Poem Name: - ''Adhoori Chah'': Written By:-Lata Sharma.... !

Download as rtf, pdf, or txt
Download as rtf, pdf, or txt
You are on page 1of 14

Poem no.

[1] Poem name: - ''Adhoori Chah''

Har samay dil kuchh tanha sa rehne laga hai, Kuch andar bikhra sa rehne laga hai. Lagta hai jaise nahin poori Hui koi echha, Adhoora sa aadha sa hai koi sapna sacha. Jaise khwab koi dekha or toot gaya ho, Jaise daaman kisi ka chhoot gaya ho. Milkar bhi na mili ho jaise koi raah, Dard mila ho par na nilkli ho koi aah. Sapno ki mala tootkar bikhar gayi ho, Jaise rooh bhi darkar sihar gayi ho. Man mien kuch tootkar bikhra hai abhi bhi, Toote kaanch sa kuch chubh raha hai abhi bhi. Koi dili chah adhoori reh gayi ho, Jaise milne ki koi chah poori na hui ho. Shayad dil isliye tanha rehne laga hai, Sambhaale se bhi na sambhale aise bikhra rehne laga hai.

written by:- Lata Sharma....! Poem no. [02] Poem Name_ Anjaan Dost Jab mein college mein padti thi, Har roj ek hi raste se gujarti thi.

Kai log milte or bagal se nikal jaate, Kuchh ke sath mein chalti kuchh yun hi chale jaate. Ek din usi raste par mujhe wo anjaan dost mili thi, Lambi si, ankhon mein chasma pehne saadi si lagti thi. College ke rashte par roj hi wo milne lagi, Or uski or meri baat bhi hone lagi. Pehli baar laga koi mujhe mujh jaisi hi mili, Main har baar dost samajh us se mili. Hum sath college jaate or sath hi padte, Sath ghar ke liye nikalte or sath chalte. Wo mere ghar aati thi aksar, Ek yaad de jaati kuchh der tharkar. Phir ek din aisa bhi aaaya, Uska or mera sath usi rashte par chhoot gaya. Aakhiri baar mili main uses us din, Kuchh kaha nahin kuchh suna nahin usne us din. Kafi din tak koi khabar na uski mili, Na koi phone aaya na wo hi mili. Ek din uski ek saheli mil gayi, Usne bataya wo shar chhod chali gayi. Aaj jab uski yaad aati hai, Us Anjaan dost ke liye aankh bhar jaati hai. Dost ko khokar dosti ka matlab jaana, Dosti sachhi thi ya jhooti ye pehchana. College khatam ho gaye wo hamesha ke liye chali gayi, Rashtey ki dosti rashte mein tod gayi. College ke rashtey mein wo anjaan dost mili thi, Bina kuchh kahe sune mujhe bhool gayi thi. Zindagi ki raah mein kai dost milte hain, Or usi raah mein kho bhi jaate hain. Kabhi kisi dost ko yun khone na dena, Dosti ka daaman yun chhotne na dena. Kyonki sachhe dost mushkil se milte hain, Ye wo phool hote hain jo kam hi khilte hain. Apne doston ko sambhlkar sanjokar rakhna zindagi, Baad mein bahut yaad ayenge varne ye zindagi. Jab mein college ke us raashte se gujari thi, Us raashtey mein wo Anjaan dost mujhe mili thi.!

Written by__ Lata Sharma..! Poem no. [03]

Poem name: - I want That word I want to say, Who express my feeling about you? That smile I want kept, Which can smile you? That moment I want remember, Which are remembering u want? That life I want live, Which have love for you? All these things I want to do, Just for you, only for you. Because I just want you, In my live forever.........! Written By Lata Sharma..! Poem no. [04]
Poem name- Tanhai Koi kitna bhi kahe use tanhai nahin satati, Par sach to ye hai ki ye sabhi ko hai tarsati. Koi! Tanhai ek akelepan ka ehsaash jagati hai, kisi ki kami har pal dil ko tarsati hai. koi to ho ki man har baar yahi kehta hai, har pal hi kisi ki yaad man ko satati hai. Koi kitna bhi................! ye tanhai hamesha hi dard nahin deti, kabhi kabhi jo door ho usko pass hai le aati. Yaadon ka daman pakda kar, Dard mein bhi sukoon ka ehsaah hai jagati. Koi kitna bhi..! Haan ! mujhe ye tanhai bhati hai, Har pal man mein ek khomoshi jagati hai.

Haan! Mein ismein bhi kush rehti hoon, Kyon ki ye kabhi koi sikayat nahin karti hai. Koi kitna bhi..!

Poem no. [05]


Poem name: - ek dil Ek Dil dhoodhne nikla jab khushiyon ki manjil, the rahon main kante or door tha sahil. Bina parwah kiye raston ke kanton ki , chalta raha sahta gaya peeda shoolon ki. Na tan par thakan thi na koi peeda ka tha asar, uske liye to jaise dard bhi ho gaya tha beasar. Kafi door or kai meelon tak chalke, salon ka fashla tai karke wo pahuncha sahar manzilon ke. Pata puchha apni manzil ka kai logon se, nahin mila pata par wo ghoom gaya kuchh ghar dilon ke. Jab kafi puchhne par bhi nahin mili manzil to gir gaya wo, katra katra bikhara or toot gaya wo. Ab na aas thi saans bhi aakhri thi usmain, phir ek chamatkar hua or manzil khud aa gayi pass mein. Manzil ko dekhkar ukhdi hui antim saans dil main kuchh der rooki, wo bola ab mili manzil mujhe jab saans hi na rahi. Shukriya! Jo meri jaan nikalne se pehle manzil aa gayi,

kahkar uski antim saans bhi khusi pakar ruk gayi. Chain or sukoon se khusi ki manzil pakar, dil chala anjaan safar ki or duniya chodkar. Ek dil chala tha dhoodhne kushiyon ki manzil, jaan dekar, kasht sahkar, milon chalkar wo pa gaya tha khusiyon ka sahil. Written by: Lata Sharma.

These two lines is my Papas! [1][2]! ekStsa vxj Mqck nsrha] rks rLdhu gks tkrhA bl dyd jgsxk] fdukjksa us Mqck;k gS eq>sA 1A ekStsa mBha Fkha lkfgy ij] tc u Fkk dksbZA HkhM+ yxh gS lkfgy ij] tc Mqc x;k dksbZA 2A
Poem no. [06] Pyaare Sachin
koi kehta genius, to koi mahaan tumhe. Koi master kehta, to koi bhagwaan tumhe. Haan tum hi to ho mahaan, haan tum hi to ho bhagwaan. Haan tum hi to ho hamaare pyare Sachin. Koi! [01] haan maine dekha hai tumhe mahaan bante, Maine hi nahin sabne dekha hai tumhe bhagwaan bante. Har uchhai ko chhota karte khud ko upar uthate,

Kismet khud apne haathon banate. Haan tum hi! [02] haan yaad hai mujhe 16 saal ka Sachin, Ghaton net pe abhyaas karta kathin mehnat karta Sachin. Chot lagne par bhi bilkul ni ghabrata Sachin, Bulandi ke aasmaan se uchha uthta Sachin. Haan! Sahi hai tum..! [03] Haan mujhe yaad aati hai, dhuandhaar ballebaaji Sachin ki, Ashmbhav ko shambhav banati ichha sakti Sachin ki. Choton se ubarkar har nayi shuruaat Sachin ki, Record banaati bigadti har nayi paari Sachin ki. Haan sab kehte hain, tum! [04] haan mujhe yaad rahega har baar ummeedon ka bhojh kandhon par ladna, Team ki har ummeed par khara utarne ki koshish karna. 37 ki umar mein 16 ke Sachin sa dohra satak lagana, Har seema ko parkana phir bhi kadam dharti par rakhana. Haan main kehti hun, tum..! [05] haan ab dekh rahi hai duniya, tumhe seemaon se paar nikatle, Har aalochna ka jabaab shaleenta se dete. Team ki jarurat par apne andaaj mein badlav karte. Bhartiya team mein senior ka farz bakhubia nibhate. Haan ab keh rahi hai duniya, tum! [06] haan dekha rahe bhartwashi, safalta ke aashmaan par chand se chamkte tum, 20 saal baad bhi nayi paari khelte tum. Sathoiyon ko jimmedari sikhate, or nibhate tum, Insaan se mahaan or mahaan se bhagwaan bante tum. Haan sach hai, tum hi..! [07] Sachin ho khud ko hi samjhte Sachin, Maahn ho bhgwaan ho par ho haamare pyaare Sachin. Khel ki jaan bhartiya cricket ki shaan ho Sachin,

Har bharatwashi ka maan or ballebaaji ki pehchaan Sachin. Haan! Dil se kehte hain hum, tum..! Haan tum hi to ho hamare Pyaare Sachin! Love you Sachin! Written by: - Lata Sharma.

Poem no. 07
Poem name- ek dost jab mein pehli baar net par aayi thi, ek ladke se face book par mili thi. dil ko jaane hi kyon wo achha lagne laga tha, baatein karna, roj uska intazaar karna dil ko bhane laga tha. pehli baar main kisi se itna khuli man mila tha, wo bhi batein karta,feel hone laga hai kuchh kehta tha. kuchh man ko hota tha, jab bhi ye sunti, par wo pyaar ni tha thi ye bhi jaanti. par achha lagta usse baatein karna, roj milna or sath waqt guzarna. Jab wo nahin aata dil udas ho jata, or jab aa jaata tab kushi se jhoom jata. Kuchh mujhe bhi feel hota hai, puchha tha usne, Nahin kehkar, mana kar diya tha maine. Ab kabhi kabhi sochti hun, ki kya kar diya, ek masoom sa dil kyon tod diya. jaanti hun, meri baton se dil tumhara tootga,

par, tabhi to kisi sahi jagah aasra payega. Kahin dosti na tod de dar yehi lagta hai, aisa ni hai wo,phir man ye bhi kehta hai. par dil to dil hai, phir bhi sochhta hai, Kabhi bhi kuchh bhi aive hi sochta hai. Jab main ek din net par aayi thi, Ek pyaare se dost se anjaane hi mili thi. Written by: - Lata Sharma

Har lamha har kan-kan main, Khushi rehti hai hum sab main. Dhundho to tumhe mil hi jayegi, Roshni hai tum mein jo har taraf fail jayegi. Tum ek baar ek diya dil se jalao to, Har andhera mit jayega thoda hanso mushkarao to. Gam or ansun sadaa raha ni karte, Ansuon ko yun chhupaya ni karte. Tumhare ansun apni aankhon main chhupa lenge, Tum apna dard kisi ko dekhao to, Khushi hi khushi bikhar jayegi, Ek baar dil se zindagi ko gale se lagao to. Khushi har taraf nazar aayegi, Tum khulkar ek baar haso or mushkarao to. Khushi Zazbaton ke tuffano se ta umar

jhoothti rahi zindagi ki kasti, Jab lagne laga ab to doob hi jayegi, Ki tere aane se meri doobti kasti ko, Kinara mil gaya! Written by- lata Sharma. Written by- lata sharma Jismain main hun agar tum wo train chhod doge, Main chali gayi hun tum ye janoge. Tum bahut door se 100 mile se, Jati hui train ki seeti sunoge Jismain! {1} khuda main 1, khuda main 2, khuda main 3, Khuda main 4, khuda main 500 mile door ho gayi ghar se. Khuda main 500 mile door ho gayi ghar se Jismain main.! {2} na hi ek kameej hai pahan ne ko, Na hi ek bhi paisa hai mere naam par. Khuda main is haalat main,Is raste se nahin laut sakti ghar ko. Khuda main nahin laut sakti is haalat main ghar ko. Jismain main..! Written by- Lata Sharma. We keh rahe hai tum is shahar se ja rahe ho. Main tumhari mushkaan or chamakti aankhon ki kami mehsoos karungi. We keh rahe hain tum suraj ki ronakta bhi sath le ja rahe ho,

Main tumhari is zindagi main kami mehsoos karungi. We Jise tum chhod rahe ho us shar ke baare main socho. Oh! Ye kaisa akela reh jayega tum bin. Jis ko tum tod rahe ho us dil ke baare main socho. Or wo dard jo tum diya ja rahe ho kaise jiungi main tum bin. Laut aao unhi raston par jahaan hum sath chale the, Laut aao unhi yadon main jinmain tum aaj bhi rehte ho. We Aao or mere paas baitho yaad karo sarth bitaye palon ko, Mujhe rone se mat rokana daman mat chhudao jane ko. Sirf is khoobsurat wadiyon ko yaad karo, Or use jise tumne sachha pyaar kiya hai yaad karo. Laut aao unhi raston par jahaan se hum sath chale the, Laut aao unhi yadon main jinmain tum aaj bhi rehte ho. We! Written by- Lata Sharma Har raat mere sapno mein, main tumhe dekhti hun mahsoos karti hun, Jabki main jaanti hun tum kahin nahin ho. Aaj mere or tumhare beech dooriyan or fasle hain, Tum aao or mujhe batao tum kahin nahin ho. Har raat Mujhe wishwah hai tum ho, paas ya door jahaan kahin bhi, Tabhi to mera dil tumhare pass hi ja raha hai

Tum apne dil mein rakho ek baar phir se mujhe, Mera dil ab bhi ja raha hai Main tumhe aas pass har pal mahsoos karti hun, Jabki main jaanti hun tum kahin nahin ho. Har raat.. Pyaar yahaan ek hi baar hota hai, or ek baar hi antim baar hota hai, mera dil hamesha tumhare pass hi rahega Jab mujhe tumse pyaar hua, main sachhe pyaar ko jaana, Jis samay tumne mujhe apni bahon main bhara main pyaar ko jaana Wo pal mere dil main hamesha rahenge Main tumhe ab bhi yahin meri ankhon ke samne paati hun, Jabki main jaanti hun tum nahin ho kahin bhi nahin ho. Har raat..! Poem name- Tumaara Jana Written by- Lata Sharma Poem name- Rasta Ek din main ek raste se yun hi se ja raha tha, Man kuchh vichitra khayalon main khoya jar aha tha. Kadam the ki chale ja rahe the anjaan mazil ki or, Na kadmon par bas tha or na ni man par jor. Ki achanak mujhe ek pathar se thokar lagi, Or kisi chese ko mere pair ki thokar lagi, Maine jhukkar dekha to wah 5Ru. Ka sikka bhar tha,

Sikka nahin wo to jeevan jeene ka shadhan bhar tha. Tab mere man ne kaha mujhse, Utha or rakh le khali jeb main tere kaam poore ho sakenge es se. Maine man ki baat maan li or chalne laga, Chalet-chalte bhook lag aayi main jeb se sikka nikalne laga, Maine jeb se sikka nikala hi tha, Main kuchh khane ke baare maine soch hi raha tha. Ki ek bachha mere pass aaya or mere pairon main jhuk gaya, Mujhe paisa manga or bhooka hai ye kaha. Mujhe us bachhe pe daya aa gayi, Or mile hue sikke ki jyada zarurat bhi samne aa gayi. Ua bachhe ne us sikke se apne peat ki aag bhujhai, Mera man shant hua main apni peeth thapthapai. Ab mere kadam khushi se aage badne lage, Or mere sath wo bojhil raste bhi aage badne lage. Ek din main! Written by- Lata Sharma Once upon a time, I went to the road. Suddenly! I saw a deer. Deer was so hungry, Some mile far away a lion was walking. Lion was hungry too. I saw both of them in same time. Now lion was a mile far away to the deer. Suddenly! Lion was passing away to the deer, but lion not hunt the deer. I was thinking why lion was not hunted deer? And I was thinking and thinking. Suddenly! My eyes opened! I was seeing a dream!

Yes! That was my dream! And anything can be happened in dreams! Poem name: In dreams
jab jeene ka man ni hota, jab zindagi ka koi maksad ni hota, jab zinda hone ka koi sabab ni hota, tab tum zindagi ban mushakara jate ho, tab tum aakar jeena sikaha dete ho. Jab sapne tone lagte hain, Jab ummeedon se man digne lagta hai, Jab sapne dekhne se man darne lagta hai, Tab tum khobsurat sa sapna ban aankhon main sama jaate ho, Tab tum jeene ki aasha jagate ho. Jab lagne lagta hai zidagi ki naav doobne ko hai, Jab lagne lagta hai dil bas tootne ko hai, Jab lagata hai ab to aas hi na rahi, Tab tum us naav ka sahil ban jaate ho, Tab tum dil ko shambhal aas bandha jate ho. Jab man udas hota hai, tum hasi ban jaate ho. Jab din bojhil sa gujarta hai, tum zindagi ban jate ho, Haan! Jab puchhte hain tum kya lagte ho mere? Tum is sawal ka jabab ban jaate ho. Jab jeene ka man ni karta, jab koi maqsad ni rehta Tum jeena sikhate ho, tum zondagi de jate ho. Name: tum [ sachin] Written by: lata sharma;

ga sakun koi nagma wo awaaz kahaan se laun, suna sakun kuchh apko wo wo andaaze bayaan kahaan se laun, karne ko to kar dete sab tarif hamari, jo kar khud meri tarif wo alfaaz kahaan se laun.

You might also like

pFad - Phonifier reborn

Pfad - The Proxy pFad of © 2024 Garber Painting. All rights reserved.

Note: This service is not intended for secure transactions such as banking, social media, email, or purchasing. Use at your own risk. We assume no liability whatsoever for broken pages.


Alternative Proxies:

Alternative Proxy

pFad Proxy

pFad v3 Proxy

pFad v4 Proxy