Ramazaan Masaail 2015

Download as doc, pdf, or txt
Download as doc, pdf, or txt
You are on page 1of 6

ROZAY KI NIYYAT : niyyat kehtay hain dil say qasd o iraaday ko, khwaa zabaan say kuch

kahay ya na kahay, rozay kay liye niyyat shart hai, agar rozay ka iraadah na kiya aur tamaam
din kuch khaaya ya piya bhi nahi to rozah na hoga, ramazaan kay rozay kay niyyat raat say
kar lena behtar hai, raat mein agar niyyat na ki hoto zawaal say 1 ghanta pehlay tak din
mein niyyat kar sakta hai ba-shart hai kay kuch khaya ya piya na ho.
WOH CHEEZEIN JIN SAY ROZAH TOOT JAATA HAI :
1. Kaan aur naak mein dawa daalna
2. Qasdan apnay ikhtiyaar say muuh bhar kar qhai (vomiting) karna
3. Kulli kartay waqt halaq mein paani chala jaana
4. Aurat ya kisi mard ko chhunay waghairah say anzaal hojaana
5. Koi aisi cheez nigal jaana jo aadatan khaaye nahi jaati jaisay lakdi (wood), loha (iron) aur
kachchay gehon (wheat) ka dana waghairah
6. Lobhaan ya oodh waghairah ka dhunwa (smoke) qasdan naak ya halaq mein pahonchana,
beedi cigarette ya huqqah peena
7. Bhool kar kha-pee liya, yaad aanay par yeh khiyaal kiya kay ab to rozah jaata raha phir
qasdan kha-pee liya.
8. Raat ko samajh kar subah saadiq kay baad sehri khali
9. Din baaqi tha magar ghalti say yeh samajhkar kay aaftaab ghuroob hogaya hai, iftaar
karliya, in sub cheezon say rozah toot jaata hai magar sirf qaza waajib hoti hai kiffaarah
ada karna laazim nahi.
10.Albatta jaan-boojh kar biwi say suhbat karnay ya khanay-peenay say rozah toot jaata hai
aur is soorat mein qaza bhi laazim aati hai aur kiffaarah bhi, kiffaarah yeh hai kay 60
rozay mutawatir (continuous/without gap) rakkhay beech mein nagha hogaya to phir
shuru say 60 rozay pooray karnay padengay, aur agar rozah ki taaqat nahi to phir 60
miskeeno ko dono waqt (two times) pait bhar kar khaana khiladay.

WOH CHEEZEIN JIN SAY ROZAH NAHI TOOT-TA MAGAR MAKROOH HOJAATA HAI
1. Bila zaroorat kay kisi cheez ko chabana ya namak waghairah chakh kar thook dena, toothpaste ya manjan ya koilay say daant saaf karna, in sub sooraton mein rozah makrooh
hojaata hai.
2. Tamaam din haalat e janabat mein (baghair gusul kiye) rehna.
3. Fisd karaana ya kisi mareez kay liye apna khoon dena.
4. Gheebat yaani kisi ki ghair maujoodgi mein buraayi karna, jo har haal mein haraam hai,
rozay mein uska gunaah aur badh jaata hai.
5. Rozay mein ladna jhakadna, gaali-dena, khwaa insaan ko dijaaye ya kisi bhi jaanwar ko ya
be-jaan ko, in sub cheezon say rozah makrooh hojaata hai.
WOH CHEEZEIN JIN SAY ROZAH NA TOOT-TA HAI AUR NA MAKROOH HOTA HAI :
1. Miswaak karna

2. Sar ya moochon mein tail (oil) lagaana


3. Aankhon mein dawa ya surmah daalna
4. Khushboo sunghna
5. Kisi qisam ka injection lagwaana
6. Garmi ya shiddat e piyaas ki wajah say gusul karna
7. Halaq mein bila ikhtiyaar dhunwa ya gard ka chala jaana
8. Kaan mein paani bila iraadah chala jaana
9. Khud-ba-khud qhai aajaana
10.Sootay huay ahtelaam (gusul ki haalat) hojaana
11.Agar khuwaab mein ya suhbat karnay say gusul ki zaroorat pesh aagayi aur subah saadiq
honay say pehlay gusul na kiya aur usi haalat mein rozay ki niyyat karli to rozay mein koi
khalal waqeh nahi hoga

ZAKAAT KAY CHAND ZAROORI MASAAIL


ZAROORIYAAT E ZINDAGI :
Jaisay rehnay ka makaan, istemaal kay kapaday, bartan, sawaariyaan (car-scooter
waghairah) par zakaat waajib nahi.
ZAROORIYAAT E ZINDAGI KAY ALAAWAH :
Agar kisi kay paas 7 tola (87 gram 480 miligram) sona (gold) ya 52 tola (612 gram
360 miligram) chandi ya 52 chandi ki qeemat kay barabar naqad paisay ya samaan e
tijarat ho to is par zakaat waajib hogi.
Agar kisi kay paas sona ya chandi, naqad ya maal e tijarat kum miqdaar mein ho (yaani in
mein say kisi ka nisaab poora na ho) lekin in mein say koi 2 cheezein bhi itni miqdaar mein
ho kay unko milaanay say chandi kay nisaab ki qeemat kay barabar hojaaye to us par bhi
zakaat waajib hogi.
Agar kisi nay qarz liya ho to qarz minha (minus) karnay kay baad agar nisaab kay baqadar
maal hoto zakaat waajib hogi warna nahi.
Taweel muddati tijarati, sanati qarza jaat (business/industrial loans) ka hukum alag hai.
Tafseel kay liye dekhiye Aap zakaat kaisay ada karay by (Mufti Taqi Usmaani shb)
ZAKAAT KI TAREEKH
Chaand kay maheenay ki jis tareekh ko aadmi sahib e nisaab bana hai aglay saal usi tareekh
ko apnay saaray maal ka hisaab karkay zakaat nikaalna hoga.
Agar kisi ko woh tareekh yaad na ho to ab koi chaand ki tareekh mutaiyin (fix) karkay
aaendah usi tareekh ko hisaab karkay zakaat ada karay aur ahtiyaatan kuch ziyaadah ada
karay.
MAAL KAY HAR HISSAY PAR SAAL KA GUZARNA ZAROORI NAHI

Jaisay kisi kay hisaab ki tareekh 1st ramazaan ho aur woh saal bhar sahib e nisaab raha aur
1st ramazaan say ek din pehlay bhi agar uskay paas mazeed maal sona, chandi, naqad ya
maal e tijarat aaya ho to uski bhi zakaat dena hoga agarchay uspar ek hi din guzra ho.

Usi tarah nisaab kay upar jo maal hai sirf uski nahi balkay kul maal (saara maal) ki zakaat
dena hoga. Jaisay : kisi kay paas 10 tola sona hoto 7 kay upar waalay 2 tola ki nahi
balkay kul 10 tolay ki zakaat dena hoga.
ZAKAAT KI MIQDAAR
2 feesad (percent) kay hisaab say zakaat ada kijaayegi. Maslan Rs. 100 rupiye mein Rs.
2.50 (dhaayi) rupiye, Rs. 1000 rupiye mein Rs. 25 rupiye, ek lakh mein Rs. 2500 rupiye.
MASARIF E ZAKAAT
Fuqraa (jin kay paas nisaab kay baqadar maal na ho)
Masakeen (jo kisi bhi maal kay maalik na ho) zakaat kay mustahiq hain inko zakaat
maalikana ikhtiyaar kay saath dena chaahiye aur apnay qareebi rishtedaar, padosiyon, ahle
taalluq mein jo mustahiqqeen ho unki khud fikr kar kay un tak zakaat achchay andaaz mein
pahonchana chaahiye usi tarah jin deeni idaaron mein zakaat ka masraf ho aur qaabil e
aitemaad ho zakaat ada ki jaa sakti hai, usmein mustahiqqeen ki madad aur ishaat e ilm e
deen ki wajah say dohra (double) ajar hai.
AMAAL E JUMAH (FRIDAY SUNNATS)
Yaani jumah kay woh amaal jin ki hadees e paak mein khaas fazeelat aayi hai aur in par amal
karnay say har har qadam par ek saal nafil namaaz aur ek saal nafil rozay ka sawaab milta
hai, woh 6 amaal yeh hain :
1. Gusul karna
2. Masjid jaldi jaana
3. Paidal jaana
4. Imaam kay qareeb baithnay ki koshish karna
5. Koi laghoo kaam na karna
6. Khutbah ghaur say sunna
MASLAH : hukum yeh hai kay khutbah kay dauraan kisi qisam ka zikr, tilawat, tasbeeh
durust nahi khutbah ghaur say sunna waajib hai dauraan e khutbah khateeb ki dua par
ameen bhi baghair haath uthaaye dil hi dil mein kahay aur jab Rasoolullaah (SAWS) ka naam
aaye to durood e shareef dil hi dil mein padhay. Agar kisi ko kuch roak-toak karna ho to sar
aur haath kay ishaaray say kar saktay hain, zabaan say nahi, albatta khateeb ko ijaazat hai.

DUAAEN
RAJJAB AUR SHABAAN MEIN PADHNAY KI DUA : allaahumma baarik lanaa fee rajaba wa
shabaana wa bal lighnaa ramazaan.
NAYA CHAAND DEKHNAY KI DUA : allaahumma a-hil lahoo alainaa bil yumni wal eemaani
was-salaamati wal islaami wat taufeeqi limaa tuhib-bu wa tarzaa rabbee wa rabbu kallaah.
DUA E IFTAAR : allaahum-ma laka sumtu wa alaa riz-qika af-tartu

IFTAAR KAY BAAD KI DUA : zaha-baz zama-u wab tal latil urooqu wa sa-batal ajru in-shaa
allaahu
KISI DOOSRAY KAY YAHAAN IFTAAR KARNAY PAR DUA : af tara inda-kumus saa emoona wa a-kala taaa mukumul abraaru wa sallat alaikumul malaa-e-kah.
SHAB E QADAR KI KHAAS DUA : allaahum-ma in-naka afu-wun tuhib-bul afwa fafu annee
RAMAZAAN KA KHAAS ZIKR : laa e laaha illal laahu astagh firul laah
As alukal jan-nata wa aoozu-bika minan-naar
NAYE KAPDAY PAHENAY TO YEH DUA PADHAY : alhamdulil laahil lazee kasaanee maa
uwaaree bihee auratee wa a-ta jam malu bihee fee hayaatee
KISI KO NAYE KAPDAY PEHNAY HUAY DEKHAY TO YEH DUA PADHEIN : tublee wa
yukhli ful laah
EED KI MUBARAK BAADI IN ALFAAZ MEIN DEIN : taqab-balal laahu min-naa wa minkum
EED KI RAAT IBADAT KI FAZEELAT : farmaaya Rasoolullaah (SAWS) nay jo shakhs dono
eed ki raaton ko jaag kar ibadat ka ahtemaam karay uska dil us roz murdah na hoga jis roz
sab kay dil murdah hongay.
MASNOONAAT E EED UL FITR (EED KAY DIN KI SUNNATEIN):

1. subah ko bahot saweray utthay


2. sharah kay mutabiq apni araish karna
3. gusul karna
4. miswaak karna
5. umdah say umdah kapday jo paas moujood ho pahenna
6. khusboo lagaana
7. eed gaah jaanay say pahlay koi shireen (meethi) cheez khana
8. eed gaah mein bahot saveray jaana
9. eed gaah jaanay say pahlay sadqay fitr day dena
10.
eed ki namaz eed gaah jaakar padhna yaani shaher ki masjid mein bila
uzur na padhna
11.
jis raastay say jaaye us kay siwa doosaray raastay say waapis aana
12.
paidal jaana
13.
aur raastay mein ( allaahu akbar allaahu akbar laa e laaha illal
laahu wal laahu akbar allaahu akbar wa lil laahil hamd ) aahista aahista
awaaz say padhtay huay jaana chahiye
KUCH TARGHIBAAT O GUZARISHAAT :
1. zindagi bhar kay rozay ramazaan kay ek rozay ka badal nahi ho saktay (rozah rakhnay
say taqwa paida hota hai)
2. ramazaan nuzool e quraan ka maheenah hai
3. taraweeh chaand dekh kar shuru karein aur chaand dekh kar khatam karna
4. sadqay fitr ko eed ki namaaz say pehlay ada karna

5. shab e qadar ki ek raat 1000 maheeno ki ibadat kay barabar hai


6. ramazaan hijri calendar ka 9th (nawwa) maheenah hai
7. aakhiri ashray kay aitekaaf par 2 hajj aur 2 umrah ka sawaab hai
8. ramazaan ki ek farz = 70 farz aur ek nafil = ek farz kay sawaab kay barabar hai
9. ramazaan kay tamaam rozay aur shawwaal kay 6 rozay rakhnay par saal bhar rozay
rakhnay ka sawaab hai
10.ramazaan ka pehla ashrah rahmat, doosrah maghfirat aur aakhiri ashrah jahannam
say khulasi ka hai
11.khutbah sunna waajib hai chaahay eed ka khutbah ho ya jumah ka aur khutbay kay
dauraan baat karna durust nahi
12.aur ziyaadah malomaat kay liye kitaab Tohfay Ramazaan by Mufti Salmaan
Mansoorpuri Shb padhiye
NOTE : Is folder ka ahteraam karein aur ziyaadah say ziydaah logon tak pahoncha kar deen
ki ishaat mein hissa lein.

(1436 HIJRI YEAR 2015)

RAMAZAAN UL MUBARAK
Pocket Folder 2015
Compiled by :

Shaykh Hafiz Muhammad Ishaaq & Hafiz Abdul Hafeez


Faizi
Published by :

Maktabah Taleem e Baalighaan


(established : 2004)
Viqar Nagar, Cellar Oxford High School, Begumpet old airport, Hyderabad.
Phone : 98854 79221, 99666 63017
_____________________________________________________________________
Evening maktab for learning :
1. Nazirah Quraan
2.Noorani Qaaedah with Tajweed rules
3. Deeniyaat
4. Urdu

a project aakhirat initiative

Jin hazraat ko yeh paper na milay un say guzarish hai kay isko xerox karalein.
www.inabath.org
www.taubah.org

www.silsilaekamaliya.com
www.voiceofsunnah.net
www.mohammadabdulqavi.com
www.deeniyat.in
www.anwar-e-islam.org
www.shariat.info
www.faizeawliya.org
www.tasawwuf.org
www.khanqah.org
www.inkofscholars.org
www.darsequran.com
www.muftishuaibullahkhan.com
www.fikreakhirat.org
www.aajkasabaq.in
www.holypearls.com
ISLAMIC SMS (get weekly 1 msg) : type DEENIYAT send to 56767
In kay alaawah aur bhi chand amaal hain jin ka jumah kay din khaas ahtemaam karna
chahiye
1.
2.
3.
4.

Sooray Kahaf ki tilawat ( para no. 15 , total ayats -110 )


Durood e shareef ki kasrat, kam say kam 300 baar
Salaat tul tasbeeh padhna
Dono khutbo kay darmiyaan jab imaam mimbar par baithay to dil hi dil mein dua
karein
Ghuruub e aaftaab (maghrib) say pehlay dua karna kay us waqt dua qubool hoti hai

You might also like

pFad - Phonifier reborn

Pfad - The Proxy pFad of © 2024 Garber Painting. All rights reserved.

Note: This service is not intended for secure transactions such as banking, social media, email, or purchasing. Use at your own risk. We assume no liability whatsoever for broken pages.


Alternative Proxies:

Alternative Proxy

pFad Proxy

pFad v3 Proxy

pFad v4 Proxy