Ham Aap Qayāmat Se Guzar Kyuuñ Nahīñ Jaate

Download as docx, pdf, or txt
Download as docx, pdf, or txt
You are on page 1of 6

:‫ابو جعفرمحمد بن علی بن الحسین علیہ السالم نے فرمایا‬

‫ انہیں‬،‫(روز قیامت) اپنے بندوں کا حساب و کتاب‬


ِ ‫ُخداو ند متعال‬
‫دی گئی عقل کے مطابق کرے گا( یعنی دنیا میں انسانوں کی عقل‬
‫کے مراتب کے اختالف کے مطابق آخرت میں اُن کی باز پرس‬
)‫کے ماتب بھی مختلف ہیں‬
Dekha hai zindagi ko kuchh itne qareeb se
Chehre tamaam lagne lage hain ajeeb se

Ek tajassus dil mein hai, ye kya hua, kaise hua


Jo kabhi apna na tha wo ghair ka kaise hua
Mujhe bhi yun to badi aarzoo hai jeene ki
Magar sawal ye hai kis tarah jiya jaye
Achchha hua k ishq mein barbaad ho gaye
Majbooriyo'n ki qaid se aazad ho gaye

‫خاموش زندگی جو بسر کر رہے ہیں ہم‬


‫گہرے سمندروں میں سفر کر رہے ہیں ہم‬

‫ہم کو ان سے وفا کی ہے امید‬


‫جو نہیں جانتے وفا کیا ہے‬
Aankhon ke khwab dil ki jawani bhi le gaya
Wo apne saath meri kahani bhi le gaya

Aap ko mere ta.aaruf ki zaroorat kya hai


Main vahi hun ki jise aap ne chaha tha kabhi
Tujh se milne ko be-qaraar tha dil
Tujh se mil kar bhi be-qaraar raha

ham aap qayāmat se guzar kyuuñ nahīñ jaate


jiine kī shikāyat hai to mar kyuuñ nahīñ jaate

katrāte haiñ bal khāte haiñ ghabrāte haiñ kyuuñ log

sardī hai to paanī meñ utar kyuuñ nahīñ jaate

āñkhoñ meñ namak hai to nazar kyuuñ nahīñ aatā

palkoñ pe guhar haiñ to bikhar kyuuñ nahīñ jaate

aḳhbār meñ rozāna vahī shor hai yaanī

apne se ye hālāt sañvar kyuuñ nahīñ jaate

ye baat abhī mujh ko bhī mālūm nahīñ hai

patthar idhar aate haiñ udhar kyuuñ nahīñ jaate

terī hī tarah ab ye tire hijr ke din bhī

jaate nazar aate haiñ magar kyuuñ nahīñ jaate

ab yaad kabhī aa.e to ā.īne se pūchho

'mahbūb-ḳhizāñ' shaam ko ghar kyuuñ nahīñ jaate


Khuda aise ehsaas ka naam hai
Rahe saamne aur dikhaai na de

‫زندگی بھر تو ہوئی گفتگو غیروں سے مگر‬


‫آج تک ہم سے ہماری نہ مالقات ہوئی‬
Main jab bhi us ke khayaalon mein kho sa jata hun
Wo khud bhi baat kare to bura lage hai mujhe

Umr-e-daraaz maang ke laai thi chaar din


Do aarzoo mein kat gaye do intizaar mein

‫امیدوں سے دل برباد کو آباد کرتا ہوں‬


‫مٹانے کے لیے دنیا نئی ایجاد کرتا ہوں‬
‫فقط ملنا مالنا کم ہوا ہے‬
‫ہماری دوستی ٹوٹی نہیں ہے‬
Duniya bas is se aur ziyaada nahin hai kuchh
Kuchh roz hain guzaarne aur kuchh guzar gaye

Somewhere loyal friendship somewhere is loyal


The Elders of the great clan are punished for the house.

‫کہیں بھی وفاداری دوستی کہیں وفادار ہے‬


‫عظیم قبیلے کے بزرگ گھر کے لئے سزا دیئے جاتے ہیں‬.

‫یہ اور بات ہے تجھ سے گال نہیں کرتے‬


‫جو زخم تو نے دیے ہیں بھرا نہیں کرتے‬
ye aur baat hai tujh se gilā nahīñ karte

jo zaḳhm tū ne diye haiñ bharā nahīñ karte


hazār jaal liye ghūmtī phire duniyā

tire asiir kisī ke huā nahīñ karte

ye ā.inoñ kī tarah dekh-bhāl chāhte haiñ

ki dil bhī TūTeñ to phir se juḌā nahīñ karte

vafā kī aañch suḳhan kā tapāk do in ko

diloñ ke chaak rafū se silā nahīñ karte

jahāñ ho pyaar ġhalat-fahmiyāñ bhī hotī haiñ

so baat baat pe yuuñ dil burā nahīñ karte

hameñ hamārī anā.eñ tabāh kar deñgī

mukālme kā agar silsila nahīñ karte

jo ham pe guzrī hai jānāñ vo tum pe bhī guzre

jo dil bhī chāhe to aisī duā nahīñ karte

har ik duā ke muqaddar meñ kab huzūrī hai

tamām ġhunche to 'amjad' khilā nahīñ karte


Ishq tha aur aqeedat se mila karte the

Pahle ham log mohabbat se mila karte the

‫اے محبت ترے انجام پہ رونا آیا‬


‫جانے کیوں آج ترے نام پہ رونا آیا‬
Na paane se kisi ke hai na kuchh khone se matlab hai
Ye duniya hai ise to kuchh na kuchh hone se matlab hai

Wo parinda jise parwaz se fursat hi na thi

Aaj tanha hai to deewar par aa baitha hai

Dil bujhne laga aatish-e-rukhsaar ke hote

Tanha nazar aate hain, gham-e-yaar ke hote

Jee mein aata hai ki ek roz ye manzar dekhein


Saamne tujh ko bithaayein tujhe shab-bhar dekhein
~Saleem Betab

Us se kahne ko to bahut kuchh hai

Waqt milta nahin guzaarish ka

Ye kya tilism hai kyun raat bhar sisakta hun


Wo kaun hai jo diyon mein jala raha hai mujhe
~Saqi Faruqi

Hamein to khair koi dusra achcha nahin lagta

Unhein khud bhi koi apne siwa achcha nahin lagta

Chupke chupke raat din aansoo bahaana yaad hai

Ham ko ab tak aashiqi ka wo zamaana yaad hai

Kya sitam hai ki wo zalim bhi hai mahboob bhi hai

Yaad karte na bane aur bhulaye na bane


‫چاند سورج نہ سہی ایک دیا ہوں میں بھی‬
‫اپنے تاریک مکانوں میں جال ہوں میں بھی‬

‫ہجوم ایسا کہ راہیں نظر نہیں آتیں‬


‫نصیب ایسا کہ اب تک تو قافلہ نہ ہوا‬
‫‪Tujhe kaun jaanta tha meri dosti se pahle‬‬

‫‪Tera husn kuchh nahin tha meri shayari se pahle‬‬

You might also like

pFad - Phonifier reborn

Pfad - The Proxy pFad of © 2024 Garber Painting. All rights reserved.

Note: This service is not intended for secure transactions such as banking, social media, email, or purchasing. Use at your own risk. We assume no liability whatsoever for broken pages.


Alternative Proxies:

Alternative Proxy

pFad Proxy

pFad v3 Proxy

pFad v4 Proxy