URDU Poetry PDF

Download as pdf or txt
Download as pdf or txt
You are on page 1of 50
At a glance
Powered by AI
Some of the key themes in the text are faith in God, the transience of life, cherishing moments with friends, and finding purpose and meaning.

The text discusses themes of faith, friendship, impermanence, and finding purpose. It encourages cherishing time with friends and finding meaning through faith over worldly concerns.

The text advises not asking questions that can't be answered and not walking paths with no light. It suggests making the most of life and enjoying moments of happiness. It also discusses being kind and understanding towards others.

501.

Auron mein hain kya khaamiyan us se tumhen kya vasta, Khud ko tum bana lo achha kaafi hai dosto Na poochhun main tujhse kyun khafa hai to khudaya, Kya gunah kiye hain maine kya gila hai tera mujhse, Puja hai main ne tujhko sajde kiye barabar, Kya khata thi meri maalik rah mili na tere ghar ki. Tu hi bata, de yaa rab, kis rah pe ab chalun main, Us rah pe mujhko le chal jis rah pe tu ho har su.

502.

503.

Jab bhi hota hun tanha yaad aati hai teri , Us waqt hi to ya rab main saath apne hota hun.

504.

Khil uthta hai dil ghunche ki tarah, Muskurate huay aati hai jab baad e saba, Saanson mein taazgi aankhon mein noor, Chalti hai dheere dheere jab baad e saba, Gulshan mein bahaar phoolon ki mahk, Khizan ke parde se bachaati hai baad e saba, Ai baad e saba gar tu na ho, Zindagi na ho kuchh bhi na ho, Tu aati rahe jhulati rahe, Kya kehne tere tu hai baad e saba.

505.

Na samjha paya hun na samjhunga teri duniya ko ya rab, Kaafi hai ke yaqin hai tujh per, tere rahm per khudaya. Kaise bantega dil ka dard, Milega kab hamdard mujhe, Had se jo guzar gaya, Vapas usey laayega kaun, Naazuk hai dil nazuk mizaaj Naazuk unka ghamza hai, Ruth jaaye gar haseena, Samjhaaye aur manaaye kaun, Jaane do yaro nakhre hain unke, Nakhre aate jaate hain, Aisa hota hai dard yaro, Aaj be haal kal ki khabar kisey .

506.

507.

Jab bhi main fikr e shauhrat karta hun, Apni hi hasti se yaro, begana sa rahta hun.

508.

Mat poochho momin kyon hun, Kahin poochh na baithun tum kafir kyon ho, Yaqin hai mujhe khuda per, tumko khud per, Hurriyat gar tumko hai mujhko kyon na ho. Jo na ho zikre uqba na fikre duniya, Kya karega vaiz, kyon saqi na kaafi hoga, Soch lo yaro sochna hai zaruri, Gar maikada ho kaafi to zahid kya karega. Fikr liye hain main ne jahan bhar ke apne sar, Ye kaam kiya hai maula ise tu qabool kar. Is deewangi se bacha le ya rab, Fikr ab apni na rahi auron ki kya karunga. Rakhega hisaab kya saanson ka 'ashok' Ikhtiar kisey hai kya, humdum, nabz e saa't per . Kaise samjhaun tumko tariqa e zindagi kya hai , Jaise samajh mein aaye jee lo , manzil to ek hi hai . Insan woh dikha de vaaiz jo gunahgar na ho, Aur main dikhaun uske dil ka paighambar tujhko.

509.

510.

511.

512.

Naqab zulmat ki pahn ai shab e hijr, Ro lun main raat bhar savera na ho kabhi, Mil gayi raahat na aayegi yad teri, Dard e dil na ho to dard e hijr kya. Kyon ke hum ne masjid mein sajde na kiye, Momin hum kum nahin khuda to dil mein basta hai yaro. Dekhta hun jab bhi ghurub e aftab, Nazar aaye hai labon ki laali tere husn ka aks. Dar ba dar ghuma kiye talash e khushi mein hum safar, Kya maikhana, kya yaarana ai khushi tujhse kya dil lagana, Khwab hai tu saraab hai tu subu o sharaab hai tu, Nasha tera hai aarizi, ghamon ki paasban hai tu. Woh sawaal na karna kabhi jis ka jawab na sun sako, Us rah per na chalna kabhi jis per jalti shama na ho. Jashn manao mohabbat mein sanam, Dil de chuke tumko so tumhare huay, Jashn manao raat zinda hai hanoz, Chale ao, usi ada se muddat hui dekhe huay, Jashn manao jaag uthi hai umeed, Rote dilon ke ashk bhi khusk huay, Jashn manao bahaar aa rahi hai gulshan mein, Khizan ke yar dost ab wahan se rukhsat huay,

513.

514.

515.

516.

517.

Jashn manao unke aane ki khushi mein, Murjhate gul phir jawaan huay, Jashn manao baad e saba ke jhonkon ne Neend udaayi aur hum aagah huay.

518.

Jitna gehra ho khayal utne hi aasan alfaz mein kaho, Sun ne wala samjhega, tumhari azmat kam na hogi.

519.

Inayat hui itni mujh per khuda ki, Tum kya naved sunaoge mujhko vaiz, Maikhane se hai aashnayi gehri, Tum kis rah pe ab chalaoge vaiz, Gunahgaron ko pahunchta hai haq muafi ka Khatayen muaf, kin gunahon ka zikr karte ho vaiz, Peena gunah nahin kya khabar na thi tujhe, Hosh mandon ko rah pe lao, yaqin mujhe bhi ho vaiz, Kitna sach, kitna jhuth, hai teri baaton mein, Poochhunga main khuda se, apni tanhai se vaiz,

520.

Tham sa gaya tha woh lamha, Jumbish tujhe tab kya hua? Jo aaj hun main woh kal na tha, Us kal ko phir aaj kya hua? Roye hain hum hazaar baar, Bahe they ansoo zaar zaar, Na woh hum rahe na rona raha, Un ashkon ka bhala phir kya hua? Khabar kisey hai kya 'ashok' Maazi o mustaqbil hai kya, Jo aaj hai tu so hai tera , Kaun jaane kal hoga kya.

521.

Woh jalwa dikha de mujhko jis mein tu na ho, Kya shai hai jahan mein maula jis mein tu na ho, Saansen na aayen mujhko na kisi aur ko kabhi, Hawaayen na chal saken gar un mein tu na ho, Chaurahe pe musafir, safar tai na kar sake, Kaise miley manzil use gar hamsafar tu na ho, So rahe raahi rahzan hain aas pas, Kaun jagayega unhen jo pasban tu na ho,

Koi shikasta kashti toofan se nikal kar, Saahil pe aa na paaye gar himayat teri na ho.

522.

Thodi si der hui mujhe aane mein , Jaldi itni unhen, sunwayi na hui bahane ki, Tasvir dil mein liye ghumte hain, Zarurat na padi kahin aane jaane ki, Tadbir achhi thi socha na tha, Minnat na karni padi ab bahane ki, Dhund lunga phir tere ghar ka raasta, Zehmat na dunga yara tujhe aane ki, Aa jaati hai mujhko neend rote rote, Lorion ko zarurat na padi sulaane ki, Mushkilen aati rahin zindagi mein musalsal, Rehmat e-- khuday, mujhko zarurat na padi suljhane ki.

523.

Dil ki suno, kabhi na bhi suno, Khabar rahe use ikhtiyar kis ka hai. Jis rah pe chal raha hun kuch halki hai zamin, Kahin dafn na ho jaaun is rah pe chalte chalte, Yad rahe hamesha buniyad ho so pakki, Imaarat bane na khandar is rah pe chalte chalte. Hon natawan iraade, haasil na hoga kuchh bhi, Dar dar ke gar chaloge bauthage chalte chalte, Lamba bahut safar hai thak jaoge musafir Bas naam japte rahna us rab ka chalte chalte Yah yaad rakhna bando, jaanaa hai tumko paidal chalte chalte, Paaon na dagmagayen, manzil ko chalte chalte, Keh gaye masiha baat apni karte karte, Tere liye jaan di hai bande, saans nikle halke halke,

524.

525.

Etiraf karke bhi sukun na mila vaiz, Kya farq pada humne gunah kiya na kiya Us rah pe chal raha hun, jaane na koi mujhe, Gumnam mere naqsh e pa, pehchane na koi mujhe, Tanhai se aashna hun, tanha safar mera, Khule hain dar e qalb , dar kyon lage mujhe, Gulshan ne di sada , ao mil kar jao, Likhey na the qismat mein gul, sada di kyon mujhe,

526.

Nikla hun maikade se, makhmur main hun vaiz, Sun lunga main tanqid teri, sambhalne to de mujhe, Pahunchunga main khuda ke dar, yaqin hai mujhe, Is maya moh ke jaal se, nikalne to de mujhe. 527. Qaail nahin tere khutbe vaiz, Samjha le tu khud ko , Naseehat na de, haath mera tham le, Saath chal kar dikha de mujhe. Ahista ahista chal raha hun, Chhale hain paon tale, Sulag raha hai dil mera, Kahin dil tak na pahunch bhale. De chuke hain dil ik haseen raqqasa ko, Jaan nisaar hai us par, jeena to bahana hai. Haif, ke tawaqqo ki rah pe chalna hai mujhe, Ke nikle jo janazah koi ghamkhwar miley mujhe, Chal diye hain yar dost, saaman baandhe huay, Dil mera liye huay, tanha chhord kar mujhe, Ya khuda tu hi bata humsafar ab hoga kaun, Dasht o sahra meri qismat kaun milega ab mujhe, Sa'at saeed naam rakha kis ne, tu hi bata mere aqa, Qismat ki sitam zarifi dekh, sa'at hi tanha chhorde mujhe. Qusurwar thahraun kisey, tera hai jahan khudaya, Kis se main ab kya kahun, uzr na miley mujhe. Na dukhana dil kisi ka varna, tumko yad rahe, Hisab barabar hoga ik din karoge phir yad mujhe.

528.

529.

530.

531.

Labon ke qarib behta raha darya ka paani, Labon tak na pahuncha tarasti rahi zindagani.

532.

Khatam hui kahani apni Kehne ko ab kuch nahin saqi, Hosh sambhale aaye the, Havaale kiye jaate hain saqi, Haseen raaton ki chaap dil pe, Sitare gin kar umr guzari, Ho sake to yad rakhna, Bhool na jaana humko saaqi. Mehfil teri hai lajawab, Bemisaal tera maikada, Shakir tera main kya banun, Mera khuda tu hi tha.

Rang nirale, chhalakte jaam, Mai ki to baat hi kya, Khali haath hum aaye the Khali hi rukhsat huay. Salamat rahe maikhaana tera, Salamat yeh raunaq teri, Alvida na kahenge tujhko, Khabar kisey hai kal ki saqi. Jaan rahi to phir milenge Saans sambhaale aayenge, Do ghunt pila dena saqi, Khushi se chale jayenge.

533.

Fitratan khudgharaz hai insan, burai hai kya, Jo khud ko na sambhal sake, kisi aur ko sambhale kya . Nakhun mere badhte gaye, Zakham kuredne ko na, Barkat teri ai khudaya, Nasur zakhm bharte gaye. Dur talak udta gaya, Andaz fasilon ka na, Parvaaz main, meri tanhai, Bekhabar main kidhar gaya. Ruka main kahan ruka, Ghairon ke darmian panah mili, Achhe woh jo apne bane, Apnon se gar kuchh na mila.

534.

535.

Din to gin kar kat gaye, Raaton ka hisaab na raha, Shukr tera shakir hun ya rab, Azaab hota varna jeena . Apni dhun mein chalte chalte Mud ke dekha na 'ashok', Khuda tere saath hi tha Rahnuma na banaya kyon. Na hum badle na jahan badla, Kyon lagta anjaan zamana, Khabar ho tumhen, humen bhi batana. Seekhen dobara hansna hansana. Milna julna ho sabse, Is se badh kar na naimat, Har insan mein khuda hai Dekho tum apni qismat. Bhatakta raha kin rahon per 'ashok', Ghanimat samajh khuda hai tera saath.

536.

537.

538

539.

540.

Husn walon ka ghurur dekho zara, Chalte hain zamin per kitne akad kar, Shayad yeh khabar nahin inhen, Is takabbur ka hisab bhi dena padega. Yad rahe dosto din hain muqarrar, Qismat bhi moiyyan, jeena bhi isi mein. Yaden jahan le ja rahi hain mujhko, Woh jagaahen bhi ab yad nahin hain mujhe. Rishta kya tha mera un se, Ab to ye bhi khabar nahin hai mujhe, Kyon kuredte ho tum yad e maazi, Rehne do yaro, rehne do haal mein mujhe, Kya milega us jahan mein ab 'ashok', Jis jahan ki khabar ab nahin hai kisi ko.

541.

542.

543.

Jaag uthi ik ajab tamanna, Kise dekhne ki hai yeh chahat, Dhalti raat thahr na jaana, Aftab na sahi saba to dikhana. Na ulfat na rehmat na kuch aur chahiye, Bas ek baar khudaya tera deedar chahiye, Jalti rehti hai shama subah hone tak, Hamen to musalsal noor chahiye, Pairahan ho sone ka ya motiyon ka taj, Hamen to maula tera daaman chahiye, Nazaare hon gulon ke ya gulshan ki mahak, Hamen to bas teri khushbu chahiye, Gulon mein gulab, parindon mein bulbul, Hamen to khudaya naam tera chahiye, Maazi ka azaab na anjana mustaqbil, Hamen to har dam apna aaj chahiye, Yeh mumkin na sahi ke masruf hai tu, Hamen to hamesha sirf yaqin chahiye, Toofan mein kashti ko mallah chahiye, Hamen to khudaya tu hi tu chahiye.

544.

545.

Humne maana tumhen hamesha apna, Raat kehne lagi khayal chhord khayal rakh tu apna, Meri garift mein hain chand, sitare, aur tu, Kaisa ajeeb hai yeh tera sapna,

Kaanta chubhe hai tumko hota hai dard mujhko , Halanke dard sabko hota hai apna apna, Log jaanten hain mujhe tere hi naam se Chalo, kuch to sahi, naam to hai apna, Hairat se tak raha hun zamane ki chaal ko, Tu hi sambhal maula dil lage na apna, Baandh bistar le chal boriya, rah pe apni chal ashok, Rahber na mila jo tujhko, bana le tu raasta apna, Daata hai khuda, kuch maang kar to dekh, Mehr aaj ho ya na ho, naam usi ka japna 546. Unfuvane shabab ke valvale yad aate hain, Hamen ai zindagi woh zamane yad aate hain, Samundar ki maujen toofan e dil ke shauq, Us shor o ghul ke aalam mein, hamen kuch apne yad aate hain. Woh shokhian, naadanian woh dil ki pareshanian, Woh milna, bichhadna, woh bahane yad aate hain. Woh manane ki koshish, tera aur rooth jaana, Woh zulfen, woh ghamza, tere nakhre yad aate hain, Na kahen hum kisi se to yun na samajhna, Haafiza chhin chuka woh din ab kahan yaad aate hain. Jhunjhula jaata hun, hil jaata hun, Haaye, woh guzre zamane kyon yad aate hain. Maajra tha aisa bayan main kya karun, Muskura leta hun, ro leta hun, woh din jab yaad aate hain. Bas itna samajh le ashok hamsafar saath chalte tanhai hain, Tanhai mein woh hum nava bhi hote hain.

547.

Zakhm e dil ki vusa't se pehchan na hui, Honton pe muskan ankhon mein nami na mili, Rote dil ki siskian na sunin humne, Hamen to zindagi teri khabar na hui. Na bulaya tujhe kya hua, yad to kiya, Kya yeh kafi na tha teri chahat ke liye, Mushkil na hai jeena yaadon ke sahare, Bana do gar inko markaz e vujud tum apna. Khun e jigar behte dekha kisne, Shikasta dil ko rote dekha kisne, Khushian hoti hain ayaan yaaro, Gham ko muskurate dekha kisne.

548.

549.

550.

Ja haqeeqat kahin aur ja, Kahin aur ja kar dil behla, Chhord de tu mujhko tanha, Mere khwab mere saraab Dil jal chuka hai ab minnat e marham kya karun, Jan ja chuki hai yaro vapas bula kar kya karun Bas ek mulakat chand ghanton ki thi, Umr guzri khabar zindagi ki na hui, Laut chal ai waqt kuch ghante hi sahi, Jee lun dobara zindagi main apni. Bekhabar rehta hai jo sach ki rah se humdum, Jaanega kya auron ko woh jo khuda ko na jaane Dekhi thi raunaq teri mehfil ki yaara, Kaash ke tu ne nigahon ka jalwa dikhaya hota Jis rah pe mera mazaar ho, Us rah se guzarna na tum, Taaza na hongi yaaden meri, Gham mein hi nagah liptogi tum, Jis rah pe mera mazaar ho, Kuchh aur us per ho na ho, Naqsh e pa tere na hon, Roti hui nazar ao na tum,

551.

552.

553.

554.

555.

556.

Kya ginte ho dinon ko raaton ko yaro, Zindagi to guzarti hai lamhon mein yaro, Napaidar hai kitna lamhon se rishta, Lamhe se lamhe ka fasila behisab hai yaro. Bana rehta hai ghuncha kuch lamhon ke liye, Gulistan mein bahaar rehti hai khizan tak yaro, Kitna lamba hai safar khabar hai kisey, Pahuncho na jab tak sahi salamat yaro, Ajeeb hoti hain kitni dilon ki durian, Yeh fasile bhi tai hote hain lamhon mein yaro, Khayal rakh apne lamhon ka 'ashok', Kisey ikhtiar hai ghair lamhon pe yaro.

557.

Shirin alfaz, narm seerat, yad rehti hai sabko , Haafiza hai sabka yaksaan, yehi sab chhord jaayenge. Kuchh na le kar aye the sab yahin reh jaayega, Shaan o shaukat, rang mere, mitti mein mil jayenge. Yad rahe tumko yaro, yaden hum chhord jaayenge, Dil mein rakhna , yad karna, bas itna hum keh jayenge.

558.

Dekh kar daaman mein chak, ghurbat ka unhen ehsas hua, Na samajh saka woh sangdil, junun mera na kum hua, Roye the hum zaar zaar, tere ruthne pe ai sanam, Manane aye tujhko hum, tere rahm ko phir kya hua, Hosh nahin hai ab mujhe, ghafil main har cheez se, Tu to bara bedaar hai yaara, hoshyari ko ab kya hua, Yaqin tha samjhoge tum, kis qadar bezaar hun main, Begaangi teri thi aisi, meri pehchan ko yeh kya hua, Liye huay dil mein ghubaar, teri mehfil se rukhsat huay, Hum rahen ya na rahen, tere jalwon ko dukh na hua.

559.

Kalion mein woh nazakat kahan, Gulon mein woh rangat kahan, Hamari saba mein jo hai taazgi , Tumhare chaman mein woh khushbu kahan. Thahr ja ai waqt khud se to mil lun, Kisi aur ke lamhon pe kya ikhtiar mujhe. Na kisi aur pe bojh na apne pe baar, Le chal khudaya le chal kahin aur. Na puchna kabhi samajh aya kya tujhe, Dil jahan miley hon jaana, wahan alfaz kya kahen. Jeene ke liye har insan ko sahara chahiye, Tanha rehne ke liye bhi, ai humdum, apna saath chahiye. Dhal chuki hai aaj ki sham, Raat ke saaye ne ghera mujhe, Ai shama, kuch aur jal, Teri lau ka saaya bhi dekhta chalun, Badhti be chaini ke aasar nazar aate hain, Tujhse na milen to yar hum bazaar rehte hain.

560.

561.

562.

563.

564.

565.

Dekhe humne rang e baharan, Raunaq unki chamakti dekhi, Ghunchon ko bhi khilte dekha, Tabassum ki kaliyan khilti dekhin, Ashkon ki amwaj bhi dekhin, Darya e gham ke toofan dekhe, Rote dilon ko humne dekha, Muskurahat bhi unki dekhi, Rang badalte log bhi dekhe, Adaayen har qism ki dekhin, Apne pan mein hum ne maula, Munafaqat ki amezish dekhi,

Kaisa hai jahan yeh tera, Sone mein mitti bhi dekhi, Pursukun insan jab dekhe, Be taabi ki jhalak bhi dekhi. Baarish aur shabnam ko dekha, Haryali qudrat ki dekhi, Tere in altaf ki ya rab, Hum ne to bauchhar hi dekhi. Shukr hai tera yeh sab kuch dekha, Insan ki insaniyat dekhi, Neki dekhi, badi bhi dekhi, Tere rahm ki wusat dekhi. 566. Na socha kabhi kis rah per chalun, Raaste aate gaye safar kat ta gaya na, Jab naqsh e pa na mile kisi ke , Raah apni main khud banata gaya. Ahistagi se chal saba dil ko chhuti ja, Yad teri taaza rahe sukun tu deti ja, Jaana tera hai lazimi chalna hai teri fitrat, ja, Tu apni rah pe ja bas mujhko yun hi chhorde ja. Ruth kar na ja saba, aana hai tujhko kal yahan, Darbadar phirti hai tu, kis rah ki talash tujhe, Bilkul tanha chalti hai tu, saath na koi tere, Ghair nahin hain teri rah mein hum , Humsafar bana, sukun miley tujhe. Na samajh paayi shua teri vus'at e mayusi 'ashok', Khurshid se ja kehne lagi , andhera hai, kahin aur chal. Chal raha hun rah e azal, naqsh e pa ginte huay, Tu hi bata ai waqt mujhe, manzil meri baqa hai kya, Khabar kisey azal hai kya, armaaq se hi puchiye, Be khabar hai maut bhi, inteha aur anjam kya 571. Na mila jo razdan dil ko hamraz bana liya, Khud ko sunakar dastan , kuch ro liya dil behla liya. Puchha gulab se ye kal rahguzar pe chalte huay, Tera rang rup, khushbu teri, kyon ban na sakin hamrah meri, Main jidhar bhi jaun tujhe hi paun, Tu hi tu nazar aaye mujhe, Miley mujhe gar tera pyar, Tere kaante bhi manzur mujhe, Kehne laga woh gul mujhe, ai na samajh ek baat sun, Milta nahin kabhi kisiko pur sukun mausam kabhi, Woh sukun woh chain, jiska zikr hai, na mili woh bahaar har saans mujhe, Khazan ke daur aate hi hain, rahega jaari yeh silsila, yeh khabar hai mujhe,

567.

568.

569.

570.

572.

Gham ke daur aate hi hain aati rahengi mushkilen, Khubsurat hai yeh zindagi chubhan bhi hoti hai mujhe, Aaye bahaar le lutf tu itni si baat hai mere yar, Daaman bacha aur chalta rah khaar pyare hain mujhe, Na dekh kabhi kisi aur ko, hasad se dekh na tu mujhe, Mubarak ho safar tujhe, mubarak mera safar mujhe.

573.

Hote hain chand lamhaat ke mehmaan sab, Mezbaan jitna bhi meharban ho, humdum, ghanimat maaniye. Beetay dinon ki yad aati hai, Aksar mujhko rula jaati hai, Bas, yun hi samjhna dost, Ke dosti bhi kabhi satati hai, Beetay dinon ki yad aati hai.

574.

Woh naghma yad e maazi mein qaim hai, Woh ghazal bhi gungunati hai, Bas, yun hi samajhna dost, Haafiza ghat ta badhta hai, Beetay dinon ki yad aati hai. Woh chamakti rat nazar aati hai, Sitaron ki baaraat nazar aati hai, Bas, yun hi samajhna dost, Sahar shama ko bujhaati hai, Beetay dinon ki yad aati hai. Tere husn ki chhap ab bhi taaza hai, Chand ko ab bhi teri justaju hai, Bas, yun hi samajhna dost, Amawas ki raat bhi aati hai, Beetay dinon ki yad aati hai.

575.

Maathe pe shikan kaise, log jhurian samajh baithenge, Ab yeh waqt ka taqaza hai, narazgi kaisi, Kuchh to kaho humdum, hamatan gosh baithe hain, Logon se kya kahen, tum se dillagi kaisi. Hoshmandon mein hain shumar, log kya kahenge, Ajab guzarti hai inki raat, yeh deewangi kaisi, Kuchh na kehna chaho, na sahi, na kaho, Khamoshi hum samjh lenge, yeh qurbaten kaisi,

Na karo hum se bat na sahi, Ghairon se marasim, yeh qurbaten kaisi, Saza mil rahi hai mujhe, khata meri hai kya, Shaaki bhi tum, munsif bhi tum, yeh be- insafi kaisi. Chalo, maana, qabul kiya ab to muaf kijiye, Daur e muhazzab hai yaro, yeh be adabi kaisi. 576. Seedhi shakh na dekhi humne, Phoolon se use jhukte dekha, Har khushi mein beej hai gham ka, Kya tumne yeh hote na dekha. Girey huay patton se hat ke chalta hun, Mitti mein kiski mitti mili, bach bachake chalta hun . Na khun e jigar na husn e paikar, Yaqin hai tujh pe maula, is se kuch na badh kar. Raat Ek musafir, Manzil uski sahar, Chand ghante , kuch arsa, Phir raat, nayi manzil, Ek aur sahar. Nayi umeeden, Nayi umangen, Adhure armaan, jalte bujhte, Dil rota hua, cheekhta hua Ankhon ki nami, Pinhan , ayaan, Hausalon ka andaz. Bikhra, Simta, Aftab ki shua badalon mein chuppi hui, Bas darar miley, Arzoo. Mohabbat. Meetha dard Ya dard ka marham, Uthti maujen , Samundar ki cheekh, Sukun, Ek udti chidya, Kab kahan, baithe, Kaun jaane , Pindare mohabbat.

577.

578.

579.

580.

Sochta hun Chand ko dekh lun, Sitare kahte hain, Woh bada hai so kya hua, Hum bhi to chamakte hain, Sochta hun, Woh theek kehte hain, Azmat haq hai sabka Barabar hain sab khuda ki nazar mein, Phir? Sochta hun. Bura kaun hai? Faisla kaun karega? Neki miley to puchhun Dikha tu apna roop, Gora, kala, kaisa, Kya andhera , kya ujala, Kya intikhab, Bura kaun ? Sochata hun.

581.

Chhod aya kidhar us jahan ko main, Tu hi bata mujhko yar, Kya main chal diya ya jahan gaya, Tu hi samjha mujhko yar Puja tujhe har roz sanam, Naam liya baaraha, Ibadat, hi ibadat hai, Ibadat ka hi naam hai pyar, Zuban shirin lab pe khuda, Dekha main ne jahan tera, Khanjar nikaale baithe hain, Kab kaun karega vaar, Nakhuda ke hunar per, Munhasir hai yeh zindagi, Dub jaaye gar safina, Le jaaye kaun darya paar, Na pahunche us paar 'ashok', Nakhuda se kya kehiye, Jeet kiski hui phir, aur hui kiski haar

582.

Itna qarza hai mujh per tera rahm be inteha, Girtey phoolon ka bojh maula mujh per bhari pada Kitna pyar karta hun tujhse tu kya jaane sanam, Poochh le asman se sitaron se puch, Kitna gehra hai jazbah samundar se puch, Valvala hai ya toofan mere dil se puch,

583.

Kitne sachhe hain alfaz zuban se na puch, Haath laga tu zahn ko aur zamir se puch, Pyas bujhti hai kaise yeh mujhse na puch Tashangi ki shiddat zamin se tu puch, Kitni khushi hai gulshan ko baharon se na puch, Rukhsat e khazan ko dekh aur gulshan se puch, Haji tu banega ya na banega bande, Irade kya batayen, qismat se tu puch, Bande hain sab khuda ke, phir badi hai kyon 'ashok', Rakh apne pe qabu, khud hi se tu puch

584.

Kabhi iltija kabhi dua, kabhi khud mila khuda mujhe, Jab bhi maine dil mein jhaanka, ehsaas tera mujh ko hua. Haif, humein hui mohabat, to is andaz se, Jis simt se ja chuke the hum, vapas na aa sake, Durian shigaaf banin, samandar hamare beech, Sahil ko takte reh gaye, kashti na la sake, Jaan us paar thi, is paar tanha dil, Haaye, yeh dil o jan ke fasile, hum kam na kar sake, Aah bharte hain dua karte hain, khushian rahen mahfuz, Hum is se zyada kya kahen, hum kuch na kar sake.

585.

586.

Jaan jaati hai aur woh kehte hain, kuch to kaho, Unhi se pucho kya kahen, kya sun na chahte hain. Khwab haqeeqat mein badalte hain humdum, Varna zindagi ka vajud hi na ho. Dil mein chhupa kar rakhta hun sanam, Jhaank leta hun tujhko jee chahta hai jab, Basti hai tu saanson mein mere, Aah bharta hun, sukun milta hai, dil rota hai jab, Rukhsat hote hain jo is jahan se, Khuda ne bhi unke aane ki gavahi di, Nami kehne lagi baarish hai ansoo nahin, Abr ne bhi ankhon ki pazirai ki, Ro ro ke pukara baarha humne, Sama'at ne bhi unki khamoshi ki ruswai ki, Kitni jan leva hoti hai shab e firaq, Hum ne to apni tanhai se shanasai ki,

587.

588.

589.

Chalo chal diye woh rah apni hamen chhord kar, Magar,yaaden hamare paas hain us harjai ki. 590. Apni dhun mein mast parwana, kuch der aur jal shama, Ahista se woh jal raha hai, kar lene de pura shauq use . Kyon lagta hai mujhe har khushi mein gham shamil hai, Yaadon ki jhalak mein ashkon ki baarat shamil hai. Chadhte suraj ke rangon ka andaz dekhiye, Shafaq ki laali bhi us mein shamil hai, Hota hai dard shirin pindar e mohabat mein, Bulbul ke naghme mein bhi soz shamil hai, Mausam e bahaaran ki raunaq dekhiye, Hanste phulon ke chehron mein udasi shamil hai, Haseen lagti hai barf pahadon ki chotion per Pighalna fitrat, samundar mein dubna muqaddar hai, Kitni suhani hoti hai raat sitaron ki , Savere hone ka dar bhi us mein shamil hai, Zindagi ka lutf mukammal utha to len yaro, Guzar jaane ka khauf bhi to shamil hai. 592. Zamin khisakti hum ne dekhi, Paaon phisalte hum ne dekhe, Tasvir teri jo dil mein dekhi, Khud ko hum ne sambhalte dekha. Kisey khabar dil mein valvale uthte hain kya, Kisey khabar toofan pinhan rehte hain kya, Jab dil hi na samjhe jazba e mohabat, Puchhe hai nigahon se nigahon mein hai kya, Dagmagate hain qadam, ladkhadati hai zuban, Na sunta hai dil dhadkanen apni, majra hai kya, Bharosa nahin hai mujhko doghli zuban per, Sochata hun kuch aur, kehti hai zuban aur. 594. Ja raat kahin aur ja, neend meri leti ja, Kisi aur ko ja sula, zarurat ho jisey zyada, Jo tujhko na miley koi tu mujhko bata, Dhundte hain phir milkar usko zara, Yaqin hai mujhe yeh mushkil na hoga, Bad naseeb hain jahan mein mujhse zyada.

591.

593.

595.

Khuda ki hai rehmat uska shukriya , Mere gunahon ko usne muaf kiya, Sajde kiye main ne so umr bhar, Sachhe dil, sachhi zuban, se hamesha maangi dua. Kaash, ke main ne zindagi tere naam ki hoti, Haif, ke aisa na hua aur guzarti gayi zindagi, Main na jaanun kitna chaha main ne tujhko sanam., Ranjha to main nahin tha lekin nahin tha us se kuchh bhi kam Haqeeton ka zikr hai yaro, safina saahil per miley, Khwab mera khwab rahega zamin per mujhe miley.

596.

597.

Ek hi to jaan hai kis kis ko dun, Haq hai khuda ka kisi aur ko kaise dun.

598.

Har insan ko pahunchta hai haq khushi ka, Basharte ke gham hon gawara use, Mil sakti hai raunaq biyaban mein bhi, Yakin ho jiske dil mein, nur e khuda mubarak usey, Jazba - e - mohabat, deedar e- khuda, Dil rota hai kyonkar kya chahiye usey, Hamsafar na miley to tum chalte raho, Saath tumhare khuda hai, khabar hai usey, Majhdar mein kashti dubne ko aaye, Yad kar lo khuda ko, khabar hai use, Khauf lagta hai bande darta hai kyon, Kya chhupa hai khuda se, khabar hai usey, Aur darna hai tujhko to khuda se dar 'ashok' Jaanta hai woh tujhko, khabar hai usey.

599.

Maikhane ka surur ya kaabe ka sukun, Kiske maathe pe kya likha hai, ai qismat, tu hi bata. Yeh rona kis liye , yeh hangama barpa kaisa, Kis ne roka hai qaza ko, kis ki sunti hai woh.

600.

601.

Kitna khush qismat hai tu 'ashok', Kitna chahte hain log tujhe, Baat unki bhi maanna, Jo khazan ko bahaar banaate hain . Teri inayaton ne hamen sarab kya, Ai khudaya yeh kaisa karam tera hum per hua. Kaash ke main guldum hota, Shayri ki zarurat na padti dilon ko jeetne ke liye Jis taraf uthti hain aankh tu hi tu nazar aata hai mujhe, Kya samjhaun dil ko apne charon taraf hai tera noor. Kabhi kisi se na keh saka mil gaya hai tu mujhe, Pagal hai duniya, ai khudaya, pagal woh samjhen ge mujhe Chal diye manzil ko apni hasraten uthaye huay, Bhatak na jaun rah se apni raah mein chalte huay, Nikalta hai rind maikhane se dagmagate aur ghabraye huay, Haath mein pyala, aankh mein aansu, zuban pe naam tera liye huay. Kya khabar thi hoga kya, andheri raat ka anjaam kya, Rakh kar dil mein tera bharosa, subah ki simt hum rukhsat huay, Kuchh aisa kar de khudaya rasta mahz ek hi ho, Chal sakun tere dar ko main, imaan apna bachaye huay.

602.

603.

604.

605.

606.

Jalte koyelon ka dhuan main ne dekha raat bhar, Kuchh teri yad aayi kuch khud ko dekha raat bhar, Haseen nazaaron mein dil ko behakte dekha, Gulshan mein, gulon ko ashk bahaate dekha raat bhar, Valvalon ki baahon mein toofan umandte dekhe, Tere husn ke jalwon ka kaarwaan dekha raat bhar, Neend na aayi to khwabon mein jhulte rahe, Tere tasavvur ke humne jashn manaaye raat bhar, Haif, ke aisa dhuan dekhne ko na milta hai roz, Kaash, ke tum bhi yun hi jalte rahte har raat, raat bhar.

607.

Kyon bhatak raha hai man tera, kyon ud gaya hai rang 'ashok', Rang to sab khuda ke hain, bas intekhab hai tera kaam. Na ranj o gham na chah mujhe, tera dar mujhe kyonkar mila, Tera naam suna tha main ne saqi, bhala hua tera ghar mila, Kuchh aag bujha kar dekh lun, kuch pyas bujha kar dekh lun, Arman hon jis ke be hisab, us shakhs ke rang bhi dekh lun, Hosh o havaas liye aaye they bekhudi mein chal diye , Mehfil ki raunaq dekh kar, kuch raunaq le kar chal diye,

608.

Na kahenge tum se alvida, kal ki khabar kisey hai kya, Tera thikana hai maikada, kal tu yahan hoga kya ?

609.

Ghurub e aftab se ayaan hoti hai raat, Ajab hai yeh duniya ajab yeh baat. Andhera bhi chahta hai ujaale se raahat, Socho jahan walon kitni anokhi yeh baat. Vazan ho zuban mein alfaaz halke na hon, Soch samajh kar hi dosto kaho apni baat, Dosti ki buniyad pyar mohabat hi ho, Na munafaqat ki bu ho, na ho uski baat. Milo jab kisi se galey hi milo, Na momin, na kafir, na kisi aur ki baat, Tijarat mein len den to hota hi hai Ulfat men tijarat ki na ho koi baat Yad rakhna tum dosto yeh alfaz mere, Vaz o naseehat ki na hai yeh baat.

610.

Baadalon se keh do zara ro kar dikhayen, Meri aankhon ko zarurat hai ansuon ki, Sookh chuki hain ro ro ke yeh bad naseeb aankhen, Nami inki inhen vapas dilayen. Shak ko yaqin mein badalte dekha, Yaqin ko shak mein nahin, Woh yaqin hi kya jo badal gaya, Mujhe hai yaqeen, mujhe hai yaqeen . Hum tasveeron ko takte reh gaye , Khuda dil mein basa hai use dekh na sakey yaro, Ghafil na raho pehchan lo khud ko, Khuda tumhin mein basa hai isey jaan lo yaro Mehr khuda ki jo na ho yaro, Gunah muaf karega kaun, Bhatak jaye jo rah se insan, Rah pe usey laayega kaun. Insaf hi chahiye to insaf karo, Varna insaf dilayega kaun, Baharon ki adaaon ko samajh lo yaro, Khizan se varna bachayega kaun.

611.

612.

613.

Abid hain jahan mein naseh be shumar, Jannat tak mujhko pahunchayega kaun, Woh mandir, woh masjid, woh girja kahan, Bataye jo mujhko parvar hai kaun.

614.

Allah jis se khush ho woh aamal kijiye, Acchayee aur burai mein farq kijiye Masjid aur maikhane mein to farq hai bahut Gar chain chahiye, khuda ka naam lijiye. Shab se sahr tak maikhane mein pijiye, Phir aftab nikalne se qabl dua kijiye, Rahm aur gunah ka rishta ajab hai yaro, Mehr kya miley jo gunah na kijiye. Jo jee mein aaye aapke wohi kijiye, Yad rahe, najaaiz fayda na lijiye, Khwahishen na hon puri iltija kijiye, Hisse mein jo bhi aye tasleem kijiye.

615.

Kuchh aisa kar dikha khuda Chain sukun se main rahun , Saanson pe ikhtiar tera hai maalik, Har saans pet tera shukr karoon. Khwab apne dekh kar zindagi to guzaar lun, Dekh lunga jahan ko bhi aashian to sanwaar lun, Rang e baharaan dekh kar man mera jo khush hua, Dil se phir aayi sada khizan ko bhi to dekh lun, Sahar ke saath aayi khushi dil mein phir umang bhari, Jaagte aaftab ko uthte huay to dekh lun, Kaho sitaro chamakte ho kyon, kis andhere se khauf tumhen, Darte darte jee rahe ho himmat tumhari bhi dekh lun, Na sun sako awaaz meri zimma fasilon ka hai, Tum tak pahunchne se pehle jahan to zara dekh lun.

616.

617.

Tanz O tanqid nishan hain napaidari ke, Khuda pe ho yaqin kya zarurat kisi aur sahare ki, Be khabar hai insan is baat se yaro, Varna fikr kyon har dum har cheez ki Dhundiye to sirf sukun hi dhundiye, Zarurat na pade phir kisi aur cheez ki, Mehfilen dekhin raunaq dekhi, dekhe jalwe ajeeb o gharib, Ibadat dekhi, abid dekhe, chah sirf khuda ki ki.

618.

Ishq khuda se ho ya uske bandon se,

Farq na hai yaro kar ke dekho, Lutf aye ishq ka gar yaqin ho tumko, Mashuq ko apna khuda maan ke dekho. Arzu o khwahishen hoti hain be hisab, Dua jab maango dil se maang ker dekho, Kitna azaab hai jhut mein zamir se puchho, Sukun kitna hai sach mein, sach bol ke dekho, Hisab zindagi ka to dena padega, Haafize mein is sach ko bhi rakh kar dekho.

619.

Gham na sambhal saka to ansoo baha diye, Dil machal jaaye to kya kijiye, Baharon ki raunaq mein khilte hain phul, Murjhate gulon se kya gila kijiye, Husn hota hai aarizi yeh to jaante hain sab, Ghurur na maane to kya kijiye, Ponchho na ashk nami hai aziz, Sookhi hui shakhon se kya kijiye, Jeena to munhasar hai khuda ke rahm per, Kufr go ho insan to kya kijiye. Muezzin ko sun kar tumne sajde kiye, Azaan na padi to kya kijiye,

620.

Jis taraf uthti hai aankh tu hi tu nazar aata hai mujhe, Kya samjhaun dil ko apne tu hi hai mera khuda. Aasman ko chhune ka shauq hai tujhe zamin per qadam to rakh, Hawaon sang udne se pehle 'ashok' zamin per chal kar to dekh. Basar karni hai zindagi to jeene ka shauq rakh, Kuchh kam kuch zyada kuch umeed to rakh. Zindagi ko azaab na banao, Ranj o gham ki baarat na le jao, Chhord jao yahin aaj ka rona, Kal ko bhi aaj na banao. Kitna be dard hai waqt waqt se na puchhiye, Be khabar hai woh zalim kitna zalim hai woh

621.

622.

623.

624.

Albeli hai tu zindagi dekh chuka hun tujhe, Kahin dhup kahin chhaon kisey kab kya miley, Bekhabar hun main is baat se gar khabar hai tujhe, Kuchh to bataa, ishara hi de, aagah to kar mujhe, Maangte ho khuda se har cheez ki dua, Saans di hai tumko yeh nemat nahin hai kya. Hara bhara ho gulshan aur use kya chahiye, Jis pe karam ho khuda ka use kya chahiye,

625.

626.

627.

Gulshan mein jashn manao, Khushion ke rang bahao, Lag jaaye daagh jo dauran e khushi, Chalte raho na ghabrao. Ruthne walon ko manao, Unki baat dil se na lagao, Jo na samjhen khazan ke taur tariqe, Unke chehron pe bahaar lao. Jhute dilase na dilao, Be maani dil na behlao, Ashkon se jo lipti hai raat, Use jaane do, aur na satao. Jalti aag ko na bujhao, Bujhti shama ko na jalao, Jo ho raha hai yaro hone do, Beete dinon ki dastan ab na sunao.

628.

Dard hua to halka sa, Khushi mili to jaati si, Kya baat hai 'ashok', Jazbat mukammal kyon na hai. Kaun jaane andheri raat ke raaz yaro, Ai shama tu jalti hai raat bhar tu hi bataa, Dil ke andhere mit te hain kya tere jalne se , Zulmat bhare dil ko noor milta hai kya. Kaun jaane guzra kal kyon waisa guzra, Baharen aa kar chali gayin khizan na badli, Kaun jaane aaj ki raat kya khwab dekhunga, Ai haqeeqat kahin aur ja main khwab dekhunga. Kaun jaane tere mustaqbil mein kya hai, Safar e zindagi ka, ai musafir, silsila kya hai, Khabar nahin kisi ko ke is jahaan mein yara, Jeene marne ke baad aage kya hai.

629.

630.

Kaun jaane maujen kab toofan banengi, Kab khushian mustaqil banengi, Be khabar hain sab tere jahan mein khudaya, Duaen kab tera hukm banengi. Kaun jaane pahaad kab tut pade, Mera ghamgin dil zaar zaar ro pade, Khabar nahin kisiko tere jahan mein khudaya Tera qahr jahan per kab tut pade.

631.

Thaam le dosti ka haath jahan bhi miley 'ashok', Khuda hi jaane khuda dost banega ya nahin. Rang e baharaan dekh kar dil to khush hua, Behte aansuon ko dost hum na rok sakey. Fikr auron ki jo kare achha insaan use samajhiye, Neki ki rah par jo chalta ho rahnuma use kijiye. Aaj dil ko hum ne jab chhu kar dekha, kharaash mahsus hui, Kehne laga bezaar dil, zakhmi hun main aahista chhu. Aaye the woh sahare ban kar janaze pe mere, Kaandhe badalte reh gaye woh, sahara dengen kya. Sufi ka hona zaruri to nahin, Khuda ka naam ho zuban pe kafi hai. Na jaane uqab kitna uncha udta hai woh, Aasman ko chhunewale qadam zamin per rakh. Kaun jaane kin darakhton ko sanware gi bahar Aur jaane kis ka gulshan ab khizan ka ho shikar Mujhko tanha chhod do yaro main khud ko hi jaan loon, Tumko kya janoon abhi main khud ko to pehchan loon. Kaun jaane kya khwab dekhunga aaj ki raat, Haqeeqat to yeh hai yaro, saraab hote hain khwab. Kaun jaane kitne saans baqi hain , Chhordo, kya gin na, ji lo kafi hai yaro Kaun jaane aaj ki raat ka anjam kya hoga Bujh jayegi shama mera savere ka kya hoga. Kaun jaane kis arzu ko chhupa rakha hai, Jeena to bas tujhse milne ka bahana hai.

632.

633.

634.

635.

636.

637.

638.

639.

640.

641.

Kuchh to batao yaro hum kahan pahunche hain, Manzil hai kahan safar kitna baqi hai, Kis se milaane, le chale ho, Kahan hai woh maikada kahan woh saqi, Kuchh to batao.

642.

Aaj mil kar main tujh se phoola na samaya ae saba Kaun jaane kal hawa chale na chale. Zulf hatao chehra to dekhun, Andheri raat ne kya raunaq chhupa rakhi hai. Kya thandi dard bhi saath laati hai, Kyon aatish e tamanna yun bujh si jaati hai. Saans leta rahunga umr bhar yeh to theek hai yaro, Kitni lambi hai umr yeh to batao. Kya naapte ho fasilon ko dost, Safar to tai karna hi hoga, Maujon ke thapede kha kar hi naao kinare lagti hai. Kuchh khaalipan mahsus ho raha hai, Ae gham- e- yaar kahan hai tu, In duriyon ko kam kar khudaya, Mujhe mera yar yaad aa raha hai.

643.

644.

645.

646.

647.

648.

Shor itna tha garajte badalon ka, sargoshian na sunayi deen, Dhadkanon ne aapas mein baat ki ,bekhabar guzarti rahi zindagi. Khushi is baat ki manao yaro ke baad e saba ka jhonka mila, Varna andheri raat ki samum mein jhulas jate. Zakhm na bharne dena kahin tumko hi na bhul baithun, Yahan ae purani yaadon zara aati jaati rehna. Deewana ban kar lut gaye lut kar hi paaya jahan, Sahar na hoti hum chale jaate khuda jaane jaane kahan. Naqaab uthane ki zarurat na padi, Chhupi nazaron se dil lagi hui, Tabassum ke rang hain hazaar, Unke rangon se pehchan na hui. Unki zulfon mein hum kho gaye, Haasidon ko jalan si hui. Unke chehre pe nur hai aisa, Haasidon ko jalan si hui. Milti julti hai surat kisi noor se , Unki soorat ke bas dekhte hi bane. Haath thame huay jo chal diye, Ishq jeeta ruswayi na hui. Qurbani ka naam hai mohabat, Ishq yun surkh ru ho gaya.

649.

650.

651.

652.

653.

Darya ko talaash e sukun e samandar, Faisale ka malik dast e qaza.

Dua ki manzil hai dar e firdaus, Ikhtiar e saalis dast e qaza. Aasman tak pahunchne ki tamana hai sabko, Takmil hai munhasar farman e dast e qaza. Lakeeron pe bharosa sitaron se umeed, Jaane hai anjaam dast e qaza. Maikhaane ka surur ya kaabe ki vajd, Qismat ka khel hai 'ashok' dast e qaza. 654. Na mili jagah firdaus mein na sahi, Aashnayi hai mujhko dar e maikade se. Milti nahin har shai hasb e tamanna, Behlata hun dil ko apni us kami se. Mehfil se uth kar chal diye na dua na salaam, Irtibat hogi kya is be rukhi se. Taban hain sitare subah hone tak, Umeed kya rakhun aarizi ada se. 655. Dar dark e yun qadam na rakh himmat se shal Ashok, Tez hawoon mein bhi aksar shama jalti rahti hai . Jis daur se main guzar gaya uska karun kya tazkara, Mehrbaan manun use main yaro jo mustaqbil sanwaar de. Momin hun main, ibadat hai farz, bandagi mein bhala, Jo bhi chala is rah pe yaro khuda use mila Na kisi ki ruh main ban saka, Na kisi ko jaan main banaa saka, Jo khud ko na pehchaan sake, Us shakhs ki main misal bana. Yeh lafz mustaqil mita de khudaya, Varna saans de mujhko aur ke main aur ji sakun. Na kabhi gham ko haavi hone diya, Na khushi se hum pagal kuay, Tu ne jo bhi diya ai zindagi Humne hukm e khuda, taslim kiya.

656.

657.

658.

659.

660.

661.

Gham ke ansoo pi dalo, Ashk khushi ke behne do, Jaana hai tujhe us paar musafir, Fikr kisey hai tere gham ki yaar. Jab kabhi rota hun main apni surat e haal per, Halke halke ashkon men beh jaata hun main. Kashti meri, mallah bhi main, na jaane kya talaash mujhe, Ansuon mein dub kar milega kya sahil mujhe. Kabhi raat se guftagu karke dekho, Savere ki justaju karke dekho, Jo andhere ko bana lo tum humsafar, Ujale ka mazaa phir intezar mein dekho. Jalti shama ke rang dekho , Jalte dil ko bujhte dekho, Raakh hai gar uski qismat, Rangon ko phir bujha kar dekho. Girne walon ko utha kar dekho, Past insan ka ubharna dekho, Khuda ka karam hai un pe yaro, Yaqin un jaisa karke dekho. Hanste chehre rote dekho, Rote chehre hanste dekho, Ro lo jitna chaho yaro, Gham ko khushi mein badalte dekho. In munafiq chehron ke naqab utha de ya rab, Ke shakl dosti ki dilon ke aine mein nazar aaye.

662.

663.

664.

Karvat na badli raat ne main sota reh gaya, Utha naqab , chehra dikha , mujhe jaga sahar, Tasallian na mujhko de andheron main hai umeed, Aa, aakar mujhe tu yeh bataa qarib kitna hai khurshid. Ret pe chalne walo sambhal kar chalna, Halke se jhonke se beh jaoge tum, Samandar ki lehron ki tund khuyi to kya, Darya ki maujon mein beh jaoge tum. Ik maayus Insaan: Ik din ik kiran mere ghar aayi aftab ko chhorte huay, Kuchh tanha, maayus, baukhli si, Abr ka pardah cheerte huay Suraj ki yeh shua lapak kar aayi. Kaha, suno, main ne tera jahan taaban kiya, Per tu bewafa nikla, Khayal na aaya tujhe kis azaab se guzar kar aayi hun main, Kya fasile tay kiye maine, Aur tu, be khabar anjaan bane baitha hai,

665.

666.

Na tapish, na raushani, na kisi aur cheez se farq. Na shukriya ada us khurshid ka jis ne tere jahan ko jagmaga rakha hai, Varna, zulmat hoti humsafar, Yeh keh, kaale ghanghor baadlon mein kiran vapas chhup gayi, Aur main? 667. Intezar kiya so shukriya, Yad dilaane ka bhi shukriya, Bhule na kabhi tujhko ai dost, Teri dosti tere yaarana ka bhi shukriya. Udasi yeh kaisi ashk behte hain kyon, Kya vajha hai yaro, apni daastan sunao, Dil halka ho tumhara, humko batao, Hamsafar na sahi, hamdard ban saken, Chamakte hon chehre, chashm pur nur, Ao milkar jahan ko kuchh aisa banayen, Jahan raunaq hi raunaq ho sabke jahan mein, Hara bhara aur raushan jahan apna banayen. 669. Phadphadaati hui machhli dekh aaj yun laga mujhe, Ruh meri bhi tadapti hogi, ya rab, tere faiz baghair, Abr ne puchha mujhe ashk behte hain kyon 'ashok', Main jo ro lun tere liye kya tu muskura paayega, Dosti ka haath thaame huay main ne abr se kaha, Hain jiske hisse mein jitne ashk rone de yaara, hisaab barabar hoga na. 671. Tauhin ki Abdul Kalam ki to woh bhi is tarah, Ke Clinton ke yahan hote huay majaal yeh hui, Yeh saazish thi us mulk ki jis ne parvah na kabhi ki, Na zabitah, na tamiz, na zaal ki fikr kabhi. Kya taarif karun main teri tu mulk hai tijaarat ka, Kharid o farokht ke siwa tahzib se ghaafil raha, Ai amrika khuda na ban, uske qahr se na vaqif hai tu, Zeba nahin yeh ghurur tere mustaqbil ke liye.

668.

670.

672.
673.

Jise bhi mano tum khuda farq us se kya pada, Khuda to sabka ek hi hai zuban alag so naam alag. Is qadar aaye the aaj gham ke qadam dehliz per, Khushian na rok sakin unhen sailaab ban kar aaye the, Ijazat na thi unhen dehliz ke is paar ki, Maayus dil ne rahm kar faasile kam kar diye.

674.

Pehchaan le khud ko tu 'ashok' khud se ajnabi na ban, Jo khud se na ho aashna jahan use jaanega kya.

675.

Kya they woh rishte jo main chhord aaya, Jab phir kabhi ajnabi na miley. Pyaas bujhti nahin dua karne se ya rab, Tera nur dekh lun dil ko taskin miley. Auron ke mashware aur apni hi zameer se ghaafil, Phir kya gila kaisa shikwah apne is zawal ka. Tah e dil se likhta hun yaro, Arz e musannif yeh kaafi hai, Alfaaz ke gehne hote hain la shaoor, Gar jazba e dil na ho arz e sukhan mein. Roti raat ke ansoo na poncho yaro, Subah to hone do, Dil halka na hua jo uska, Din pe bhaari padegi. Ghaur kiye baitha hun jaise aaj is sannaate mein zamir ko mauqa diya ja Raha ho kuchh kehne ko, kuchh samjhaane ko, Per zamin chup hai, Use sannaate ki aadat na hai aur is khamoshi mein mujhe ik ajab sukun sa milta hai, Kya sannaata hi zamir ka mutradif hai, Sochta hun Kya sannaate mein targhib na hoti hai? Kya jazba bhi shor o ghul mein hi panapta hai? Targhib na ho to kya zamir na ho, Aur shaitan na ho to kya khuda na ho? Sochta hun Sochta hun sochne se hoga kya, Kya targhib kam hogi ya inzibaat badhega, Zamin ko sahara milega, Sochta hun

676.

677.

678.

679.

680.

681.

Sochta hun kisi khayal ya soch ke zinda rehne ke liye bahot saare sharayat ka Hona zaruri hota, hai na? Masilan uska shaoor hona aur ma'ashre mein manzuri milna, Kya yeh sab waqt ki paabandion se baahar hai, alahaida ha, Kya har shai ke janam lene mein, panapne mein, ek saa't saeed ka hona zaruri na hota hai, Yeh sach bhi aaj hi kyon, Sochta hun, Kya tum bhi aisa sochte ho, Nazriye itne farq kyon hote hain, Kya kaafi na hai ke aam aur seedhi saadi zindagi ke daire mein reh kar use jee liya jaaye, Khaana peena, uthna baithna , marna jeena, bas, Sochta hun, Imkanaat?

682.

Sochta hun kya zindagi ik kalpana hai, ya Falsafa ya phir jeene ka saliqa jise apnaa liya jaaye to amwaj ki manind, Woh sukun o talatum ke daire se guzarti hui ek sahil se dusre sahil aakhir kisi tarah pahunch hi jaati hai, jaise taise, Aur jaise taise' hi har insan ki zindagi ka ahm hissa ban jaata hai. Sochta hun, Kya sahi kya ghalat, kya is bahas ki bunyad? Sochta hun aur apne hi khayalon se darta hun phir, Sochta hun, Ke waqt kat jaaye bina kisi aise haadise se jo aam aadmi ki zindagi mein tehelka machaa deti hai, aur woh bhi sirf is liye ke woh masruf rehta hai sochne mein ke ma'ashra uske baare mein kya sochta hai, ya kya sochega. Aur tamaam umr, isi ek soch ko madde nazar rakhte huay apni aur apnon ke qimati lamhaat isi soch ke saanche mein dhaalne ki koshish men laga rehta hai, Sochta hun.

683.

Sochta hun shauhrat ho, daulat kamaaun, Duniya mein naam ho, shaan o shaukat ho aur in aarizi khushion ki maujon ka lutf utha kar hamesha hamesha ke liye dub jaaun, Na mumkin. Moiyan hai ke aarizi shai hamesha na jee sakti hai varna aarizi na hoti, aur hamesha sirf meri, tumhari , sabki umr barabar hi hota hai, Sochta hun, Haafize kitne mo'atbar, kitne pukhta hote hain, sab jaante hain! Jab apna hi naam na yaad rahe auron se kya umeed rakhun, Sochta hun, Kya namvar se behtar hai gumnaam? Sochta hun.

684.

Sochta hun kyon na aaj jashn manaun ke andheri raat apne bistar per so rahi hai aur, Mujhe aftab ki badaulat yeh suhana din dekhne ko mila, lekin yei hairangi kaisi? Yeh to sab ki qismat mein hai Siwai, Us din jab khurshid ayaan to hoga , roz hota hai, hota rahega, per mere liye nahin kyon ke raat ko bhi justaju rehti hai jaavidan ban ne ki, bhale kuchh lamhon ke liye hi sahi aur meri vajah se hi sahi, Sochta hun.

Rishta kya hai zindagi ka qaza se? Kitni kamzor hai yeh dor? Kya chaand aur suraj hi is faisale ke asli haqdaar hain, Kisey kitni raaten kitne subah dekhne ko milenge? Sochta hun.

Aur gar yeh haqeeqat hai to phir har roz zinda rehne ke jashn kyon na manaun? Sirf is liye ke aaj ufaq pe aftab dekhne ko mila mujhe, Aapko, sabko, bas, Kaafi na hai kya? Sochta hun. Subah o sham kyon hoti hai, Umr yun hi tamaam kyon hoti hai, Kyon na yaqin dila den khud ko yaro, Har sham ki subah bhi hoti hai, Kisi na kisi ke liye , Sochta hun. 685. Sochta hun Sach kya hai, uski buniyad kya hai? Jo sach na bole kya woh kabhi, kisi sateh per, apni bhi nazron mein sacha na hai? Kya woh sirf darta hai, sach se ya uska saamna karne se, kyon? Sach mein yeh khauf kaisa? Kya jitni quvat sach mein honi chahiye utni na hai? Gar jazbaat na hon ya na badlen to sach kabhi jhut ka shikar na bane, Kya yeh sach hai? Aur, agar haqeeqat hi sach hai to phir shak ki gunjaish kahan? Sochta hun. Kya sach mein woh taufiq hai ke bolnewale ko kabhi , kisi waqt, gunahgar na maana jaaye, na qaraar diya jaaye? Aur agar, jhut ko munsif sach ka libaas pehna de, haalaat jo bhi hon, to haqeeqat zarur hai per kya woh sach ban jaata hai? Sochta hun. Aur nahin to iska faisla kaun karega aur kaun banega saalis? Kis se puchun, jawab kis pe hai? Tujh pe chhorda, tu hi bataa khudaya, Main to mahz, Sochta hun.

686.

Woh bachpan, woh bachpana, kidhar gaya? Yad aata hai ik nanha sa bacha, main, Sahma hua, chanchal, khush, Kya chhup gaya hai haafize mein kahin, kahan? ya, Dabaa rakha hai sirf is liye...... Sochta hun.

Sirf is liye ke log kya kahenge, kya sochenge , Lekin, apni nazron mein kya hum sab bachpan, bachpana, bhul jaate hain? Ya phir, kya use hum apne mein na dhundte hain? Woh naadaanian woh shokhian woh bachpan ki nishanian? hi kabhi kabhi bachha ban kar bachpanaa kar sakun bina tumhari tanqid ke!

Han, main bantaa hun baccha har us subah jab mera navaasa mujhse milne aata hai, aur amrika, afrika, iskul, maar peet ki mazedaar baaten hoti hain; baaligh aur budha hona fitratan laazimi hai per bachpana bhul jaana ya use dabaa kar rakhna, kya yeh fitratan ghalat na hai? Sochta hun. 687. Sochta hun, Kya kuchh aise sach na hote hain jinhen pinhan rakhna vajib hota hai, Sirf is liye ke be pardah karne se kisi ko dukh hoga, Rishton mein daraar aayegi, Lekin, jis rishte mein sach daraar ban jaaye ya ban sakti hai kya us mein chhupe sach ki daraar na thi/ hai? Kya rishton ki buniyad sach na hai aur kya woh itne kamzor hain ke sach na qabile bardasht ban jaata hai. Shayad, insan fitratan taur per mo'atbar na hai, shayad, Sochta hun. 688. Sochta hun, Haaye, Kaash , Haif aur Afsos, In chaar alfaaz ko lughat aur insan ki zuban se kyon na fanaa kiya jaaye? Kyon ke yeh chaaro yaqin ke barkhilaf hain aur yaqin ke bina zinda na reh sakta hai insan. Yaqin khuda per, yaqin khud per. Sochta hun, Gar khuda aur qismat mein yaqin hai dosto to afsos kis baat ka aur na umeedi kaisi, Aur yeh hon to phir in alfaaz ke maaine kya? Sochta hun. 689. Sochta hun, Kya vaaqai mein jannat aur dozakh qaza ke baad hi milte hain? Aur, agar yehi sach hai to phir har insan ke hisse mein ranj o gham aur khushi ki ghariyan jo, Is jahaan mein use milti hain, woh kya hain? Sochta hun Kya insan ko ikhtiar hai ke woh apni zindagi jaisi chaahe bana le, aur agar aisa hai to phir woh jahannum ki aag mein khud ko kyon jhonk deta hai, jab jannat banaa ne ka mauqa use diya jaata hai ? Ya phir, is jahaan ki khushian mahz ek ittifaq hain? Aur dukh? Kya zindagi khud ek ittifaq na hai? Aur, gar yeh haqeeqat hai to phir hasad, rashk, maayusi, na umeedi yeh sab kya hain? Umeed bhi kya, gar sab ittiefaq hai? Sochta hun.

690.

Khwab hai, Saraab hai Ya phir sirf khwahish, Be buniyad, Jo cheez na mumkin ho use chahna soch nahin kehlaya ja sakta , Bas, ek farzi takhaiyul, Behr haal, jo bhi ho, sawaal yeh uthta hai ke agar mauqa mile zindagi dobara jeene ka to kya main kuchh farq chahta? Aur dusra, kya koi aisa shakhs hai jahan mein, jo sache dil se keh sakey ke use uski zindagi jaisi thi vaisi hi mauzun hai. Sochta hun, Jawab dene se darta hun humdum, Mujhe yeh bataa, kya auron ka haal aisa na hai kya? Ya, meri soch be maani, mukhtalif hai, Aur tum? Sochta Hun.

691.

Sochta hun, Kya sahi kya ghalat yeh faisale kaun karta hai? Aur, itihaas aur taarikh per ghaur karen to sahi aur ghalat ke naazuk farqon mein, Bhale haqeeqat mein na sahi, kitni zyada tabdili aayi hai, khas taur pe guzre tees chalees barson mein? Sochta hun . Ma'ashre ne, yaani aaj ke insan ne, woh sab sahi maan liya jo, kuch hi arsey pehle, bilkul sahi na maana jaata tha. Sochta hun, kya sahi aur ghalat bhi insaani eejad hain jo, gar isi raftaar se taraqqi karte rahe, insan ko wahin pahunche denge jahan se shayad uski shuruat hui, Yaani biyaban, sahra, jangal, Sochta hun

Sochta hun khudaya kya vaqai is jahan ko tu ne hi banaya? To phir kyon, aisa kyon? Yeh sawaal sirf is liye uthta hai kyonke aksar, acche logon ke saath zindagi ke amwaj yun khilwad karte hain jaise dubti kashti nazar aati hai, Kyon? Maana ke tumne hausila bhi diya hai, sabr O bardasht ki quwat bhi, lekin kya aisa na ho sakta tha ke acche insaan ke saath kismat achha bartao hi kare, aur ? Man ko dilaasa dilaane aur kuchh sukun haasil karne ki umeed mein aise sawalon ka khud hi apne aap se jawab maangta hun, jawaaz dhundta hun, Lekin haar ke, tere diye huay hausile ke zariye bardasht kar leta hun, teri mehr ka taalib rehta hun, Sochta hun.

692.

Aisa dukh na dena khuda jo hausile se zyada ho, Na hi aisi khushi jo aape se baahar kar de, Tavazun ho zindagi mein din raat hon barabar, Thodi si ho zulmat thodi si khusi. Na samajh sakey tere hum silsile, Tum hi batao mujhko yaro kya tumhen kuchh jawab miley? Khushion ki chaap yahan chord kar, Aandian gham ki hum le chale, Bharosa na hai waqt ka yaro, Is jahan se kaun kab uth chale. Yaad e maazi ki girift mein ya rab, Udhre huay khwab bun raha hun, Woh guzre zamane aur aaj ke darmian Kuchh naye kuchh puraane pul baandh raha hun. Na kisi ki adavat mol li Na kisi ke hum dushman bane, Jo bhi mila dauran e safar Use salaam kiya use dost kaha. Imtehan na lo ke aaj ki sham ka saqi main hun dost, Bazm e mai se gar tashna jao to kehna. Sochta hun , jab aankh khule to kya savera samjhun, Aankhon ki nami ko shabnam, Kya haqeeqat, kya saraab 'ashok'? Andhere ko guzarti raat ya kal ka savera samjhun? Sochta hun zindagi aur qaza ka rishta kya hai? Yeh bhi sochta hun ke yeh lafz qaza gar zuban se hataa diya jaaye to is se kya kuchh farq padey? Kya aisa na hoga ke zindagi sirf khatm ya tamaam ho aur is haadise ko mahz maut ka naam na dene se uski ahmiyat insaani zahn se nikal jaaye aur is se kya aisa na hoga ke maut se jo khauf lagta hai woh dar insan ko na lage ya kam lage sirf lafz qaza ka na hone se? Aakhir har insan kabhi na kabhi sochta ya kehta hai ke use maut se dar lagta hai lekin, Kya woh yeh kahega ke zindagi tamaam hone se use khauf hai? Aur kya in do haalaat mein farq na hai kya? Sochta hun.

693.

694.

695.

696.

697.

698.

699.

Sochta hun, Ke jin logon ko qismat sochne ka mauqa deti hai woh is nemat ka faida kyon na uthate hain. Aam zindagi to guzarne mein hi kat jaat hai; Subah se sham rizk ki talaash mein hi guzar jaati hai.

Jin logon ko maali pareshanion se qismat mahfuz rakhti hai, Kya unka farz na banta hai ke woh apni sochne ki quwat ka sahi aur mukammal istemaal karen, Aur doosron ke baare mein sochen, Unke haalaat mein kya sudhaar laya ja sakta hai aur unhen badqismati ke jaal se kis tarah nikaala ja sakta hai, Sochta hun aisa kyon na hota hai aur kya khud gharzi aur matlab parasti insaani fitrat hai, Sochta hun. 700. Sochta hun Kya jitne saans liye hain utni zindagi ji hai? Ya phir saans khud ba khud be ikhtiari se aate rahe aur har lamhe ko jeene ki koshish ya zarurat samajh ke daaire se baahar rahi? Kya saanson mein bhi farq hota hai jahan kuchh jeene aur kuchh sirf zinda rehne ke liye hota hain? Kya insan har lamhe ki ehmiat samajh kar use mukammal taur per jeene ki quwat na rakhta hai? Kya yeh mumkin na hai? Sochta hun. Larazta hun main teri yaad mein jaanam, Aandhion ki tarah jo guzarti hai tu, Maujon ki masti kya karen beqaraar, Tere tabassum ki nazakat jo kare hai yaar.

701.

702.

Sochta hun Ke bachha paida hota hai sirf ek bachha jisey na koi zuban aati hai aur na jisey mazhab naam ki cheez se koi vaasta hota hai, Phir woh hindu, musalman, isai kab aur kaise banta hai? Parvardigar sabka ek hai jis marzi naam se aap bulayen, To kya is se yeh saabit na hota hai ke farq mahz zuban ka hai aur agar insan humzuban hote to na koi mazhab hota aur na hi uparwaale ke alag alag naam? To kya taqaza sirf geografia ka na huaa aur saare aapsi farq aur tanao insaani eejad? Jinhen mazhab ka libaas insaani khud gharzi pehnati hai! Sochta hun.

703.

Lipte the gham se is qadar ke ehsaas e zakhm na hua, Khushi ki baat to yeh hai yaro ke gham bhi hamen mahsus na hua. Hum na samjhe teri chaalen tere dao pech, Mohre hain ya rab badshah hai tu. Dil per haath rakh kar kaho dosti nibhaoge, Aur yeh na kar sako yaro to imaan kya bachaoge. Neend na aa rahi hai kya baat hai aaj, 'ashok', Haqeeqaton mein guzar jayegi raat khwabon se beniyaz. Bhatakti phirti hai dua rah kaun dikhlayega, Us nek insan se milao dosto jo khuda tak pahunchayega.

704.

705.

706.

707.

708.

Tundiye barq se darun ya garajte abr se, Bismil kisne kiya farq kya padta hai 'ashok '. Ruk ruk ke aayi kiran per aayi to sahi , Zulmat mein daraar, nur e aftaab tera shukriya.

709.

Aaj gulshan mein gulon ko rote dekha, Shabnam ki intezar mein rote dekha, Ai falak nazakat pe yeh zulm kaisa, Teri mehr to dekh chuke hain, tera qahr yeh kaisa. Dekh li hai maikade ki raunaq, saqi ke jalwe, Bas ab to tere dar ka sukun, tere naam ka surur chahta hun, ya rab. Goong baithe raho dost guftagu ki zarurat na hai, Jab dil se dil ki baat chale alfaaz ka kya kaam. Kya sahi kya ghalat kya intekhab, Chaurahe pe khada hun dosto armaan liye huay Sochta hun Ke insan zaati taur per ek dusre se kitne pyar mohabbat se pesh aate hain Aur phir maashre ke dabao ya uske amaal se kaise badal jaate hain ! Kya iski vajah sirf yeh hai ke, Kyun ke mulkon ki bunyad geografia ya zuban ya phir mazhab per hoti hai, apni hukumat aur taaqat ko banaye rakhne ke liye arbab e hukumat jaan bujh kar bashindon mein farq paida karte rehte hain? Aur kya yeh is baat ki gavahi na deta hai ke insan apni zindagi batorne mein hi laga rehta hai, Apni ana ki takmil mein masruf? Sochta hun.

710.

711.

712.

713.

714.

Gar ayaan na hua aftab zulmat uthegi kaise, Kis din ki main rakhun umeed gar raat hi guzre na. Sochta hun Ke zindagi mein maine kya chaaha kya haasil kiya, aur kitna khara utara un cheezon mein jinhen maine zindagi ka maqsad maana? Kya koi maqsad tha bhi, koi manzil? Ya phir, bas saans lete rahe aur isi ko jeena maan kar waqt guzarta gaya, baghair kisi maaine ke. Sochta hun, Kya yehi sabka haal hai? Kya zindagi ek shiddat ka naam hai? Ek rail ki patri jis pe gaadi nape tupe raftaar se chalti hai, Rukti hai, thakti hai aur phir chal uthti, jab tak hum us per sawaar hote hain. Sochta hun, Agar yehi sach hai to zindagi kaisi guzri ek be maani sa sawaal na ban jaata hai kya? Sochta hun.

715.

716.

Ek darakht ki pukaar: Sadiyon se tanha khada hun main, Koi to aa kar baat kar lo mujhse, Meri chhaon mein aa kar khwabon mein kho jaaye, Aur unhin mein shaamil mujhko bhi kar le. Dekhen hain main ne zamane guzarte , Dekhen hain main ne afsaane hazaron, Parakh lunga tujhko bhi guzarte ai raahi, Tera itrana tere bahaane. Khizan aur baharon se aashna hun main, Lams donon ki hai gavara mujhe, Jahan bhar ke mausam se hai vaaqfiat, Hawaayen aur ghataen na darayen mujhe. Kyon rutha hai mujhse is qadar tu insan? Jab ke tu hai faani main nisbatan jaavidan, Kya yeh mumkin nahin hai ke mil ke baithen? Tu meri chhaon mein main teri aaghosh?

717.

Sochta hun Kya taraqqi ke liye hulchul aur hararat ka hona zaruri hota hai ? Aur kis taraqqi ki baat karte hain log? Maali, jo insan ko baahar se ameer aur andar se khokhla banaa deti hai ? Kya ise taraqqi ka khitaab diya jaata hai? Aur woh dimaghi tavazzun jiska hona bilkul lazimi hota hai agarche insan zindagi theek thaak jeena chahta hai, Uska? Uska khayal kisey? Uski ekhmiat? Sochta hun.

718.

Imaan bacha ke chalta hun aaj ki duniya mein khudaya, Iltija hai zamana phir woh bakhsh chalta tha main jab be dar. Sochta hun ke insan ko taklifen jhelni padti hain, Gham sehne padte hain, Lekin ghanimat hai ke use khuda ne hausile aur taufiq se bakhsha hai; Per kya hausila hasb e haal ke munasib hota hai ya phir dukh zyada aur agar aisa hai to kyon? Sochta hun. Kuchh aise lamhe bhi aate hain insan ki zindagi mein jab usey khud ka samna karna padta hai, Aur inhin lamhaat ke natijon per munhasar hai ke woh kis mitti se dhala hua hai, Sochiye. Jab maante hain sab tumko qatib e taqdir sitaro, Kya fanaa karegi duniya, kyon darte hain log yaro.

719.

720.

721.

722.

Woh zanjeer hi kaisi jo too jaaye, Qaza hai qaid ya phir raahat kaun jaane hai 'Ashok'. Kisey kahun main sahib ilm yaro, Daana hain sab, junoon mujhko hai yaro,

723.

724.

Sochta hun ke jitni chaadar utne pair phailaane mein daanishmandi to hai, Per lutf bhi hai kya? Yeh bhi sochta hun ke agar zindagi sirf daanishmandi se jeene ke liye bani hoti to phir junoo kis kaam aata? Lihaza, daanishmandi yeh kehti hai ke uske saath thoda sa junoo ka hona zaruri hai, Varna daanishmandi kaisi? Sochta hun.

725.

Badalon ke peechhe pinhan rehti hai raushani, Qismat ke sitare bhi chamkenge yaro Gham e darya se na vaaqif hain samandar ki maujen, Haaye, ke fanaa ho jaatin hain hastiaan nazdeekion se. Aaj roney ko ji chahta hai Kuchh kehne ko ji chahta hai, Alfaaz na hain mujhpe aaj yaro, Aah ko zubaan dene ko ji chahta hai. Yad kiya tumhen itna ke khud ko bhula baithe, Haafize mein humdum jaane dhundte hain ab kisey. Jo kabhi gham se ashna na ho, Usey khushi ka ilm kahan se ho, Jo apne hi dil mein na jhaank sakey, Aainey mein phir usey kya miley. Tauba ko aate dekh kar maikade mein aaj, Jashn manaya logon ne maano dushman ho ghar aya. Tadapti ruh ko sukun dila vaaiz ke dar e maikada mujhe band mila, Na saqi, na main, na aaj mujhe mera khuda mila. Garajte baadalon ko sun kar aaj taras bhi aaya mujhe, Ke garje woh baaraha per barasne ka sila na mila. Dhunda kiye tujhe ai zeest bahr ke us paar bhi, Kho gaye toofan mein yaaro saahil hamen na mila Ghunche ko phul bante dekha barg bhi ginte gaye, Fanaa hua gulshan mein ghuncha nishan hamen kyon na mila. Wahi kiya jo tu ne kaha tere kehne pe hi chale, ai dil, Haseen chehre miley hazaar bas ik hamdard hi hamen na mila.

726.

727.

728.

729-

730.

731.

732.

I 733-

Gar khauf na ho tera isey, Na jaane kis simt yeh insan chale, Tere qahr ke dar hi se maula, nsan ko ghar tera miley. Sun lega dua tu bhej kar to dekh, Bas yaqin ko paighambar bana kar to dekh. Fakir dikhao mujhko jo momin na ho, Kaafiraana andaz ameeron ki harkat hoti hai. Kaghaz ke phool banata gaya, Khwabon se dil behlata gaya, Aasaan nahin hai haqeeqat ka samajhna, Main to lamhon ki daulat batorta gaya. Sochta hun Kya sukhanwar soch ke likhta hai yaani kya aap yeh kehte hain ke main falaan mauzun per likhunga ya, Ek khayal yunhi bin bulaye a khud ba khud aata hai aur zahn use pesh karta hai intekhab ke liye yaani, Kya khalayon ki zindagi ek apni hoti hai jispe insan ka ikhtiar na hota hai? To phir kya khayalon aur khwabon mein farq na hai? Sochta hun. Bakhshta hai maalik daulat insan ko, Haif, ke daulat ko malik banata hai insan.

734-

735-

736-

737.

Fakir dikhao mujhko jo momin na ho, Kaafiraana andaz to ameeron ka hua karta hai. Kitna bhaari hai dil kitna bojh aaj ashok, Ashk seh na sakey aur tu ro na saka. Do lafz bhi zuban se nikalne azaab they yaro, Bas ya rab kaha phir kehte hi reh gaye. Shikast de kar bhi hum khush na huay, Kis qadar be maani hoti hai jeet. Manind e hawa hai tu 'ashok' tu chalte chal, Rokengin kya tujhe bandishen tu sar jhuka aur chalte chal. Is qadar sukun mila hai mujhko aaj, Ke valvale bhi uthe to ahista ahista. Kyon lagta hai aaj waqt tham sa gaya hai, Na jumbish ,na dhadkan, na tasavvur hi raha hai. Aasmaan ko takte takte reh gaye hum raat bhar, Gira na koi hum per sitara raushan na hua jahan hamara, Tujhko falak farq na padta ek sitara kam ya zyada, Raushan ho ghar kisi ka maqsad yehi hai sitaro tumhara.

738.

739.

740.

741.

742.

743.

744.

745.

Sochta hun, Sach behte paani ki manind hota hai, Saaf, suthra, musalsal ravaan, Aur, jhut ruk ruk ke chalta hai aur aakhir Sach hi ki darya mein dub jaata hai. Ruk Ruk ke aate hain saans ajab kyon hai yeh baat, Kya lamhon mein fasile na hotey hain? Be ghairat na hain sharmsaar hain woh, Fashion ke deewane hamare yaar hain woh. Maathe pe shikan kis liye sanjeedgi kis kaam ki, Hans lo yaro, mujh per hans lo, hans to lo. Dil aa gaya, dil de diya, bas hum to lut gaye yaro, Sauda na kiya tha humne, qimat kya vasul karen Sochta hun, Har cheez soch ke ki jaati hai kya? Jaise khana, peena, uthna baithna , sona, yaani jeena; Ya phir masilon pe hi socha jaata hai aur roz marah ki zindagi yun hi baghair soche kat jaati hai; To phir kya is ka matlab yeh na hua ke soch zindagi ka ahm hissa na hai, is liye ke zyada waqt jeene mein, bajaaye sochne mein, bitaya jaata hai? Sochta hun. Aaye toofan maujen uthin samandar be khabar raha, Jab dil mein valvale uthe dil na samajh saka, Kya majra hai yaro kyon khud se dur hai insan, Jazbaat hain mere apne main hi na jaan saka. Na samajh sakey hum asar pyar ka, Bhaari jitna bhi ho gham halka hota hai ghamkhwar se. Khamoshi kabhi itni na gavaar kyon, Aur phir isi ke jalse bhi manata hun. Rote rote so gaye , Rona jaane kahan gaya, Kya haqeeqat aur kya khwab, Hum na jaane kidhar gaye. Jab bhi main fikr e qaza karta hun, Teri aarizi adaaon pe, ai zindagi, khub ghaur karta hun. Hairan hun maalik is jahan pe, Jahan tujh pe bhi shak numa ho, Yaqin na samjhen yeh duniyawale, Tujhko phir yeh samjhenge kya.

746.

747.

748.

749.

750.

751.

752.

753.

754.

755.

756.

757.

Guzre lamhe kya laoge yaro haafiza kya jagaoge, Jeeni hai zindagi haal mein maazi ko kya bulaoge Aaj andheri hai raat jagmagao sitaro, Jahan bhar ki zulmat mitao sitaro, Raushani hai jahan mein raushan na hain jahan sabke Rah meri tum mujhko dikhao sitaro. Chaahat na ho to zindagi kya hai, Haif, ke har tamanna ki sila na hoti hai, Kitna mehrban hoga kal kaun jaane, Hum to aaj ka shukriya ada karte hain yaro, Kis kadar lihaz hai tumhara, Tumhen andaz na hai sanam, Dum nikal bhi jaaye gar hamara, Pinhan rahega zikr tumhara. Dast e qaza ko thukra ke aaj, humne yaro jeena seekha, Dar dar ke jiye to kya jiye, maut se bhi kya darna yaro Sochte sochte thak gaya hun, Raaz kya hai zindagi ka, Ramz hai yeh raat o din ka, Ya imtehan mera khudaya. Kya maaniyega sahib e ilm usey, jisey ilm o khabar apni hi na ho, Kya pandit, kya mullah, sukun kya miley, gar yaqin hi khuda per shak mein lipta ho. Amn o sukun se guzarti jaaye yeh zindagi yaro kaafi hai, Kya denge aur lamhaat tumhen kya chahiye tumhen aur. Kashmir Ki Pukaar Kabhi aasman ko chhu kar dekho meri vaadiyon se yaro, Jannat milegi tumko jeete ji zamin pe yaro. Kabhi humaghosh ho kar dekho meri vaadiyon se yaro, Jannat milegi tumko sar zamin pe yaro.

758.

759.

760.

761.

762.

763.

764.

765.

766.

767.

Haar maani qismat se humne , Yaqin hargiz kum na hua, Shikast meri jeet hui teri, Ja qismat tu khushian manaa. Aandhian na chalin to kya hua, Kya dil ka gham kaafi na tha, Kis toofan ka shauq hai tujhe ashok, Dubti kashti ko saahil na miley to kya hoga.

768.

769.

Yeh faasile kya kum na honge, Yeh durian na qabile bardaasht, Kuch qadam tum chalo kuch hum, Na hoga dil bhaari na aankhen num.

770.

Yeh ittifaq hai yaro ke dil dhadakte hain do, Jab ke milti hon ruhen aur badan mil chuke hon. Gar dar gaye maut se yaro jeene ka mazaa kya loge, Hum aaj ki sochte hain yaro tum kal ki fikr karte ho. Guzri zindagi se guftagu karke dekho, Maazi se rishta bana kar dekho, Hall mein jeena to ittefaq hai yaro, Tum taarikh ke aaine mein mustaqbil ko dekho. Kashti mein baith kar chal diye us paar, Dhunda hi na kiye to milega kya mere yaar.

771.

778.

779.

780.

Aya hai tere dar pe rind saza qabul maula, Nasha tera na utaar saka saqi e maikada.

781.

Kashti mein baith kar chale huo us paar, Justagu hi na ho milega kya mere yaar. Kya darna samander ki maujon se yaro, Humaaghosh ho kar dekho sukun bhi hai qahar mein. Tum bulao na bulao hum mehman hain yaro, Zindagi di hai khuda ne mezban bhi woh hai yaro Kis ne kaha tumse ke woh wali hai, Khuda sabka hai ek jannat bhi sabki ek.

782.

783.

784.

785.

Yeh ittifaq hai yaro ke dil dhadakte hain do, Jab ke milti hon ruhen aur aankhen num hon. Doston ko yad karte hain log, Dosti ki mehak zinda hai, Hum to samjhe ke dosti azl tak hoti hai, Qaza ke iradon ki khabar kise hai yaro.

786.

787.

Na kabhi gham ne tanha chhora mujhe, Na akelapan mujhe mahsus hua, Tera lakh lakh shukriya ai ghamkhwar mere, Ke tu ne furqat ka ehsaas hone na diya. Na paar kar sake samandar to kya hua, koshish to ki, Dubna to yaro aakhir muqaddar hai.

788.

789.

Chubhte kaanton ke zakhm bharte gaye, Hum bhi ai zeest tujhse mohabat karte gaye, Haar maani na khudse na kisi aur se, Himmat bandhe huay rah e manzil pe chalte gaye, Mushkilen aanyin zarur waqt ba waqt. Muskurate huay unhen bhi saath lete gaye, Jeene ka saliqa yehi hai 'ashok', Hum to zindagi ko bhi sabaq sikhlaate gaye.

790.

Main itni dur ab ja chuka hun apne aap se yaro, Mumkin nahin hai khud se milna naqsh e pa bhi na hain yaro, Jab yaad e maazi ho ajnabi rishton ka paasbaan banega kaun, Kal ki kya puchhte ho humse haal hi ki khabar na hai yaro. Reh gaye tanha kahin main aur mera haafiza, Main woh nahin jo kal main tha haal tumhara bhi yahi hai yaro, Waqt bhi kya cheez hai maazi haal aur mustaqbil, Gar na ho tum aur na hon hum kis waqt ka zikr hoga yaro.

791.

Dil ki aag bujha chuke hain aansoo mere, Kis cheez ko ponchege ab ghamkhwar mere, Bhul jaayenge log ke hum bhi they khush khalq, Yaad rakhegi duniya talkh alfaaz mere, Rafaqat ho to aisi ho ya rab, Ke dushman achhe na hon doston se mere, Na chaha bura kisika, bhala chaha humne sabka, Kya vajah hai yaro dhunde hai jahan aib mere, Main jab bhi haath uthaun to dua yehi ho, Tera karam ho khudaya bakhshna tu gunah mere.

792.

Raushan tha jahan mahtab ka sitaron ki raunaq, Andheron mein ujala bhi naseeba hai yaro, Dil de chuke hain aur javaaz dhundte hain ab, Kis qadar be raham hai mohabat yaro, Maana ke be vajah hoti hai ulfat, Har sawaal ka jawaab kyon lazimi hai yaro, Un se mile to samjhe ke mil gayi hai manzil, Kitne na qabile aitbaar hain faasile yaro, Saba ke chalne se hua ehsas e sahar, Varna raat to bardi tavil thi yaro, Ghunche ko dekh kar khush hua baghbaan, Kitni na paaidar hotin hain umeeden yaro.

Naap tol ke ji le ya be hisab ashok, Jo bhi karo mukammal tum jiyo yaro. 793. Kitna bad naseeb hai woh insan yaro, Jisne rona to chaha aur ro na saka, Dil bhaari to tha ashk beh na sakey, Behte ansuon ko woh dekh na saka, Justaju uski aisi nayaab thi yaro, Ke samajhte huay bhi muskura na saka, Banda woh khuda ka nek hargiz woh insan, Lekin, maikhane se hat kar woh ja na saka, Makhmur woh nikla maikade se khudaya, Nasha itna tha tera tujhe bhula na saka 794. Bojh hota hai bhari thamte waqt ka yaro, Haseen woh lamhe jo guzar jaayen. Tere qadmon ki aahat sun kar ehsaas hua ke hum zinda hain, Dil ki dhadkanon ,se ai qaza, mahrum they hum. Baraste baadalon ko dekh kar achha laga mujhe aaj, Ghamkhwar ke ansunon se sukun milta hai yaro. Kya munh dikhayega kisiko pi ja tu gham apne 'ashok', Ab to ansuon ne bhi behne se inkaar kiya hai dost. Jo ro diya use gham ka ehsaas hi kya hua, Gham to ek tadap hai dosto tum ashk bahaane ki baat karte ho.

795.

796.

797.

798.

799.

Kyon darte ho maut se yaro maut to bas ek hadisa hai, Lamhon ki daastan hai zindagi aur har lamha ek hadisa hai. Rone ka saliqa kya sikhlaoge yaro, Dil rota hai dil ki nami kya dikhlaoge yaro Dil jala ke raakh kiya aur nur e chashm puchte ho, Siyah pardon se kya umeed rakhte ho yare? Dil jala ke raakh kiya aur nur e chashm puchte ho, Siyah pardon se kya umeed rakhte ho yaro. Saahil pea a kar dub gaye toofanon se ladte aaj, Kitni qarib thi zindagi maut se yaro aaj. Baarish ki boondo mein ansu na dhundo, Aankhon ki nami ka bahana na dhundo. Gham hota hai sabko baari aati hai sabki, Rote hai dil ki aah ka javaaz na dhundo.

800.

801.

802.

803.

804.

Kabhi shak na kabhi bharam hua, Shikwah na kabhi gila kiya, Yaqin mukammal tujh per khudaya, Hum ne jo kiya sar jhuka kar kiya. Aaj jaan to jaate dekha, Zindagi ko maut mein ghulte dekha, Khwab aise aaye humko yaro, Aaj hum ne khuda ko jaate dekha. Rulaati hai raat sulaati hai raat, Khwabon ki duniya men jhulaati hai raat, Khwab hon haseen ya phir hon kaabus, Lailaat e qadr aisi ke zaamin na hoti hai raat. Khuda jaane in lamhon men kya rakha hai, Hum to yaro bas inhen jiye jaate hain Guzar jaaye raat to ghanimat maaniye, Khuda ki inayat hum to so jaate hain, Na mili hidayat, na sahi, naseh, Yaqin ko bitha ke dil men chala karte hain. Dekha kiye aaftab to kirnon ne kaha hum se, So rahi hai duniya aap kyon chale atte hain. Pahunch jaate hain musafir manzil pe jab, Aahen chhord saans liya karte hain, Ghuncha banta hai phul, dil men musarraton ki tamanna, Masumiat aur shabaab saath chala karte hain.

805. `

806.

807.

808.

Jis shauhrat ki hai talab tujhe woh shauhrat udti chidiya hai? Jis daal pe ja kar panchhi baithe bharosa kya us daal ka 'ashok'. Kya kahun main dil ko yaro sadme uske apne hain, Dhadkanon mein masruf bechara zinda mujhko rakhe hai, Giley karun to kis se shauq bhi to mere hain, Qusur na hai dil ka yaro mera hi to hissa hai.? Main jis ko chahun khuda bana lun, Yeh huq hai tumko mujhko bhi? Yaqin ho jis pe khuda wahi hai, Main kyon na yaqin ko khuda bana lun. Bheek mangun khuda se log aabid kahenge, Bhikari ko duniya dhutkaare phir kyon, Doghla hai jahan doghle iske log, Insaanon ki iltijaa mein yeh farq hai kyon.

809.

810.

811.

812.

Kis naam se pukarun tujhe ai maalik, Har shakhs se nikle hai aah kuch alag. Jise kehte ho tum zindagi lamhon ka hai woh hisab, Kisey kya ikhtiar hai yaro nabz e sa'at per. Aaj ki sham na dhali sitaron ka kya hoga, Zulmat zaruri hai kya nur e khuda ke liye. Kis insan kis ehtram ki baat karte ho yaro, Zamane guzar gaye isey sar jhukaye huay.

813.

814.

815.

816.

Kya puchun main dil ki dhadkanon se, saans baqi hain kitne, Lamhaat ka hai yeh silsila lamhon ki unki zindagi. Chhaai hai zulmat dil pe mere raushani to kuchh dikha do, Guzregi kaise yeh raat sitaro, nur e khuda tum dikha do, Mayusi men jumbish na hoti hai yaro, bhaari hote hain ashk itne, Ashk poncho tum mere jahan apna bhi mujhko, aaj ki raat sitaro dikha do. Shabnam ko dekh kar aaj chashm e nam boli, Roi to thi main raat bhar sailaab kyon itna kum hua. Jee raha hun main lamhe taqaazaa hai waqt ka, Kaun jaane kitni hai baqi lamhon ki zindagi.

817.

818.

819.

820.

Shabnam ko aaj dekh kar chashm e nam boli, Roi to thi main raat bhar sailaab kyon itna kum hua.

821.

Jee raha hun main lamhe, taqaazaa hai waqt ka, Kaun jaane kitni hai baqi lamhon ki zindagi.

823.

Us din ka soch ashok jab yeh jahan na hoga tere paas, Kis jahan mein hoga tu aur kya hoga tere saath.

824.

Lamhe se lamha jodti gayi zindagi ki zanjeer, Kamzor kadion ko ashok sambhalti rahi teri taqdeer.

825.

Kis insan kis ehtram ki baat karte ho yaro, Zamane guzar gaye isey sar jhukaye huay.

826.

Aaj phoolon ko rotey dekha, Zamin per ashk tapakte dekhe, Baraste rangon ki hui aisi bauchhar, Shabnam ko aaj lahu lahaan hote dekha.

827.

Toofanon ko safiney se khelte dekha, Maujon ko saahil se takrate dekha, Humne dekhe hain tamashe aise aise, Apnon ko ghairon ki libas mein dekha.

828.

Baadalon ko garajte dekha, Zamin ki tashnagi bujhaate dekha, Door se dekha qarib se jaana, Humne sanwarte rishton ko bikharte dekha.

829.

Kis kis ko bataaun gehrey kitne hain mere zakhm, Tu hi bataa naseh kitna gehra hai samandar.

830.

Jad o jahd e zindagi se guzar kar lagta hai mujhko aaj, Gul o khaar ka haq ' ashok' barabar hai gulshan e zeest per. Gulon ko rashk hone laga aaj khaar dekh kar, Chubhan ki nikhaar hoti hai alag dast-e- yaar per Kis vaza ki baat karte ho rang hain aaj aise aise Benaqab chehron ki yaro pehchan to dikhao Fitratan raat andherey mein guzarti hai, Aarizi ujaala fitrat e insaan hai. Tawaqqo na thi lamhaat se guzarte chale gaye, Rokte kya azal ko yaro umeed ya na umeedi kya. Zindagi ke aine mein dekhta hun jab bhi, Nazar aatin hain jhurian woh bachpan bhi, Woh guzre zamane woh beete huay saal Yaad aata hai maazi haal mein bhi. Be hiss insan tasavvuf kya karega tu, Saahil kya milega dubti nao ko. Ja hawa kahin aur ja, Aaraam tu mujhko degi kya, Samum hai tu zakhm hain tere, Baad e saba ne bhi rukh hai phera

831.

832.

833.

834.

835.

836.

837.

838.

Bhule nahin yaron ko hum aaj tak kabhi, Aah bharte hain dua karte hain bakhshe karam sabko nabi.

839.

Jis lamhe ka intezar tha woh to khair guzar gaya, Baqi hai zindagi ashok agle lamhaat ki soch. Faryad e dil sun kar aaj mahsus hua mujhe, Ja chuka hai kitni dur apni hasti se tu ashok.

840.

841.

Gunaah aur rahm ka rishta ajab hai yaro, Rahm kya milege jo gunah na kijiye. Shab se sahr tak lijiye maikhane ka surur, Aur aftaab nikalne se qabal dua kijiye.

842.

Ruk ruk ke aaye saans to yaad aati hai teri musalsal, Ravaangi mein khudaya ghafil hota hai insan.

843.

Sher pe sher padhte gaye bekhudi mein aaj, Zer e saya tere khudaya sukhanwar hum bante gaye.

844.

Mahrbaan thi sahr jo andhera woh le gayi, Pallu mein baandh afsurdgi meri, mauj-e-naseem le gayi. Har saans hai teri nemat khudaya, Bas bakhsh de ek saans mujhe jo main tujhpe qurban karun. Dil ko paasban bana kar khud ko be ikhtiar kiya, Haafiz banaya usko yaro jo khud ko na sambhaal saka Jis shakhs ko dil mein khuda na miley: Woh mandir o masjid mein sajde kare, Ajab hai yeh duniya jo tu ne banayi, Har su hai khuda phir bhi dhunde hai insan, kis kis ki rahnumayi. Kya vaar karega dushman kya lahu piyega khanjar, Apnon ne maara humko tamashaaye zindagi mein Tuhi jaane kya hausila in badalon mein tuney rakha hai, Hum to ya rab rote rote chashm e num bhi bhul gaye. Yaad karte hain tumko baarha dost, Guzre zamane ke aashiq hain hum. Aaj ki raat timtimate sitaron ki raat hai, Kis ki qismat mein sitare, aur kiski afsurdagi ki raat hai

845.

846.

847

848.

849.

850.

851.

Khwab dekhte hain kal ke, kal ke aftab ke, Kis ne bhala kal ko dekha, zinda to aaj ki raat hai,

Jee lo yaro, jeena to hai har haal mein, Guzishta kal ki inayat, ke mili phir aaj ki raat hai, Milte hain dost puraane, to woh bhi kabhi kabhi, Chamakta hai falak mein chand, dil mein amavas ki raat hai, 852. Sajde kiye sila na mila kya hua yaro, Yar hai khuda, kaafi hai dua, haq usi ka yaro. Kya lamhon ko khabar hoti hai kab bichdenge woh humse, Kya khauf hota hai un per bhi haavi mit jaane ka. Shikast mili, ansu bahe, taalian na baja sakey, Sajde kiye, sila na mila, haif! yeh haar jeet ka maajra. Aankh lagi to kehne lage so gaye kya, Yeh dil lagi chhordiye huzur, palkon pe ikhtiar kya. Itar lagao to pyar mohobat aur dosti ka, Zarurat na pade dost kisi aur khushbu ka. Haath uthte hain dua mein, sajdon ki lagi hai qataar, Jazba e bekhudi mein ya rab, kiye hain raaste paar. Kabhi ro diye kabhi ansoo piye, Per tujhe at zindagi hum muskura kar jiye Woh adab kahan woh tamiz kahan, Woh kal ka guzra zamana kahan, Jinhen samajhte the hum wali barabar, Woh buzurg na rahe, samjhne wale kahan Puchho na humse aaj hua hai kya, Hum hain us zamane se, woh guzra waqt ab kahan. Woh phulon ki khushbu woh baghon ki bahaar, Woh taazgi e naseem woh mehak hai kahan Yeh daur hai kaisa na sharm na lihaz, Be naqab hai dunya woh jhukin palke kahan Bech khaaye hai insan iman o dharam, Woh wafa ke pujari woh sach hai kahan . Aankhen hain num per soz hai kahan, Royen jo dil woh gham hai kahan. Hulchul hai jahan mein taraqqi ka hai daur, Woh chain o aman woh mel jol hai kahan Yeh nafrat ka aalam yeh jad o jahad, Woh sarparast insan woh zauq hai kahan Jo tu ne banaya tha mujhko khudaya, Woh main na raha woh hamdard hai kahan Woh khauf e khuda woh jannat ki chah, Woh ghutne, woh maathe, woh niyaz hai kahan

853.

854.

855.

856.

857.

858.

859.

860.

Kya, fakhr se aati hai qaza fiza mein jhumti huyi? Aur naaz se uda le jaati hai kis paar? Ya phir aati hai dabey paon, sharmsaar, Zindagi se apna hissa mangti hui? Sochta hun. Sitaron ko dekh kar yeh na samajh lena, Ke nur e khuda hai aasman mein, zulmat zamin ki qismat, Chand aur sitare aur din mein aftab, Navazish hai khuda ki jo bakhsha inhen jahan ko. Adaavat ko mohabat mein badalte dekha hai, Dost dushman baney yeh azaab kaisa. Gar taskin mile tujhe ai raat, so jaaun main teri baahon mein, Khwab aftaab ke hon, tere rukhsat hone ke baad. Jaagte aaj khwab dekhe, Zindagi ke hisaab dekhe, Kuchh achhe kuchh kharab the, Zahn ke azaab dekhe, Jaagte aaj khwab dekhe. Kai qism ke rang dekhe, Phoolon sang sang dekhe, Unche naam, baland darwaze, Chhote chhote insan dekhe, Jaagte aaj khwab dekhe. Sookhi zamin aur sailaab dekhe, Haryali ke khwab dekhe, Ghunchon ko murjhaate dekha, Baghban humne sote dekhe, Jaagte aaj khwab dekhe. Rote chehre hanste dekhe, Munafiqana bauhtere dekhe, Dosti humne badalti dekhi, Shirin zubaan ke khanjar dekhe, Jaagte aaj khwab dekhe. Maujen aur toofan bhi dekhe, Andheri raaten savere dekhe , Aasman ko chamakte dekha, Sitare humne girte dekhe, Jaagte aaj khwab dekhe.

861.

862.

863.

864.

865.

Woh rang hi kya jisey pehchaan na saken, Woh dil hi kya jo hamdard na ho, Jo ranj o gham se ho na vaqif, use mausarrton ka andaaz ho kya. Dost maanen use jo janaaze pe aa roye, Zindagi se payar to sabko hua karta hai.

866.

867.

Andhere main duniya teergi mein dost, Khuda jaane yaro raushani ko hua kya.

868.

Zuban ho shirin dil mein dua, Jabin e niyaz hah khuda ki rah.

You might also like

pFad - Phonifier reborn

Pfad - The Proxy pFad of © 2024 Garber Painting. All rights reserved.

Note: This service is not intended for secure transactions such as banking, social media, email, or purchasing. Use at your own risk. We assume no liability whatsoever for broken pages.


Alternative Proxies:

Alternative Proxy

pFad Proxy

pFad v3 Proxy

pFad v4 Proxy