Shayri (Ravi)
Shayri (Ravi)
Shayri (Ravi)
hain yeh ishq karne wale, Ankhein band karte hain didar ke liye. Yaadon ki dhund me aapki parchai si lagti hai, Kaanon me gunjti shahnai si lagti hai, Aap karib ho to apnapan hai, Warna seene me saanse bhi parai si lagti hai. Woh ruthte rahe hum manate rahe, Unki raahon me palkein bichate rahe, Unhone kabhi palat ke bhi na dekha, Hum ankh jhapkane se bhi katrate rahe. Manzil unhi ko milti hai, Jinke sapno me jaan hoti hai, Pankh se kuchh nahi hota, Hauslon se udaan hoti hai. Teri dosti hum is tarah nibhayenge, Tum roz khafa hona hum roz manayenge, Par maan jana manane se, Warna yeh bheegi palkein le ke kaha jayenge. Dhoka diya tha jab tum ne mujhe, Dil se main naraaz tha, Phir socha ki dil se tumhe nikal dun, Magar woh kambakth dil bhi tumhare paas tha..... Kismat pur aitbar kisko hai, Mil jaye khushi inkaar kisko hai, Kuch mazboorie hain mere dost, Warna judai se pyaar kisko hai. Chand lamhon ki zindagani hai, nafraton se jiya nahi karte, lagta hai dusamanon se guzarish karni padegi, dost to aab yaad kiya nahi karte Hume Hasne-Hasane ki aadat hai, Nazron se Nazar Milane ki aadat hai, Par hamari to nazar unse hai ja mili, Jinhe nazar Zhukake Sharmane ki Aadat hai. Bahut dur magar bahut paas rehte ho, Aankho se dur magar dil ke paas rehte ho, Mujhe bas itna bata do kya tum bhi mere bina udaas rehte ho?? Ai mere humnashin chal kahin aur chal, Is chaman mein ab apna guzaara nahin, Baat hoti gulon tak to seh lete hum, Ab to kaanton pe bhi haq hamara nahin. Koi ankhon se baat kar leta hai, Koi ankhon mein mulakat kar leta hai, Bada mushkil hota hai jawab dena, Jab koi khamosh rehkar sawaal kar leta hai. Qayamat tak tujhe yaad karenge, Teri har baat par aitbaar karenge, Tujhe SMS karne ko to nahi kahenge, Par phir bhi tere SMS ka intezar karenge. Kaun jane kab maut ka paigam aa jaye, Zindagi ki akhari sham aa jaye,
Hum toh dhundhte hain waqt aisa jab, Hamari zindagi apke kam aa jaye. Jab dosti ki dastan waqt sunayega, Tumko bhi koi shaks yaad ayega, Tab bhool jayenge zindgi ke gam ko, Jab apke sath guzara samay yaad ayega. Ek din hamare annsoon humse pooch baithe, humey roz -roz kyon bulate ho, Humne kaha hum yaad to unhe karte hain tum kyon chale aate ho. Do pal ki bhi khushi na mili to kya hua umr bhar gam ke sahare ji lenge, Kya hua jo hamari girlfriend nahi, hum aapki girlfriend ke sahare ji lenge. Soch ko badlo, sitare badal jayeng, Najar ko badlo, nazare badal jayenge, Kashtiya badalne ki jarurat nahi, Dishaon ko badlo, KINARE badal jayenge. Aapki muskan hamari kamjori hai, Keh na pana hamari majburi hai, Aap kyon nahin samajhte is khamoshi ko, Kya khamoshi ko zuban dena jaruri hai? Tere DIL mein rahenge SMS bankar, Dhadkano mein bajenge RINGTONE bankar, Kabhi apne DIL se juda mut Samajana, Hum tere saath chalenge NETWORK bankar! Hum dua karte hain Khuda se, ki wo aap jaisa dost aur na banaye, Ek Cartoon jaisi cheez hai humare paas, kahin wo bhi common na ho jaye! Zindagi behaal hai, Sur hai na taal hai, Msg box bhi kangal hai, kya aapki sms factory me hartal hai, Yaar kuch to bhejo ye meri mobile ki zindagi ka sawaal hai. Unka ashiyana dil Unki yadon ko seene Pata nahi yaad aate Vaise dost to hamne mein basa rakha hai, se laga rakha hai, hain wohi kyun, auron ko bhi bana rakha hai.
Dil mein umeedo ki shamma jala rakhi hai, Humne apni alag duniya basa rakhi hai, Is umeed ke saath ki ayega SMS aapka, Humne mobile par nazrein jama rakhi hein. Pyara sa ehsas ho tum, har pal mere pas ho tum, Jine ki ek aas ho tum, mann ka ek vishwas ho tum, Shayad is liye.... Kuch khas ho tum. Ankhein khuli ho to chehra tumhara ho, Aankhein bandh ho to sapna tumhara ho, Mujhe maut ka dar na hoga, Agar kafan ki jagah dupatta tumhara ho.
Hum na hote to aapko gazal kaun kehta, apke chehre ko gulab kaun kehta, Ye to karishma hai hum pyar karne walon ka warna pattharon ko Taj Mahal kaun keh ta. Vo aaj bhi hume dekh kar muskurate hain, Vo aaj bhi hume dekh kar muskurate hain, Yeh to unke bachche hee kaminey hain, Jo Mama-Mama kehke bulaate hain. Safar lamba hai dost banate rahiye, Dil mile na mile haath badate rahiye, Taj na banaiye costly padega, Har taraf Mumtaj banate rahiye. Jab jab ghire badal teri yaad ayi, Jab jhoom ke barsa sawan teri yaad ayi, Jab-jab mein bhiga teri yaad ayi, Ab raha nahin jata, Chatri Lauta de Bhai. Kya lekar aaya tha? Kya lekar jayega? Mujhe SMS na karke zaalim, Tu kitna chillar bachayega? Aahat si koi aaye to lagta hai ki tum ho, Saya sa koi lehraye to lagta hai ki tum ho, Ab tumhi batao tum kya kisi bhoot se kam ho? Aey mere SMS mere dost ke pass jana, Agar wo so raha ho to shor mat machana, Jab wo jage to dhire se 'Muskarana', Phir kehna "KANJUS" SMS karo! Dil ka dard dil todne wale kya jane, Pyar ke rivazon ko zamana kya jane, Hoti hai kitni takleef ladki patane mein, Ye ghar pe baitha ladki ka baap kya jaane. Bazu-o-mein dum rakhta hun, Dil mein gum rakhta hun, Pata tha SMS ayega tera, Isliye DISPRIN sang rakhta hun. Aaj didar, kal yaar, parson pyaar, phir ekrar, phir intezar, phir takrar, phir darar, sari mehnat bekar, aur aakhir mein ek aur devdas at beer bar. Ramchandra keh gaye siya se aisa kalyug aayega, Ek dost ek taraf se SMS karega, doosra apna paisa bachayega. Zindagi ko ek rangin kalpana samjho, Subah ko sach raat ko sapna samjho, Bhulana chahte ho sabhi gamo ko to, Zindagi me mujhe apna samjho. Jaam pe jaam peene se kya fayeda, Raat guzri to utar jayegi, Kisi ki aankhon se peeyo khuda ki kasam,
Umr saari nashe mein guzar jayegi. Message pe message bhejte ho, bhej bhej ke bheja kharab karte ho, bhejte bhi ho to bhejte ho, khud ka bheja to chalta nahin, doosron ka bheja hua bhejte ho! Woh Zindagi hi kya jisme Mohabbat nahi, Woh Mohabbat hi kya jisme Yaadein nahi, Woh Yaadein kya jisme Tum nahi, Aur woh Tum hi kya jiske saath Hum nahi. Na khwabon me dekha, na nazaron me dekha, Hazaron me ek humne tum hi ko dekha, Gum dene wale to har pal hai yahan, Har pal khushi dene walon me ek aap hi ko dekha. Zindagi Taj Mahal ho jaye, Chandani khil ke kamal ho jaye, Tum jo ban jaao dost mere, Dil ki dhadkan bhi ek Ghazal ho jaye. Kudrat ke karishmon mein agar raat na hoti, To khwab mein unse mulaqat na hoti, Wo wada to kar gaye ki ayenge khwab mein, Mare khushi ke neend na aye to kya karen. Toot jaate hain sabhi rishte magar, Dil se dil ka rahta apni jagah, Dil ko hai tujh se na milne ka yakeen, Tujh se milne ki dua apni jagah. Tussi hasde ho saanu hassan waste, Tussi ronde ho saanu rulaan waste, Tussi ek vaar ruske te vekho, Mar jawange tuhanu manaan waste! Ajnabi galiyon se hum gujra nahi karte, dard-e-dil liya aur diya nahi karte, Ye dosti ka rishta sirf tum se hai, varna itne SMS hum kisiko kiya nahi karte. Ae dil unki yaad mein rona fizul hai, ansu anmol hai, inko khona fizul hai, Rote uske liye hain jo tum pe nisar ho, uske liye kya rona jiske ashiq hazaar ho n Yeh such hai doston kisi se pyaar na karna, Kabhi kisi ka aitbaar na karna, Tham ke khanjar apne hi hathon mein, Bedardi se apne dil par vaar na karna. Ansoon ko ankhon ki dehleez par laya na karo, Apne dil ki halat kisi ko bataya na karo, Log muthi bhar namak liye ghumtey hain, Apne zakhm kisi ko dikhaya na karo. Missed call to ek bahana hai, Irada to aapka ek lamha churana he, Aap chahe humse baat karo ya na karo, Aap ki yadon mein humara ana jana hai.
Jisne humko chaha, use hum chah na sake, Jisko chaha usae hum pa na sake, Yeh samajh lo dil tutne ka khel hai, Kisi ka toda aur apna bacha na sake. Raatein gumnam hoti hai, Din kisike naam hota hai, Hum zindagi kuch is tarah jite hai, Ki har lamha sirf doston ke hi naam hota hai. Kya kahun tujhe? Khwab kahun to toot jayega, dil kahun to bikhar jayega, Aa tera naam zindagi rakh dun, maut se pehle to tera saath chuut na payega! Itna khubsurat kaise muskura lete ho, Itna qatil kaise sharma lete ho, Kitni aasani se jaan le lete ho, Kisi ne sikhaya hai...ya bachpan se hi kamine ho? Tuhaar chehra Moti samaan, Tuhaar chehra Moti samaan, Tuhaar chehra Moti samaan, Moti hamaar kutte ka naam! Yun to kisika peecha nahin karte, Dard-e-dil diya aur liya nahin karte, Ittefaq ki baat hai ye hamari dosti varna, Itna kimti SMS kisi ko kiya nahin karte. Teri yaad rud jandi akhan cho pani banke, Ki khatya es rooh ne diwani ban ke, Bhaven ho gaya hun sadi akhan toh dur, Par dil vich wasya hai pyar di nishani ban ke. Mere dil te asar tera hi rehnda hai, Merian galan vich zikar tera hi rehnda hai, Pata nahi kee rishta hai tera te mera, Ke es dil nu bas tera hi fikar rehnda hai. Bari warsi khatan gaya si, khat ke leyanda Taanga; Bari warsi khatan gaya si, khat ke leyanda Taanga; Oye agge ki? Agge Ghora Akhan di benuri changi nahi hundi, Sajna kolon doori changi nahi hundi, Kade kade tan milya kar, Har vele majboori changi nahi hundi. Khushiyon par fizaon ka pehra hai, Na jane kis umeed pe dil thehra hai, Teri ankhon se jhalakte dard ki kasam, Yeh dosti ka rishta pyar se gehra hai. Chand pe kali ghata chati to hogi, Sitaron ko hansi aati to hogi, Tum lakh chupao duniya se, Magar akele mein tumhe apni shakal pe hansi aati toh hogi! Ishq ke bhi kuch andaz hote hain, Jagti ankhon mein bhi khawab hote hain, Zaroori nahi k gam mein ansu nikle, Muskurati ankhon mein bhi sailab hote hain.
Kal tera viah hoju, sada dil te akhian roan giyan, Asin granth sahib chuk k laijange terian lavan kidan hongian. Yaar ne dil ka haal batana chod diya, humne bhi gehrai main jana chod diya, Aap ne SMS karna kya band kiya, humne mobile charge karna chod diya! Moat k baad yaad aa raha hai koi, mitti meri kabr se utha raha hai koi, Ya khuda do pal ki mohlat aur de de, udas meri kabr se ja raha hai koi. Sehmi-2 nigahon mein khwab hum saja denge, Suni suni rahon pe phool hum khila denge, Aap hamare sung muskura kar to dekho, Aap har gam bhula denge. Rok deo mere janaze nu mere vich jaan aa gai hai, Saaleyo peeche mudh ke dekho SHARAB di dukan aa gai hai .CHEERS! Raat hogi to chand duhai dega, Khawabon mein aapko woh chehra dikhai dega, Ye mohabbat hai zara sochke karna, Ek aansoo bhi gira to sunai dega. Dil mein ek shor ho raha hai, bina SMS dil bore ho raha hai, Kahin aisa tho nahin ke ek pyara sa dost, mujhse door ho raha hai. Kal Mila Waqt To Zulfain Teri Suljha Doonga, Aaaj Uljha Hoon Zara Waqt Ke Sulajhne Mein, Yoon To Sulajh Jatee hein Uljhee Zulfain, Umar Kat Jati Hai Waqt Ke Sulajhne Mein Har karz dosti ka ada kaun karega, jab hum hi na rahenge to dosti kaun karega, Aey khuda mere doston ko salamat rakhna, varna mere jeene ki dua kaun karega. Suni zindagi mein halchal si mehsoos hui, bejaan dil ki aaj dhadkan mehsus hui, Jane aaj kyu aisa laga, shayad aapki kami mehsoos hui. Kaun rakhta hai yaad namo ko, log chehre tak bhul jate hai, Tum samandar ki baat karte ho, log aankho me dub jate hai. Jis waqt khuda ne tumhe banaya hoga, ek saroor sa uske dil pe chaya hoga, pehle socha hoga tujhe jannat mein rakh lun phir usse mera ka khayal aaya hoga. Humne socha tha ki shayad, hum hi chahte hai tumko, par tumhe chahne wala to kaf ila nikla, Dil ne kaha shikayat kar khuda se, paar khuda bhi tera chahne wala nikla. Tere Dar pe, Arz kiya hian ki tere der pe sanam hazar baar ayengey, tere der pe sanam hazar baar ayengey, Ghanti bajayengey aur bhaag jayengey. Manzil ki taraf badhte raho. Jo dil kahe usi rah ko chuno, peeche walon ko age na jaane do aur jo aage hai unse aage niklo. Tabhi 1 acche Truck Driver banoge. Zindagi jaise ek saza si ho gayi hai, gamm ke saagar me is kadar kho gayi hai,
tum kar do ek SMS yeh gujarish hai meri, tumari SMS ki adat si ho gayi hai.