Song Name: Tujh Mein Rab Dikhta Hai Album Name: Singer Names:, Lyricist Name: Music Director

Download as docx, pdf, or txt
Download as docx, pdf, or txt
You are on page 1of 6

Song Name: 

 Tujh Mein Rab Dikhta Hai

Album Name:  Rab Ne Bana Di Jodi
Singer Names: Roop Kumar Rathod,
Lyricist Name: Jaideep Sahni
Music Director: Salim Merchant, Sulaiman Merchant
Tu Hi To Jannat Meri
Tu Hi Mera Jind
Tu Hi To Mannat Meri
Tu Hi Rooh Ka Sookun

Tu Hi Ankhiyo Ki Thandak
Tu Hi To Dil Ki Hai Dastak
Aur Kuch Naa Jaanu Main
Bas Itna Hi Jaanu..

Tujh Mein Rab Dikhta Hai

Yaara Main Kya Karu
Tujh Mein Rab Dikhta Hai
Yaara Main Kya Karu

Sajde.. Sar Jhukta Hai

Yaara Main Kya Karu
Tujh Mein Rab Dikhta Hai
Yaara Main Kya Karu

Kaisi Hai Ye Doori

Kaisi Majboori
Maine Najaro Se Tujhe Chhoo Liya..

O Ho O..
Kabhi Teri Khushboo
Kabhi Teri Baate
Bin Maange Ye Jahaan Paa Liya..

Tu Hi Dil Ki Hai Ronak

Tu Hi Janmo Ki Daulat
Aur Kuch Naa Jaanu Main
Bas Itna Hi Jaanu..

Tujh Mein Rab Dikhta Hai

Yaara Main Kya Karu
Tujh Mein Rab Dikhta Hai
Yaara Main Kya Karu

Sajde.. Sar Jhukta Hai

Yaara Main Kya Karu
Tujh Mein Rab Dikhta Hai
Yaara Main Kya Karu

Rab Ne...Banadi..Jodi....
Hi...

Chham Chham Aaye

Mujhe Tarsaaye
Tera Saaya Chhaedke Choomta..
O Ho O..
Tu Jo Muskaaye
Tu Jo Sharmaaye

Jaise Mera Hai Khuda Jhoomta..

Tu Hi Meri Hai Barkat

Tu Hi Meri Hai Ibaadat
Aur Kuch Naa Jaanu Main
Bas Itna Hi Jaanu..

Tujh Mein Rab Dikhta Hai

Yaara Main Kya Karu
Tujh Mein Rab Dikhta Hai
Yaara Main Kya Karu

Sajde.. Sar Jhukta Hai

Yaara Main Kya Karu
Tujh Mein Rab Dikhta Hai
Yaara Main Kya Karu

Rab Ne...Banadi..Jodi....
Hi...
Song Name:  Main Jahaan Rahoon, Main Kahin Bhi Hoon
Album Name:  Namastey London
Singer Names: 
Lyricist Name: 
Music Director: 
 
(main jahaan rahoon
main kahin bhi hoon
teri yaad saaath hai) - 2

kisi se kahoon
ke nahi kahoon
yeh jo dil ki baat hai
kehne ko saath apane ek duniya chalti hai
per chhupke is dil mein tanhaayi palti hai
bas yaad saath hai
teri yaad saaath hai - 3
main jahaan rahoon
main kahin bhi hoon
teri yaad saaath hai

kahin to dil mein yaadon ki

ek suli gad jaati hai
kahin har ek tasveer bhahut hi dhondhali pad jati hai
koi nayi duniya ke naye rango mein khush rehta hai
koi sab kuch paake bhi yeh mann hi mann kehta hai
kehne ko saath apane ek duniya chalti hai
per chhupke is dil mein tanhaayi palti hai
bas yaad saath hai
teri yaad saaath hai - 3
kahin to beete kal ki jadein
dil mein hi utar jaati hai
kahin jo dhage tute to malaayen bhikar jaati
koi dil mein jagah nayi, baaton ke liye rakhta hai
koi apni palko par yaadon ke diye rakhta hai
kehne ko saath apane ek duniya chalti hai
per chhupke is dil mein tanhaayi palti hai
bas yaad saath hai
teri yaad saaath hai - 3
Song Name:  Main Jahaan Rahoon, Main Kahin Bhi Hoon (Mehfil Mix)
Album Name:  Namastey London
Singer Names: 
Lyricist Name: 
Music Director: 
 
main jahaan rahoon
main kahin bhi hoon
teri yaad saath hai

Javed Akhtar:
jaane kiski talaash unaki aankhon mein thi
aarajoo ke musaafir bhatkate rahein
jitane bhi woh chale
utane hi bichh gayein raah mein faasalein
kwaab manjil thi aur manjilein khwaab thi
raaston se nikalate rahein raaste
jaane kis waste aarjoo ke musaafir bhatkate rahein

main jahaan rahoon

main kahin bhi hoon
teri yaad saath hai
kisi se kahoon
ke nahi kahoon
yeh jo dil ki baat hai
kehne ko saath apane ek duniya chalti hai
per chhupke is dil mein tanhaayi palti hai
bas yaad saath hai
teri yaad saath hai - 3
main jahaan rahoon
main kahin bhi hoon
teri yaad saath hai

Javed Akhtar:
koyi puraani yaad mera rasta roke mujhse kehti hai
itani jalati dhoop mein yuun kab tak ghumoge
aayo, chalke bitein dino ki chhanv mein baithe
us lamhein ki baat karein
jisme koyi phool khila tha
us lamhein ki baat karein ke
jisme kisi aawaaz ki chaandi khanak uthi thi
us lamhein ki baat karein ke
jisme kisi nazaron ke moti barse the
koyi puraani yaad mera rasta roke mujhse kehti hai
itani jalati dhoop mein yuun kab tak ghumoge
kahin to dil mein yaadon ki
ek suli gad jaati hai
kahin har ek tasveer bhahut hi dhondhali pad jaati hai
koi nayi duniya ke naye rango mein khush rehta hai
koi sab kuch paake bhi yeh mann hi mann kehta hai
kehne ko saath apane ek duniya chalti hai
per chhupke is dil mein tanhaayi palti hai
bas yaad saath hai
teri yaad saath hai - 3

Javed Akhtar:
sach toh yeh hai kasoor apana hain
chaand ko chuune ki tamanna ki
aasamaan ko jamin par maanga
phool chaaha ki paththaron pe khilein
kaanton mein ki talaash khoshboo ki
aarjoo ki ke aag thandak de
barf mein dhundate rahein garmi
khwaab jo dekha chaaha sach ho jaaye
isaki humko saja toh milani hi thi
sach toh yeh hai kasoor apana hain

kahin to beete kal ki jadein

dil mein hi utar jaati hai
kahin jo dhage tute to malaayen bhikar jaati
koi dil mein jagah nayi, baaton ke liye rakhta hai
koi apni palko par yaadon ke diye rakhta hai
kehne ko saath apane ek duniya chalti hai
per chhupke is dil mein tanhaayi palti hai
bas yaad saath hai
teri yaad saath hai - 3
Song Name:  Jab Koi Baat Bigad Jaaye
Album Name:  Jurm
Singer Names: Kumar Sanu,Sadhana Sargam,
Lyricist Name: Indeevar
Music Director: Rajesh Roshan
 
Jab koi baat bigad jaaye jab koi mushkil pad jaaye
Tum dena saath mera o humnawaaz
Jab koi baat bigad jaaye jab koi mushkil pad jaaye
Tum dena saath mera o humnawaaz

Na koi hai na koi tha zindage mein tumhaare siva

Tum dena saath mera o humnawaaz
Tum dena saath mera o humnawaaz

Ho chaandni jab tak raat deta hai har koi saath

Tum magar andheron mein na chhodna mera haath

Wafadaari ki vo rasmein nibhayenge hum tum kasmein
Ek bhi saans zindagi ki jab tak ho apne bas mein

Dil ko mere hua yakeen hum pehle bhi mile kahin

Silsila ye sadiyon ka koi aaj ki baat nahin

o saathii re tere binaa bhii kyaa jiinaa

 Movie: Muqaddar Ka Sikandar
 Singer(s): Asha Bhonsle, Kishore Kumar
 Music Director: Kalyanji, Anandji
 Lyricist: Anjaan
 Actors/Actresses: Shashi Kapoor, Rekha, Amitabh Bachchan, Rakhee
 Year/Decade: 1978, 1970s

Back to: main index

View: Plain Text, हिंदी Unicode,   image

(o saathii re, tere binaa bhii kyaa jiinaa

phuulo.n me.n kaliyo.n me.n, sapano.n kii galiyo.n me.n
tere binaa kuchh kahii.n na
tere binaa bhii kyaa jiinaa) -2

o saathii re, tere binaa bhii kyaa jiinaa

tere binaa bhii kyaa jiinaa

jaane kaise anajaane hii, aan basaa koii pyaase man me.n
apanaa sab kuchh kho baiThe hai.n, paagal man ke paagalapan me.n
dil ke afasaane...
dil ke afasaane, mai.n jaanuu.N tuu jaane, aur ye jaane koii na
tere binaa bhii kyaa jiinaa
o saathii re...

har dha.Dakan me.n pyaas hai terii, saa.Nso.n me.n terii khushabuu hai
is dharatii se us ambar tak, merii nazar me.n tuu hii tuu hai
pyaar ye TuuTe na ...
pyaar ye TuuTe na, tuu mujhase ruuThe na, saath ye chhuuTe kabhii na
tere binaa bhii kyaa jiinaa
o saathii re ...

tujh bin jogan merii raate.n, tujh bin mere din ba.njaaran
meraa jiivan jalatii buu.Nde.n, bujhe-bujhe mere sapane saare
tere binaa merii ...
tere binaa merii, mere binaa terii, ye zi.ndagii zi.ndagii na
tere binaa bhii kyaa jiinaa
o saathii re...

You might also like

pFad - Phonifier reborn

Pfad - The Proxy pFad of © 2024 Garber Painting. All rights reserved.

Note: This service is not intended for secure transactions such as banking, social media, email, or purchasing. Use at your own risk. We assume no liability whatsoever for broken pages.

Alternative Proxies:

Alternative Proxy

pFad Proxy

pFad v3 Proxy

pFad v4 Proxy