Open Open Tajweed Rules.pdf.PDF

Download as pdf or txt
Download as pdf or txt
You are on page 1of 39

TAJWEED

RULES
| UZTAZA ARSHIYA SULTANA |
| HEBA NAWAL |
Huroof-e-Hijaiyah kya hai ?
• Arabic letter ko Huroof-e-Hijaiyah
kehte hai.
• There are 28/29 letters .
CATEGORIES OF ARABIC LETTERS
1. HUROOF-E-SHAMSI - SUN LETTERS
2. HUROOF-E-QAMRI - MOON LETTERS
3. HUROOF-E-MUFAQQAM - HEAVY LETTERS
4. HUROOF-E-MURAQQAM - LIGHT LETTERS
3.HUROOF-E-MUFAQQAM
HEAVY LETTER,BOLDLETTER,FULL MOUTH LETTERS
4.HUROOF-E-MURAQQAM
LIGHT LETTERS,EMPTY MOUTH LETTERS
MAKHARIJ ARTICULATION
LETTERS SHARING SAME MAKHARIJ
Halaq ko chaar hisso mey taqseem
(Divide) kiya gaya hai.

1. Halaq
2. Taalu
3. Sanaya Ouliya
4. lips
1. HALAQ
‫ء‬, ‫ه‬
• Halaq ke akhri hissey (aqsal halaq) se
adaa hotey hain .
1. HALAQ
‫ع‬,‫ح‬
• Halaq ke darmiyaani Hissey (wasatul
halaq) se adaa hote hain .
1. HALAQ
‫خغ‬
• Halaq ke ibtedayee hissey (adnal
halaq )se adaa hote hain.
2. TAALU (root of the mouth)
‫ق ك‬
• Zuban ki jard aur taloo se adaa
hote hain.
2. TAALU (root of the mouth)
‫جشي‬
• Zuban ka darmiyaani hissa aur taloo k
milney se adaa hotey hain.
2. TAALU (root of the mouth)
‫ ض‬Sultanul makharij
• Zuban ki karwat (Sides,Kinare) aur
uper waaly daatou ki jard se adaa
hote
3. Sanaya Ouliya
[ samney waley uper k do daant (inciors) ]

‫ل ن ر‬
• Zuban ke kinare , upar wale (4 daant ) dantou
ke mashodou (Gums) se milne se ada hote hai.
3. Sanaya Ouliya
[ samney waley uper k do daant (inciors) ]

‫طدت‬
• Zuban ki nok jub Sanaya Ouliya ke 2 uper ke teeth
ki jard se lagey toh ye Huroof adaa hotey hain.
3. Sanaya Ouliya
[ samney waley uper k do daant (inciors) ]

‫ظ ذ ث‬
• Zuban ki nok jab uper waley samney k do 2
dantou k kinare (base) sey touch ho to ye
Huroof adaa hotey hain.
3. Sanaya Ouliya
[ samney waley uper k do daant (inciors) ]

‫صز س‬
• Zuban ki nok , samney waley uper neechey k
do dantou kay androoni kinarou se ye Huroof
adaa hote hain.
4.Lips
‫ب‬
• Dono Hount kay Milne se ada hota
hai.
4.Lips
‫ف‬
• Sanaya Ouliya ke kinarey aur nichley hount ke
androoni hissey ke milne se ye Huroof adaa
hota hai.
4.Lips
‫و‬
• Dono hontou ko gol karne se aur hountou ke
androoni tari wale hissey ke milne se ye
Huroof adaa hota hai.
4.Lips
‫م‬
• Hount ke bairooni khushki(outer area)
wale hissey ko milaney se ye Huroof adaa
hota hai
HARAKAH
• Zabr , Zer , Pesh ko harakah kehte hai .

• Inko ek harakah lamba karke padhna chahiye .

• Zabr – Fatha
• Zer – Kasra
• Pesh – Damma pesh zer zabr
TANWEEN
• Do zabr , do zer, do pesh ko tanween kehte hai.

Inki awaaz noon sakinah ki tarah hoti hai

• Do Zabr – Fathataan
• Do Zer – Kasrataan
• Do Pesh – Dammataan
JAZAM / SUKOON
• Jis huroof par jazam ho toh usse sakin kehte
hai .
• Jazam wala huroof apne se pehle huroof se
milkar ek saat padha jaata hai .
• Jazam ki apni koi awaaz nai hoti.
HUROOF-E-MADDA
Huroof madda teen hai. ‫ي و أ‬

• Agar ‫ أ‬se pehle zabr ajaye toh alif madda kehlaata hai.

• agar ‫ و‬sakin se pehle pesh ajaye toh wao madda kehlata


hai.

• Agar ‫ ي‬sakin se pehle zer ajaye toh yaa madda kehlaata


hai.
HUROOF-E-LEEN
huroof leen do hain ‫ ى‬،‫و‬
• jab zabar k baad wao sakin , ya , yaaa sakin aaye
to , huroof leen hoga.
• inko narm aawaz me jald padhna chahiye.
‫ ا َ ْي‬، ‫ا َ ْو‬
• huroof leen ko do harkat barabar lambaa kar k
padhna chahiye .
• Examples
• ‫ اوﺗﺎدا‬example of wao leen
• ‫ ﻛﯾف‬example of yaaa leen
HUROOF-E-QALQALAH
• Huroof qalqalah 5 hain .
‫قطبجد‬
• Jin ka maj'mooah ‫ ﻗطب ﺟد‬hai .
• Jab in k uper sukoon aaye to in ke makharij
aapas me takkar khaa kar alag ho jaatey hain .

‫ اُب‬، ‫ اِب‬، ‫اَب‬


SAGHIRA
• Kadhi zabr,Kadhi zer,ulta pesh ko saghirah
kehte hai .
• Ye hurooof-e-madda k tarah hote hai.
• Inko 2 harkat barbar lambaa kar ke padhna
chahiye.
IKHFA
• IKHFA ke mayeney ‘chupana hai ( to hide )’.
• Tanween ya noon sakinah le baad agar
‫ ك‬، ‫ ق‬، ، ‫ ف‬، ‫ ظ‬، ‫ ط‬، ‫ ض‬، ‫ ص‬، ‫ ش‬، ‫ س‬، ‫ ز‬، ‫ذ‬، ‫د‬، ‫ ج‬، ‫ ث‬،‫ت‬
inme se koi huroof aaye toh waha humey
noon as sakinah ki awaaz ko 2 counts tak
nasal passage me chupana hoga,isse IKHFA
kehte hai.
IZHAAR
• Izhaar ek arabic word hai ,which means to
‘show or express’.
• Tajweed me izhaar ka meaning hai letters ko
clear sound me bina ghunnah k ‘talaffuz karna
(to pronounce)’.
• Tanween ya noon sakinah k baad agar
‫ء ه ع ح غ خ‬
in mese koi huroof aaye toh waha izhaar hoga.
• In panch (5) huroof ko huroof-e-halqi kehte hai.
IQLAAB
• Iqlaab ke mayeney hai ‘bandalna (to change)’.
‫م‬ ‫م‬
‫م‬

• Tanween ya noon sakinah k baad agar ‫ ب‬aaye


toh ‫ ن‬ki awaaz ko ‫ م‬me badal kar 2 counts tak
ghunnah ke saath padhney ko iqlaab kehte hai .
IDHGHAAM
• Ek huroof ko dusre huroof me ‘dakhil’ karne ko
idhghaam kehte hai ‘(to merge)’.
• Tanween ya noon sakinah ke baad agar
idhghaam ke koi bhi huroof aaye toh noon
sakinah ya tanween me uss huroof ko dakhil
karengy .
• Idhghaam k 6 letters hai : ‫ ن‬, ‫ و‬, ‫ ل‬, ‫ م‬, ‫ ر‬, ‫ ي‬and
there letters are colledcted in a word ‫ﯾَ ْر َﻣﻠُون‬
IDHGHAAM
Idghaam is of 2 types

Idghaam with Ghunna Idghaam without Ghunna

• 4 huroof : ‫ي و م ن‬ • 2 huroof : ‫ر ل‬
• Tanween ya nun sakin • Tanween ya nun sakin k
k baad agr inme se koi baad agr inme se koi
huroof aye toh huroof aye toh ghunna
ghunna k sath idgham k baghair idgham hoga
hoga
NOON QUTNI
• Noon qutni ek chota noon hai jo zer k sath ata
hai .
• Ye 2 lafzo ko milane istemal hota hai.
SHADDAH
• Shaddah ko “ TASHDEED” k naam se bhi jaana
jata hai.
• Shadda “W” ki tarah hota hai And it indicates
to exert some pressure on the letter its placed
and it also indicates to read the letter twice
• Shadda is formed by bringing two of the same
letters, The first one with Sukooon ( jazm ),
The second one with vowel ( zabar, zer, pesh)
LAAM KA BAYAN
• Lafz allah( َ ‫ )ا‬me jo laam hota hai usse
‘Laam Jalalah’ kehte hai .
• Laam jalalah zabar aur pesh ke saath ho toh
usse mota padhna chahiye.

ِ ‫ﺳ ْو ُل‬
ُ ‫َر‬ ُ َ‫ا‬
• Laam jalalah zer ke saath ho toh usse baarik
padhna chahiye .
ِ ‫ﷲ ِﺑﺎ‬
ِ ‫ﺑﺳم‬
ِ
MADAAT
•Madd ka mayene ‘lamba karna aur kheechna’ hota hai
Mad 3 qissm ke hote hai.
1. Madd muttasil : 5-6 counts
Huroof-e-madd ke baad agar wala huroof agar hamza
(‫ )ء‬ho toh wo madd muttasil hoga.
2. Madd munfasil : 4-5 counts
ْ
Huroof-e-madd ke baad agar sukoon (◌)ho toh wo
madd munfasil hoga.
3. Madd lazim : 6-8 counts
huroof-e-madd ke baad wale huroof par agar shadd
ho toh waha madd laazim hoga.
MADAAT
Mad 3 qissm ke hote hai.

1. Madd muttasil

2. Madd munfasil

3. Madd lazim
HUROOF-E-MUQATTA’AT
• Huroof-e-muqatta’aat qur’an me alaidah
alaidah padhe jate hain.
• Huroof-e-muqatta’aat qur’an ki 29 surato ki
shuruat me atey hien.
• The letters are also known as fawātiḥ ‫ ﻓَ َوا ِﺗﺢ‬or
"openers" as they form the opening verse of
their respective surahs.

You might also like

pFad - Phonifier reborn

Pfad - The Proxy pFad of © 2024 Garber Painting. All rights reserved.

Note: This service is not intended for secure transactions such as banking, social media, email, or purchasing. Use at your own risk. We assume no liability whatsoever for broken pages.


Alternative Proxies:

Alternative Proxy

pFad Proxy

pFad v3 Proxy

pFad v4 Proxy