6 Number

Download as doc, pdf, or txt
Download as doc, pdf, or txt
You are on page 1of 5

6 NUMBER

Deen par chalna aajaye isliye buzurgan e deen nay quran wa hadees ki
raushni mein 6 baatein bataye hai jin par mehnat karkay zindagi mein
laanay say inshallah deen par chalna asaan ho jaata hai.
________________________________________________________________________________
1. IMAAN
MAQSAD: Hum ko apne imaan par itni mehnat karna hai kay hamaray dilon mein sirf Allah say
honay ka yaqeen aajaye aur yeh yaqeen aajaye kay Mohammed SAWS kay tareeqon
mein saw fisad kamiyaabi hai aur ghairon kay tareeqon mein saw fisad nakami hai.

FAZAIL: # sirf yaqeen ki tabdeeli par Allah jallashanahu har aadmi ko is duniya say kaee guna
badi jannat dengay, jab cheezo say honay ka yaqeen dil say nikal jaayeega aur Allah
say honay ka yaqeen aajaeega to Allah ta’ala saari cheezo ko aapnay taabay banaeegay
# jab Hazrat Mohammed SAW kay tareeqay zindagi mein aaeengay to Allah jallashanahu ki zaat
e aali say taaluq paida hoga Allah jallayshanahu ki khudrat say barah e rast faiday uthanay
walay banengay aur Allah jallashanahu har nakhshay mein kaamiyaab karkay dekhla dayga.

MEHNAT:
i) Is yaqeen ko apnay andar lanay kay liye ek to doosro ko Allah say hone ki dawat
dena hai aur Allah ki badaaye samjhana, Allah ki raboobiyat samjhana (yaani Allah
hi paalnay walay hai), Allah ki qudrat (taaqat) samjhana, kay kaise  har cheez Allah
kay hukum ki mohtaaj hai, aur phir Ambiya (A.S) aur Sahaba (R.A) kay wakeayaat
sunanay hai.

ii) doosra jis yaqeen ki majmue mein dawat di hai us yaqeen ko tanhaaeoon me baith
kar khoob soonchna aur dil mein utaarna.

iii) teesra ro ro kar Allah say dua mangna hai kay aye Allah hamay is yaqeen ki haqeeqat say
nawaazday
________________________________________________________________________________
2. NAMAZ:

MAQSAD: hum ko apni namaz par itni mehnat karna hai kay hamari namaz haqeeqat wali ban
jaaye.

FAZAIL: agar hamari namaz haqeeqat wali ban gayee to hum namaz kay zariye, Allah ki qudrat
say barah e rast faiday uttha nay walay aur namaz kay zariye hum apni har zaroorat
ko pura karnay walay ban jaayeingay, aisi namaz par Allah jallashanahu gunahon ko
maaf karengay, rizq mein barkat deengay aur it’aat ki taufeeq bhi deengay.
(namaz kay fazail ki hadees bolna - see fazail e namaz)

MEHNAT:
i) is haqeeqat wali namaz ko seekhnay kay liye ek to doosro ko khushoo aur
khuzoo wali
namaz ki dawat dena aur is mein duniya aur akhirat kay faiday samjhakar amaada karna
hai, Huzoor (SAWS) aur Sahaba (R.A) kay namaz ko sunana.
(see fazail e amaal mein hikayat sahaba mein sahaba kay namaz ke waqeaat - usko bolna)

ii) doosra apni namaz ko accha karnay ki mashk karna hai-yaani ehtamaam say wazu
karna,
sar say lay kar pair tak Allah ki riza wali, maqsoos - tareeqay par pabandeoon kay saath
ankhon ka, kaano ka , zabaan ka, hathon ka, pairon ka - istemaal theek karna, dil mein
Allah ka khauf ho aur is baat ka yaqeen ho kay namaz mein Allah kay hukum kay mutabiq
meri har harkat ho tasbeeh, ruku, sajda, saari kainath say ziyaada inamaat delanay wali
hai, namaz mein ehtemaam say dhiyaan jama na hai, iskay liye qiyaam mein, qhaiday
mein, ruku mein, sajday mein kum se kum 3 baar yeh soonchna kay meray Allah mujhay
dekhrahay hai, agar hum is dhiyaan kay saath namaz padhengay ki meray Allah mujhay
dekhrahay hai to namaz ki bahar wali zindagi mein bhi Allah ka dhiyaan naseeb hoga aur
gunahoo say mehfooz rahengay.

iii)Namaz ke khatam par yeh soonchna kay meri namaz Allah ke shaan kay mutabiq
nahi huye is par rona aur dua maangna kay aye Allah hamari namaz mein haqeeqat
paida farma.
_____________________________________________________________________________
3. ILM:

MAQSAD:humko apnay ilm par itni mehnat karna hai kay hamaray andar tehqeeq ka jazba
paida ho jaye kay is haal mein meray Allah mujh say kya chahtay hai aur har amal
say pehlay Allah ka hukum aur Aap (SAWS) ka tareeqa maloom karnay walay ban
jaaye aur zidagi ka koi shoba aisa nahi hai jisko Huzoor (SAWS) karkay dekhla na
gaye ho ya phir apnay Sahaba (R.A) ko batla na gaye ho.

FAZAIL: # jo aadmi deen seekhnay ke liye safar karta hai uska yeh safar ibaadat mein likha jata
hai aur uskay liye sattar(70,000) hazaar farishtay pairon kay neechay par bicha
daytay hai aur zameen aur asmaan ki saari maqlooq dua e maghfirat karti hai
# shaitan par ek alim hazaar abidon say ziyaada bhaari hai.
(see fazail e ilm in muntaqab hadees and fazail e amaal - aur hadees bolna)

MEHNAT:
i) apnay andar tehqeeq ka jazba paida karnay kay liye ek to doosro ko ilm kay fazail
sunana yaani dawat dayna aur ilm hasil karnay ka shauq paida karnay ki koshish
karna hai. Sahaba (R.A) kay waqeaat sunana kay kaisa Sahaba (R.A) ek hadees
sekhnay kay liye duur ka safar kartay the (see hikayat shaba ilm seekhne ka jazba)

ii) doosra khud taleem kay halqon mein baith kar ilm sekhnay ki mashk karna hai aur
ulema ki khidmat mein haaziri dayna hai is yaqeen kay saath - kay yeh bhi ibaadat
hai

iii) teesra ro ro kar dua maangna kay aye Allah ilm ki haqeeqat say nawaazday
________________________________________________________________________________
ZIKR:
MAQSAD: hum ko zikr par itni mehnat karna hai kay hamaray andar Allah ka dhiyaan paida ho
jaaye

FAZAIL: jo aadmi Allah jallashanahu ko yaad karta hai Allah jallashanahu usko yaad kartay hai
#jab tak aadmi kay hont Allah kay zikr mein haltay rehtay hai Allah taala uskay saath
hotay hai # Allah ka zikr karnay par Allah taala apni mohabbat aur maarifat (pehchaan)
ata farmatay hai #Allah ka zikr shaitaan say hifaazat ka zariya hai (see fazail e zikr)
MEHNAT:
i) apnay andar Allah ka dhiyaan paida karnay kay liye ek to doosoron ko Allah kay zikr
karnay ki targheeb day kar amaada karna hai  (sahaba ke waqeaat sunana)

ii) doosra khud dhiyaan jama kar meray Allah mujhe dekh rahein hai kum say kum
subah aur shaam, teen teen tasbeehaat ki pabandi karna hai -durood shareef,
-isteghfaar, suwwam kalima aur quran shareef seekh kar rozaana kum say kum ek
paaray ki telawat karna hai aur masnoon duaoon ka ehtemaam karna hai

iii) teesra ro ro kar Allah say mangna hai kay aye Allah apna dhiyaan naseeb farma.
________________________________________________________________________________
4. IKRAAM E MUSLIM:

MAQSAD: hum ko ikraam e muslim par itni mehnat karna hai kay har musalmaan ka uskay
imaan wala hoonay ki wajeh say ikraam karna hai aur har musalmaan ka ba-
haiseyat Rasool SAWS kay ummati honay kay ikram karna hai aur har ummati kay aagay bich
jaana hai aur har shaks kay huqooq ko ada kartay huye apnay huqooq ko maaf karna aajaye.

FAZAIL: # jo aadmi musalmaan ki parda pooshi karega Allah jallashanahu uske aibon ki parda
pooshi farmayengay
# jab tak imaan wala apnay bhai kay kaam mein laga rehta hai Allah jallashanahu uskay kaam
mein lagay rehtay hai
# jo apnay haq ko maaf karega Allah jallahshanahu jannat kay beech mein mahal ata
farmayengay
# jo Allah kay liye doosron kay aagay zaleel hota hai Allah jallashsnahu usko rafat wa
sarbulandi ata farmatay hai.

MEHNAT:
i) apnay andar ikraam paida karnay ke liye ek to doosron ko musalmaan ki qeemat
batana hai kay (har imaan wala saato zameen aur saato asmaano aur jo kuch ismay
hai ussay bhi bahut qeemti hai) ikraam ki targheeb dena hai, Huzoor Akram SAWS
aur Sahaba (R.A) kay akhlaaq wa e’saar kay waqeaat ko sunana hai

ii) doosra khud iski mashk karna hai (doosron ki khidmat karkay)

iii) teesra ro ro kar Allah jallashanahu say Huzoor SAWS walay akhlaaq ko mangna hai.
_____________________________________________________________________
5. IKHLAAS E NIYYAT:

MAQSAD: hum ko apni niyyat  ko durust karnay par itni mehnat karna hai kay har amal mein
sirf Allah ko razi karnay ka jazba paida ho jaye kisi amal say duniya ki talab aur apni
haisiyat maqsood na ho.

FAZAIL: # Allah ki riza kay jazbay kay saath thoda sa amal bhi bahut baday - baday inamaat
dilanay wala hai aur iskay bagair bahut baday - baday amal giraft ka sabab banengay
# ikhlaas say kiya hua ra’e kay danay kay barabar wala amal bhi qiyamat mein uhad
ka pahaad say bhi bada ajar dilayega aur ikhlaas kay bagair agar uhad pahaad kay
barabar bhi amal kareingay to woh ra’e kay danay kay barabar bhi ajar nahi delayega.
MEHNAT:
i) apni niyyat ko durust karnay kay liye ek to doosron ko dawat kay zariye niyyat ko
sahi karnay ki fikar aur shauq paida karnay ki koshish karein

ii) doosra apnay har amal say pehlay aur amal kay dauraan niyyat ko durust karnay ki
mashk karna hai kay - mein yeh amal sirf Allah ko raazi karnay kay liye kar rahaa
hoon

iii) teesra - amal kay puray honay par apni niyyat ko naqis kharaar day kar tauba wa
isteghfaar karna hai aur ro ro kar Allah say ikhlaas ki taufeeq mangna hai.
______________________________________________________________________
6. DAWAT E IL’LAL’LAAH:

MAQSAD: Huzoor Aqdas SAW ke khatm e nabuwwat kay tufail puri ummat ko dawat wali
mehnat mili hai aur hum is mehnat ko itna karnay walay ban jaaye kay hamara
apna aur Allah kay tamaam bandon ka taalluq Allah say ho jaaye.

FAZAIL: # jo zameen waalo par raham karta hai asmaan waala us par raham karta hai
# jo doosron ka taalluq Allah say joodnay kay liye imaan wa amaal e saleh ki mehnat
karayga, Allah jallahshanahu sub say pehlay usko imaan wa amaal e saleh ki
haqeeqat say nawaaz kar apna taalluq ata farmaengay
# is rastay mein ek subah ya ek shaam ka nikal na puri duniya mein jo kuch maal hai aur jo kuch
amaal ho rahay hai un sub say behtar hai
# is mehnat mein maal ka kharch karna, Allah ka har zikr wa tasbeeh, har namaz ka sawab saath
lakh (700000) guna bard jata hai
# is mehnat ko karnay walon ki dua bani israeel kay ambiya alaihis-salaam ki tarah qubool hoti
hai yaani jistarah unki duaoon par Allah jallashanahu nay zahir kay khilaaf apni khudrat ko
istemaal farma kar unko kamiyaab farmaya batil ko toord diya usi tarah is mehnat walon ki
duaoon par Allah jallahshanahu zahir ke khilaaf apni khudrat ka muzahera farmaengay
# agar aalami buniyaad par mehnat ki jaaye to tamaam ahle aalam kay quluub mein is mehnat
kay asar say Allah jallahshanahu tabdeeliyaan layengay.

MEHNAT:
i) deen kay doosray amal ki tarah hum nay yeh mehnat karnay nahi aaye is mehnat
ko seekhnay ke liye ek to doosron ko is mehnat ki ahmiyat wa qeemat bata kar us
mehnat kay karnay kay liye amaada karna hai

ii) ambiya alaihis-salaam aur Sahaba (R.A) walay tarz par apni jaan wa maal ko
qurbaan karna, hijrat wa nusrat walay amaal mein apnay-aap ko lagana hai aur jin
mein mehnat karein unsay kisi cheese kay talib na bannay, har haal mein Allah kay
raastay mein nikalnay ki mashk karna hai, jaisay kay Sahaba (R.A) Allah kay
raastay mein nikalay - nikah kay waqt, rukhsati kay waqt, ghar mein wiladat kay
waqt, wafaat kay maukhay par, sardi mein, garmi mein, bhook mein, fakhay mein,
quwwat mein, zauf mein, jawaani mein, budhapay mein

iii) teesra ro ro kar dua maangna kay aye Allah hamay is aa’li mehnat kay liye qubool farma
 

You might also like

pFad - Phonifier reborn

Pfad - The Proxy pFad of © 2024 Garber Painting. All rights reserved.

Note: This service is not intended for secure transactions such as banking, social media, email, or purchasing. Use at your own risk. We assume no liability whatsoever for broken pages.


Alternative Proxies:

Alternative Proxy

pFad Proxy

pFad v3 Proxy

pFad v4 Proxy