Shayri

Download as docx, pdf, or txt
Download as docx, pdf, or txt
You are on page 1of 5

Jab hosh mein nahi tha tab kuch kar na paya,

Jab hosh mein aaye to zamana badal gaya.



Bahut der sunate rahe woh kahani,
Jab dil ne samjha to fasana badal gaya.

Dosti khub nibhai ache dino mein
Badal gaye halat to yarana badal gaya.

Milane jate unhe toh woh ghar par n milte
Jab ghar par mile to bahana badal gaya.

Umar bhar jo rakha tha bachakar haseeno se
Aakhri waqt mein yeh dil bhi fisal gaya.

Yeh waqt bhi karta nahi intezar kisi ka
Thoda sa baki hai, zyada nikal gaya.


Shauq Se Badlo.... Par Yeh Zehen Mein Rakhna...!!!
Main Jo Badla To Karwatein Badalte Reh Jao Ge...!!!

Yeh bhi ek zamana dekh liya hai hum ne,
dard jo sunaya apna to mehfil mein taaliyan goonji...!!!


Befawa Zamana Hai Aitbaar Mat Karna
Doston Par Bhi Apne Dil Nisar Mat Karna
Milna Doston Se Apne Begaraz Hokar Tum
Dosti Ke Daman Ko Tar-Tar Mat Karna
Dil Ki Baat Logon Ke Lab Par Aa Hi Jaati Hai
Tum Kisi Ko Bhi Apna Raazdaar Mat Karna
Aarzoo Mein Jine Ki Maut Ko Bhula Baitho
Zindagi Se Tum Hargiz Itna Pyar Mat Karna


Woh Jaan Gaya Tha Mujhe Dard Me Muskurane Ki Aadat Hai,,,

Woh Roz Mera Dil Dukhata Tha Sirf Meri Khawahish Ke Liye...



Aankhon se mere iss liye laali nahin jaati,
yaadon se koi raat jo khaali nahin jaati.

Ab umar, na mausam, na woh raaste ki wo palte
iss dil ki magar kham khyali nahin jaati.

Maange tu agar jaan bhi hans ke tujhe de dein,
teri toh koi baat bhi taali nahin jaati.

Aaye koi aa kar tere dard sambhaale,
hum se toh ye jageer sambhaali nahin jaati.

Maloom humhein bhi hain bahut se tere qissey,
par baat teri hum se uchhaali nahin jaati.

Humraah tere phool khilte the jo dil mein,
ab shaam wohi dard se khaali nahin jaati.

Hum jaan se jaayege tab hi baat banegi,
tum se toh koi raah nikaali nahin jaati. !!


Apne Samaan Ko Bandhe Hue Is Soch Me Hun...

Jo Kahin K Nahi Rehte Wo Kahan Jate Hain...


Wo shayad matlab se milti thi,

mujhe to bas milne se matlab tha..!!


Aik muddat se tujhe vird mein rakha jis ne,
Wo muhabbat mein Qalander bhi to ho sakta hai..

Tere koochy mein jo aaya hai Ghulamon ki tarah,
Wo apni basti ka Sikander bhi to ho sakta hai..

Silsilawaar agar ashk Giraaye jayein,
Ye jo sehra hai Samander bhi to ho sakta hai..

Kab talak tere khayalon k sahaaray pey jiyein,
Dil teri yaad se munkar bhi to ho sakta hai...


Yahan Ghamgeen Mat Hona, Koi Jo Bhul Jaaye To...........

Yahan RAB Ko Bhi Sab, Waqt-e-Zarurat Yaad Karte Hain...!


,
...


Ek chehraa sath sath rahaa jo milaa nahii
kisko talaash karta raha kuch pataa nahii..

shiddat ki dhoop taiz havaon k ba-vajood
mai shakh se gira hoo, nazar se gira nahii...!


Talab Maut Ki Karna Gunah-e-Kabeera Hai,

Marne ka Shauq Hai, To Aao Tumhe Ishq Ki Taleem Du...!!!


Maujood thi udaasi abhi pichli raat ki,
Behla tha dil zara sa ke phir raat ho gayi....


Jinke aangan mein amiri ke shajar lagte hain,
Unke har aib zamane ko hunar lagte hain....!


Bohat Dekha Jeevan Mein Samajdaar Ban Kar,
Par Khushi Hamesha Paagal Ban Ne Par Aayi..!!


Mayoos Ho Gaya Hun Mai Zindagi Ke Is Safar Se,

Maqsad Ki Mohabbat Aur Matlab Ki Dosti Se....!


Kuch ye soch kar bhi koi mera haal na pucha..

Yeh Paagal deewaana koi sher suna dega..!


Na Lafzon Ka Lahu Nikalta Hai, Na Kitaabein Bol Sakti Hain...

Mere Dard Ke Do Gawah The, Dono Be-Zubaan Nikle...!!



Roz aate Hain Baadal Abr-E-Rehmat Lekar,
Mere Sheher Ke Aamaal Unhe Barasne Nahi Dete....


Bohat naaz tha mujhe chaahne walon per magar,
Main azeez tha sab ko magar zaroorat ke liye..



Dost to bhut hain mere mgr....

dostii unme se bs kisi kisi ko ati h....


Milengi hum ko bhi apne naseeb ki khushiyaan...!!!
Bas intizaar hai kab yeh kamal hona hai...!!!

You might also like

pFad - Phonifier reborn

Pfad - The Proxy pFad of © 2024 Garber Painting. All rights reserved.

Note: This service is not intended for secure transactions such as banking, social media, email, or purchasing. Use at your own risk. We assume no liability whatsoever for broken pages.


Alternative Proxies:

Alternative Proxy

pFad Proxy

pFad v3 Proxy

pFad v4 Proxy