Transliteration: SubhanAllahi wa bihamdihi 'adada khalqihi wa rida nafsihi wa zinata 'arshihi wa midada kalimatihi. Tarjuma: Mai Allah ki pakeezgi bayan karta hoon Un ki tareefon ke saath, Un ki makhlook ki tadad ke barabar aur Un ki zaat ki razamandi (khushi) ke barabar aur Un ke arsh ke wazan ke barabar aur Un ke kalimat ki siyahi ke barabar. Ajar: Behadd sawab wala Zikr. Hadees: Sahih Muslim 2726 (6913). Martaba: Sirf Fajr Ki Farz Namaz Ke Baad Padhein. Transliteration: Allahumma inni as'aluka ilman nafian wa rizqan tayyiban wa amalan mutaqabbalan. Tarjuma: Aey Allah, mai Aap se faedamand ilm, pakeeza rozi aur qubool hone wale amal ka sawaal karta hoon/mangta hoon. Faeda: Rasool Allah ( )ﷺjab namaz e fajr me salaam pherte to ye duaa padhte the. Hadees: Sunan Ibn Majah 925 | Sahih. Transliteration: Allahumma bika asbahna wa bika amsaina wa bika nahya wa bika namutu wa ilaikal-masiru. Tarjuma: Aey Allah! Aap ke huqm se hum ne subha ki aur Aap ke hi huqm se hum ne sham ki aur Aap ke huqm se hum zinda hain aur Aap ke hi huqm se hum marenge aur Aap ke hi taraf hamein laut kar jaana hai. Faeda: Rasool Allah ( )ﷺne isey subha honey par padhne ka huqm diya hai. Hadees: Jami at-Tirmidhi 3391 | Sahih. Transliteration: Allahumma asbahna nushhiduka wa nushhidu hamalata 'arshika wa mala'ikataka wa jami'a khalqika bi-annaka Allah, la ilaha illa anta, wahdaka la sharika laka, wa anna Muhammadan 'abduka wa rasuluka. Tarjuma: Aey Allah! Hum ne subha ki aur hum Aap ko gawah banate hain aur Aap ke Arsh uthaye rehne walo ko, Aap ke farishto ko aur Aap ki saari makhlookat ko gawah bana kar kehte hain ke Aap hi Allah hain, Aap ke siwa koi ibadat ke layak nahi, Aap akele hain, Aap ka koi shareek nahi, aur Muhammad Aap ke bande aur Aap ke rasool hain. Ajar: Jo shaks subha me ye kalimaat kahega to us din us ke jitne bhi gunah honge unhein Allah baksh denge aur agar wo ye duaa shaam ke waqt padhega to us raat us se jitne bhi gunah honge Allah unhein baksh denge. Hadees: Jami at-Tirmidhi 3501 | Hasan. Transliteration: Asbahna wa asbahal-mulku lillahi wal- hamdulillahi, la ilaha illallahu wahdahu la sharika lahu, Lahul-mulku wa lahul-hamdu wa huwa ‘ala kulli shay’in qadirun. Rabbi as’aluka khaira ma fi hadhihil-yawmi wa khaira ma ba’daha wa a’udhu bika min sharri ma fi hadhihil- yawmi wa sharri ma ba’daha. Rabbi a’udhu bika minal-kasali wa su’il-kibari Rabbi a’udhu bika min ‘adhabin fin-nari wa ‘adhabin fil-qabri. Tarjuma: Hum ne subha ki aur Allah ke mulk ne subha ki aur shukr hai Allah ka, Allah ke siwa koi ibadat ke layak nahi, Wo akela hai Us ka koi shareek nahi. Saari badshahat Unhi ki hai aur Wahi saari tareef ke layak hain aur Wo har cheez par puri qudrat rakhne wale hain. Aey Allah! Mai Aap se is din ki behtari mangta hoon aur is ke baad ki behtari aur mai Aap ki panah mangta hoon is din ki burayi se aur is ke baad ki burayi se. Aey Rabb! Mai Aap ki panah mangta hoon susti aur budhape ki burayi se. Aey Rabb! Mai Aap se panah mangta hoon jahannum ke azaab se aur qabr ke azaab se. Faeda: Rasool Allah ( )ﷺsubha honey par ye kalimaat kehte. Hadees: Sahih Muslim 2722 (6908). Transliteration: Raditu billahi Rabban wa bil-islami dinan wa bi-muhammadin nabiyyan. Tarjuma: Mai Allah ke apney Rabb hone, Islam ke apney deen hone aur Muhammad ke apney Nabi hone par raazi hoon. Ajar: Jab koi musalman ya koi aadmi ya koi banda subha aur shaam ye kehta hai to Allah Ta’ala par uska ye haqq ban gaya ke Wo qayamat ke din usey khush karen. Hadees: Sunan Ibn Majah 3870 | Hasan. Martaba: 3 Baar Subha Me (aur Shaam Me). Transliteration: Bismillahil-ladhi la yadurru ma'as-mihi shai'un fil-ardi wa la fis-sama'i wa huwas-sami'ul alim. Tarjuma: Allah ke naam ke saath, Jiske naam ke saath zameen wa aasman me koi cheez nuksan nahi pohcha sakti, aur Wo khoob sunne wala khoob janne wala hai. Ajar: Jo shakhs isey teen baar shaam me kahe to usey subha tak achanak koi musibat na pohochegi, aur jo shakhs teen martaba subha ke waqt isey kahe to usey shaam tak achanak koi musibat na pohochegi. Hadees: Sunan Abi Dawud 5088 | Sahih - Jami at-Tirmidhi 3388 | Hasan. Transliteration: Laa ‘ilaha ‘illallahu wahdahu laa shareeka lahu, lahul-mulku wa lahul-hamdu, wa huwa ‘alaa kulli shai’in qadeer. Tarjuma: Allah ke siwa koi ibadat ke layak nahi, tanha hai Unka koi shareeq nahi, Un ke liye badshaahi hai aur Unhi ke liye tareefein hain aur Wo har cheez par qudrat rakhne wale hain. Ajar: Jo shaks subha ke waqt ye kahe to usey aulaad e Ismael me se ek shaks azaad karne ke barabar sawaab milega, us ke liye das nekiyaan likhi jayengi, das buraiyan mita di jayengi, us ke das darje buland kar diye jayenge, aur wo shaam tak shaitan ke sharr se mehfuz rahega. Agar ye shaam ke waqt kahe to subha tak us ke sath yahi muamla hoga. Hadees: Sunan Abi Dawud 5077 | Sahih. (NOTE: ek shaks isey 100 martaba (Sahih Bukhari 6403) ya 10 martaba (Sahih Muslim 2693) bhi keh sakta hai.) Martaba: 3 Baar Subha Me (aur Shaam Me). Transliteration aur Tarjuma: Is ke liye Qur’an dekhein. Ajar: Qul Huwal-lahu Ahad’ aur Al-Mu’awwidhatain (Qul a’udhu bi rabbil-falaq aur Qul a’udhu bi rabbin-nas) subha wa shaam teen martaba padh liya karein. Ye (surtein) aap ko har sharr se bachayen gi aur mehfuz rakhen gi. Hadees: Jami at-Tirmidhi 3575 | Hasan. Transliteration: Allahumma fatiras-samawati wal-ardi, alimal-ghaibi wash-shahadati, la ilaha illa anta, rabba kuili shai'in wa malikahu, a'udhu bika min sharri nafsi wa min sharrish-shaitani wa sharakihi, wa an aqtarifa 'ala nafsi su'an, aw ajurrahu ila muslimin. Tarjuma: Aey Allah! Aasmano aur zameeno ke paida karne wale, khuli hui aur posheeda cheezon ke janne wale, Aap ke siwa koi ibadat ke layak nahi, Aap har cheez ke Rabb aur us ke Malik hain. Aey Allah! Mai Aap ki panah chahta hoon apne nafs ke sharr se aur shaitan ke sharr aur us ki shirakat se aur is baat se ke mai apne aap ke khilaaf koi gunah kar bethun, ya us gunah me kisi musalman ko shamil kar dun. Faeda: Rasool Allah ( )ﷺye duaa Abu Bakr As-Siddiq ( رضى )هللا عنهko sikhayi subha aur shaam me kehne ke liye. Hadees: Jami at-Tirmidhi 3529 | Hasan. Transliteration: Allahumma inni as ‘alukal-‘afiyata fid-dunya wal-akhirati. Allahumma inni as’alukal-‘afwa wal-‘afiyata fi dini wa dunyaya wa ahli wa mali, Allahummastur 'awrati (awra'ti) wa amin raw'ati, Allahummahfazni min baini yadayya wa min khalfi wa an yamini wa an shimali wa min fawqi wa a'udhu bi-'azamatika an ughtala min tahti. Tarjuma: Aey Allah! Mai Aap se dunya aur akhirat me tuhafuz (hifazat) ka sawaal karta hoon. Aey Allah! Mai Aap se maafi aur tuhafuz ka talabgaar hoon apne deen me aur dunya me, apne ahl me aur apne maal me. Aey Allah! Mere aib chupa dein aur mujhe khauf aur khatraat se mehfuz rakhein. Aey Allah! Mere aage aur mere peeche, mere dayen aur mere bayen aur mere upar se meri hifazat farmayen. Mai Aap ki Azmat ke zariye se Aap ki panah chahta hoon is baat se ke mai achanak apney neeche se pakad liya jaaun. Faeda: Rasool Allah ( )ﷺshaam aur subha ke waqt in duaaon ko padhna nahi chodte the. Hadees: Sunan Abi Dawud 5074, Ibn Majah 3871 | Sahih.
Martaba: 100 Baar Subha Me (aur Shaam Me).
Transliteration: Subhan Allahi wa Bihamdihi. Tarjuma: Sab paakizgi aur tareef Allah ke liye hain. Ajar: Jo shaks subha ko aur shaam ko ye 100 baar kahe to qayamat ke din koi shaks us se behtar amal le kar naa aayega, siwaye us ke jo itna hi (ye kalimat) kahe ya us se zyada bar kahe. Hadees: Sahih Muslim 2692 (6843). Transliteration: Allahumma anta Rabbi la ilaha illa anta khalaqtani wa ana 'abduka wa ana 'ala 'ahdika wa wa'dika, mas-tata'tu a'udhu bika min sharri ma sana'tu abu'u laka bini'matika 'alaiya wa abu'u laka bidhanbi faghfirli fainnahu la yaghfirudh-dhunuba illa anta. Tarjuma: Aey Allah! Aap mere Rabb hain, Aap ke siwa koi ibadat ke layak nahi. Aap ne hi mujhe paida kiya aur mai Aap hi ka banda hoon, aur mai apni takat ke mutabik Aap se kiye hue ahad aur wada par qayam hoon. Mai un buri harkato se Aap ki panah chahta hun jo mai ne ki hain. Jo Aap ki mujh par nematein hain un ka iqrar karta hoon aur mai apne gunaho ka bhi aitraaf karta hoon. Meri maghfirat kar dein ke Aap ke siwa koi bhi gunah maaf karne wala nahi. Ajar: Allah se maghfirat mangne ka ye sab se afzal tareeka hai. Jis ne is astaghfar ke alfaz par yakeen rakhte hue dil ki gehrai se in ko padha aur shaam honey se pehle usi din us ka inteqal ho gaya to wo jannati hai aur jis ne is astaghfar ke alfaz par yakeen rakhte hue raat ke waqt me in ko padh liya aur phir us ka subha honey se pehle inteqal ho gaya to wo jannati hai. Ek dusri hadees me bayan hai ke, Agar koi yakeen wa imaan ke saath subha ke waqt ye kalimaat padhe aur phir usi din shaam honey se pehle mar jaaye to wo jannat me dakhil hoga, aur agar koi shaam ke waqt yakeen wa imaan ke saath yahi kalimaat padhe aur subha hone se pehle mar jaaye to wo jannat me dakhil hoga. Hadees: Sahih Bukhari 6306 - Sunan an-Nasa'i 5524 | Sahih.
IMPORTANT RECOMMENDATION: Ayat al-Kursi (Surat al-
Baqarah ki Ayat 255) bhi zaroor padhein. Shaykh Ibn Baaz ( )رحمة هللاne farmaya: “Salamati aur hifazat/tahaffuz hasil karne ka ek tareeqa ye hai ke har namaz ke baad aur sone se pehle aytal kursi padhen.” [https://t.me/sharingilmxRoman/1344]