Elementary Islamic Education - Buniyaadi Deeni Taleem (Islamic Knowledge)
Elementary Islamic Education - Buniyaadi Deeni Taleem (Islamic Knowledge)
Elementary Islamic Education - Buniyaadi Deeni Taleem (Islamic Knowledge)
(ISLAMIC KNOWLEDGE)
8) Aap ko, chand, suraj, zameen aur aasmaan sub chizo ko kis nay paida kiya?
A) Allaah nay
9) Rozi kaun dayta hai aur dua kaun sunta hai? (Rozi = food)
A) Allaah
24) Shirk kisay kehtay hai? Aur us ki saza kya hai? shirk karnay walay ko kya kehtay hai?
A) Allaah ki zaat aur sifaat mein ghairul laah ko shareek karna shirk hai
Quraan mein Allaah nay farmaya – “jo shaks Allaah kay saath kisi ko shareek karayga, to us par
Allaah jannat ko haraam kardayga aur uska thikana jahannum hoga aur aisay zalimon ka koi
madadgaar na hoga”……………..shirk karnay walay ko ‘mushrik’ kehtay hai
(**note** : Allaah kay yahaan har gunaah ki muaafi hai magar shirk ki nahi)
25) Namaaz kisay kehtay hai?
A) Namaaz ek khaas tariqay say Allaah ki ibadat aur bandagi ko kehtay hai
28) Paancho farz namaazo aur juma ki namaaz ki rakaatay kitni hai batao? (* = sunnat e moakeda)
NAMAZ SUNNAT FARZ SUNNAT SUNNAT NAFIL VITR NAFIL TOTAL
FAJAR 2* 2 - - - - - 4
ZOHAR 4* 4 2* - 2 - - 12
ASAR 4 4 - - - - - 8
MAGHRIB - 3 2* - 2 - - 7
ISHA 4 4 2* - 2 3 2 17
JUMA 4* 2 4* 2* 2 - - 14
29) Kya juma aur eidien ki namaaz auraton par farz hai?
A) nahi
31) Namaaz padhnay ka kya faieda hai aur namaaz chood nay ka kya nuqsaan hai?
Huzoor SAWS nay farmaya – Allaah nay farmaya aur is baat ka ahed kiya hai kay jis nay 5 namaazo ko
waqt par pabandi say ada karayga to mein usko jannat mein dakhil karoonga aur jo usay pabandi say
ada nahi karayga to uskay liye maray paas koi ahed nahi hai’
Huzoor SAWS nay farmaya – jis shaks nay namaaz choodi woh Allaah say aisi haalat mein
milayga kay Allaah ussay saqt naraaz hoongay
35) Halaal aur haraam kya hai – unki kuch misaalein dejiye?
A) Halaal – jiskay istemaal ki Allaah aur uskay rasool (huzoor SAWS) nay ijazat di ho usko halaal
Kehtay hai
Haraam – woh bura amal jisay karnay ko Allaah aur uskay rasool (huzoor SAWS) nay sakhti say
mana kiya ho, Jis ka inkaar karnay wala kaafir hota hai aur us ka karnay wala fasiq aur azaab
ka mustahiq hota hai. Jaisay - sharaab peena, sood layna, chori karna wa ghairah.
36) Wajib namaazein kaun kaun si hai?
A) Witr aur eidain ki
40) Taraweeh ki namaaz kisay kehtay hai aur uski kitni rakaatein hai?
A) Ramazaan kay mahinay mein ishaa ki farz aur sunnat kay baad, witr say pahlay jo namaaz padhi
jaati hai usay tarweeh ki namaaz kehtay hai. Woh 20 rakat namaaz hai jo – dus salaam kay saath
dow(2) – dow(2) rakat say padhi jaati hai (**note** : taraweeh ‘sunnat e maukeda’ hai)
50) Nabi kisay kehtay hai? (Nabi / ambiya / rasool = messenger / prophet)
A) nabi woh hai jisko Allaah nay shariyat daykar loogon kay paas bheja ho
51) Jab kisi nabi ka naam aaye to kya padhna chahiye? (A.S. = Alaihis salaam)
A) Alaihis salaam (un par salamati ho)
52) Hamaray nabi kaun hai? (Hazrat Muhammad Mustafa SAWS = Huzoor SAWS)
A) hamaray nabi Hazrat Muhammad Mustafa SAWS hai
56) Kya Huzoor SAWS kay baad bhi koi nabi ya rasool ayeingay?
A) Huzoor SAWS Allaah kay akhiri nabi hai aap kay baad qiyamat tak koi naya nabi nahi aayega, aap
SAWS kay baad koi bhi nabi honay ka daawa karein woh jhoota hai
59) Jis sunnat ko aksar logon nay choor diya ho – us ko jinda karna ya us par amal karnay ki kya
fazilat hai?
A) Uspar 100 shaheedo ka sawaab hai (mishkaat – hadees)
Huzoor SAWS nay farmaya - ilm ka hasil karna har musalmaan mard aur aurat par farz hai - (hadees)
66) Huzoor SAWS ki nabuwwat kay waqt kitni umar e shreef thi?
A) Huzoor SAWS ki nabuwwat kay waqt 40 saal umar e shreef thi
67) Huzoor SAWS ki kitni umar huyi? (umar huyi = total age)
A) Huzoor SAWS ki 63 saal umar huyi
68) ‘Ahle bait’ kisko kehtay hai? (ahle bait = ghar waalay)
A) Huzoor SAWS kay ghar waalon ko ahle bait kehtay hai jaisay – aap SAWS ki azwaaj e mutahharaat
(biwiyaan), ladkay, ladkiyaan, nawasay, nawasiyaan, chacha aur qareebi ristaydaar ko ahle bait
Kehtay hai
69) Huzoor SAWS ki kitni biwiyaan thi?unkay naam batao? (Biwi = wife)
A) Huzoor SAWS ko 11 biwiyaan thi – unkay naam yeh hai -
1. Khadijah (Razi allaahu anha)
2. Saudah (Razi allaahu anha)
3. Aisha (Razi allaahu anha)
4. Hafsah (Razi allaahu anha)
5. Zainab bint khuzama (Razi allaahu anha)
6. Umme Salma (Razi allaahu anha)
7. Zainab bint Jahsh (Razi allaahu anha)
8. Juwairiya (Razi allaahu anha)
9. Umme Habiba (Razi allaahu anha)
10.Safiyah (Razi allaahu anha)
11.Maymoonah (Razi allaahu anha)
ilm kay baghair amal tabahi hai – amal kay baghair ilm wabaal hai
70) Huzoor SAWS kay kitnay ladkay hai – unkay naam batao?
A) Huzoor SAWS kay 3 ladkay hai – unkay naam yeh hai –
1) hazrat Ibraheem (R.A)
2) hazrat Qasim (R.A)
3) hazrat Abdullaah (R.A)
71) Huzoor SAWS ki kitni ladkiyaan hai – unkay naam batao?
A) Huzoor SAWS ki 4 ladkiyaan hai – unkay naam yeh hai -
1) hazrat Zainab (R.A)
2) hazrat Umme Kulsum (R.A)
3) hazrat Ruqaiyya (R.A)
4) hazrat Faatimah (R.A)
75) Seerat kisay kehtay hai? (Biography = seerat e tayyibah / hayaat e tayyibah)
A) Huzoor SAWS ki zindagi kay haalaat ko seerat kehtay hai
Huzoor SAWS nay farmaya – tum mein say behtareen shaks woh hai jo quraan e shareef seekhay aur sikhaye – (hadees)
82) Quraan kis tareeq ko, kahaan aur kab nazil hua?
A) Quraan ramazaan ul Mubarak kay mahinay mein, shab e qadar ki raat ko, Makka Mukarramah
mein Ghaar e Hira mein nazil hua
90) Quraan ka maqsad kya hai aur quraan kay huqooq kya hai?
A) Quraan ka maqsad ‘tamaam insaniyat ki hidayat’ hai
Quraan kay 6 huqooq :
1. quraan ka pahla haq yeh hai kay quraan par imaan laya jaaye
2. doosra haq yeh hai kay quraan ko padha jaaye
3. teesra haq yeh hai kay quraan ko samjha jaaye
4. quraan ka chutha haq yeh hai kay quraan par amal kiya jaaye
5. quraan ko aagay pahonchaya yaani uski taleem ko aam kiya jaaye
6. quraan kay nizaam ko apni zaat par khandaan par shaher par mulk par aur saari duniya
par nafiz kiya jaye
93) Quraan aur sunnat ki pairwi (maannay) kay baaray mein Huzoor SAWS nay kya farmaya?
A) Huzoor SAWS nay farmaya – mein nay 2 cheezein tumhaaray darmiyaan choodi hai tum jab tak
un doono ko mazbooti say thaamein rahogay to kabhi gumraah na hogay – woh ‘quraan aur meri
sunnat’ hai
94) Quraan atak - atak kar padhnay ka kya ajar hai? (Ajar = sawaab)
A) Huzoor SAWS nay farmaya – jo shaks quraan ko atak atak kar padhta hai aur us mein mashaqat
uthata hai us kay liye duhra (2) ajar hai
95) Quraan ko saal mein kitnay baar khatam karna quraan ka haq hai ? Quraan padhnay ki ek fazilat
batao?
A) saal mein 2 baar khatam karna quraan ka haq hai. Huzoor SAWS nay farmaya – quraan ki tilawat
kiya karo is liye kay qiyamat kay din yeh (quraan) apnay saathi padhnay waalay ki shifarish
karayga
109) duniya mein jannat ki basharat kitnay loogon ko di gayi ? unkay naam batao? (ashra = 10)
A) duniya mein jannat ki basharat 10 loogon ko di gayi jin ko ‘ashray mubashshrah’ kehtay hai
1) Hazrat Abu Bakr Siddiq (R.A)
2) Hazrat Umar Farooq (R.A)
3) Hazrat Usmaan Ghani (R.A)
4) Hazrat Ali Murtuza (R.A)
5) Hazrat Abdur Rahman bin Auf (R.A)
6) Hazrat Talha Bin Ubaidullah (R.A)
7) Hazrat Zubair Bin Al Awam (R.A)
8) Hazrat Saad Bin Abi Wiqas (R.A)
9) Hazrat Abu Ubaida Bin Al Jarrah (R.A)
10) Hazrat Saeed Bin Zaid (R.A)
117) Qiyamat mein sub say pahlay kis cheez ka hisaab hoga?
A) Namaaz ka
120) insaan kay marnay kay baad qabar mein kaunsay sawalaat kiye jayeingay?
A) insaan kay marnay kay baad qabar mein yeh 3 sawalaat kiye jayeingay-
tumhara rab kaun hai?
tumhara deen kya hai?
tumhara nabi kaun hai?
121) Jannat kya hai aur jannat mein kaun log jayeingay?
A) Allaah nay apnay neik bando kay liye apnay paas ek nihayat aaraam aur raahat wali jagah
banaye hai – usko jannat kehtay hai
122) Jannat ka woh kaunsa darwaza hai jis say sirf rozaydaar dakhil hoongay?
A) Baabur raiyaan
123) Jahannum kya hai aur jahannum mein kaun log jayeingay? (Jahannum = dozakh)
A) Allaah nay apnay na farmaan aur kaafir bando kay liye ek nihayat takleef dah thikana banaya
hai – usko jahannum kehtay hai
Huzoor SAWS nay farmaya – gunaah par sharminda hona tauba hai - (hadees)
127) Faristay kisay kehtay hai? Chaar (4) mashoor fariston kay naam batao? (faristay = malaieka)
A) faristay Allaah ki noorani maqlooq hai – jo Allaah kay har hukum ko maantay hai aur kisi hokum
ki nafarmani nahi kartay
Chaar (4) mashoor fariston kay naam yeh hai : 1) hazrat Jibra’eel (A.S)
2) hazrat Meka’eel (A.S)
3) hazrat Isra’feel (A.S)
4) hazrat Izra’eel (A.S)
128) Huzoor SAWS nay kahaan say aur kis shaher ko hijrat ki?
A) Huzoor SAWS nay Makka say Madina ko hijrat ki
135) islaam mein kitnay eidien hai aur unkay naam batao? (Eidien = festivals)
A) islaam mein 2 eidien hai 1) Eid ul fitr 2) Eid ul azhaa
Huzoor SAWS nay farmaya – meri baatein duusron tak pahonchao agar chay ek hi baat ho - (hadees)
144) Bid’aat kay baaray mein huzoor SAWS nay kya farmaya?
A) Huzoor SAWS nay irshaad farmaya hai ‘jisnay hamaray deen mein koi aisi baat nikaali jo us
mein nahi to woh mardood hai’ (Bukhari shareef)
146) Mardon kay satar kahaan tak hai? (Mardon = men / boys)
A) naaf say laykar guthno tak
147) Mardon ko takhnay neechay paijama ya lungi wa ghairah pahenna kaisa hai?
A) us say hamaray Huzoor SAWS nay sakhti say mana farmaya hai aur us par jahannam ki waeed
sunaye hai aur yeh mutakabbireen aur gunaahgaaro ka tareeqa hai us say bachna laazim hai
(**note** : magar aurton kay liye takhnay dhaankna laazim hai)
148) Auraton ka satar kahaan tak hai?
A) chehray aur hateliyon kay siwa aurat kay liye poora jism satar mein dakhil hai
(**note** : na mehram say parda karnay mein chehra aur hateliyon ka bhi chipana laazim hai)
150) Kisi ki satar ko dekhnay ka kya gunaah hai? (Uzur = wajah, laanat=bahot ghussa)
A) Huzoor SAWS nay farmaya – Allaah laanat kartay hai, us shaks par jo jaan booj kar kisi ki satar
ko dekhta ho aur us par bhi laanat hai jo bina kisi uzur kay satar dhikhatay ho
152) Musahfa ek haat say karna chahiye ya do haath say? (Musahfa = haat milana)
A) Musahfa doono haat say karna chahiye
153) Asma e husna kisay kehtay hai? (asma e husna = Allaah kay sifaati naam)
A) Allaah kay naamo ko asma e husna kehtay hai
157) islaam ki teen mashoor masjido kay naam kya hai? (Mashoor = famous)
A) Masjid e haraam, masjid e nabawi aur masjid e aqsa
167) islaami maloomaat kisay kehtay hai? (islaami maloomaat = islamic knowledge)
A) Deen islaam ki baatein jaan laynay ko islaami maloomaat kehtay hai
168) ilm e deen hasil karnay say kya milega? (ilm e deen = islamic knowledge)
A) Huzoor SAWS nay farmaya kay jo shaks ilm e deen hasil karnay ki koshish karta hai - Allaah
us kay liye jannat ka raasta asaan farmadaytein hai
171) Deen ka ilm rakhnay walay ko kya kehtay hai? (aalim = moulana / scholar)
A) Aalim
173) Huqooq kya hai aur uski kitni qismay hai? (Huqooq = rights)
A) Huqooq woh hai – jin ki adayegi humaray upar farz hoti hai.
Huqooq ki 2 qism hai
1. huqooq ul laah – yaani Allaah kay huqooq jaisay – namaaz, roza, zakaat, hajj wa ghaira
2. huqooq ul e’baad – yaani bando kay huqooq jaisay – maa-baap kay huqooq, aulaad kay huqooq, padosi
kay huqooq wa ghairah
177) Talbaa (students) par ustaad (teacher) kay kya huqooq hai? (talib e ilm – student)
A) Ustaad bhi maa-baap ki tarah hai – isliye ustaad ka bahot adab aur ahteraam karein aur unki
baton ko maanay – unki khidmat karein aur hamesha uskay liye dua karein
179) Namaaz say pahlay haat, muuh, pair aur sar ka masah karnay ko kya kehtay hai?
A) Wuzu
182) Aab e zam – zam kya hai? (Aab e zam - zam = zam - zam ka paani)
A) Barkat waala paani jis ka ku’aan kaaba kay paas hai
Huzoor SAWS nay farmaya – neiki ki raah batanay waala, neiki karnay waala ki tarah hai
-Deen aasaan hai -Paaki aadha emaan hai -haya emaan ka hissa hai -achchi baat karna neiki hai - (hadees)
183) Sadqay jariyah kisay kehtay hai? (sawaab e jariyah = sadqay jariyah)
A) Koi aisa neik kaam jis ka sawaab marnay kay baad bhi milta rahay jaisay masjid ki tameer karna,
ku’aan kudhwana jis ka paani loog istemaal karein wa ghairah
184) Esaal e sawaab kisay kehtay hai? (marhumeen = jin ka inteqaal hogaya ho)
A) ibadat e maaliyah (maal) ya tilawat e quraan ka sawaab marhumeen ko bhejna esaal e sawaab
kehlata hai jaisay – Sadqa, hajj wa ghairah
185) Gaana sunna kaisa hai? (Gaana = songs / music)
A) Huzoor SAWS nay farmaya gaana sunnay say dil mein nifaaq paida hota hai aur irshaad farmaya
kay qiyamat kay din aisay logon kay kaano mein seesa pighla kar daalajayega, isliye gaana
sunnay aur sunaanay say bachna laazim hai
186) Tasveer khichna aur khichwana ya jaandaar tasveer banana kaisa hai? (Tasveer = photograph)
A) bahot bada gunaah hai - Huzoor SAWS nay farmaya aisay logon ko qiyamat kay din saqt azaab
hoga
187) Qiblay ki taraf muuh ya peeth karkay istenjaa karna kaisa hai?
A) Aisa karna gunaah hai
189) Kapday ya jism par payshaab kay chitay padh jaaye to kya karein?
A) fauran dho liya jaaye kyunki Huzoor SAWS nay farmaya kay payshaab kay chiton say bacho
kyunki qabar mein azaab payshaab say na bachnay ki wajah say hota hai
190) Jhoot bolna kaisa hai?
A) jhoot bolna bahot bada gunaah hai – ussay aadmi halakat mein parjata hai
195) Sood layna dayna, sood khana aur sood kay kisi bhi muaamlay mein padhna kaisa hai?
A) Haraam hai (sood = interest)
MOMIN KAY LIYE DUA KARNA : jo shaks mumin mard aur auraton kay liye dua e maghfirat karein to
usay har mumin mard aur aurat kay badlay Allaah ek neiki ata kartein hai
KALIMA PADHNA : jo bhi banda kisi waqt din ya raat mein ‘LAA E LAAHA ILLAL LAAH’ kehta hai to us
kay burayiyaan mit jaati hai aur us kay badlay neikiyaan likh di jaati hai
QURAAN KI TILAWAT : jo bhi shaks quraan ka ek bhi lafz padhay usay 10 neikiyaan milti hai aur alif laam
meem ek harf nahi balkay alif ek harf hai aur laam ek harf hai aur meem ek harf hai – jis par 30 neikiyaan
milti hai
SALAAM KARNA : kisi musalmaan ko ‘as salaamu alaikum wa rahmatul laahi wa barakatuh’ kay alfaaz
say salaam karnay par 30 neikiyon ka sawaab milta hai
DUROOD E SHAREEF : juma kay din asar ki namaaz padh kar usi jagah baith kar yeh durood 80 baar
padhnay par 80 saal kay neikiyaan miltay hai aur 80 saal kay gunaah muaaf hotay hai
“ ALLUMMA SALLI A’LA MUHAMMADIN NIN NABI YIL UM’MI’YI WA ALA AA’LIHI WASAL’LIM
TASLEEMAA” aur jis nay ‘JAZ ALLAAHU ANNAA MUHAMMADAM MAA HUWA AHLU’ ek baar
padha us kay liye 70,000 faristay ek saal tak neikiyaan likhtay rahengay
QURAAN KA SAWAAB : 3 baar suray fatiha padhnay par 2 quraan ka sawaab hai, 4 baar ayatal kursi
padhnay par 1 quraan ka sawaab hai, 4 baar suray qadar padhnay par 1 quraan ka sawaab hai,2 baar
suray zilzaal padhnay par 1 quraan ka sawaab hai, 2 baar suray al adiyaat padhnay par 1 quraan ka
sawaab hai, 4 baar suray nasr padhnay par 1 quraan ka sawaab hai, 4 baar suray kafiroon padhnay par 1
quraan ka sawaab hai, 1 baar suray yaseen padhnay par 10 quraan ka sawaab hai.
SURAY TAKASUR : 1 baar suray takasur padhnay par 1000 quraan ki ayatein padhnay ka sawaab hai
LA HAULA WALAA QUWWATA ILLAA BIL LAAH : padhnay mein 99 bimariyon ki dawa hai aur sub say
halki bimari fikar aur parayshani hai
LAA E LAAHA ILLAL LAAHU WAHDAHOO LAA SHAREEKA LAHOO A’HADAN SAMADAN LAM YALID
WALAM YUU’LAD WALAM YA KUL’LAHOO KUFUWAN A’HAD : ek baar padhnay walay kay liye 20,000
neikiyaan likhijati hai
ALLAAHUM’MA A’JIRNEE MINAN NAAR : yeh dua har roz fajar aur maghrib kay baad 7 baar padhi jaaye
to Allaah usay jahannum ki aag say mehfooz rakheingay
199) kisi ghair-muslim ko agar musalmaan banna hoto kya karna chahiye? (maanay = meaning)
maanay samajh kar dil say maannay aur zubaan say is baat ki gawahi day kay - “Allaah kay siwa koi
ibadat kay layaq nahi aur Muhammad SAWS Allaah kay rasool hai”
( yaani kalima shahadat padhay -
‘Ash hadu al laa e laaha il’lal laahu wa ash hadu an’na muham’madan abduhoo wa rasooluh’ )
Phir ghusl karkay paak hojaaye
Achcha sa islaami naam rakhay
ilm e deen sikhay – jaisay wuzu,ghusl wa ghairah aur quraan sikhay aur us ki tilawat karay
Namaazo aur duusray islaami ahkaam ki pabandi karein
Aur ulema (aalim) say madat aur rahnumayi hasil karein
3rd KALIMA TAMJEED : SUBHAANAL LAAHI WAL HAMDU LIL LAAHI WA LAA E LAAHA ILL LAL
LAAHU WAL LAAHU AKBAR, WALA HAULA WALA QUW’WATA IL’LAA
BIL’LAA HIL ALI YIL AZEEM.
(Allaah ki zaat har aieb say paak hai aur tamaam tareefein Allaah hi kay liye hai aur Allaah kay
siwa koi mabood nahi aur Allaah sub say bada hai aur nahi hai gunaahon say bachnay ki taqat
aur neiki karnay ki ki quwwat magar Allaah ki taufeeq say jo buland hai azmat wala hai)
4th KALIMA TAUHEED : LAA E LAAHA IL’LAL LAAHU WAH DAHOO LAA SHAREEKA LAHOO, LAHUL
MULKU WA LAHUL HAMDU WAHUWA A’LAA KUL’LI SHAI IN QADEER.
(nahi hai koi ibadat kay layaq siwa e Allaah kay woh akayla hai uska koi shareek nahi – usi kay
liye mulk hai aur uski tareef hai aur woh har cheez par qaadir hai)
EMAAN E MUJMAL : AAMANTU BIL LAAHI KAMAA HUWA BI ASMAA E HEE WA SIFAA TIHEE WA
QABILTU JAMEE'A AH-KAAMIH.
(emaan laya mein Allaah par jaisa kay woh apnay naamo aur sifaton kay saath hai aur mein nay
us kay tamaam ahkaam qubool kiye)
NOOR BAITULMAAL
Office : 12/2 R.T., Prakash Nagar, Begumpet, Sec-bad-03, India.
Contact : 98854 79221, 040- 27762512
______________________________________________________________________________________________
Centre for providing financial assistance to poor muslims widows
(Donation of Zakaat , Sadqaat & Qurbani Skins are invited)
TALEEM E BALIGHAAN
(A division of Madarsa Siddiqia Arabia)
Viqar Nagar, Oxford High School,
Principal : Hafiz Mohd. Ishaaq (Khateeb Masjid e Arqam) Ph : 98854 79221
Hafiz Abdul Hafeez (Naib Imaam Masjid e Arqam) Ph : 99666 63017
______________________________________________________________________________________________
Centre for learning :
1. Nazirah Quraan 2. Arabi Qaedah with Tajweed
3. Deeniyaat 4. Urdu
you can send suggestion & comments or any Islamic material, books or websites you
have etc. &
if you need any Islamic books, articles & materials etc. please mail me –
AKHILISM@GMAIL.COM
_______********_______