gaa jis
mayn tumhaaray Rab ki taraf say dilon kaa
chayn hay aur Mu’azziz Musaa aur Mu’azziz

‘Unwaan
Taaloot ko Bani-Israa’eel kaa baadshah banaa’ay jaanay kaa waaqi’ah.

Haashiyah
a
Is waaqi’ah say yeh bhi ma’loom huaa keh jab qoum ki Ay’tiqaadi aur ‘Amali haalat kharaab ho jaati hay
to un par zaalim-o-jaabir qoumon ko musallat kar diyaa jaataa hay. Is Aayat ko saamnay rakh kar poori
Dunyaa kay Muslim mumaalik ki Ay’tiqaadi-o-‘Amali haalat ko daykhaa jaa’ay to opar kaa naqshah baraa
waazih tor par nazar aa’ay gaa. Qur’aan kay is tarah kay waaqi’aat bayaan karnay kaa maqsad sirf tareekhi
waaqi’aat bataanaa nahin balkeh ‘ibrat-o-naseehat haasil karnay ki taraf lanaa hay.
b
‘Arbi lafz “ ” kaa lughwi ma’naa hay kisi cheez ko kharaa karnaa jabkeh mukhtalif qaraa’in kay
ay’tibaar say is kay ma’naa badaltay rehtay hayn, yahaan yeh lafz bhayjnay aur muqarrar karnay kay
ma’naa mayn hay.

www.dawateislami.net
Surat-ul-Baqarah Juzz :2

Haaroona ki chori hu’i cheezon kaa baqiyah


hay,b Farishtay usay uthaa’ay ho’ay hon gay.
Beshak us mayn tumhaaray liye bari nishaani
hay agar tum Imaan waalay ho.
2:249 Phir jab Taaloot lashkaron ko lay kar
shehr say judaa huaa to us nay kahaa: Beshak
Allah tumhay ayk neher kay zaree’ay
aazmanay waalaa hayc to jo us neher say
paani piye gaa woh meraa nahin hay aur jo
nah piye gaa woh meraa hay siwaa’ay us kay jo
ayk chullu apnay haath say bhar lay to un
mayn say thoray say logon kay ‘ilaawah sab
nay us neher say paani pee liyaa phir jab
Taaloot aur us kay saath waalay Musalmaan
neher say paar ho ga’ay tu unhon nay kahaa:
Hum mayn aaj Jaaloot aur uskay lashkaron
kay saath Bohut dafa’ choti jamaa’at Allah kay
hukm say bari jamaa’at par ghaalib aa’i hay.d
Aur Allah sabr karnay waalon kay saath hay.

‘Unwaan
Safar-e-Jihaad kay doraan Taaloot kay lashkariyon ki ayk neher kay paani say aazmaa’ish.

Haashiyah
a
Ba’z ‘Ulamaa nay farmaayaa kay Taboot mayn Hazrat Musaa-o-Haaroon ‫الـسـﻼَم‬ ‫ َعـلَ ْيـ ِه َ ﱠ‬kay ummati ‘Ulamaa
kay Tabarrukaat thay, lihaazaa “‫ ” ا ٰل‬say muraad wohi ‘Ulamaa hayn jabkeh ba’z nay farmaayaa keh Taboot
mayn Hazrat Musaa-o-Haaroon ‫الـسـﻼَم‬ ‫ َعـلَيْـ ِه َ ﱠ‬kay apnay Tabarrukaat thay aur “ ‫ ” ا ٰل‬bator-e-ta’zeem kay unhi
kay liye iste’maal huaa hay.
b
Is say ma’loom huaa kay Allah ‫ َع ﱠز َو َج ﱠل‬kay piyaaron say nisbat rakhnay waali har cheez baabarkat hoti hay
jesay Taaboot mayn Hazrat Musaa ‫الـسـﻼَم‬ ‫ َعـلَ ْيـ ِه ﱠ‬ki na’layn shareefayn ya’ni paa’on mayn pehennay kay joray
bhi barakat kaa zaree’ah thay.

c
Is waaqi’ay say yeh hikmat bhi ma’loom hu’i keh Jihaad say pehlay aazmaa’ish kar laynaa behtar hay. ‘Ayn
waqt par ko’i buzdili dikhaa’ay to us kaa nateejah achaa nahin hotaa. Haalat-e-amn mayn fouj ki tarbiyat aur
mehnat-o-mushaqqat isi maqsad kay liye hoti hay neez yeh bhi ma’loom huaa keh kisi baray imtehaan say
pehlay chotaay imtehaan say guzar laynaa chaahiye keh is say dil mayn quwwat paydaa hoti hay.
d
Ikhlaas, jazbah aur himmat Allah ‫ـل‬ َ ‫ َع ﱠز َو‬ki madad haasil karnay kaa zaree’ah hayn aur Islaami tareekh
‫جـ ﱠ‬
mayn chotaay giroh kay baray giroh par ghaalib aanay ki bohut si misaalayn moujood hayn, jesay
Ghazwah-e-Badar mayn 313 qaleel ta’daad mayn Musalmaan 1000 kay qareeb kuffaar kay baray giroh par
ghaalib aa’ay, Jang-e-Yarmouk mayn 50000 kay qareeb Musalmaanon kaa lashkar kuffaar kay das laakh
kay baray lashkar par ghaalib aayaa.

www.dawateislami.net
Surat-ul-Baqarah Juzz :2

2:250 Phir jab woh Jaaloot aur us kay lashkaron


kay saamnay aa’ay to unhon nay ‘arz ki: Ay
hamaaray Rab! Hum par sabr daal day aur
hamay saabit qadmi ‘ataa farmaa aur kaa r
qoum kay muqaabalay mayn hamaari madad
farmaa.a

2:251 To unhon nay Allah kay hukm say


dushmanon ko bhagaa diyaa aur Daa’ood nay
Jaaloot ko qatl kar diyaa aur Allah nay usay
saltanat aur hikmat ‘ataa farmaa’i aur usay jo
chaahaa sikhaa diyaa aur agar Allah
logonmayn ayk kay zaree’ay doosray ko dafa’
nah karay to zaroor zameen tabah ho jaa’ayb
magar Allah saaray jahaan par fazl karnay
waalaa hay.
2:252 Yeh Allah ki Aayatayn hayn jo ay
Habeeb! Hum aap kay saamnay haq kay saath
parhtay hayn aur beshak tum Rasoolon mayn
say ho.

‘Unwaan
Jaaloot aur us kay lashkar say mukabalay kay waqt sabar, sabit qadmi aur madad ki du’a.
Jaaloot aur us kay lashkar ki shikast, Jaaloot kaa qatl aur Hazrat Daa’ood ‫الـســـﻼَم‬
‫ َعـلَيْـــ ِه ﱠ‬ki baadshaahi,
hikmat aur ‘ilm ‘ataa honaa.
Jihaad ki ayk hikmat, zameen mayn fasaad ko roknaa.
Nabi Kareem ‫ َص ﱠﲆ الـلﱣـ ُه َعلَيْ ِه َواٰلِ ٖه َو َسلﱠم‬ki Nubuwwat-o-Risaalat ki daleel.

Haashiyah
a
Is say ma’loom huaa kay dushman say jang kay doraan sirf zaahiri asbaab par hi bharosah nahin karnaa
chaahiye balkeh Allah ‫ــل‬
‫ َع ﱠز َو َج ﱠ‬ki Baargaah mayn sabr, saabit qadami aur dushmanon kay khilaaf madad ki
du’aa bhi karni chaahiye taakeh zaahiri asbaab kay saath Allah ‫ َع ﱠز َو َج ﱠل‬ki madad bhi shaamil-e-haal ho.
b
Yahaan Jihaad ki hikmat kaa bayaan hay kay Jihaad mayn hazaaron maslihatayn hayn, agar ghaas nah
kaati jaa’ay to khayt barbaad ho jaa’ay, agar operation kay zaree’ay faasid mawaad nah nikaalaa jaa’ay to
badan bigar jaa’ay, agar chor daaku nah pakray jaa’ayn to amn barbaad ho jaa’ay. Aysay hi Jihaad kay
zaree’ay maghrooron, baaghiyon aur sarkashon ko dabaayaa nah jaa’ay to achay log jee nah sakayn.

www.dawateislami.net
Surat-ul-Baqarah Juzz :3

2:253 Yeh Rasool hayna ham nay in mayn ayk


ko doosray par fazeelat ‘ataa farmaa’i, in mayn
kisi nay Allah say kalaam farmaayaa aur ko’i
woh hay jisay sab par darjon bulandi ‘ataa
farmaa’i baur ham nay Maryam kay baytay ‘Isaa
ko khuli nishaaniyaan deen aur paakeezah rooh
say us ki madad ki aur agar Allah chaahtaa to un
kay ba’d waalay aapas mayn nah lartay jabkeh
un kay paas khuli nishaaniyaan aa chuki theen
laykin unhon nay aapas mayn ikhtilaaf kiyaa to
un mayn ko’i Momin rahaa aur ko’i kaa r ho
gayaa aur agar Allah chaahtaa to woh nah lartay
Konusu
magar Allah jo chaahtaa hay kartaa hay.c

2:254 Ay Imaan waalo! hamaaray diye hu’ay


rizq mayn say Allah ki raah mayn us din kay
aanay say pehlay kharch kar lo jis mayn nah
ko’i khareed-o-farokht hogi aur nah kaa ron
kay liye dosti aur nah shafaa’at ho gid aur kaa r
hi zaalim hayn.e

‘Unwaan
Ambiyaa’ ‫الـسـﻼَم‬
‫ َعـلَ ْيـ ِه ُم ﱠ‬ki ‘azamat-o-shaan aur teen (03) Ambiyaa’ ‫الـسـﻼَم‬
‫ َعـلَ ْيـ ِه ُم ﱠ‬kay khusoosi fazaa’il.

Allah ‫ َع ﱠز َو َج ﱠل‬jo chaahtaa hay kartaa hay.


Raah-e-Khudaa mayn maal kharch kar kay Aakhirat ki taiyyaari kaa hukm.

Haashiyah
a
‘Arbi lafz “‫ ”ا َل ﱡر ُسل‬Rasool ki jama’ hay.
b
Asl-e-Nubuwwat ya’ni Nabi honay mayn to tamaam Ambiyaa’-e-Kiraam ‫الـسـﻼَم‬ ‫ َعـلَيْـ ِه ُم ﱠ‬baraabar hayn albattah
un kay darajaat mayn farq hay, ba’z ba’z say a’laa hayn aur hamaaray Aaqaa ‫ َص ﱠﲆ الـلﱣـ ُه َعلَيْ ِه َواٰلِ ٖه َو َسلﱠم‬sab say a’laa hayn.
c
Allah ‫ َع ﱠز َو َج ﱠل‬jo chaahtaa hay kartaa hay, us kay mulk mayn us kay iradaay kay khilaaf ko’i kuch nahin kar
saktaa aur yehi Khudaa ki shaan hay. Hamayn yeh hukm hay keh Allah ‫ َع ﱠز َو َج ﱠل‬kay hukm par sar-e-tasleem
kham karayn aur jo us nay farmaayaa hay us kay mutaabiq ‘amal karayn.
d
Qiyaamat kay din wohi maal kaam aa’ay gaa jisay Dunyaa mayn nayk kaamon mayn kharch kiyaa ho
gaa aur yoon hi sirf nayk dost kaam aa’ayn gay, aur shafaa’at bhi Allah ‫ َع ﱠز َو َج ﱠل‬ki ijaazat say hogi aur woh bhi
sirf Musalmaanon kay liye.
e
Zulm kay ma’naa hayn kisi cheez ko ghalat jagah iste’maal karnaa. Kaa ron kaa Imaan ki jagah Kufr aur
itaa’at ki jagah ma’siyyat aur shukr ki jagah naashukri ko ikhtiyaar karnaa un kaa zulm hay aur choonkeh
yahaan zulm kaa sab say badtar darajah muraad hay is liye farmaayaa kay kaa r hi zaalim hayn.

www.dawateislami.net
Surat-ul-Baqarah Juzz :3

2:255 Allah woh hay jis kay siwaa ko’i


Ma’bood nahin,a woh khud zindah hay,
doosron ko qaa’im rakhnay waalaa hay, usay
nah oongh aati hay aur nah neend, jo kuch
aasmaanon mayn hay aur jo kuch zameen
mayn hay sab usi kaa hay. Kon hay jo uskay
haan us ki ijaazat kay baghayr sifaarish karay?
woh jaantaa hay jo kuch un kay aagay hay aur
jo kuch un kay peechay hay aur log uskay ‘ilm
mayn say utnaa hi haasil kar saktay hayn jitnaa
woh chaahay, us ki Kursi aasmaan aur zameen
ko apni wus’at mayn liye hu’ay hay aur un ki
hifaazat usay thakaa nahin sakti aur wohi
buland shaan waalaa, ‘azamat waalaa hay.

2:256 Deen mayn ko’i zabardasti


nahin, beshak hidaayat ki raah gumraahi say
b

khoob judaa ho ga’i hay to jo Shaytaan ko nah


maanay aur Allah par Imaan laa’ay us nay
baraa mazboot sahaaraa thaam liyaa jis
sahaaray ko kabhi khulnaa nahin c aur Allah
sunnay waalaa, jaannay waalaa hay.

‘Unwaan
Aayat-ul-Kursi mayn Ilaahiyaat kay a’laa masaa’il kaa bayaan.
Deen manwaanay mayn ko’i zabardasti nahin.
Qur’aan-e-Majeed say hidaayat aur gumraahi poori tarah zaahir ho chuki.
Islaam par mazbooti say qaa’im rehnay kay liye sarkash-o-gumraah say bachnaa zaroori hay.

Haashiyah
a
Yeh Aayat “Aayat-ul-Kursi” kay naam say mashoor hay, is mayn Zaat-e-Baari ‫ــل‬ ‫ َع ﱠز َو َج ﱠ‬say muta’alliq
intihaa’i a’laa masaa’il kaa bayaan hay aur is mayn jitnaa ghour kartay jaa’ayn Allah ‫ َع ﱠز َو َجـ ﱠـل‬ki ‘azamat aur us
kay baaray mayn ‘Aqaa’id utnaa hi waazeh hotay jaa’ayn gay.
b
Yaad rahay keh kisi kaa r ko jabran Musalmaan banaanaa Jaa’iz nahin magar Islaam say nikalnay say
Musalmaan ko jabri rokaa jaa’ay gaa kiyonkeh Islaam laanay kay ba’d Kufr ikhtiyaar karnaa Deen-e-Islaam
ki toheen aur doosron kay liye baghaawat kaa raastah hay jisay band karnaa zaroori hay.
c
Har sarkash aur gumraah ko Taaghoot kahaa jaataa hay. Shaytaan, kaahin, jaadugar aur but wagherah
sab par hi yeh lafz bolaa jaataa hay. Yahaan Aayat mayn Taaghoot say bachnay kaa farmaayaa gayaa
kiyonkeh Islaam par mazbooti say wohi qaa’im reh saktaa hay jo bay deenon ki sohbat, un ki ulfat, un ki
kitaabayn dekhnay, un kay wa’z sunnay say door rahay aur jo apnay Imaan ki rassi par khud hi churiyaan
chalaa’ay gaa us ki rassi kaa katnay say bachnaa mushkil hay.

www.dawateislami.net
Surat-ul-Baqarah Juzz :3

2:257 Allah Musalmaanon kaa waali hay


unhayn andhayron say noor ki taraf nikaaltaa
haya aur jo kaa r hayn un kay himaayati
Shaytaan hayn woh unhayn noor say andhayron
ki taraf nikaaltay hayn. Yehi log dozakh waalay
hayn, yeh hamayshah us mayn rahen gay.

2:258 Ay Habeeb! Kiyaa tum nay usko nah


daykhaa thaa jis nay Ibrahim say us kay Rab kay
baaray mayn is binaa par jhagraa kiyaa keh
Allah nay usay baadshaahi di hay, jab Ibrahim
nay farmaayaa: Meraa Rab woh hay jo zindagi
daytaa hay aur mout daytaa hay. Us nay kahaa:
Mayn bhi zindagi daytaa hoon aur mout daytaa
hoon. Ibrahim nay farmaayaa: To Allah sooraaj
ko mashriq say laataa hay pas tu usay maghrib
say lay aa. to us kaa r kay hosh ur ga’y aur
Allah zaalimon ko hidaayat nahin daytaa.b
2:259 Yaa (kiyaa tum nay) us shakhs ko (nah
daykhaa) jis kaa ayk basti par guzar huaa aur woh
basti apni chaton kay bal giri pari thi c to us
shakhs nay kahaa: Allah unhayn un ki mout kay
ba’d kesay zindah karay gaa? to Allah nay usay so
saal mout ki haalat mayn rakhaa phir usay
zindah kiyaa, (phir us shakhs say) farmaayaa:
Tum yahaan kitnaa ‘arsah thehray ho? us nay ‘arz
ki: Mayn ayk din yaa ayk din say bhi kuch kam

‘Unwaan
Musalmaanon kaa waali Allah ‫ َع ﱠز َو َج ﱠل‬hay aur kaa ron kay himaayati Shayaateen hayn.
Hazrat Ibrahim ‫الـسـﻼَم‬
‫ َعـلَ ْيـ ِه ﱠ‬kaa Namrood baadshaah say munaazarah.
Hazrat ‘Uzair ‫الـسـﻼَم‬
‫ َعـلَ ْيـ ِه ﱠ‬ki wafaat aur ap ko dobaarah zindah kiye jaanay kaa waaqi’ah.

Haashiyah
a
‘Arbi lafz “ ” say Kufr aur “ ” say Imaan muraad hay aur Kufr ki choonkeh saynkron qismayn hayn
jabkeh Islaam ayk hi Deen hay, is liye yahaan “ ” ko waahid aur “ ” ko jama’ zikr kiyaa gayaa hay.
b
Is Aayat say ‘Aqaa’id mayn munaazarah karnay kaa suboot hotaa hay aur yeh Sunnat-e-Ambiyaa’ ‫َعـلَ ْيـــ ِه ُم‬
‫ ﱠ‬hay, lihaazaa munaazarah karnaa buraa nahin hay albattah is mayn jo takabbur-o-sarkashi aur haq ko
‫الـسـ ـﻼَم‬
qubool nah karnay kaa pehlu daakhil ho gayaa hay aur woh buraa hay aur isi soorat ki ‘Ulamaa’-e-Kiraam
muzammat bayaan kartay hayn.
c
Aksar Mufassireen kay baqoul is Aayat mayn bayaan kiyaa gayaa waaqi’ah Hazrat ‘Uzair ‫الـســـﻼَم‬
‫ َعـلَيْـــ ِه ﱠ‬kaa
hay aur basti say Bayt-ul-Muqaddas muraad hay.

www.dawateislami.net
Surat-ul-Baqarah Juzz :3

waqt thehraa hoon gaa. Allah nay farmaayaa:


(Nahin) balkeh tu yahaan so saal thehraa hay aur
apnay khaanay aur paani ko daykh kay ab tak
badboodaar nahin huaa aur apnay gadhay ko
daykh (jis ki haddiyaan tak salaamat nah raheen)
aur yeh (sab) is liye (kiyaa gayaa hay) taakeh ham
tumhayn logon kay liye ayk nishaani banaa dayn
aur in haddiyon ko daykh keh ham kesay inhayn
uthaatay (zindah kartay) hayn phir unhayn gosht
pehnaatay hayn to jab yeh mu’aamalah us par
zaahir ho gayaa to woh bol uthaa: Mayn khoob
jaantaa hoon keh Allah har cheez par qaadir hay.
2:260 Aur jab Ibrahim nay ‘arz ki: Ay meray
Rab! Tu mujhay dikhaa day keh tu murdon ko
kis tarah zindah farmaa’ay gaa? Allah nay
farmaayaa: Tujhay yaqeen nahin? Ibrahim nay
‘arz ki: Yaqeen kiyon nahin magar yeh
(chaahtaa hoon) keh meray dil ko qaraar aa
jaa’ay.a Allah nay farmaayaa: To parindon
mayn say ko’i chaar parinday pakar lo phir
unhayn apnay saath maanoos kar lo phir un sab
kaa ayk ayk tukraa har pahaar par rakh do phir
unhayn pukaaro to woh tumhaaray paas dortay
hu’ay chalay aa’ayn gay aur jaan rakho kay
Allah ghaalib hikmat waalaa hay.b

2:261 Un logon ki misaal jo apnay maal Allah

‘Unwaan
Hazrat Ibrahim ‫الـسـﻼَم‬
‫ َعـلَيْـ ِه ﱠ‬aur chaar parindon ko zindah kiye jaanay kaa waaqi’ah.
Raah-e-Khudaa mayn maal kharch karnay waalon ki ayk misaal.

Haashiyah
a
Is Aayat mayn murdon ko zindah karnay kay baaray mayn Allah ‫ــل‬
‫ َع ﱠز َو َج ﱠ‬ki ‘azeem qudrat par dalaalat
karnay waalaa ayk aur waaqi’ah bayaan kiyaa jaarahaa hay. Us ki tafseel jaannay kay liye Tafseer
Siraat-ul-Jinaan, Jild 1, Saah 393 kaa mutaala’ah farmaa’ayn.

b
Is say ma’loom huaa keh Allah ‫ َع ﱠز َو َجـ ﱠـل‬ki Baargaah mayn Ambiyaa’-o-Mursaleen ‫السـ َـﻼم‬
‫ َعـلَــيْ ِه ُم ﱠ‬kaa martabah
bohut buland hay keh Allah ‫ــل‬
‫ َع ﱠز َو َج ﱠ‬un ki khwaahishaat poori farmaataa, un ki du’aa’ayn qubool kartaa,
yahaan tak keh un ki du’aaaon say murday bhi zindah farmaa daytaa hay.

www.dawateislami.net
Surat-ul-Baqarah Juzz :3

ki raah mayn kharch kartay hayna us daanay


ki tarah hay jis nay saat baaliyaan ugaa’in, har
baali mayn so daanay hayn aur Allah us say bhi
ziyaadah barhaa’ay jis kay liye chaahay aur
Allah wus’at waalaa, ‘ilm waalaa hay.b
2:262 Woh log jo apnay maal Allah ki raah
mayn kharch kartay haync phir apnay kharch
karnay kay ba’d nah ayhsaan jataatay hayn aur
nah takleef daytay hayn un kaa in’aam un kay
Rab kay paas hay aur un par nah ko’i khouf ho
gaa aur nah ghamgeen hon gay.
2:263 Achchi baat kehnaa aur mu’aaf kar
daynaa us khayraat say behtar hay jis kay ba’d
sataanaa ho aur Allah bay parwaah, hilm
waalaa hay.
2:264 Ay Imaan waalo! Ayhsaan jataa kar aur
takleef pohnchaa kar apnay sadqahy barbaad nah
kar do d us shakhs ki tarah jo apnaa maal logon
kay dikhlaaway kay liye kharch kartaa hay aur
‘Unwaan
Sadqah qubool honay ki do sharaa’it, ayhsaan nah jataanaa aur takleef nah daynaa.
Sadqah day kar takleef pohnchaanay say behtar achchi baat keh daynaa hay.
Ayhsaan jataa kar aur takleef day kar sadqahat kaa sawaab baatil karnay ki mumaani’at.
Riyaa kaari kay tor par sadqah karnay waalon ki misaal.
Haashiyah
a
Is Aayat mayn Waajib yaa na l ki qayd kay beghayr kharch karnay kaa farmaayaa gayaa hay neez nayki
ki tamaam sooraton mayn kharch karnaa Raah-e-Khudaa mayn kharch karnaa hay jaysay kisi ‘Aalim yaa
Taalib-e-‘Ilm ki madad karnaa, ghareeb ko khaanaa, kapray, dawaa’i yaa ration wagherah dilaa daynaa.
b
Yaad rahay keh nayk a’maal to yaksaan hotay hayn magar ikhlaas, husn-e-niyyat aur nisbat wagherah
mayn farq ki wajah say ba’z auqaat sawaab mayn bohut farq hotaa hay.
c
Sadqah daynay kay ba’d ayhsaan jatlaanaa aur jisay sadqah diyaa usay takleef daynaa
Naajaa’iz-o-Mamnoo’ hay. Ayhsaan jatlaanaa to yeh hay keh daynay kay ba’d doosron kay saamnay izhaar
karayn keh ham nay teray saath aysay aysay sulook kiye aur yoon us kaa dil maylaa karayn aur takleef
daynaa yeh hay keh us ko ‘aar dilaa’ayn keh tu naadaar thaa, mu is thaa, majboor thaa, nikammaa thaa
ham nay tayri khabar geeri ki yaa aur tarah us par dabaa’o daalayn.
d
Agar saa’il ko kuch nah diyaa jaa’ay to us say khush khalqi say achchi baat kahi jaa’ay jo usay naa gawaar
nah guzray aur agar woh sawaal mayn israar karay yaa zabaan daraazi karay to us say darguzar kiyaa jaa’ay.
Saa’il ko kuch nah daynay ki soorat mayn us say achchi baat kehnaa aur us ki ziyaadti ko mu’aaf kar daynaa
us sadqay say behtar hay jis kay ba’d usay ‘aar dilaa’i jaa’ay yaa ayhsaan jataayaa jaa’ay yaa kisi doosray
tareeqay say usay ko’i takleef pohnchaa’i jaa’ay.

www.dawateislami.net
Surat-ul-Baqarah Juzz :3

Allah aur Qiyaamat par Imaan nahin laataa to


us ki misaal aysi hay jaysay ayk chiknaa patthar
ho jis par matti hay to us par zordaar baarish
pari jis nay usay saaf patthar kar choraa, aysay
log apnay kamaa’ay hu’ay a’maal say kisi cheez
par qudrat nah paa’ayn gaya aur Allah
kaa ron ko hidaayat nahin daytaa.

2:265 Aur jo log apnaa maal Allah ki khushnudi


chaahnay kay liye aur apnay dilon ko saabit
qadam rakhnay kay liye kharch kartay hayn un
ki misaal us baagh ki si hay jo kisi oonchi zameen
par ho us par zordaar baarish pari to woh baagh
dugnaa phal laayaa phir agar zordaar baarish
nah paray to halki si phuwaar hi kaa hay aur
Allah tumhaaray kaam daykh rahaa hay.b

2:266 Kiyaa tum mayn ko’i yeh pasand karay


gaa kay us kay paas khajoor aur angooron kaa
ayk baagh ho jis kay neechay naddiyaan behti
hon, us kay liye us mayn har qism kay phal hon
aur usay burhaapaa aa jaa’ay aur haal yeh ho
keh us kay kamzor-o-naatuwaan bachchay hon

‘Unwaan
Rizaa’-e-Ilaahi kay liye sadqah karnay waalon ki misaal.
Riyaa kaari kay tor par sadqah karnay waalon kay liye dil hilaa daynay waali misaal.

Haashiyah
a
Ay’laaniyah aur posheedah donon tarah sadqah ki ijaazat hay laykin apni qalbi haalat par nazr rakhnaa
zaroori hay. Afsos kay hamaaray haan riyaa kaari, ayhsaan jatlaanaa aur eezaa daynaa teenon bad a’maal
ki bharmaar hay. Paysah kharch kar kay apnay naam kay banners lagwaanaa yaa apni tasweer yaa khabar
chapwaanaa ‘aam ma’mool hay, yoonhi agar khaandaan mayn ko’i kisi ki madad kar day to zindagi bhar
usay dabaataa rehtaa hay aur jab dil karay sab logon kay saamnay usay ruswaa kar daytaa hay, yeh nihaayat
buraa hay.
b
Is Aayat mayn un logon ki misaal bayaan ki ga’i hay jo khaalisatan Rizaa’-e-Ilaahi kay husool aur apnay
dilon ko Imaan par istiqaamat daynay kay liye ikhlaas kay saath ‘amal kartay hayn keh jis tarah buland
khittah ki behtar zameen kaa baagh har haal mayn khoob phaltaa hay khwaah baarish kam ho yaa
ziyaadah, aysay hi ba ikhlaas Momin kaa sadqah kam ho yaa ziyaadah Allah ‫ــل‬ ‫ َع ﱠز َو َج ﱠ‬us ko barhaataa hay.
Allah ‫ َع ﱠز َو َج ﱠل‬ki Baargaah mayn dil ki kay yat daykhi jaati hay nah keh faqat maal ki miqdaar.

www.dawateislami.net
Surat-ul-Baqarah Juzz :3

phir us par ayk bagolaa aa’ay jis mayn aag ho to


saraa baagh jal jaa’ay ga. Allah tum say isi tarah
apni Aayatayn khol kar bayaan kartaa hay
taakeh tum ghour-o- kr karo.a
2:267 Ay Imaan waalo! Apni paak kamaa’iyon
mayn say aur us mayn say jo ham nay tumhaaray
liye zameen say nikaalaa hay (Allah ki raah mayn)
kuch kharch karo aur khoob kharch kartay hu’ay
khaas naaqis maal (daynay) kaa iraadah nah karo
haalaankeh (agar wohi tumhay diyaa jaa’ay to)
tum usay chashm poshi kiye baghayr qubool
nahin karo gayb aur jaan rakho kay Allah bay
parwaah, hamd kay laa’iq hay.
2:268 Shaytaan tumhay mohtaaji kaa anday-
shah dilaataa hay aur bay hayaa’i kaa hukm
daytaa hayc aur Allah tum say apni taraf say
bakhshish aur fazl kaa wa’dah farmaataa hay
aur Allah wus’at waalaa, ‘ilm waalaa hay.
2:269 Allah jisay chaahtaa hay hikmat daytaa
hay aur jisay hikmat di jaa’ay to beshak usay

‘Unwaan
Raah-e-Khudaa mayn paakeezah aur Halaal maal kharch karnay kaa hukm.
Raah-e-Khudaa mayn naaqis aur ghatyaa maal daynay ki mumaani’at.
Raah-e-Khudaa mayn kharch karnay par mohtaaji say daraanaa Shaytaan kaa kaam hay.
‘Ilm-o-hikmat ki fazeelat.

Haashiyah
a
Allah-hu-Akbar! Kis qadar dil hilaa daynay waali misaal hay. Ay kaash kay ham samajh jaa’ayn aur
apnay tamaam a’maal, Namaaz, Zikr-o-Durood, Tilaawat-o-Na’t Khwaani, Hajj-o-‘Umrah,
Zakaat-o-Sadqaat wagherah ko riyaa kaari ki tabaah kaari say bachaa layn aur apnay a’maal kaa
muhaasabah karnaa shuru’ kar dayn.
b
Bohut say log khud to achchaa iste’maal kartay hayn laykin jab Raah-e-Khudaa mayn daynaa hota hay
to naaqaabil-e-iste’maal aur ghatyaa qism kaa maal daytay hayn. Un kay liye is Aayat mayn ‘ibrat hay.
Agar ko’i cheez fee-nafsihee achchi hay laykin aadmi ko khud pasand nahin to usay daynay mayn harj
nahin, harj tab hay jab cheez achchi nah honay ki wajah say naa pasand ho.
c
Shaytaan tarah tarah say waswasay dilaataa hay keh agar tum kharch karo gay, sadqah do gay to khud
faqeer-o-naa daar ho jaa’o gay lihaazaa kharch nah karo. Yeh Shaytaan ki bohut bari chaal hay keh Allah
‫ َع ﱠز َو َج ﱠ‬ki raah mayn kharch kartay waqt is tarah kay andayshay dilaataa hay haalaankeh jin logon kay dilon
‫ــل‬
mayn yeh waswasah daalaa jaa rahaa hotaa hay wohi log shaadi biyaah mayn Jaa’iz-o-Naajaa’iz rusoomaat
par aur ‘aam zindagi mayn bay dareegh kharch kar rahay hotay hayn.

www.dawateislami.net
Surat-ul-Baqarah Juzz :3

bohut ziyaadah bhalaa’i mil ga’i aur ‘aql waalay


hi naseehat maantay hayn.

2:270 Aur tum jo kharch karo yaa ko’i nazr


maano Allah usay jaantaa hay aur zaalimon kaa
ko’i madadgaar nahin.

2:271 Agar tum ay’laaniyah khayraat do gay to


woh kiyaa hi achi baat hay aur agar tum chupaa
kar faqeeron ko do to yeh tumhaaray liye sab
say behtar haya aur Allah tum say tumhaari
kuch buraa’iyaan mitaa day gaa aur Allah
tumhaaray kaamon say khabardaar hay.

2:272 Logon ko hidaayat daynaa tum par


laazim nahin,b haan Allah jisay chaahtaa hay
hidaayat day daytaa hay aur tum jo achi cheez
kharch karo to woh tumhaaray liye hi faa’idah
mand hay aur tum Allah ki khushnudi
chaahnay kay liye hi kharch karo aur jo maal
tum kharch karo gay woh tumhayn pooraa
pooraa diyaa jaa’ay gaa aur tum par ko’i
ziyaad’ti nahin ki jaa’ay gi.
2:273 Un faqeeron kay liye jo Allah kay raastay
mayn rok diye ga’y, woh zameen mayn chal

‘Unwaan
Ko’i sadqah aur nazr Allah say posheedah nahin.
Sadqah khu yah aur ay’laaniyah donon tarah Jaa’iz hay.
Kisi ko hidaayat day daynaa Allah ‫ َع ﱠز َو َج ﱠل‬kay ikhtiyaar mayn hay.
Rizaa’-e-Ilaahi kay liye sadqah karnay kaa faa’idah banday ko hi ho gaa.
Saqdaat kay ‘umdah masraf mohtaaji kay baawujood nah maangnay waalay khuddaar log hayn.

Haashiyah
a
Aksar-o-bayshtar a’maal mayn yehi qaa’idah hay keh woh khu yah aur ay’laaniyah donon tarah Jaa’iz
hayn laykin riyaa kaari kay liye ay’laaniyah karnaa Haraam hay aur doosron ki targheeb kay liye karnaa
sawaab hay. Mashaa’ikh-o-‘Ulamaa’ bohut say a’maal ay’laaniyah isi liye kartay hayn keh un kay
mureedeen-o-muta’alliqeen ko targheeb ho.
b
Huzoor Pur Noor ‫ َص ﱠــﲆ الـلﱣـــ ُه َعلَيْــ ِه َواٰلِــ ٖه َو َســلﱠم‬basheer-o-nazeer aur daa’ee ya’ni da’wat daynay waalay banaa kar
bhayjay ga’y hayn, Aap kaa farz da’wat daynay say pooraa ho jaataa hay aur us say ziyaadah jidd-o-jahd
Aap par laazim nahin.

www.dawateislami.net
Surat-ul-Baqarah Juzz :3

phir nahin saktay. Naawaaqif unhayn sawaal


karnay say bachnaay ki wajah say maaldaar
samajhtay hayn.a Tum unhayn un ki ‘alaamat
say pehchaan lo gay.b Woh logon say lipat kar
sawaal nahin kartay aur tum jo khayraat karo
Alah usay jaantaa hay.

2:274 Woh log jo raat mayn aur din mayn,


posheedah aur ay’laaniyah apnay maal khayraat
kartay hayn un kay liye un kaa ajar un kay Rab
kay paas hay. Un par nah ko’i khouf ho gaa aur
nah woh ghamgeen hon gay.

2:275 Jo log Sood khaatay hayn woh Qiyaamat


kay din nah kharay hon gay magar us shakhs kay
kharay honay ki tarah jisay aasayb nay choo kar
paagal banaa diyaa ho. Yeh sazaa is wajah say
hay keh unhon nay kahaa: Khareed-e-farokht
bhi to Sood hi ki tarah hay haalaankeh Allah nay
khareed-o-farokht ko Halaal kiyaa aur Sood ko
Haraam kiyaa to jis kay paas us kay Rab ki taraf
say naseehat aa’i phir woh baaz aa gayaa to Us
kay liye Halaal hay woh jo pehlay guzar chukaa
aur us kaa mu’aamalah Allah kay supurd hay

‘Unwaan
Posheedah aur ay’laaniyah maal kharch karnay waalon kaa ajar-o-sawaab.
Sood khoron kaa bayaan aur un kaa anjaam.

Haashiyah
a
Yeh Aayat Ahl-e-Suffah kay haq mayn naazil hu’i. Un hazraat ki ta’daad chaar so (400) kay qareeb thi, yeh
hijrat kar kay Madinah Tayyabah hazir hu’ay thay. Yahaan nah un kaa makaan thaa aur nah kumbah qabeelah
aur nah un hazraat nay shaadi ki thi, un kay tamaam auqaat ‘ibaadat mayn sarf hotay thay, raat mayn Qur’aan
Kareem seekhnaa din mayn jihaad kay kaam mayn rehnaa un kaa shab-o-roz ka ma’mool thaa.
b
Inhi hazraat ki saff mayn woh ‘Ulamaa’-o-Talabah-o-Muballigheen-o-Khaadimeen-e-Deen hayn jo
deeni kaamon mayn mashghooliyat ki wajah say kamaanay ki fursat nahin paatay. Yeh log apni
‘izzat-o-waqaar aur murawwat ki wajah say logon say sawaal bhi nahin kartay aur apnay faqr ko bhi
chupaatay hayn jis ki wajah say log samajhtay hayn kay un kaa guzaaraa bohut achchaa ho rahaa hay laykin
haqeeqat us kay bar ‘aks hoti hay keh tehqeeq karnay say un ki zindagiyon kaa mushaqqat say bharpoor
honaa bohut si ‘alaamaat-o-qaraa’in say ma’loom ho jaa’ay gaa.

www.dawateislami.net
Surat-ul-Baqarah Juzz :3

aur jo dubaarah aysi harkat karayn gay to woh


Dozakhi hayn, woh us mayn muddaton rahayn
gay.a
2:276 Allah Sood ko mitaataa hay aur sadqaat
ko barhaataa hay aur Allah kisi naashukray,
baray gunaahgaar ko pasand nahin kartaa.

2:277 Beshak woh log jo Imaan laa’ay aur


unhon nay achchay kaam kiye aur Namaaz
qaa’im ki aur Zakaat di un kaa ajar un kay Rab
kay paas hay aur un par nah ko’i khouf ho gaa
aur nah woh ghamgeen hon gay.

2:278 Ay Imaan waalo! Agar tum Imaan waalay


ho to Allah say daro aur jo Sood baaqi reh gayaa
hay usay chor do.

2:279 Phir agar tum aysaa nahin karo gay to Allah


aur Allah kay Rasool ki taraf say laraa’i kaa yaqeen
kar lo aur agar tum toubah karo to tumhaaray
liye apnaa asal maal laynaa Jaa’iz hayb Nah

‘Unwaan
Allah ‫ َع ﱠز َو َج ﱠل‬Sood ko mitaataa aur sadqah-o-khayraat ko ziyaadah kartaa hay.
Baa’amal Musalmaanon kaa ajar-o-sawaab.
Musalmaanon ko Allah ‫ َع ﱠز َو َج ﱠل‬say darnay aur baqaayaa Sood nah laynay kaa hukm.
Sood khoron ko Allah ‫ َع ﱠز َو َج ﱠل‬aur us kay Rasool say jang ki shaded wa’eed.

Haashiyah
a
Sood ko Halaal samajh kar khaanay waalaa kaa r hay kiyonkeh yeh Haraam-e-Qat’ee hay aur kisi bhi
Haraam-e-Qat’ee ko Halaal jaannay waalaa kaa r hay aur aysaa shakhs hamayshah Jahannam mayn rahay
gaa aur jo shakhs Sood ko Haraam samajhtay hu’ay khaa’ay to woh sakht gunaah gaar hay aur
‘arsah-e-daraaz tak Jahannam mayn rahay gaa.
b
Yeh shaded tareen wa’eed hay, kis ki majaal keh Allah ‫ َع ﱠز َو َجـ ﱠـل‬aur us kay Rasool ‫ َصـ ﱠـﲆ الـلﱣــ ُه َعلَيْـ ِه َواٰلِـ ٖه َو َسـلﱠم‬say laraa’i
kaa tasawwur bhi karay, chunaancheh jab yeh Aayat naazil hu’i to jin Ashaab kaa Soodi Mu’aamalah thaa
unhon nay apnay Soodi Mutaalibaat chor diye aur Sood laynay daynay say toubah kar li. Laykin aaj kal kay
naam nihaad Musalmaan daanishwaron kaa haal yeh hay keh woh toubah ki bajaa’ay aagay say khud Allah
‫ َع ﱠز َو َج ﱠل‬ko ay’laan-e-jang kar rahay hayn aur Sood ki ayhmiyat-o-zaroorat par kitaabayn, article, mazaameen
aur column likh rahay hayn.

www.dawateislami.net
Surat-ul-Baqarah Juzz :3

tum kisi ko nuqsaan pohnchaa’o aur nah


tumhayn nuqsaan ho.a
2:280 Aur agar maqrooz tangdast ho to usay
aasaani tak mohlat do aur tumhaaraa qarz ko
sadqah kar daynaa tumhaaray liye sab say behtar
hay agar tum jaan lo. b

2:281 Aur us din say daro jis mayn tum Allah ki


taraf lotaa’ay jaa’o gay phir har jaan ko us ki
kamaa’i bharpoor di jaa’ay gi aur un par zulm
nahin ho gaa.

2:282 Ay Imaan waalo! jab tum kisi muqarrar


muddat tak kisi qarz kaa layn dayn karo to usay
likh liyaa karo aur tumhaaray darmiyaan kisi
likhnay waalay ko insaaf kay saath
(mu’aahadah) likhnaa chaahiye aur likhnay say
inkaar nah karay jaysaa keh usay Allah nay
sikhaayaa hay to usay likh daynaa chaahiye aur
jis shakhs par haq laazim ‘ataa hay woh
likhaataa jaa’ay aur Allah say daray jo uskaa Rab

‘Unwaan
Tangdast qarzdaar ko mohlat daynay aur qarz mu’aaf kar daynay ki targheeb.
Qiyaamat kay holnaak din say darnay kaa hukm.
Udhaar kaa mu’aamalah likh laynay kaa hukm.
Kaatib insaaf kay saath likhay aur likhnay say inkaar nah karay.
Mu’aahadah insaaf kay saath likhnaa chaahiye.

Haashiyah
a
Yeh Aayat agarcheh Sood kay hawaalay say hay laykin ‘umoomi zindagi mayn bhi Sharee’at aur ‘aql kaa
taqaazah yeh hay keh nah zulm kiyaa jaa’ay aur nah zulm bardaasht kiyaa jaa’ay ya’ni zulm ko khatm
karnay ki koshish karni chaahiye kiyonkeh ba’z auqaat zulm ko bardaasht karnaa zaalim ko mazeed jaree
kartaa hay, haan jahaan ‘afw-o-darguzar ki soorat banti ho wahaan usay ikhtiyaar kiyaa jaa’ay.
b
Ma’loom huaa keh qarzdaar agar tangdast yaa naa daar ho to us ko mohlat daynaa yaa qarz kaa kuch
hissah yaa pooraa qarzah mu’aaf kar daynaa ajar-e-‘azeem kaa sabab hay.

www.dawateislami.net
Surat-ul-Baqarah Juzz :3

jo uskaa Rab hay aur uskay haq mayn say kuch


kami nah karaya phir jis par haq aataa hay agar
woh bay ‘aql yaa kamzor ho yaa likhwaa nah
saktaa ho to us kaa wali insaaf say saath likhwaa
dayb aur apnay mardon mayn say do gawaah
banaa lo phir agar do mard nah hon to ayk mard
aur do ‘auratayn un gawaahon mayn say
(muntakhab kar lo) jinhayn tum pasand karo
taakeh (agar) un mayn say ayk ‘aurat bhoolay to
doosri usay yaad dilaa dayc aur jab gawaah ko
bulaayaa jaa’ay to woh aanay say inkaar nah
karayn aur qarz chotaa ho yaa baraa usay us ki
muddat tak likhnay mayn uktaa’o nahin. Yeh
Allah kay nazdeek ziyaadah insaaf ki baat hay
aur is mayn gawaahi khoob theek rahay gi aur
yeh us say qareeb hay keh tum (ba’d mayn) shak
mayn nah paro (har muaa’hadah likhaa karo)d
magar yeh keh ko’i haathon haath sodaa ho jis

‘Unwaan
Jo likhnay par qaadir nah ho woh doosray say likhwaa lay.
Mu’aahadah likhnay kay ba’d us par gawaah banaa liye jaa’ayn.
Chotay baray har qarz ko likh laynaa mufeed hay.
Haathon haath tijaarat ho to nah likhnay mayn harj nahin.

Haashiyah
a
Jab udhaar kaa ko’i mu’aamalah ho, khwaah qarz ka layn dayn ho yaa khareed-o-farokht, raqam pehlay
di ho aur maal ba’d mayn laynaa hay yaa maal udhaar par day diyaa aur raqam ba’d mayn wusool karni
hay, yoonhi dukaan yaa makaan karaayah par laytay hu’ay advance yaa karaayah ka mu’aamalah ho, is
tarah ki tamaam sooraton mayn mu’aahadah likh laynaa chaahiye. Yeh hukm Waajib nahin laykin is par
‘amal karnaa bohut si takaaleef say bachaataa hay jabkeh hamaaray zamaanay mayn to is hukm par ‘amal
karnaa intehaa’i ayhm ho chukaa hay.
b
Agar kisi ko khud likhnaa nahin ‘ataa jaysay ko’i bachchaa hay yaa intehaa’i boorhaa yaa naabeenaa
wagherah hay to woh doosray say likhwaa lay aur jisay likhnay kaa kahaa jaa’ay usay likhnay say inkaar
nahin karnaa chaahiye kiyonkeh yeh likhnaa logon ki madad karnaa hay aur likhnay waalay kaa us mayn
ko’i nuqsaan nahin to mu kaa sawaab kiyon choray.
c
Layn dayn kaa mu’aahadah likhnay kay ba’d us par gawaah bhi banaa laynay chaahiyen taakeh
bawaqt-e-zaroorat kaam aa’ayn. Gawaah do mard yaa ayk mard aur do ‘auratayn honi chaahiyen.
d
Qarz kay mu’aamalaat likhnay mayn susti nahin karni chaahiye balkeh qarz chotaa ho yaa baraa, us ki
miqdaar, no’iyat aur muddat tak likh layni chaahiye us kaa ayk faa’idah yeh hay keh Allah ‫ َع ﱠز َو َج ﱠل‬kay nazdeek
yeh bohut insaaf ki baat hay jis say bandon kay huqooq mehfooz hotay hayn, doosraa faa’idah yeh hay keh
us say gawaahi theek aur aasaan rahay gi, teesraa faa’idah yeh hay keh mu’aamalah saaf rahay gaa aur ayk
doosray kay dil mayn kudoorat paydaa nah hogi.

www.dawateislami.net
Surat-ul-Baqarah Juzz :3

kaa tum aapas mayn layn dayn karo to us kay


nah likhnay mayn tum par ko’i harj nahin aur jab
khareed-o-farokht karo to gawaah banaaliyaa
karo aur nah kisi likhnay waalay ko ko’i nuqsaan
pohnchaayaa jaa’ay aur nah gawaah ko
(yaa nah likhnay waalaa ko’i nuqsaan
pohnchaa’ay aur nah gawaah) aur agar tum
aysaa karo gay to yeh tumhaari naafarmaani hogi
aur Allah say daro aur Allah tumhayn sikhaataa
haya aur Allah sab kuch jaantaa hay.

2:283 Aur agar tum safar mayn ho aur likhnay


waalaa nah paa’o to (qarz khwaah kay) qabzay
mayn girwi cheez ho aur agar tumhayn ayk
doosray par itmenaan ho to woh (maqrooz)
jisay amaanatdaar samjhaa gayaa thaa woh apni
amaanat adaa kar day aur Allah say daray jo us
kaa Rab hay aur gawaahi nah chupaa’o aur jo
gawaahi chupaa’ay gaa to us kaa dil gunaahgaar
hay aur Allah tumhaaray kaamon ko khoob
jaannay waalaa hay.b
2:284 Jo kuch aasmaanon mayn hay aur jo kuch
zameen mayn hay sab Allah hi kaa hay aur jo
kuch tumhaaray dil mayn hay agar tum

‘Unwaan
Sodaa kartay waqt gawaah banaanay aur kaatib-p-gawaah ko nuqsaan nah pohnchaanay kaa
hukm.
Haalat-e-safar mayn kaatib nah milay to ko’i cheez girwi rakh di jaa’ay.
Gawaahi chupaanay ki mumaani’at.
Allah bandon kay a’maal aur pukhtah niyyaton kaa muhaasabah farmaa’ay gaa.

Haashiyah
a
‘Arbi kay ay’tibaar say lafz “ ” ko ma’roof aur majhool donon ma’anon mayn liyaa jaasaktaa hay.
Majhool kay ay’tibaar say ma’naa ho gaa keh kaatibon aur gawaahon ko nuqsaan nah pohnchaayaa jaa’ay.
Ma’roof parhnay ki soorat mayn ma’naa yeh ho gaa keh kaatib aur gawaah layn dayn karnay waalon ko
nuqsaan nah pohnchaa’ayn.
b
Aayat number 282 aur 283 par ghour karayn aur samjhayn keh Allah ‫ــل‬ ‫ َع ﱠز َو َج ﱠ‬nay hamaaray khaalisatan
dunyawi maali mu’aamalaat mayn bhi hamayn kitnay wazeh hukm irshaad farmaa’ay hayn. Is say ma’loom
huaa kay hamaaraa Deen kaamil hay keh us mayn ‘Aqaa’id-o-‘Ibaadaat kay saath mu’aamalaat tak kaa bhi
bayaan hay aur Huqooq-ul-‘Ibaad nihaayat ayhm hayn keh Allah ‫ــل‬
‫ َع ﱠز َو َج ﱠ‬nay nihaayat wazaahat say un kaa
bayaan farmaayaa hay. Neez Sharee’at kay ayhkaam mayn bay panaah hikmatayn hayn aur un mayn
hamaari bohut ziyaadah bhalaa’i hay.

www.dawateislami.net
Surat-ul-Baqarah Juzz :3

usay zaahir karo yaa chupaa’o, Allah tum say us


kaa hisaab lay gaaa to jisay chaahay ga bakhsh
day gaa aur jisay chaahay gaa sazaa day gaa aur
Allah har cheez par qaadir hay.

2:285 Rasool us par Imaan laayaa jo us kay Rab


ki taraf say us ki taraf naazil kiyaa gayaa aur
Musalmaan bhi. Sab Allah par aur us kay Farisht-
on aur us ki Kitaabon aur us kay Rasoolon par
yeh kehtay hu’ay Imaan laa’ay keh ham us kay
kisi Rasool par Imaan laanay mayn farq nahin
kartay aur unhon nay ‘arz ki: Ay hamaaray Rab!
Ham nay sunaa aur maanaa, (ham par) tayri
mu’aa ho aur tayri hi taraf phirnaa hay.
2:286 Allah kisi jaan par us ki taaqat kay
baraabar hi bojh daaltaa hay. Kisi jaan nay jo
achchaa kamaayaa woh usi kay liye hay aur kisi
jaan nay jo buraa kamaayaa uskaa wabaal usi
par hay.b Ay hamaaray Rab! agar ham bhoolayn
yaa khataa karayn to hamaari giri nah farmaa,
ay hamaaray Rab! aur ham par rakh jaysaa tu
nay ham say pehlay logon par rakhaa thaa,
ay hamaaray Rab! aur ham par woh bojh nah

‘Unwaan
Usool aur Zarooriyaat-e-Imaan kay chaar maraatib.
Logon ko un ki taaqat kay mutaabiq hi hukm diyaa jaataa hay.
Aadmi kay achchay ‘amal ki jazaa aur buray ‘amal ki sazaa usay hi milay gi.
Musalmaanon ko ayk ayhm du’aa ki talqeen.

Haashiyah
a
Insaan kay dil mayn ka’i tarah kay khayaalaat ‘ataay hayn jaysay waswasah aur ‘azm-o-iraadah. Waswason
say dil ko khaali karnaa insaan ki qudrat mayn nahin, un par mu’aakhizah nahin hay. Doosray woh khayaalaat
jinko insaan apnay dil mayn jagah daytaa hay aur unko ‘amal mayn laanay kaa qasd-o-iraadah kartaa hay un
par mu’aakhizah ho gaa aur unhi kaa bayaan is Aayat mayn hay kay apnay dilon mayn moujood cheez ko tum
zaahir karo yaa chupaa’o Allah ‫ َع ﱠز َو َج ﱠل‬tumhaaraa un par muhaasabah farmaa’ay gaa.
b
Yeh Aayat-e-Mubaarakah Aakhirat kay sawaab-o-‘azaab kay baaray mayn hay laykin is tarah kaa
mu’aamalah Dunyaa mayn bhi paysh ‘ataa rehtaa hay keh har aadmi apni mehnat kaa phal paataa hay,
mehnat waalay ko us ki mehnat kaa silah miltaa hay jabkeh sust-o-kaahil aur kaam chor ko us ki susti kaa
anjaam daykhnaa partaa hay.

www.dawateislami.net
Surat-ul-Baqarah Juzz :3

daal jis ki hamayn taaqat nahin aur hamayn


mu’aaf farmaa day aur hamayn bakhsh day aur
ham par mehrbaani farmaa, tu hamaaraa
maalik hay pas kaa r qoum kay muqaabalay
mayn hamaari madad farmaa.

www.dawateislami.net

You might also like

pFad - Phonifier reborn

Pfad - The Proxy pFad of © 2024 Garber Painting. All rights reserved.

Note: This service is not intended for secure transactions such as banking, social media, email, or purchasing. Use at your own risk. We assume no liability whatsoever for broken pages.


Alternative Proxies:

Alternative Proxy

pFad Proxy

pFad v3 Proxy

pFad v4 Proxy