Wo Kitne Itminan Se Thukra Gayi Mujhe (Bewafa)

Download as doc, pdf, or txt
Download as doc, pdf, or txt
You are on page 1of 6
At a glance
Powered by AI
The poems explore themes of love, heartbreak, friendship and longing. A variety of emotions like sadness, regret, longing and reminiscence are expressed through the poems.

Some of the emotions expressed are sadness, regret, longing, reminiscence, hopelessness and despair.

The poems explore themes of love, heartbreak, friendship, longing, betrayal and moving on from past relationships.

Wo kitne itminan se thukra gayi mujhe

Aansu bana kay aankh se tapka gayi mujhe

Kaise ye rehbari thi ye kaisa fareb tha


Manzil dikha kay raah se bhatka gayi mujhe

Khamoosh nigaahon say kahani suna gayi


Lafzoon kay hair phair main atka gayi mujhe

Mujhko bhi bachpan ka ek mazaq samajh kar


Choti si ek hansi main hi ura gayi mujhe

Do din main us k dil say mohabbat utar gai


Aur do hi din main yaad se mita gayi mujhe
______________________________________________________

Na tasvir hai tumhari jo deedar kiya jaye


Na tu paas ho jo tumse pyaar kiya jaye
Yeh kaunsa dard diya hai tumne mujhe
Na tumse kuch kaha jaye na tum bin raha jaye
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Sansein banke saath nibhayenge
Koshish rahegi aapko nahi satayenge
Kabhi pasand na aaye saath humara to bata dena aye dost
Mehsus bhi nahi kar paoge itni dur chale jayenge
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
ye aarzu thi ki aisa bhi hua hota
Meri kami ne usko bhi udaas kiya hota
Hum laut jaate uske paas ek lamhe me
Uske labon ne mera naam to liya hota
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Dost ki Ahmiyat samjho to dosti karma
Dard ki ahmiyat samjho to…Mohabbat karma
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Wo roye to bahut, par mujhse muh mod kar roye
Koi majburi hogi to dil tod kar roye
Mere samne kar diye mere tasveer ke tukde
Pata chala mere piche wo unhe jod kar roye
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
dard ki had se guzarna to abhi baqi hai
tut kar mera bikharna to abhi baqi hai
pass aake mera dukh-dard batnewale
mujhse katra ke guzarna to abhi baqi hai

chandd shehro me kahan dhalti hai ehsaas ki aag


gam ka ye rang nikharna to abhi baqi hai
rang-e-ruswai sahi sahar ki deewaro par
naam mera ubharna to abhi baqi hai….
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
pyaar aur dosti mein itna farak paaya hai,
pyaar ne sahara diya,dosto ne saath nibhaya hai,
kis rishte ko gehra kahu yaaro,
ek hai zindagi to dusre ne jeena sikhaya hai
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Ye Dard Ka Toofan Guzerta Kyun Nahi?
Dil Toot Gaya Hai Toh Bikherta Kyun Nahi?
Ek Hi Shaks Ko Chahta Hai Kyun Itna
Koi Doosra Iss Dil Mein Uterta Kyun Nahi
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Tha Koi Jo Mere Dil Ko Zakham De Geya,
Zindgi Bhar Jeeny Ki Qasam De Geya,
Lakhon Phoolon Me Se Ek Phool Chuna Tha Main Ne,
Jo Kanton Se Bhi Gehra Zakham De Geya.
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Mehkhane Me Jam Tut Jata He,
Ishq Me Dil Tut Jata He,
Na Jane Kya Rishta Hai In Dono Me,
Jam Tute To Ishq Yaad Aata Hai,
Dil Tute To Jam Yaad Aata Hai.
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Dil ki Halat batana nahi aata …
Kisi ko aisey Tarpana nahi aata ….
Sunna chahte hain ek baar Aawaz aap ki …
Magar baat karne ka Bahana nahi aata !!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Unhein Pyar karna nahi aata ….
Aur Hamein Pyar ke siwa kuch nahi aata ….
Jeene k sirf ye Do hi raste hain ….
Ek unhe nahi aata ek Hamein nahi aata !!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Mehfil Na Sahi Tanhai To Milti Hai,
Milna Na Sahi Judaii To Milti Hai,
Kaun Kehta Hai Pyaar Me Kuch Nahi Milta,
Wafa Na Sahi Be-Wafaii To Milti Hai
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Dil K Kareeb Aa K Vo Jab Door Ho Gaye
Saray Haseen Khwab Mere Choor Ho Gaye
Hum Ne Vafa Nibhayi To Badnamiyan Mileen
Jo Log Bewafa Thay Vo Mashoor Ho Gaye
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Teri Dosti Ne Diya “Sakoon” Itna,
Ke Tere Baad Koi “Acha” Na Lagey,
Tujhe Karni Hai “Bewafai” To Is Ada Se Kar,
Ke Tere Baad Koi “Bewafa” Na Lagey.
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Me Dooba To Kinare Pe Khari Thi Duniya,
Hasne Walo Me Mera Muqaddar B Tha,
Ro Raha Tha Jo Janaze Se Lipat Kar Mere,
Kaise Keh Doo K Wohi Mera Qatil B Tha.
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Lamha Lamha Sanse Khatm Ho Rahi Hai,
Jindagi Maut Ke Pahloo Me So Rahi Hai,
Us Bewafa Se Mat Pucho Meri Maut Ki Wajah,
Wo To Bus Jamane Ko Dikhane Ke Liye Ro Rahi Hai
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Wo Deta Hai Dard Bas Hami Ko?
Kya Samjhe Ga Wo In Ankhon Ki Nami Ko?
Lakhon Dewany Hon Jis Ke?
Wo Kya Mehsos Kare Ga Ik Hamari Kami Ko.
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Mat Roko Iss Behte Dard Ko,
Saza Hai Ye Kisi Ke Intzar Ki,
Keh Lo Inhe Ashk Ya Diwangi,
Ye To Nishani Hai Kisi Ke Pyaar Ki.
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Ek Lamhe Mein Usne Zindagi Sawar Di
Ek Lamhe Mein Usne Zindagi Ujar Di
Kasoor Us Ka Nahin Mera Tha
Jo Un Do Lamho Mein Meine Zindagi Guzardi
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Dil Jo Tutega To Fariyaad Karoge Tum.
Hum Na Rahe To Hume Yaad Karoge Tum.
Aaj To Kehte Ho Hamare Pass Waqt Nahi,
Par Ek Din Mere Liya Waqt Barbad Karoge Tum.
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Wo Mere Liye Kuch Khaas Hai Yaaro’
Jinke Laut Aane Ki Na Koi Aas Hai Yaaro’
Wo Najro Se Door Hai To Kya Huwa..
Banke Dil Ki Dhadkn Mere Paas To Hai Yaaro’
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Tanhai Bhari Zindagi Ka Safar Mila;
Na Saathi, Na Humsafar Mila.
Hum Diya Jalta Chhod Gaye The Unke Liye;
Jab Vapis Lote To Jalta Hua Ghar Mila.
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Mujhe Kisi Ne Bewafa Ka Naam Diya,
Saaqi Ne Jaise Zeher Ka Jaam Diya,
Jo Kabhi Kaha Karte They, Bhula Mat Dena,
Unhone Hi Bhool Jaane Ka Paigaam De Diya….
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Is Dil Main Aaj Bhi Kisi Ka Pyar Baki Hai
Is Dil Main Aaj Bhi Kisi Ka Intezar Baki Hai
Maut Ke Baad Bhi Khuli Hain Aankein
Kyu Ki Aaj Bhi Kisi Ka Deedar Baki Hai
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Baicherty Waqt Usne Kaha Tha
Na Sawal Kerna Na Jawab Mile Ga
Mujhe Bhool Jana Qrar Mile Ga
Hum us Muqam Per The
Na Sawal Kia Na Jawab Mila
Na Bhool Sake Na Qrar Mila
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Maushiqi humse bewafaa ho chali hai,
ashiqi humse bewafaa ho chali hai.
Kya karein hum shikwa Kisi se,
jindgi hi jab bewafaa hi chali hai.
Kartein hain sair ab khwaabon ke shahar mein,
Dekhtein hain ghar ek sone ka.
Har lamha rahti hai hansi in labo pe,
Waqt nahi hai ab rone ka.
Khyaal badey oonchey paale hain humne,
saadgi humse bewafaa ho chali hai.
Tu hi bata de khata meri khuda,
Jo mai parwana ban Gaya hoon.
Milta hai sila kya mohabbat ka ye hi,
Chahat mein shama ki mai jal Gaya hoon.
Likha hai apni kismat mein aisa,
ke har khushi humse bewafaa ho chali hai.
Raat ke musaphir banke rahne lagey hain,
Hum to gam ke andhero mein yaaro.
Chaand bhi humse hua hai bewafaa,
Rahta hai badal ke ghero mein yaaro.
Saya bhi apna nazar nahi aata,
chaandni humse bewafaa ho chali hai.
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Shab-e-Tanhai Mein
Palkon Pe Sitare Sajaye
Gham Ki Chaukhat Pe Beth Kar
Soch Raha Hon...

Jab Maine Uske Hath Ko Chuwa Tha


Tu Wo Muskura Kar Boli Thi
Tumhare Hath Kitne Garm Hain,
Or Jante Ho...

Garm Hath Wafa Ki Alamat(Legend or Address) Hote


Hain"
Ye Sun Kar Mein Itna Khush Hua
Ke Baqi Sub Bhool Gaya
Ye Bhi Ke Uske Hath Kitne Sard Thy...
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Abh sukoon hai toh use bhulne mein hai,
Lekin uss shakhsh ko bhulaye kaun,
Aaj fir dil hai kuch udaas udaas
Dekhiey aaj phir yaad aye kaun..

Ik zara si bhool khata ban gayi


Meri vafai hi meri saza ban gai
Dil liya aur khel kar tor diya
Hamari jaan gayi unki ada ban gai
. .. .... .... ........ .... .... .. .
To die is nothing, but it is terrible not to live
Thats_Tany

You might also like

pFad - Phonifier reborn

Pfad - The Proxy pFad of © 2024 Garber Painting. All rights reserved.

Note: This service is not intended for secure transactions such as banking, social media, email, or purchasing. Use at your own risk. We assume no liability whatsoever for broken pages.


Alternative Proxies:

Alternative Proxy

pFad Proxy

pFad v3 Proxy

pFad v4 Proxy